Psalms 47 · 9 verses

भजन संहिता 47 Psalms 47 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Bhajan sanhita 47.

1

हे देश देश के सब लोगों, तालियां बजाओ! ऊंचे शब्द से परमेश्वर के लिये जयजयकार करो!

He desh desh ke sab logon, taliyan bajao! Oonche shabd se Parmeshwar ke liye jayjaykaar karo!

2

क्योंकि यहोवा परमप्रधान और भययोग्य है, वह सारी पृथ्वी के ऊपर महाराजा है।

Kyonki Yahowa parmapradhaan aur bhayyogya hai, vah sari prithvi ke oopar maharaja hai.

3

वह देश के लोगों को हमारे सम्मुख नीचा करता, और अन्यजातियों को हमारे पांवों के नीचे कर देता है।

Vah desh ke logon ko hamare sammukh neecha karta, aur anyajatiyon ko hamare panvon ke neeche kar deta hai.

4

वह हमारे लिये उत्तम भाग चुन लेगा, जो उसके प्रिय याकूब के घमण्ड का कारण है॥

Vah hamare liye uttam bhaag chun lega, jo uske priya Yakub ke ghamand ka karan hai.

5

परमेश्वर जयजयकार सहित, यहोवा नरसिंगे के शब्द के साथ ऊपर गया है।

Parmeshwar jayjaykaar sahit, Yahowa narsinge ke shabd ke saath oopar gaya hai.

6

परमेश्वर का भजन गाओ, भजन गाओ! हमारे महाराजा का भजन गाओ, भजन गाओ!

Parmeshwar ka bhajan gao, bhajan gao! Hamare maharaja ka bhajan gao, bhajan gao!

7

क्योंकि परमेश्वर सारी पृथ्वी का महाराजा है; समझ बूझकर बुद्धि से भजन गाओ

Kyonki Parmeshwar sari prithvi ka maharaja hai; samajh boojhkar buddhi se bhajan gao

8

परमेश्वर जाति जाति पर राज्य करता है; परमेश्वर अपने पवित्र सिंहासन पर विराजमान है।

Parmeshwar jati jati par rajya karta hai; Parmeshwar apne pavitra sinhasan par virajmaan hai.

9

राज्य राज्य के रईस इब्राहीम के परमेश्वर की प्रजा होने के लिये इकट्ठे हुए हैं। क्योंकि पृथ्वी की ढालें परमेश्वर के वश में हैं, वह तो शिरोमणि है!

Rajya rajya ke rais Ibrahim ke Parmeshwar ki praja hone ke liye ikatthe hue hain. Kyonki prithvi ki dhalein Parmeshwar ke vash mein hain, vah to shiromni hai!