यहोवा का धन्यवाद करो, उससे प्रार्थना करो, देश देश के लोगों में उसके कामों का प्रचार करो!
Yahowa ka dhanyavaad karo, usse prarthana karo, desh desh ke logon mein uske kamon ka prachaar karo!
Psalms 105 · 45 verses
यहोवा का धन्यवाद करो, उससे प्रार्थना करो, देश देश के लोगों में उसके कामों का प्रचार करो!
Yahowa ka dhanyavaad karo, usse prarthana karo, desh desh ke logon mein uske kamon ka prachaar karo!
उसके लिये गीत गाओ, उसके लिये भजन गाओ, उसके सब आश्चर्यकर्मों पर ध्यान करो!
Uske liye geet gao, uske liye bhajan gao, uske sab aashcharyakarmon par dhyaan karo!
उसके पवित्र नाम की बड़ाई करो; यहोवा के खोजियों का हृदय आनन्दित हो!
Uske pavitra naam ki badai karo; Yahowa ke khojiyon ka hriday aanandit ho!
यहोवा और उसकी सामर्थ को खोजो, उसके दर्शन के लगातार खोजी बने रहो!
Yahowa aur uski samarth ko khojo, uske darshan ke lagataar khoji bane raho!
उसके किए हुए आश्चर्यकर्म स्मरण करो, उसके चमत्कार और निर्णय स्मरण करो!
Uske kiye hue aashcharyakarm smaran karo, uske chamatkaar aur nirnay smaran karo!
हे उसके दास इब्राहीम के वंश, हे याकूब की सन्तान, तुम तो उसके चुने हुए हो!
He uske daas Ibrahim ke vansh, he Yakub ki santaan, tum to uske chune hue ho!
वही हमारा परमेश्वर यहोवा है; पृथ्वी भर में उसके निर्णय होते हैं।
Vahi hamara Parmeshwar Yahowa hai; prithvi bhar mein uske nirnay hote hain.
वह अपनी वाचा को सदा स्मरण रखता आया है, यह वही वचन है जो उसने हजार पीढ़ीयों के लिये ठहराया है;
Vah apni vacha ko sada smaran rakhta aaya hai, yah vahi vachan hai jo usne hajaar peedheeyon ke liye thahraya hai;
वही वाचा जो उसने इब्राहीम के साथ बान्धी, और उसके विषय में उसने इसहाक से शपथ खाई,
Vahi vacha jo usne Ibrahim ke saath bandhi, aur uske vishay mein usne Ishaq se shapath khai,
और उसी को उसने याकूब के लिये विधि करके, और इस्राएल के लिये यह कह कर सदा की वाचा करके दृढ़ किया,
Aur usi ko usne Yakub ke liye vidhi karke, aur Israel ke liye yah kah kar sada ki vacha karke dridh kiya,
कि मैं कनान देश को तुझी को दूंगा, वह बांट में तुम्हारा निज भाग होगा॥
Ki main kanaan desh ko tujhi ko doonga, vah baant mein tumhara nij bhaag hoga.
उस समय तो वे गिनती में थोड़े थे, वरन बहुत ही थोड़े, और उस देश में परदेशी थे।
Us samay to ve ginti mein thode the, varan bahut hi thode, aur us desh mein pardeshi the.
वे एक जाति से दूसरी जाति में, और एक राज्य से दूसरे राज्य में फिरते रहे;
Ve ek jati se doosri jati mein, aur ek rajya se doosre rajya mein phirte rahe;
परन्तु उसने किसी मनुष्य को उन पर अन्धेर करने न दिया; और वह राजाओं को उनके निमित्त यह धमकी देता था,
Parantu usne kisi manushya ko un par andher karne na diya; aur vah rajaon ko unke nimitt yah dhamki deta tha,
कि मेरे अभिषिक्तों को मत छुओ, और न मेरे नबियों की हानि करो!
Ki mere abhishikton ko mat chhuo, aur na mere nabiyon ki hani karo!
फिर उसने उस देश में अकाल भेजा, और अन्न के सब आधार को दूर कर दिया।
Phir usne us desh mein akaal bheja, aur ann ke sab aadhaar ko door kar diya.
उसने यूसुफ नाम एक पुरूष को उन से पहिले भेजा था, जो दास होने के लिये बेचा गया था।
Usne Yusuf naam ek puroosh ko un se pahile bheja tha, jo daas hone ke liye becha gaya tha.
लोगों ने उसके पैरों में बेड़ियां डाल कर उसे दु:ख दिया; वह लोहे की सांकलों से जकड़ा गया;
Logon ne uske pairon mein bediyan daal kar use dukh diya; vah lohe ki sanklon se jakda gaya;
जब तक कि उसकी बात पूरी न हुई तब तक यहोवा का वचन उसे कसौटी पर कसता रहा।
Jab tak ki uski baat poori na hui tab tak Yahowa ka vachan use kasauti par kasta raha.
तब राजा ने दूत भेज कर उसे निकलवा लिया, और देश देश के लोगों के स्वामी ने उसके बन्धन खुलवाए;
Tab raja ne doot bhej kar use nikalva liya, aur desh desh ke logon ke swami ne uske bandhan khulvaye;
उसने उसको अपने भवन का प्रधान और अपनी पूरी सम्पत्ति का अधिकारी ठहराया,
Usne usko apne bhavan ka pradhaan aur apni poori sampatti ka adhikari thahraya,
कि वह उसके हाकिमों को अपनी इच्छा के अनुसार कैद करे और पुरनियों को ज्ञान सिखाए॥
Ki vah uske hakimon ko apni ichchha ke anusaar kaid kare aur purniyon ko gyaan sikhaye.
फिर इस्राएल मिस्त्र में आया; और याकूब हाम के देश में परदेशी रहा।
Phir Israel mistra mein aaya; aur Yakub haam ke desh mein pardeshi raha.
तब उसने अपनी प्रजा को गिनती में बहुत बढ़ाया, और उसके द्रोहियों से अधिक बलवन्त किया।
Tab usne apni praja ko ginti mein bahut badhaya, aur uske drohiyon se adhik balvant kiya.
उसने मिस्त्रियों के मन को ऐसा फेर दिया, कि वे उसकी प्रजा से बैर रखने, और उसके दासों से छल करने लगे॥
Usne mistriyon ke man ko aisa pher diya, ki ve uski praja se bair rakhne, aur uske dason se chhal karne lage.
उसने अपने दास मूसा को, और अपने चुने हुए हारून को भेजा।
Usne apne daas Musa ko, aur apne chune hue haroon ko bheja.
उन्होंने उनके बीच उसकी ओर से भांति भांति के चिन्ह, और हाम के देश में चमत्कार दिखाए।
Unhonne unke beech uski or se bhanti bhanti ke chinh, aur haam ke desh mein chamatkaar dikhaye.
उसने अन्धकार कर दिया, और अन्धियारा हो गया; और उन्होंने उसकी बातों को न टाला।
Usne andhakaar kar diya, aur andhiyara ho gaya; aur unhonne uski baton ko na tala.
उसने मिस्त्रियों के जल को लोहू कर डाला, और मछलियों को मार डाला।
Usne mistriyon ke jal ko lohu kar dala, aur machhliyon ko maar dala.
मेंढक उनकी भूमि में वरन उनके राजा की कोठरियों में भी भर गए।
Mendhak unki bhoomi mein varan unke raja ki kothriyon mein bhi bhar gaye.
उसने आज्ञा दी, तब डांस आ गए, और उनके सारे देश में कुटकियां आ गईं।
Usne aagya di, tab daans aa gaye, aur unke sare desh mein kutkiyan aa gai.
उसने उनके लिये जलवृष्टि की सन्ती ओले, और उनके देश में धधकती आग बरसाई।
Usne unke liye jalvrishti ki santi ole, aur unke desh mein dhadhakti aag barsai.
और उसने उनकी दाखलताओं और अंजीर के वृक्षों को वरन उनके देश के सब पेड़ों को तोड़ डाला।
Aur usne unki dakhaltaon aur anjeer ke vrikshon ko varan unke desh ke sab pedon ko tod dala.
उसने आज्ञा दी तब अनगिनत टिड्डियां, और कीड़े आए,
Usne aagya di tab anginat tiddiyan, aur keede aaye,
और उन्होंने उनके देश के सब अन्न आदि को खा डाला; और उनकी भूमि के सब फलों को चट कर गए।
Aur unhonne unke desh ke sab ann aadi ko kha dala; aur unki bhoomi ke sab phalon ko chat kar gaye.
उसने उनके देश के सब पहिलौठों को, उनके पौरूष के सब पहिले फल को नाश किया॥
Usne unke desh ke sab pahilauthon ko, unke pauroosh ke sab pahile phal ko naash kiya.
तब वह अपने गोत्रियों को सोना चांदी दिला कर निकाल लाया, और उन में से कोई निर्बल न था।
Tab vah apne gotriyon ko sona chandi dila kar nikaal laya, aur un mein se koi nirbal na tha.
उनके जाने से मिस्त्री आनन्दित हुए, क्योंकि उनका डर उन में समा गया था।
Unke jane se mistri aanandit hue, kyonki unka dar un mein sama gaya tha.
उसने छाया के लिये बादल फैलाया, और रात को प्रकाश देने के लिये आग प्रगट की।
Usne chhaya ke liye badal phailaya, aur raat ko prakaash dene ke liye aag pragat ki.
उन्होंने मांगा तब उसने बटेरें पहुंचाई, और उन को स्वर्गीय भोजन से तृप्त किया।
Unhonne manga tab usne baterein pahunchai, aur un ko swargeeya bhojan se tript kiya.
उसने चट्टान फाड़ी तब पानी बह निकला; और निर्जल भूमि पर नदी बहने लगी।
Usne chattaan phadi tab pani bah nikla; aur nirjal bhoomi par nadi bahne lagi.
क्योंकि उसने अपने पवित्र वचन और अपने दास इब्राहीम को स्मरण किया॥
Kyonki usne apne pavitra vachan aur apne daas Ibrahim ko smaran kiya.
वह अपनी प्रजा को हर्षित करके और अपने चुने हुओं से जयजयकार कराके निकाल लाया।
Vah apni praja ko harshit karke aur apne chune huon se jayjaykaar karake nikaal laya.
और उन को अन्यजातियों के देश दिए; और वे और लोगों के श्रम के फल के अधिकारी किए गए,
Aur un ko anyajatiyon ke desh diye; aur ve aur logon ke shram ke phal ke adhikari kiye gaye,
कि वे उसकी विधियों को मानें, और उसकी व्यवस्था को पूरी करें। याह की स्तुति करो!
Ki ve uski vidhiyon ko manein, aur uski vyavastha ko poori karein. Yaah ki stuti karo!