Psalms 48 · 14 verses

भजन संहिता 48 Psalms 48 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Bhajan sanhita 48.

1

हमारे परमेश्वर के नगर में, और अपने पवित्र पर्वत पर यहोवा महान और अति स्तुति के योग्य है!

Hamare Parmeshwar ke nagar mein, aur apne pavitra parvat par Yahowa mahaan aur ati stuti ke yogya hai!

2

सिय्योन पर्वत ऊंचाई में सुन्दर और सारी पृथ्वी के हर्ष का कारण है, राजाधिराज का नगर उत्तरी सिरे पर है।

Siyyon parvat oonchai mein sundar aur sari prithvi ke harsh ka karan hai, rajadhiraaj ka nagar uttari sire par hai.

3

उसके महलों में परमेश्वर ऊंचा गढ़ माना गया है।

Uske mahlon mein Parmeshwar ooncha gadh mana gaya hai.

4

क्योंकि देखो, राजा लोग इकट्ठे हुए, वे एक संग आगे बढ़ गए।

Kyonki dekho, raja log ikatthe hue, ve ek sang aage badh gaye.

5

उन्होंने आप ही देखा और देखते ही विस्मित हुए, वे घबराकर भाग गए।

Unhonne aap hi dekha aur dekhte hi vismit hue, ve ghabrakar bhaag gaye.

6

वहां कपकपी ने उन को आ पकड़ा, और जच्चा की सी पीड़ाएं उन्हें होने लगीं।

Vahan kapakpi ne un ko aa pakda, aur jachcha ki si peedayen unhein hone lagi.

7

तू पूर्वी वायु से तर्शीश के जहाजों को तोड़ डालता है।

Tu poorvi vayu se tarsheesh ke jahajon ko tod dalta hai.

8

सेनाओं के यहोवा के नगर में, अपने परमेश्वर के नगर में, जैसा हम ने सुना था, वैसा देखा भी है; परमेश्वर उसको सदा दृढ़ और स्थिर रखेगा॥

Senaon ke Yahowa ke nagar mein, apne Parmeshwar ke nagar mein, jaisa ham ne suna tha, vaisa dekha bhi hai; Parmeshwar usko sada dridh aur sthir rakhega.

9

हे परमेश्वर हम ने तेरे मन्दिर के भीतर तेरी करूणा पर ध्यान किया है।

He Parmeshwar ham ne tere mandir ke bheetar teri karoona par dhyaan kiya hai.

10

हे परमेश्वर तेरे नाम के योग्य तेरी स्तुति पृथ्वी की छोर तक होती है। तेरा दाहिना हाथ धर्म से भरा है;

He Parmeshwar tere naam ke yogya teri stuti prithvi ki chhor tak hoti hai. Tera dahina haath dharm se bhara hai;

11

तेरे न्याय के कामों के कारण सिय्योन पर्वत आनन्द करे, और यहूदा के नगर की पुत्रियां मगन हों!

Tere nyaay ke kamon ke karan siyyon parvat aanand kare, aur Yahuda ke nagar ki putriyan magan hon!

12

सिय्योन के चारों ओर चलो, और उसकी परिक्रमा करो, उसके गुम्मटों को गिन लो,

Siyyon ke charon or chalo, aur uski parikrama karo, uske gummaton ko gin lo,

13

उसकी शहरपनाह पर दृष्टि लगाओ, उसके महलों को ध्यान से देखो; जिस से कि तुम आने वाली पीढ़ी के लोगों से इस बात का वर्णन कर सको।

Uski shahrapnaah par drishti lagao, uske mahlon ko dhyaan se dekho; jis se ki tum aane vali peedhi ke logon se is baat ka varnan kar sako.

14

क्योंकि वह परमेश्वर सदा सर्वदा हमारा परमेश्वर है, वह मृत्यु तक हमारी अगुवाई करेगा॥

Kyonki vah Parmeshwar sada sarvada hamara Parmeshwar hai, vah mrityu tak hamari aguvai karega.