Psalms 46 · 11 verses

भजन संहिता 46 Psalms 46 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Bhajan sanhita 46.

1

परमेश्वर हमारा शरणस्थान और बल है, संकट में अति सहज से मिलने वाला सहायक।

Parmeshwar hamara sharnasthaan aur bal hai, sankat mein ati sahaj se milne vala sahayak.

2

इस कारण हम को कोई भय नहीं चाहे पृथ्वी उलट जाए, और पहाड़ समुद्र के बीच में डाल दिए जाएं;

Is karan ham ko koi bhay nahi chahe prithvi ulat jaye, aur pahaad samudra ke beech mein daal diye jayen;

3

चाहे समुद्र गरजे और फेन उठाए, और पहाड़ उसकी बाढ़ से कांप उठें॥

Chahe samudra garje aur phen uthaye, aur pahaad uski baadh se kaamp uthein.

4

एक नदी है जिसकी नहरों से परमेश्वर के नगर में अर्थात परमप्रधान के पवित्र निवास भवन में आनन्द होता है।

Ek nadi hai jiski nahron se Parmeshwar ke nagar mein arthaat parmapradhaan ke pavitra nivaas bhavan mein aanand hota hai.

5

परमेश्वर उस नगर के बीच में है, वह कभी टलने का नहीं; पौ फटते ही परमेश्वर उसकी सहायता करता है।

Parmeshwar us nagar ke beech mein hai, vah kabhi talne ka nahi; pau phatte hi Parmeshwar uski sahayta karta hai.

6

जाति जाति के लोग झल्ला उठे, राज्य राज्य के लोग डगमगाने लगे; वह बोल उठा, और पृथ्वी पिघल गई।

Jati jati ke log jhalla uthe, rajya rajya ke log dagamgane lage; vah bol utha, aur prithvi pighal gai.

7

सेनाओं का यहोवा हमारे संग है; याकूब का परमेश्वर हमारा ऊंचा गढ़ है॥

Senaon ka Yahowa hamare sang hai; Yakub ka Parmeshwar hamara ooncha gadh hai.

8

आओ, यहोवा के महाकर्म देखो, कि उसने पृथ्वी पर कैसा कैसा उजाड़ किया है।

Aao, Yahowa ke mahakarm dekho, ki usne prithvi par kaisa kaisa ujaad kiya hai.

9

वह पृथ्वी की छोर तक लड़ाइयों को मिटाता है; वह धनुष को तोड़ता, और भाले को दो टुकड़े कर डालता है, और रथों को आग में झोंक देता है!

Vah prithvi ki chhor tak ladaiyon ko mitata hai; vah dhanush ko todta, aur bhale ko do tukde kar dalta hai, aur rathon ko aag mein jhonk deta hai!

10

चुप हो जाओ, और जान लो, कि मैं ही परमेश्वर हूं। मैं जातियों में महान हूं, मैं पृथ्वी भर में महान हूं!

Chup ho jao, aur jaan lo, ki main hi Parmeshwar hoon. Main jatiyon mein mahaan hoon, main prithvi bhar mein mahaan hoon!

11

सेनाओं का यहोवा हमारे संग है; याकूब का परमेश्वर हमारा ऊंचा गढ़ है॥

Senaon ka Yahowa hamare sang hai; Yakub ka Parmeshwar hamara ooncha gadh hai.