Psalms 106 · 48 verses

भजन संहिता 106 Psalms 106 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Bhajan sanhita 106.

1

याह की स्तुति करो! यहोवा का धन्यवाद करो, क्योंकि वह भला है; और उसकी करूणा सदा की है!

Yaah ki stuti karo! Yahowa ka dhanyavaad karo, kyonki vah bhala hai; aur uski karoona sada ki hai!

2

यहोवा के पराक्रम के कामों का वर्णन कौन कर सकता है, या उसका पूरा गुणानुवाद कौन सुना सकता?

Yahowa ke parakram ke kamon ka varnan kaun kar sakta hai, ya uska poora gunanuvaad kaun suna sakta?

3

क्या ही धन्य हैं वे जो न्याय पर चलते, और हर समय धर्म के काम करते हैं!

Kya hi dhanya hain ve jo nyaay par chalte, aur har samay dharm ke kaam karte hain!

4

हे यहोवा, अपनी प्रजा पर की प्रसन्नता के अनुसार मुझे स्मरण कर, मेरे उद्धार के लिये मेरी सुधि ले,

He Yahowa, apni praja par ki prasannata ke anusaar mujhe smaran kar, mere uddhaar ke liye meri sudhi le,

5

कि मैं तेरे चुने हुओं का कल्याण देखूं, और तेरी प्रजा के आनन्द में आनन्दित हो जाऊं; और तेरे निज भाग के संग बड़ाई करने पाऊं॥

Ki main tere chune huon ka kalyaan dekhun, aur teri praja ke aanand mein aanandit ho jaun; aur tere nij bhaag ke sang badai karne paun.

6

हम ने तो अपने पुरखाओं की नाईं पाप किया है; हम ने कुटिलता की, हम ने दुष्टता की है!

Ham ne to apne purkhaon ki nai paap kiya hai; ham ne kutilta ki, ham ne dushtata ki hai!

7

मिस्त्र में हमारे पुरखाओं ने तेरे आश्चर्यकर्मों पर मन नहीं लगाया, न तेरी अपार करूणा को स्मरण रखा; उन्होंने समुद्र के तीर पर, अर्थात लाल समुद्र के तीर पर बलवा किया।

Mistra mein hamare purkhaon ne tere aashcharyakarmon par man nahi lagaya, na teri apaar karoona ko smaran rakha; unhonne samudra ke teer par, arthaat laal samudra ke teer par balva kiya.

8

तौभी उसने अपने नाम के निमित्त उनका उद्धार किया, जिस से वह अपने पराक्रम को प्रगट करे।

Taubhi usne apne naam ke nimitt unka uddhaar kiya, jis se vah apne parakram ko pragat kare.

9

तब उसने लाल समुद्र को घुड़का और वह सूख गया; और वह उन्हें गहिरे जल के बीच से मानों जंगल में से निकाल ले गया।

Tab usne laal samudra ko ghudka aur vah sookh gaya; aur vah unhein gahire jal ke beech se manon jangal mein se nikaal le gaya.

10

उसने उन्हें बैरी के हाथ से उबारा, और शत्रु के हाथ से छुड़ा लिया।

Usne unhein bairi ke haath se ubara, aur shatru ke haath se chhuda liya.

11

और उन के द्रोही जल में डूब गए; उन में से एक भी न बचा।

Aur un ke drohi jal mein doob gaye; un mein se ek bhi na bacha.

12

तब उन्हों ने उसके वचनों का विश्वास किया; और उसकी स्तुति गाने लगे॥

Tab unhon ne uske vachnon ka vishwaas kiya; aur uski stuti gane lage.

13

परन्तु वे झट उसके कामों को भूल गए; और उसकी युक्ति के लिये न ठहरे।

Parantu ve jhat uske kamon ko bhool gaye; aur uski yukti ke liye na thahre.

14

उन्होंने जंगल में अति लालसा की और निर्जल स्थान में ईश्वर की परीक्षा की।

Unhonne jangal mein ati lalsa ki aur nirjal sthaan mein ishwar ki pareeksha ki.

15

तब उसने उन्हें मुंह मांगा वर तो दिया, परन्तु उनके प्राण को सुखा दिया॥

Tab usne unhein munh manga var to diya, parantu unke praan ko sukha diya.

16

उन्होंने छावनी में मूसा के, और यहोवा के पवित्र जन हारून के विषय में डाह की,

Unhonne chhavni mein Musa ke, aur Yahowa ke pavitra jan haroon ke vishay mein daah ki,

17

भूमि फट कर दातान को निगल गई, और अबीराम के झुण्ड को ग्रस लिया।

Bhoomi phat kar dataan ko nigal gai, aur abeeraam ke jhund ko gras liya.

18

और उन के झुण्ड में आग भड़क उठी; और दुष्ट लोग लौ से भस्म हो गए॥

Aur un ke jhund mein aag bhadak uthi; aur dusht log lau se bhasm ho gaye.

19

उन्होंने होरेब में बछड़ा बनाया, और ढली हुई मूर्ति को दण्डवत की।

Unhonne horeb mein bachhda banaya, aur dhali hui moorti ko dandavat ki.

20

यों उन्होंने अपनी महिमा अर्थात ईश्वर को घास खाने वाले बैल की प्रतिमा से बदल डाला।

Yon unhonne apni mahima arthaat ishwar ko ghaas khane vale bail ki pratima se badal dala.

21

वे अपने उद्धारकर्ता ईश्वर को भूल गए, जिसने मिस्त्र में बड़े बड़े काम किए थे।

Ve apne uddharkarta ishwar ko bhool gaye, jisne mistra mein bade bade kaam kiye the.

22

उसने तो हाम के देश में आश्चर्यकर्म और लाल समुद्र के तीर पर भयंकर काम किए थे।

Usne to haam ke desh mein aashcharyakarm aur laal samudra ke teer par bhayankar kaam kiye the.

23

इसलिये उसने कहा, कि मैं इन्हें सत्यानाश कर डालता यदि मेरा चुना हुआ मूसा जोखिम के स्थान में उनके लिये खड़ा न होता ताकि मेरी जलजलाहट को ठण्डा करे कहीं ऐसा न हो कि मैं उन्हें नाश कर डालूं॥

Isliye usne kaha, ki main inhein satyanaash kar dalta yadi mera chuna huaa Musa jokhim ke sthaan mein unke liye khada na hota taki meri jalajlahat ko thanda kare kahi aisa na ho ki main unhein naash kar dalun.

24

उन्होंने मनभावने देश को निकम्मा जाना, और उसके वचन की प्रतीति न की।

Unhonne manbhavne desh ko nikamma jana, aur uske vachan ki prateeti na ki.

25

वे अपने तम्बुओं में कुड़कुड़ाए, और यहोवा का कहा न माना।

Ve apne tambuon mein kudkudaye, aur Yahowa ka kaha na mana.

26

तब उसने उनके विषय में शपथ खाई कि मैं इन को जंगल में नाश करूंगा,

Tab usne unke vishay mein shapath khai ki main in ko jangal mein naash karoonga,

27

और इनके वंश को अन्यजातियों के सम्मुख गिरा दूंगा, और देश देश में तितर बितर करूंगा॥

Aur inke vansh ko anyajatiyon ke sammukh gira doonga, aur desh desh mein titar bitar karoonga.

28

वे पोर वाले बाल देवता को पूजने लगे और मुर्दों को चढ़ाए हुए पशुओं का मांस खाने लगे।

Ve por vale baal devta ko poojne lage aur murdon ko chadhaye hue pashuon ka maans khane lage.

29

यों उन्होंने अपने कामों से उसको क्रोध दिलाया और मरी उन में फूट पड़ी।

Yon unhonne apne kamon se usko krodh dilaya aur mari un mein phoot padi.

30

तब पीनहास ने उठ कर न्यायदण्ड दिया, जिस से मरी थम गई।

Tab peenhaas ne uth kar nyaydand diya, jis se mari tham gai.

31

और यह उसके लेखे पीढ़ी से पीढ़ी तक सर्वदा के लिये धर्म गिना गया॥

Aur yah uske lekhe peedhi se peedhi tak sarvada ke liye dharm gina gaya.

32

उन्होंने मरीबा के सोते के पास भी यहोवा का क्रोध भड़काया, और उनके कारण मूसा की हानि हुई;

Unhonne mareeba ke sote ke paas bhi Yahowa ka krodh bhadkaya, aur unke karan Musa ki hani hui;

33

क्योंकि उन्होंने उसकी आत्मा से बलवा किया, तब मूसा बिन सोचे बोल उठा।

Kyonki unhonne uski aatma se balva kiya, tab Musa bin soche bol utha.

34

जिन लोगों के विषय यहोवा ने उन्हें आज्ञा दी थी, उन को उन्होंने सत्यानाश न किया,

Jin logon ke vishay Yahowa ne unhein aagya di thi, un ko unhonne satyanaash na kiya,

35

वरन उन्हीं जातियों से हिलमिल गए और उनके व्यवहारों को सीख लिया;

Varan unhi jatiyon se hilmil gaye aur unke vyavharon ko seekh liya;

36

और उनकी मूर्तियों की पूजा करने लगे, और वे उनके लिये फन्दा बन गईं।

Aur unki moortiyon ki pooja karne lage, aur ve unke liye phanda ban gai.

37

वरन उन्होंने अपने बेटे- बेटियों को पिशाचों के लिये बलिदान किया;

Varan unhonne apne bete- betiyon ko pishachon ke liye balidaan kiya;

38

और अपने निर्दोष बेटे- बेटियों का लोहू बहाया जिन्हें उन्होंने कनान की मूर्तियों पर बलि किया, इसलिये देश खून से अपवित्र हो गया।

Aur apne nirdosh bete- betiyon ka lohu bahaya jinhein unhonne kanaan ki moortiyon par bali kiya, isliye desh khoon se apvitra ho gaya.

39

और वे आप अपने कामों के द्वारा अशुद्ध हो गए, और अपने कार्यों के द्वारा व्यभिचारी भी बन गए॥

Aur ve aap apne kamon ke dwara ashuddh ho gaye, aur apne karyon ke dwara vyabhichari bhi ban gaye.

40

तब यहोवा का क्रोध अपनी प्रजा पर भड़का, और उसको अपने निज भाग से घृणा आई;

Tab Yahowa ka krodh apni praja par bhadka, aur usko apne nij bhaag se ghrina aai;

41

तब उसने उन को अन्यजातियों के वश में कर दिया, और उनके बैरियों ने उन पर प्रभुता की।

Tab usne un ko anyajatiyon ke vash mein kar diya, aur unke bairiyon ne un par prabhuta ki.

42

उन के शत्रुओं ने उन पर अन्धेर किया, और वे उनके हाथ तले दब गए।

Un ke shatruon ne un par andher kiya, aur ve unke haath tale dab gaye.

43

बारम्बार उसने उन्हें छुड़ाया, परन्तु वे उसके विरुद्ध युक्ति करते गए, और अपने अधर्म के कारण दबते गए।

Barambaar usne unhein chhudaya, parantu ve uske viruddh yukti karte gaye, aur apne adharm ke karan dabte gaye.

44

तौभी जब जब उनका चिल्लाना उसके कान में पड़ा, तब तब उसने उनके संकट पर दृष्टि की!

Taubhi jab jab unka chillana uske kaan mein pada, tab tab usne unke sankat par drishti ki!

45

और उनके हित अपनी वाचा को स्मरण करके अपनी अपार करूणा के अनुसार तरस खाया,

Aur unke hit apni vacha ko smaran karke apni apaar karoona ke anusaar taras khaya,

46

और जो उन्हें बन्धुए करके ले गए थे उन सब से उन पर दया कराई॥

Aur jo unhein bandhue karke le gaye the un sab se un par daya karai.

47

हे हमारे परमेश्वर यहोवा, हमारा उद्धार कर, और हमें अन्यजातियों में से इकट्ठा कर ले, कि हम तेरे पवित्र नाम का धन्यवाद करें, और तेरी स्तुति करते हुए तेरे विषय में बड़ाई करें॥

He hamare Parmeshwar Yahowa, hamara uddhaar kar, aur hamein anyajatiyon mein se ikattha kar le, ki ham tere pavitra naam ka dhanyavaad karein, aur teri stuti karte hue tere vishay mein badai karein.

48

इस्राएल का परमेश्वर यहोवा अनादिकाल से अनन्तकाल तक धन्य है! और सारी प्रजा कहे आमीन! याह की स्तुति करो॥

Israel ka Parmeshwar Yahowa anadikaal se anantakaal tak dhanya hai! Aur sari praja kahe Aamin! Yaah ki stuti karo.