याह की स्तुति करो! यहोवा के लिये नया गीत गाओ, भक्तों की सभा में उसकी स्तुति गाओ!
Yaah ki stuti karo! Yahowa ke liye naya geet gao, bhakton ki sabha mein uski stuti gao!
Psalms 149 · 9 verses
याह की स्तुति करो! यहोवा के लिये नया गीत गाओ, भक्तों की सभा में उसकी स्तुति गाओ!
Yaah ki stuti karo! Yahowa ke liye naya geet gao, bhakton ki sabha mein uski stuti gao!
इस्राएल अपने कर्ता के कारण आनन्दित हो, सिय्योन के निवासी अपने राजा के कारण मगन हों!
Israel apne karta ke karan aanandit ho, siyyon ke nivasi apne raja ke karan magan hon!
वे नाचते हुए उसके नाम की स्तुति करें, और डफ और वीणा बजाते हुए उसका भजन गाएं!
Ve nachte hue uske naam ki stuti karein, aur daph aur veena bajate hue uska bhajan gayen!
क्योंकि यहोवा अपनी प्रजा से प्रसन्न रहता है; वह नम्र लोगों का उद्धार कर के उन्हें शोभायमान करेगा।
Kyonki Yahowa apni praja se prasann rahta hai; vah namra logon ka uddhaar kar ke unhein shobhaymaan karega.
भक्त लोग महिमा के कारण प्रफुल्लित हों; और अपने बिछौनों पर भी पड़े पड़े जयजयकार करें।
Bhakt log mahima ke karan praphullit hon; aur apne bichhaunon par bhi pade pade jayjaykaar karein.
उनके कण्ठ से ईश्वर की प्रशंसा हो, और उनके हाथों में दोधारी तलवारें रहें,
Unke kanth se ishwar ki prashansa ho, aur unke hathon mein dodhari talvarein rahein,
कि वे अन्यजातियों से पलटा ले सकें; और राज्य राज्य के लोगों को ताड़ना दें,
Ki ve anyajatiyon se palta le sakein; aur rajya rajya ke logon ko tadna dein,
और उनके राजाओं को सांकलों से, और उनके प्रतिष्ठित पुरूषों को लोहे की बेड़ियों से जकड़ रखें,
Aur unke rajaon ko sanklon se, aur unke pratishthit purooshon ko lohe ki bediyon se jakad rakhein,
और उन को ठहराया हुआ दण्ड दें! उसके सब भक्तों की ऐसी ही प्रतिष्ठा होगी। याह की स्तुति करो।
Aur un ko thahraya huaa dand dein! Uske sab bhakton ki aisi hi pratishtha hogi. Yaah ki stuti karo.