Psalms 136 · 26 verses

भजन संहिता 136 Psalms 136 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Bhajan sanhita 136.

1

यहोवा का धन्यवाद करो, क्योंकि वह भला है, और उसकी करूणा सदा की है।

Yahowa ka dhanyavaad karo, kyonki vah bhala hai, aur uski karoona sada ki hai.

2

जो ईश्वरों का परमेश्वर है, उसका धन्यवाद करो, उसकी करूणा सदा की है।

Jo ishwaron ka Parmeshwar hai, uska dhanyavaad karo, uski karoona sada ki hai.

3

जो प्रभुओं का प्रभु है, उसका धन्यवाद करो, उसकी करूणा सदा की है॥

Jo prabhuon ka Prabhu hai, uska dhanyavaad karo, uski karoona sada ki hai.

4

उसको छोड़कर कोई बड़े बड़े अशचर्यकर्म नहीं करता, उसकी करूणा सदा की है।

Usko chhodkar koi bade bade ashcharyakarm nahi karta, uski karoona sada ki hai.

5

उसने अपनी बुद्धि से आकाश बनाया, उसकी करूणा सदा की है।

Usne apni buddhi se aakaash banaya, uski karoona sada ki hai.

6

उसने पृथ्वी को जल के ऊपर फैलाया है, उसकी करूणा सदा की है।

Usne prithvi ko jal ke oopar phailaya hai, uski karoona sada ki hai.

7

उसने बड़ी बड़ी ज्योतियों बनाईं, उसकी करूणा सदा की है।

Usne badi badi jyotiyon banai, uski karoona sada ki hai.

8

दिन पर प्रभुता करने के लिये सूर्य को बनाया, उसकी करूणा सदा की है।

Din par prabhuta karne ke liye soorya ko banaya, uski karoona sada ki hai.

9

और रात पर प्रभुता करने के लिये चन्द्रमा और तारागण को बनाया, उसकी करूणा सदा की है।

Aur raat par prabhuta karne ke liye chandrama aur taragan ko banaya, uski karoona sada ki hai.

10

उसने मिस्त्रियों के पहिलौठों को मारा, उसकी करूणा सदा की है॥

Usne mistriyon ke pahilauthon ko mara, uski karoona sada ki hai.

11

और उनके बीच से इस्राएलियों को निकाला, उसकी करूणा सदा की है।

Aur unke beech se Israeliyon ko nikala, uski karoona sada ki hai.

12

बलवन्त हाथ और बढ़ाई हुई भुजा से निकाल लाया, उसकी करूणा सदा की है।

Balvant haath aur badhai hui bhuja se nikaal laya, uski karoona sada ki hai.

13

उसने लाल समुद्र को खण्ड खण्ड कर दिया, उसकी करूणा सदा की है।

Usne laal samudra ko khand khand kar diya, uski karoona sada ki hai.

14

और इस्राएल को उसके बीच से पार कर दिया, उसकी करूणा सदा की है।

Aur Israel ko uske beech se paar kar diya, uski karoona sada ki hai.

15

और फिरौन को सेना समेत लाल समुद्र में डाल दिया, उसकी करूणा सदा की है।

Aur Firaun ko sena samet laal samudra mein daal diya, uski karoona sada ki hai.

16

वह अपनी प्रजा को जंगल में ले चला, उसकी करूणा सदा की है।

Vah apni praja ko jangal mein le chala, uski karoona sada ki hai.

17

उसने बड़े बड़े राजा मारे, उसकी करूणा सदा की है।

Usne bade bade raja mare, uski karoona sada ki hai.

18

उसने प्रतापी राजाओं को भी मारा, उसकी करूणा सदा की है।

Usne pratapi rajaon ko bhi mara, uski karoona sada ki hai.

19

एमोरियों के राजा सीहोन को, उसकी करूणा सदा की है।

Emoriyon ke raja seehon ko, uski karoona sada ki hai.

20

और बाशान के राजा ओग को घात किया, उसकी करूणा सदा की है।

Aur bashaan ke raja og ko ghaat kiya, uski karoona sada ki hai.

21

और उनके देश को भाग होने के लिये, उसकी करूणा सदा की है।

Aur unke desh ko bhaag hone ke liye, uski karoona sada ki hai.

22

अपने दास इस्राएलियों के भाग होने के लिये दे दिया, उसकी करूणा सदा की है।

Apne daas Israeliyon ke bhaag hone ke liye de diya, uski karoona sada ki hai.

23

उसने हमारी दुर्दशा में हमारी सुधि ली, उसकी करूणा सदा की है।

Usne hamari durdasha mein hamari sudhi li, uski karoona sada ki hai.

24

और हम को द्रोहियों से छुड़ाया है, उसकी करूणा सदा की है।

Aur ham ko drohiyon se chhudaya hai, uski karoona sada ki hai.

25

वह सब प्राणियों को आहार देता है, उसकी करूणा सदा की है।

Vah sab praniyon ko aahaar deta hai, uski karoona sada ki hai.

26

स्वर्ग के परमेश्वर का धन्यवाद करो, उसकी करूणा सदा की है।

Swarg ke Parmeshwar ka dhanyavaad karo, uski karoona sada ki hai.