Psalms 19 · 14 verses

भजन संहिता 19 Psalms 19 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Bhajan sanhita 19.

1

आकाश ईश्वर की महिमा वर्णन कर रहा है; और आकाशमण्डल उसकी हस्तकला को प्रगट कर रहा है।

Aakaash ishwar ki mahima varnan kar raha hai; aur aakashmandal uski hastakla ko pragat kar raha hai.

2

दिन से दिन बातें करता है, और रात को रात ज्ञान सिखाती है।

Din se din batein karta hai, aur raat ko raat gyaan sikhati hai.

3

न तोकोई बोली है और न कोई भाषा जहां उनका शब्द सुनाई नहीं देता है।

Na tokoi boli hai aur na koi bhasha jahan unka shabd sunai nahi deta hai.

4

उनका स्वर सारी पृथ्वी पर गूंज गया है, और उनके वचन जगत की छोर तक पहुंच गए हैं। उन में उसने सूर्य के लिये एक मण्डप खड़ा किया है,

Unka swar sari prithvi par goonj gaya hai, aur unke vachan jagat ki chhor tak pahunch gaye hain. Un mein usne soorya ke liye ek mandap khada kiya hai,

5

जो दुल्हे के समान अपने महल से निकलता है। वह शूरवीर की नाईं अपनी दौड़ दौड़ने को हर्षित होता है।

Jo dulhe ke samaan apne mahal se nikalta hai. Vah shoorveer ki nai apni daud daudne ko harshit hota hai.

6

वह आकाश की एक छोर से निकलता है, और वह उसकी दूसरी छोर तक चक्कर मारता है; और उसकी गर्मी सब को पहुंचती है॥

Vah aakaash ki ek chhor se nikalta hai, aur vah uski doosri chhor tak chakkar marta hai; aur uski garmi sab ko pahunchti hai.

7

यहोवा की व्यवस्था खरी है, वह प्राण को बहाल कर देती है; यहोवा के नियम विश्वासयोग्य हैं, साधारण लोगों को बुद्धिमान बना देते हैं;

Yahowa ki vyavastha khari hai, vah praan ko bahaal kar deti hai; Yahowa ke niyam vishwasyogya hain, sadharan logon ko buddhimaan bana dete hain;

8

यहोवा के उपदेश सिद्ध हैं, हृदय को आनन्दित कर देते हैं; यहोवा की आज्ञा निर्मल है, वह आंखों में ज्योति ले आती है;

Yahowa ke updesh siddh hain, hriday ko aanandit kar dete hain; Yahowa ki aagya nirmal hai, vah aankhon mein jyoti le aati hai;

9

यहोवा का भय पवित्र है, वह अनन्तकाल तक स्थिर रहता है; यहोवा के नियम सत्य और पूरी रीति से धर्ममय हैं।

Yahowa ka bhay pavitra hai, vah anantakaal tak sthir rahta hai; Yahowa ke niyam satya aur poori reeti se dharmamay hain.

10

वे तो सोने से और बहुत कुन्दन से भी बढ़कर मनोहर हैं; वे मधु से और टपकने वाले छत्ते से भी बढ़कर मधुर हैं।

Ve to sone se aur bahut kundan se bhi badhkar manohar hain; ve madhu se aur tapakne vale chhatte se bhi badhkar madhur hain.

11

और उन्हीं से तेरा दास चिताया जाता है; उनके पालन करने से बड़ा ही प्रतिफल मिलता है।

Aur unhi se tera daas chitaya jata hai; unke palan karne se bada hi pratiphal milta hai.

12

अपनी भूलचूक को कौन समझ सकता है? मेरे गुप्त पापों से तू मुझे पवित्र कर।

Apni bhoolchook ko kaun samajh sakta hai? Mere gupt papon se tu mujhe pavitra kar.

13

तू अपने दास को ढिठाई के पापों से भी बचाए रख; वह मुझ पर प्रभुता करने न पाएं! तब मैं सिद्ध हो जाऊंगा, और बड़े अपराधों से बचा रहूंगा॥

Tu apne daas ko dhithai ke papon se bhi bachaye rakh; vah mujh par prabhuta karne na payen! Tab main siddh ho jaoonga, aur bade apradhon se bacha rahoonga.

14

मेरे मुंह के वचन और मेरे हृदय का ध्यान तेरे सम्मुख ग्रहण योग्य हों, हे यहोवा परमेश्वर, मेरी चट्टान और मेरे उद्धार करने वाले!

Mere munh ke vachan aur mere hriday ka dhyaan tere sammukh grahan yogya hon, he Yahowa Parmeshwar, meri chattaan aur mere uddhaar karne vale!