हे परमेश्वर, हे मेरे बल, मैं तुझ से प्रेम करता हूं।
He Parmeshwar, he mere bal, main tujh se prem karta hoon.
Psalms 18 · 50 verses
हे परमेश्वर, हे मेरे बल, मैं तुझ से प्रेम करता हूं।
He Parmeshwar, he mere bal, main tujh se prem karta hoon.
यहोवा मेरी चट्टान, और मेरा गढ़ और मेरा छुड़ाने वाला है; मेरा ईश्वर, मेरी चट्टान है, जिसका मैं शरणागत हूं, वह मेरी ढाल और मेरी मुक्ति का सींग, और मेरा ऊँचा गढ़ है।
Yahowa meri chattaan, aur mera gadh aur mera chhudane vala hai; mera ishwar, meri chattaan hai, jiska main sharnagat hoon, vah meri dhaal aur meri mukti ka seeng, aur mera ooncha gadh hai.
मैं यहोवा को जो स्तुति के योग्य है पुकारूंगा; इस प्रकार मैं अपने शत्रुओं से बचाया जाऊंगा॥
Main Yahowa ko jo stuti ke yogya hai pukaroonga; is prakaar main apne shatruon se bachaya jaoonga.
मृत्यु की रस्सियों से मैं चारो ओर से घिर गया हूं, और अधर्म की बाढ़ ने मुझ को भयभीत कर दिया;
Mrityu ki rassiyon se main charo or se ghir gaya hoon, aur adharm ki baadh ne mujh ko bhaybheet kar diya;
पाताल की रस्सियां मेरे चारो ओर थीं, और मृत्यु के फन्दे मुझ पर आए थे।
Pataal ki rassiyan mere charo or thi, aur mrityu ke phande mujh par aaye the.
अपने संकट में मैं ने यहोवा परमेश्वर को पुकारा; मैं ने अपने परमेश्वर की दोहाई दी। और उसने अपने मन्दिर में से मेरी बातें सुनी। और मेरी दोहाई उसके पास पहुंचकर उसके कानों में पड़ी॥
Apne sankat mein main ne Yahowa Parmeshwar ko pukara; main ne apne Parmeshwar ki dohai di. Aur usne apne mandir mein se meri batein suni. Aur meri dohai uske paas pahunchkar uske kanon mein padi.
तब पृथ्वी हिल गई, और कांप उठी और पहाड़ों की नेवे कंपित होकर हिल गई क्योंकि वह अति क्रोधित हुआ था।
Tab prithvi hil gai, aur kaamp uthi aur pahadon ki neve kampit hokar hil gai kyonki vah ati krodhit huaa tha.
उसके नथनों से धुआं निकला, और उसके मुंह से आग निकलकर भस्म करने लगी; जिस से कोएले दहक उठे।
Uske nathnon se dhuaan nikla, aur uske munh se aag nikalkar bhasm karne lagi; jis se koyele dahak uthe.
और वह स्वर्ग को नीचे झुकाकर उतर आया; और उसके पांवों तले घोर अन्धकार था।
Aur vah swarg ko neeche jhukakar utar aaya; aur uske panvon tale ghor andhakaar tha.
और वह करूब पर सवार होकर उड़ा, वरन पवन के पंखों पर सवारी करके वेग से उड़ा।
Aur vah karoob par savaar hokar uda, varan pavan ke pankhon par savari karke veg se uda.
उसने अन्धियारे को अपने छिपने का स्थान और अपने चारों ओर मेघों के अन्धकार और आकाश की काली घटाओं का मण्डप बनाया।
Usne andhiyare ko apne chhipne ka sthaan aur apne charon or meghon ke andhakaar aur aakaash ki kali ghataon ka mandap banaya.
उसकी उपस्थिति की झलक से उसकी काली घटाएं फट गई; ओले और अंगारे।
Uski upasthiti ki jhalak se uski kali ghatayen phat gai; ole aur angare.
तब यहोवा आकाश में गरजा, और परमप्रधान ने अपनी वाणी सुनाई, ओले ओर अंगारे॥
Tab Yahowa aakaash mein garja, aur parmapradhaan ne apni vani sunai, ole or angare.
उसने अपने तीर चला चलाकर उन को तितर बितर किया; वरन बिजलियां गिरा गिराकर उन को परास्त किया।
Usne apne teer chala chalakar un ko titar bitar kiya; varan bijliyan gira girakar un ko paraast kiya.
तब जल के नाले देख पड़े, और जगत की नेवें प्रगट हुई, यह तो यहोवा तेरी डांट से, और तेरे नथनों की सांस की झोंक से हुआ॥
Tab jal ke nale dekh pade, aur jagat ki nevein pragat hui, yah to Yahowa teri daant se, aur tere nathnon ki saans ki jhonk se huaa.
उसने ऊपर से हाथ बढ़ाकर मुझे थाम लिया, और गहिरे जल में से खींच लिया।
Usne oopar se haath badhakar mujhe thaam liya, aur gahire jal mein se kheench liya.
उसने मेरे बलवन्त शत्रु से, और उन से जो मुझ से घृणा करते थे मुझे छुड़ाया; क्योंकि वे अधिक सामर्थी थे।
Usne mere balvant shatru se, aur un se jo mujh se ghrina karte the mujhe chhudaya; kyonki ve adhik samarthi the.
मेरी विपत्ति के दिन वे मुझ पर आ पड़े। परन्तु यहोवा मेरा आश्रय था।
Meri vipatti ke din ve mujh par aa pade. Parantu Yahowa mera aashray tha.
और उसने मुझे निकाल कर चौड़े स्थान में पहुंचाया, उसने मुझ को छुड़ाया, क्योंकि वह मुझ से प्रसन्न था।
Aur usne mujhe nikaal kar chaude sthaan mein pahunchaya, usne mujh ko chhudaya, kyonki vah mujh se prasann tha.
यहोवा ने मुझ से मेरे धर्म के अनुसार व्यवहार किया; और मेरे हाथों की शुद्धता के अनुसार उसने मुझे बदला दिया।
Yahowa ne mujh se mere dharm ke anusaar vyavhaar kiya; aur mere hathon ki shuddhata ke anusaar usne mujhe badla diya.
क्योंकि मैं यहोवा के मार्गों पर चलता रहा, और दुष्टता के कारण अपने परमेश्वर से दूर न हुआ।
Kyonki main Yahowa ke margon par chalta raha, aur dushtata ke karan apne Parmeshwar se door na huaa.
क्योंकि उसके सारे निर्णय मेरे सम्मुख बने रहे और मैं ने उसकी विधियों को न त्यागा।
Kyonki uske sare nirnay mere sammukh bane rahe aur main ne uski vidhiyon ko na tyaga.
और मैं उसके सम्मुख सिद्ध बना रहा, और अधर्म से अपने को बचाए रहा।
Aur main uske sammukh siddh bana raha, aur adharm se apne ko bachaye raha.
यहोवा ने मुझे मेरे धर्म के अनुसार बदला दिया, और मेरे हाथों की उस शुद्धता के अनुसार जिसे वह देखता था॥
Yahowa ne mujhe mere dharm ke anusaar badla diya, aur mere hathon ki us shuddhata ke anusaar jise vah dekhta tha.
दयावन्त के साथ तू अपने को दयावन्त दिखाता; और खरे पुरूष के साथ तू अपने को खरा दिखाता है।
Dayavant ke saath tu apne ko dayavant dikhata; aur khare puroosh ke saath tu apne ko khara dikhata hai.
शुद्ध के साथ तू अपने को शुद्ध दिखाता, और टेढ़े के साथ तू तिर्छा बनता है।
Shuddh ke saath tu apne ko shuddh dikhata, aur tedhe ke saath tu tirchha banta hai.
क्योंकि तू दीन लोगों को तो बचाता है; परन्तु घमण्ड भरी आंखों को नीची करता है।
Kyonki tu deen logon ko to bachata hai; parantu ghamand bhari aankhon ko neechi karta hai.
हां, तू ही मेरे दीपक को जलाता है; मेरा परमेश्वर यहोवा मेरे अन्धियारे को उजियाला कर देता है।
Han, tu hi mere deepak ko jalata hai; mera Parmeshwar Yahowa mere andhiyare ko ujiyala kar deta hai.
क्योंकि तेरी सहायता से मैं सेना पर धावा करता हूं; और अपने परमेश्वर की सहायता से शहरपनाह को लांघ जाता हूं।
Kyonki teri sahayta se main sena par dhava karta hoon; aur apne Parmeshwar ki sahayta se shahrapnaah ko laangh jata hoon.
ईश्वर का मार्ग सच्चाई; यहोवा का वचन ताया हुआ है; वह अपने सब शरणागतों की ढाल है॥
Ishwar ka maarg sachchai; Yahowa ka vachan taya huaa hai; vah apne sab sharnagton ki dhaal hai.
यहोवा को छोड़ क्या कोई ईश्वर है? हमारे परमेश्वर को छोड़ क्या और कोई चट्टान है?
Yahowa ko chhod kya koi ishwar hai? Hamare Parmeshwar ko chhod kya aur koi chattaan hai?
यह वही ईश्वर है, जो सामर्थ से मेरा कटिबन्ध बान्धता है, और मेरे मार्ग को सिद्ध करता है।
Yah vahi ishwar hai, jo samarth se mera katibandh bandhata hai, aur mere maarg ko siddh karta hai.
वही मेरे पैरों को हरिणियों के पैरों के समान बनाता है, और मुझे मेरे ऊंचे स्थानों पर खड़ा करता है।
Vahi mere pairon ko hariniyon ke pairon ke samaan banata hai, aur mujhe mere oonche sthanon par khada karta hai.
वह मेरे हाथों को युद्ध करना सिखाता है, इसलिये मेरी बाहों से पीतल का धनुष झुक जाता है।
Vah mere hathon ko yuddh karna sikhata hai, isliye meri bahon se peetal ka dhanush jhuk jata hai.
तू ने मुझ को अपने बचाव की ढाल दी है, तू अपने दाहिने हाथ से मुझे सम्भाले हुए है, और मेरी नम्रता ने महत्व दिया है।
Tu ne mujh ko apne bachaav ki dhaal di hai, tu apne dahine haath se mujhe sambhale hue hai, aur meri namrata ne mahatva diya hai.
तू ने मेरे पैरों के लिये स्थान चौड़ा कर दिया, और मेरे पैर नहीं फिसले।
Tu ne mere pairon ke liye sthaan chauda kar diya, aur mere pair nahi phisle.
मैं अपने शत्रुओं का पीछा करके उन्हें पकड़ लूंगा; और जब तक उनका अन्त न करूं तब तक न लौटूंगा।
Main apne shatruon ka peechha karke unhein pakad loonga; aur jab tak unka ant na karun tab tak na lautoonga.
मैं उन्हें ऐसा बेधूंगा कि वे उठ न सकेंगे; वे मेरे पांवों के नीचे गिर पड़ेंगे।
Main unhein aisa bedhoonga ki ve uth na sakenge; ve mere panvon ke neeche gir padenge.
क्योंकि तू ने युद्ध के लिये मेरी कमर में शक्ति का पटुका बान्धा है; और मेरे विरोधियों को मेरे सम्मुख नीचा कर दिया।
Kyonki tu ne yuddh ke liye meri kamar mein shakti ka patuka bandha hai; aur mere virodhiyon ko mere sammukh neecha kar diya.
तू ने मेरे शत्रुओं की पीठ मेरी ओर फेर दी, ताकि मैं उन को काट डालूं जो मुझ से द्वेष रखते हैं।
Tu ne mere shatruon ki peeth meri or pher di, taki main un ko kaat dalun jo mujh se dwesh rakhte hain.
उन्होंने दोहाई तो दी परन्तु उन्हें कोई भी बचाने वाला न मिला, उन्होंने यहोवा की भी दोहाई दी, परन्तु उसने भी उन को उत्तर न दिया।
Unhonne dohai to di parantu unhein koi bhi bachane vala na mila, unhonne Yahowa ki bhi dohai di, parantu usne bhi un ko uttar na diya.
तब मैं ने उन को कूट कूटकर पवन से उड़ाई हुई धूलि के समान कर दिया; मैं ने उन को गली कूचों की कीचड़ के समान निकाल फेंका॥
Tab main ne un ko koot kootkar pavan se udai hui dhooli ke samaan kar diya; main ne un ko gali koochon ki keechad ke samaan nikaal phenka.
तू ने मुझे प्रजा के झगड़ों से भी छुड़ाया; तू ने मुझे अन्यजातियों का प्रधान बनाया है; जिन लोगों को मैं जानता भी न था वे मेरे आधीन हो गये।
Tu ne mujhe praja ke jhagdon se bhi chhudaya; tu ne mujhe anyajatiyon ka pradhaan banaya hai; jin logon ko main janta bhi na tha ve mere aadheen ho gaye.
मेरा नाम सुनते ही वे मेरी आज्ञा का पालन करेंगे; परदेशी मेरे वश में हो जाएंगे।
Mera naam sunte hi ve meri aagya ka palan karenge; pardeshi mere vash mein ho jayenge.
परदेशी मुर्झा जाएंगे, और अपने किलों में से थरथराते हुए निकलेंगे॥
Pardeshi murjha jayenge, aur apne kilon mein se tharathrate hue niklenge.
यहोवा परमेश्वर जीवित है; मेरी चट्टान धन्य है; और मेरे मुक्तिदाता परमेश्वर की बड़ाई हो।
Yahowa Parmeshwar jeevit hai; meri chattaan dhanya hai; aur mere muktidata Parmeshwar ki badai ho.
धन्य है मेरा पलटा लेने वाला ईश्वर! जिसने देश देश के लोगों को मेरे वश में कर दिया है;
Dhanya hai mera palta lene vala ishwar! Jisne desh desh ke logon ko mere vash mein kar diya hai;
और मुझे मेरे शत्रुओं से छुड़ाया है; तू मुझ को मेरे विरोधियों से ऊंचा करता, और उपद्रवी पुरूष से बचाता है॥
Aur mujhe mere shatruon se chhudaya hai; tu mujh ko mere virodhiyon se ooncha karta, aur upadravi puroosh se bachata hai.
इस कारण मैं जाति जाति के साम्हने तेरा धन्यवाद करूंगा, और तेरे नाम का भजन गाऊंगा।
Is karan main jati jati ke samhane tera dhanyavaad karoonga, aur tere naam ka bhajan gaoonga.
वह अपने ठहराए हुए राजा का बड़ा उद्धार करता है, वह अपने अभिषिक्त दाऊद पर और उसके वंश पर युगानुयुग करूणा करता रहेगा॥
Vah apne thahraye hue raja ka bada uddhaar karta hai, vah apne abhishikt Daud par aur uske vansh par yuganuyug karoona karta rahega.