याह की स्तुति करो, यहोवा के नाम की स्तुति करो, हे यहोवा के सेवकों तुम स्तुति करो,
Yaah ki stuti karo, Yahowa ke naam ki stuti karo, he Yahowa ke sevkon tum stuti karo,
Psalms 135 · 21 verses
याह की स्तुति करो, यहोवा के नाम की स्तुति करो, हे यहोवा के सेवकों तुम स्तुति करो,
Yaah ki stuti karo, Yahowa ke naam ki stuti karo, he Yahowa ke sevkon tum stuti karo,
तुम जो यहोवा के भवन में, अर्थात हमारे परमेश्वर के भवन के आंगनों में खड़े रहते हो!
Tum jo Yahowa ke bhavan mein, arthaat hamare Parmeshwar ke bhavan ke aangnon mein khade rahte ho!
याह की स्तुति करो, क्योंकि यहोवा भला है; उसके नाम का भजन गाओ, क्योंकि यह मन भाऊ है!
Yaah ki stuti karo, kyonki Yahowa bhala hai; uske naam ka bhajan gao, kyonki yah man bhau hai!
याह ने तो याकूब को अपने लिये चुना है, अर्थात इस्राएल को अपने निज धन होने के लिये चुन लिया है।
Yaah ne to Yakub ko apne liye chuna hai, arthaat Israel ko apne nij dhan hone ke liye chun liya hai.
मैं तो जानता हूं कि हमारा प्रभु यहोवा सब देवताओं से महान है।
Main to janta hoon ki hamara Prabhu Yahowa sab devtaon se mahaan hai.
जो कुछ यहोवा ने चाहा उसे उसने आकाश और पृथ्वी और समुद्र और सब गहिरे स्थानों में किया है।
Jo kuchh Yahowa ne chaha use usne aakaash aur prithvi aur samudra aur sab gahire sthanon mein kiya hai.
वह पृथ्वी की छोर से कुहरे उठाता है, और वर्षा के लिये बिजली बनाता है, और पवन को अपने भण्डार में से निकालता है।
Vah prithvi ki chhor se kuhre uthata hai, aur varsha ke liye bijli banata hai, aur pavan ko apne bhandaar mein se nikalta hai.
उसने मिस्त्र में क्या मनुष्य क्या पशु, सब के पहिलौठों को मार डाला!
Usne mistra mein kya manushya kya pashu, sab ke pahilauthon ko maar dala!
हे मिस्त्र, उसने तेरे बीच में फिरौन और उसके सब कर्मचारियों के बीच चिन्ह और चमत्कार किए।
He mistra, usne tere beech mein Firaun aur uske sab karmachariyon ke beech chinh aur chamatkaar kiye.
उसने बहुत सी जातियां नाश की, और सामर्थी राजाओं को,
Usne bahut si jatiyan naash ki, aur samarthi rajaon ko,
अर्थात एमोरियों के राजा सीहोन को, और बाशान के राजा ओग को, और कनान के सब राजाओं को घात किया;
Arthaat emoriyon ke raja seehon ko, aur bashaan ke raja og ko, aur kanaan ke sab rajaon ko ghaat kiya;
और उनके देश को बांट कर, अपनी प्रजा इस्राएल के भाग होने के लिये दे दिया॥
Aur unke desh ko baant kar, apni praja Israel ke bhaag hone ke liye de diya.
हे यहोवा, तेरा नाम सदा स्थिर है, हे यहोवा जिस नाम से तेरा स्मरण होता है, वह पीढ़ी- पीढ़ी बना रहेगा।
He Yahowa, tera naam sada sthir hai, he Yahowa jis naam se tera smaran hota hai, vah peedhi- peedhi bana rahega.
यहोवा तो अपनी प्रजा का न्याय चुकाएगा, और अपने दासों की दुर्दशा देख कर तरस खाएगा।
Yahowa to apni praja ka nyaay chukayega, aur apne dason ki durdasha dekh kar taras khayega.
अन्यजातियों की मूरतें सोना- चान्दी ही हैं, वे मनुष्यों की बनाईं हुई हैं।
Anyajatiyon ki moortein sona- chandi hi hain, ve manushyon ki banai hui hain.
उनके मुंह तो रहता है, परन्तु वे बोल नहीं सकतीं, उनके आंखें तो रहती हैं, परन्तु वे देख नहीं सकतीं,
Unke munh to rahta hai, parantu ve bol nahi sakti, unke aankhein to rahti hain, parantu ve dekh nahi sakti,
उनके कान तो रहते हैं, परन्तु वे सुन नहीं सकतीं, न उनके कुछ भी सांस चलती है।
Unke kaan to rahte hain, parantu ve sun nahi sakti, na unke kuchh bhi saans chalti hai.
जैसी वे हैं वैसे ही उनके बनाने वाले भी हैं; और उन पर सब भरोसा रखने वाले भी वैसे ही हो जाएंगे!
Jaisi ve hain vaise hi unke banane vale bhi hain; aur un par sab bharosa rakhne vale bhi vaise hi ho jayenge!
हे इस्राएल के घराने यहोवा को धन्य कह! हे हारून के घराने यहोवा को धन्य कह!
He Israel ke gharane Yahowa ko dhanya kah! He haroon ke gharane Yahowa ko dhanya kah!
हे लेवी के घराने यहोवा को धन्य कह! हे यहोवा के डरवैयो यहोवा को धन्य कहो!
He levi ke gharane Yahowa ko dhanya kah! He Yahowa ke darvaiyo Yahowa ko dhanya kaho!
यहोवा जो यरूशलेम में वास करता है, उसे सिय्योन में धन्य कहा जावे! याह की स्तुति करो!
Yahowa jo Yerushalem mein vaas karta hai, use siyyon mein dhanya kaha jave! Yaah ki stuti karo!