यहोवा का धन्यवाद करो, क्योंकि वह भला है; और उसकी करूणा सदा की है!
Yahowa ka dhanyavaad karo, kyonki vah bhala hai; aur uski karoona sada ki hai!
Psalms 107 · 43 verses
यहोवा का धन्यवाद करो, क्योंकि वह भला है; और उसकी करूणा सदा की है!
Yahowa ka dhanyavaad karo, kyonki vah bhala hai; aur uski karoona sada ki hai!
यहोवा के छुड़ाए हुए ऐसा ही कहें, जिन्हें उसने द्रोही के हाथ से दाम दे कर छुड़ा लिया है,
Yahowa ke chhudaye hue aisa hi kahein, jinhein usne drohi ke haath se daam de kar chhuda liya hai,
और उन्हें देश देश से पूरब- पश्चिम, उत्तर और दक्खिन से इकट्ठा किया है॥
Aur unhein desh desh se poorab- pashchim, uttar aur dakkhin se ikattha kiya hai.
वे जंगल में मरूभूमि के मार्ग पर भटकते फिरे, और कोई बसा हुआ नगर न पाया;
Ve jangal mein maroobhoomi ke maarg par bhatakte phire, aur koi basa huaa nagar na paya;
भूख और प्यास के मारे, वे विकल हो गए।
Bhookh aur pyaas ke mare, ve vikal ho gaye.
तब उन्होंने संकट में यहोवा की दोहाई दी, और उसने उन को सकेती से छुड़ाया;
Tab unhonne sankat mein Yahowa ki dohai di, aur usne un ko saketi se chhudaya;
और उन को ठीक मार्ग पर चलाया, ताकि वे बसने के लिये किसी नगर को जा पहुंचे।
Aur un ko theek maarg par chalaya, taki ve basne ke liye kisi nagar ko ja pahunche.
लोग यहोवा की करूणा के कारण, और उन आश्चर्यकर्मों के कारण, जो वह मनुष्यों के लिये करता है, उसका धन्यवाद करें!
Log Yahowa ki karoona ke karan, aur un aashcharyakarmon ke karan, jo vah manushyon ke liye karta hai, uska dhanyavaad karein!
क्योंकि वह अभिलाषी जीव को सन्तुष्ट करता है, और भूखे को उत्तम पदार्थों से तृप्त करता है॥
Kyonki vah abhilashi jeev ko santusht karta hai, aur bhookhe ko uttam padarthon se tript karta hai.
जो अन्धियारे और मृत्यु की छाया में बैठे, और दु:ख में पड़े और बेड़ियों से जकड़े हुए थे,
Jo andhiyare aur mrityu ki chhaya mein baithe, aur dukh mein pade aur bediyon se jakde hue the,
इसलिये कि वे ईश्वर के वचनों के विरुद्ध चले, और परमप्रधान की सम्मति को तुच्छ जाना।
Isliye ki ve ishwar ke vachnon ke viruddh chale, aur parmapradhaan ki sammati ko tuchchh jana.
तब उसने उन को कष्ट के द्वारा दबाया; वे ठोकर खाकर गिर पड़े, और उन को कोई सहायक न मिला।
Tab usne un ko kasht ke dwara dabaya; ve thokar khakar gir pade, aur un ko koi sahayak na mila.
तब उन्होंने संकट में यहोवा की दोहाई दी, और उस ने सकेती से उनका उद्धार किया;
Tab unhonne sankat mein Yahowa ki dohai di, aur us ne saketi se unka uddhaar kiya;
उसने उन को अन्धियारे और मृत्यु की छाया में से निकाल लिया; और उन के बन्धनों को तोड़ डाला।
Usne un ko andhiyare aur mrityu ki chhaya mein se nikaal liya; aur un ke bandhanon ko tod dala.
लोग यहोवा की करूणा के कारण, और उन आश्चर्यकर्मों के कारण जो वह मनुष्यों के लिये करता है, उसका धन्यवाद करें!
Log Yahowa ki karoona ke karan, aur un aashcharyakarmon ke karan jo vah manushyon ke liye karta hai, uska dhanyavaad karein!
क्योंकि उसने पीतल के फाटकों को तोड़ा, और लोहे के बेण्डों को टुकड़े टुकड़े किया॥
Kyonki usne peetal ke phatkon ko toda, aur lohe ke bendon ko tukde tukde kiya.
मूढ़ अपनी कुचाल, और अधर्म के कामों के कारण अति दु:खित होते हैं।
Moodh apni kuchaal, aur adharm ke kamon ke karan ati dukhit hote hain.
उनका जी सब भांति के भोजन से मिचलाता है, और वे मृत्यु के फाटक तक पहुंचते हैं।
Unka ji sab bhanti ke bhojan se michlata hai, aur ve mrityu ke phatak tak pahunchte hain.
तब वे संकट में यहोवा की दोहाई देते हैं, और व सकेती से उनका उद्धार करता है;
Tab ve sankat mein Yahowa ki dohai dete hain, aur va saketi se unka uddhaar karta hai;
वह अपने वचन के द्वारा उन को चंगा करता और जिस गड़हे में वे पड़े हैं, उससे निकालता है।
Vah apne vachan ke dwara un ko changa karta aur jis gadhe mein ve pade hain, usse nikalta hai.
लोग यहोवा की करूणा के कारण और उन आश्चर्यकर्मों के कारण जो वह मनुष्यों के लिये करता है, उसका धन्यवाद करें!
Log Yahowa ki karoona ke karan aur un aashcharyakarmon ke karan jo vah manushyon ke liye karta hai, uska dhanyavaad karein!
और वे धन्यवाद बलि चढ़ाएं, और जयजयकार करते हुए, उसके कामों का वर्णन करें॥
Aur ve dhanyavaad bali chadhayen, aur jayjaykaar karte hue, uske kamon ka varnan karein.
जो लोग जहाजों में समुद्र पर चलते हैं, और महासागर पर होकर व्यापार करते हैं;
Jo log jahajon mein samudra par chalte hain, aur mahasagar par hokar vyapaar karte hain;
वे यहोवा के कामों को, और उन आश्चर्यकर्मों को जो वह गहिरे समुद्र में करता है, देखते हैं।
Ve Yahowa ke kamon ko, aur un aashcharyakarmon ko jo vah gahire samudra mein karta hai, dekhte hain.
क्योंकि वह आज्ञा देता है, वह प्रचण्ड बयार उठकर तरंगों को उठाती है।
Kyonki vah aagya deta hai, vah prachand bayaar uthkar tarangon ko uthati hai.
वे आकाश तक चढ़ जाते, फिर गहराई में उतर आते हैं; और क्लेश के मारे उनके जी में जी नहीं रहता;
Ve aakaash tak chadh jate, phir gahrai mein utar aate hain; aur klesh ke mare unke ji mein ji nahi rahta;
वे चक्कर खाते, और मत वाले की नाईं लड़खड़ाते हैं, और उनकी सारी बुद्धि मारी जाती है।
Ve chakkar khate, aur mat vale ki nai ladakhdate hain, aur unki sari buddhi mari jati hai.
तब वे संकट में यहोवा की दोहाई देते हैं, और वह उन को सकेती से निकालता है।
Tab ve sankat mein Yahowa ki dohai dete hain, aur vah un ko saketi se nikalta hai.
वह आंधी को थाम देता है और तरंगें बैठ जाती हैं।
Vah aandhi ko thaam deta hai aur tarangein baith jati hain.
तब वे उनके बैठने से आनन्दित होते हैं, और वह उन को मन चाहे बन्दर स्थान में पहुंचा देता है।
Tab ve unke baithne se aanandit hote hain, aur vah un ko man chahe bandar sthaan mein pahuncha deta hai.
लोग यहोवा की करूणा के कारण, और उन आश्चर्यकर्मों के कारण जो वह मनुष्यों के लिये करता है, उसका धन्यवाद करें।
Log Yahowa ki karoona ke karan, aur un aashcharyakarmon ke karan jo vah manushyon ke liye karta hai, uska dhanyavaad karein.
और सभा में उसको सराहें, और पुरनियों के बैठक में उसकी स्तुति करें॥
Aur sabha mein usko sarahein, aur purniyon ke baithak mein uski stuti karein.
वह नदियों को जंगल बना डालता है, और जल के सोतों को सूखी भूमि कर देता है।
Vah nadiyon ko jangal bana dalta hai, aur jal ke soton ko sookhi bhoomi kar deta hai.
वह फलवन्त भूमि को नोनी करता है, यह वहां के रहने वालों की दुष्टता के कारण होता है।
Vah phalvant bhoomi ko noni karta hai, yah vahan ke rahne valon ki dushtata ke karan hota hai.
वह जंगल को जल का ताल, और निर्जल देश को जल के सोते कर देता है।
Vah jangal ko jal ka taal, aur nirjal desh ko jal ke sote kar deta hai.
और वहां वह भूखों को बसाता है, कि वे बसने के लिये नगर तैयार करें;
Aur vahan vah bhookhon ko basata hai, ki ve basne ke liye nagar taiyaar karein;
और खेती करें, और दाख की बारियां लगाएं, और भांति भांति के फल उपजा लें।
Aur kheti karein, aur daakh ki bariyan lagayen, aur bhanti bhanti ke phal upja lein.
और वह उन को ऐसी आशीष देता है कि वे बहुत बढ़ जाते हैं, और उनके पशुओं को भी वह घटने नहीं देता॥
Aur vah un ko aisi aasheesh deta hai ki ve bahut badh jate hain, aur unke pashuon ko bhi vah ghatne nahi deta.
फिर अन्धेर, विपत्ति और शोक के कारण, वे घटते और दब जाते हैं।
Phir andher, vipatti aur shok ke karan, ve ghatte aur dab jate hain.
और वह हाकिमों को अपमान से लाद कर मार्ग रहित जंगल में भटकाता है;
Aur vah hakimon ko apmaan se laad kar maarg rahit jangal mein bhatkata hai;
वह दरिद्रों को दु:ख से छुड़ा कर ऊंचे पर रखता है, और उन को भेड़ों के झुंड सा परिवार देता है।
Vah daridron ko dukh se chhuda kar oonche par rakhta hai, aur un ko bhedon ke jhund sa parivaar deta hai.
सीधे लोग देख कर आनन्दित होते हैं; और सब कुटिल लोग अपने मुंह बन्द करते हैं।
Seedhe log dekh kar aanandit hote hain; aur sab kutil log apne munh band karte hain.
जो कोई बुद्धिमान हो, वह इन बातों पर ध्यान करेगा; और यहोवा की करूणा के कामों पर ध्यान करेगा॥
Jo koi buddhimaan ho, vah in baton par dhyaan karega; aur Yahowa ki karoona ke kamon par dhyaan karega.