Psalms 33 · 22 verses

भजन संहिता 33 Psalms 33 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Bhajan sanhita 33.

1

हे धर्मियों यहोवा के कारण जयजयकार करो क्योंकि धर्मी लोगों को स्तुति करनी सोहती है।

He dharmiyon Yahowa ke karan jayjaykaar karo kyonki dharmi logon ko stuti karni sohti hai.

2

वीणा बजा बजाकर यहोवा का धन्यवाद करो, दस तार वाली सारंगी बजा बजाकर उसका भजन गाओ।

Veena baja bajakar Yahowa ka dhanyavaad karo, das taar vali sarangi baja bajakar uska bhajan gao.

3

उसके लिये नया गीत गाओ, जयजयकार के साथ भली भांति बजाओ॥

Uske liye naya geet gao, jayjaykaar ke saath bhali bhanti bajao.

4

क्योंकि यहोवा का वचन सीधा है; और उसका सब काम सच्चाई से होता है।

Kyonki Yahowa ka vachan seedha hai; aur uska sab kaam sachchai se hota hai.

5

वह धर्म और न्याय से प्रीति रखता है; यहोवा की करूणा से पृथ्वी भरपूर है॥

Vah dharm aur nyaay se preeti rakhta hai; Yahowa ki karoona se prithvi bharpoor hai.

6

आकाशमण्डल यहोवा के वचन से, और उसके सारे गण उसके मुंह ही श्वास से बने।

Aakashmandal Yahowa ke vachan se, aur uske sare gan uske munh hi shwaas se bane.

7

वह समुद्र का जल ढेर की नाईं इकट्ठा करता; वह गहिरे सागर को अपने भण्डार में रखता है॥

Vah samudra ka jal dher ki nai ikattha karta; vah gahire sagar ko apne bhandaar mein rakhta hai.

8

सारी पृथ्वी के लोग यहोवा से डरें, जगत के सब निवासी उसका भय मानें!

Sari prithvi ke log Yahowa se darein, jagat ke sab nivasi uska bhay manein!

9

क्योंकि जब उसने कहा, तब हो गया; जब उसने आज्ञा दी, तब वास्तव में वैसा ही हो गया॥

Kyonki jab usne kaha, tab ho gaya; jab usne aagya di, tab vastav mein vaisa hi ho gaya.

10

यहोवा अन्य अन्य जातियों की युक्ति को व्यर्थ कर देता है; वह देश देश के लोगों की कल्पनाओं को निष्फल करता है।

Yahowa anya anya jatiyon ki yukti ko vyarth kar deta hai; vah desh desh ke logon ki kalpanaon ko nishphal karta hai.

11

यहोवा की युक्ति सर्वदा स्थिर रहेगी, उसके मन की कल्पनाएं पीढ़ी से पीढ़ी तक बनी रहेंगी।

Yahowa ki yukti sarvada sthir rahegi, uske man ki kalpanayen peedhi se peedhi tak bani rahengi.

12

क्या ही धन्य है वह जाति जिसका परमेश्वर यहोवा है, और वह समाज जिसे उसने अपना निज भाग होने के लिये चुन लिया हो!

Kya hi dhanya hai vah jati jiska Parmeshwar Yahowa hai, aur vah samaaj jise usne apna nij bhaag hone ke liye chun liya ho!

13

यहोवा स्वर्ग से दृष्टि करता है, वह सब मनुष्यों को निहारता है;

Yahowa swarg se drishti karta hai, vah sab manushyon ko niharta hai;

14

अपने निवास के स्थान से वह पृथ्वी के सब रहने वालों को देखता है,

Apne nivaas ke sthaan se vah prithvi ke sab rahne valon ko dekhta hai,

15

वही जो उन सभों के हृदयों को गढ़ता, और उनके सब कामों का विचार करता है।

Vahi jo un sabhon ke hridyon ko gadhta, aur unke sab kamon ka vichaar karta hai.

16

कोई ऐसा राजा नहीं, जो सेना की बहुतायत के कारण बच सके; वीर अपनी बड़ी शक्ति के कारण छूट नहीं जाता।

Koi aisa raja nahi, jo sena ki bahutayat ke karan bach sake; veer apni badi shakti ke karan chhoot nahi jata.

17

बच निकलने के लिये घोड़ा व्यर्थ है, वह अपने बड़े बल के द्वारा किसी को नहीं बचा सकता है॥

Bach nikalne ke liye ghoda vyarth hai, vah apne bade bal ke dwara kisi ko nahi bacha sakta hai.

18

देखो, यहोवा की दृष्टि उसके डरवैयों पर और उन पर जो उसकी करूणा की आशा रखते हैं बनी रहती है,

Dekho, Yahowa ki drishti uske darvaiyon par aur un par jo uski karoona ki aasha rakhte hain bani rahti hai,

19

कि वह उनके प्राण को मृत्यु से बचाए, और अकाल के समय उन को जीवित रखे॥

Ki vah unke praan ko mrityu se bachaye, aur akaal ke samay un ko jeevit rakhe.

20

हम यहोवा का आसरा देखते आए हैं; वह हमारा सहायक और हमारी ढाल ठहरा है।

Ham Yahowa ka aasra dekhte aaye hain; vah hamara sahayak aur hamari dhaal thahra hai.

21

हमारा हृदय उसके कारण आनन्दित होगा, क्योंकि हम ने उसके पवित्र नाम का भरोसा रखा है।

Hamara hriday uske karan aanandit hoga, kyonki ham ne uske pavitra naam ka bharosa rakha hai.

22

हे यहोवा जैसी तुझ पर हमारी आशा है, वैसी ही तेरी करूणा भी हम पर हो॥

He Yahowa jaisi tujh par hamari aasha hai, vaisi hi teri karoona bhi ham par ho.