बुद्धि ने अपना घर बनाया और उसके सातों खंभे गढ़े हुए हैं।
Buddhi ne apna ghar banaya aur uske saton khambhe gadhe hue hain.
Proverbs 9 · 18 verses
बुद्धि ने अपना घर बनाया और उसके सातों खंभे गढ़े हुए हैं।
Buddhi ne apna ghar banaya aur uske saton khambhe gadhe hue hain.
उस ने अपने पशु वध कर के, अपने दाखमधु में मसाला मिलाया है, और अपनी मेज़ लगाई है।
Us ne apne pashu vadh kar ke, apne dakhamdhu mein masala milaya hai, aur apni mez lagai hai.
उस ने अपनी सहेलियां, सब को बुलाने के लिये भेजी है; वह नगर के ऊंचे स्थानों की चोटी पर पुकारती है,
Us ne apni saheliyan, sab ko bulane ke liye bheji hai; vah nagar ke oonche sthanon ki choti par pukarti hai,
जो कोई भोला हे वह मुड़ कर यहीं आए! और जो निर्बुद्धि है, उस से वह कहती है,
Jo koi bhola he vah mud kar yahi aaye! Aur jo nirbuddhi hai, us se vah kahti hai,
आओ, मेरी रोटी खाओ, और मेरे मसाला मिलाए हुए दाखमधु को पीओ।
Aao, meri roti khao, aur mere masala milaye hue dakhamdhu ko peeo.
भोलों का संग छोड़ो, और जीवित रहो, समझ के मार्ग में सीधे चलो।
Bholon ka sang chhodo, aur jeevit raho, samajh ke maarg mein seedhe chalo.
जो ठट्ठा करने वाले को शिक्षा देता है, सो अपमानित होता है, और जो दुष्ट जन को डांटता है वह कलंकित होता है॥
Jo thattha karne vale ko shiksha deta hai, so apmanit hota hai, aur jo dusht jan ko dantta hai vah kalankit hota hai.
ठट्ठा करने वाले को न डांट ऐसा न हो कि वह तुझ से बैर रखे, बुद्धिमान को डांट, वह तो तुझ से प्रेम रखेगा।
Thattha karne vale ko na daant aisa na ho ki vah tujh se bair rakhe, buddhimaan ko daant, vah to tujh se prem rakhega.
बुद्धिमान को शिक्षा दे, वह अधिक बुद्धिमान होगा; धर्मी को चिता दे, वह अपनी विद्या बढ़ाएगा।
Buddhimaan ko shiksha de, vah adhik buddhimaan hoga; dharmi ko chita de, vah apni vidya badhayega.
यहोवा का भय मानना बुद्धि का आरम्भ है, और परमपवित्र ईश्वर को जानना ही समझ है।
Yahowa ka bhay manna buddhi ka aarambh hai, aur parmapvitra ishwar ko janna hi samajh hai.
मेरे द्वारा तो तेरी आयु बढ़ेगी, और तेरे जीवन के वर्ष अधिक होंगे।
Mere dwara to teri aayu badhegi, aur tere jeevan ke varsh adhik honge.
यदि तू बुद्धिमान हो, ते बुद्धि का फल तू ही भोगेगा; और यदि तू ठट्ठा करे, तो दण्ड केवल तू ही भोगेगा॥
Yadi tu buddhimaan ho, te buddhi ka phal tu hi bhogega; aur yadi tu thattha kare, to dand keval tu hi bhogega.
मूर्खता रूपी स्त्री हौरा मचाने वाली है; वह तो भोली है, और कुछ नहीं जानती।
Moorkhata roopi stri haura machane vali hai; vah to bholi hai, aur kuchh nahi janti.
वह अपने घर के द्वार में, और नगर के ऊंचे स्थानों में मचिया पर बैठी हुई
Vah apne ghar ke dwaar mein, aur nagar ke oonche sthanon mein machiya par baithi hui
जो बटोही अपना अपना मार्ग पकड़े हुए सीधे चले जाते हैं, उन को यह कह कह कर पुकारती है,
Jo batohi apna apna maarg pakde hue seedhe chale jate hain, un ko yah kah kah kar pukarti hai,
जो कोई भोला है, वह मुड़ कर यहीं आए; जो निर्बुद्धि है, उस से वह कहती है,
Jo koi bhola hai, vah mud kar yahi aaye; jo nirbuddhi hai, us se vah kahti hai,
चोरी का पानी मीठा होता है, और लुके छिपे की रोटी अच्छी लगती है।
Chori ka pani meetha hota hai, aur luke chhipe ki roti achchhi lagti hai.
और वह नहीं जानता है, कि वहां मरे हुए पड़े हैं, और उस स्त्री के नेवतहारी अधोलोक के निचले स्थानों में पहुंचे हैं॥
Aur vah nahi janta hai, ki vahan mare hue pade hain, aur us stri ke nevathari adholok ke nichle sthanon mein pahunche hain.