क्या बुद्धि नहीं पुकारती है, क्या समझ ऊंचे शब्द से नहीं बोलती है?
Kya buddhi nahi pukarti hai, kya samajh oonche shabd se nahi bolti hai?
Proverbs 8 · 36 verses
क्या बुद्धि नहीं पुकारती है, क्या समझ ऊंचे शब्द से नहीं बोलती है?
Kya buddhi nahi pukarti hai, kya samajh oonche shabd se nahi bolti hai?
वह तो ऊंचे स्थानों पर मार्ग की एक ओर, और तिर्मुहानियों में खड़ी होती है;
Vah to oonche sthanon par maarg ki ek or, aur tirmuhaniyon mein khadi hoti hai;
फाटकों के पास नगर के पैठाव में, और द्वारों ही में वह ऊंचे स्वर से कहती है,
Phatkon ke paas nagar ke paithaav mein, aur dwaron hi mein vah oonche swar se kahti hai,
हे मनुष्यों, मैं तुम को पुकारती हूं, और मेरी बात सब आदमियों के लिये है।
He manushyon, main tum ko pukarti hoon, aur meri baat sab aadmiyon ke liye hai.
हे भोलो, चतुराई सीखो; और हे मूर्खों, अपने मन में समझ लो
He bholo, chaturai seekho; aur he moorkhon, apne man mein samajh lo
सुनो, क्योंकि मैं उत्तम बातें कहूंगी, और जब मुंह खोलूंगी, तब उस से सीधी बातें निकलेंगी;
Suno, kyonki main uttam batein kahoongi, aur jab munh kholoongi, tab us se seedhi batein niklengi;
क्योंकि मुझ से सच्चाई की बातों का वर्णन होगा; दुष्टता की बातों से मुझ को घृणा आती है॥
Kyonki mujh se sachchai ki baton ka varnan hoga; dushtata ki baton se mujh ko ghrina aati hai.
मेरे मुंह की सब बातें धर्म की होती हैं, उन में से कोई टेढ़ी वा उलट फेर की बात नहीं निकलती है।
Mere munh ki sab batein dharm ki hoti hain, un mein se koi tedhi va ulat pher ki baat nahi nikalti hai.
समझ वाले के लिये वे सब सहज, और ज्ञान के प्राप्त करने वालों के लिये अति सीधी हैं।
Samajh vale ke liye ve sab sahaj, aur gyaan ke praapt karne valon ke liye ati seedhi hain.
चान्दी नहीं, मेरी शिक्षा ही को लो, और उत्तम कुन्दन से बढ़ कर ज्ञान को ग्रहण करो।
Chandi nahi, meri shiksha hi ko lo, aur uttam kundan se badh kar gyaan ko grahan karo.
क्योंकि बुद्धि, मूंगे से भी अच्छी है, और सारी मनभावनी वस्तुओं में कोई भी उसके तुल्य नहीं है।
Kyonki buddhi, moonge se bhi achchhi hai, aur sari manbhavni vastuon mein koi bhi uske tulya nahi hai.
मैं जो बुद्धि हूं, सो चतुराई में वास करती हूं, और ज्ञान और विवेक को प्राप्त करती हूं।
Main jo buddhi hoon, so chaturai mein vaas karti hoon, aur gyaan aur vivek ko praapt karti hoon.
यहोवा का भय मानना बुराई से बैर रखना है। घमण्ड, अंहकार, और बुरी चाल से, और उलट फेर की बात से भी मैं बैर रखती हूं।
Yahowa ka bhay manna burai se bair rakhna hai. Ghamand, anhkaar, aur buri chaal se, aur ulat pher ki baat se bhi main bair rakhti hoon.
उत्तम युक्ति, और खरी बुद्धि मेरी ही है, मैं तो समझ हूं, और पराक्रम भी मेरा है।
Uttam yukti, aur khari buddhi meri hi hai, main to samajh hoon, aur parakram bhi mera hai.
मेरे ही द्वारा राजा राज्य करते हैं, और अधिकारी धर्म से विचार करते हैं;
Mere hi dwara raja rajya karte hain, aur adhikari dharm se vichaar karte hain;
मेरे ही द्वारा राजा हाकिम और रईस, और पृथ्वी के सब न्यायी शासन करते हैं।
Mere hi dwara raja hakim aur rais, aur prithvi ke sab nyayi shasan karte hain.
जो मुझ से प्रेम रखते हैं, उन से मैं भी प्रेम रखती हूं, और जो मुझ को यत्न से तड़के उठ कर खोजते हैं, वे मुझे पाते हैं।
Jo mujh se prem rakhte hain, un se main bhi prem rakhti hoon, aur jo mujh ko yatn se tadke uth kar khojte hain, ve mujhe pate hain.
धन और प्रतिष्ठा मेरे पास है, वरन ठहरने वाला धन और धर्म भी हैं।
Dhan aur pratishtha mere paas hai, varan thaharne vala dhan aur dharm bhi hain.
मेरा फल चोखे सोने से, वरन कुन्दन से भी उत्तम है, और मेरी उपज उत्तम चान्दी से अच्छी है।
Mera phal chokhe sone se, varan kundan se bhi uttam hai, aur meri upaj uttam chandi se achchhi hai.
मैं धर्म की बाट में, और न्याय की डगरों के बीच में चलती हूं,
Main dharm ki baat mein, aur nyaay ki dagron ke beech mein chalti hoon,
जिस से मैं अपने प्रेमियों को परमार्थ के भागी करूं, और उनके भण्डारों को भर दूं।
Jis se main apne premiyon ko parmaarth ke bhagi karun, aur unke bhandaron ko bhar dun.
यहोवा ने मुझे काम करने के आरम्भ में, वरन अपने प्राचीनकाल के कामों से भी पहिले उत्पन्न किया।
Yahowa ne mujhe kaam karne ke aarambh mein, varan apne pracheenkaal ke kamon se bhi pahile utpann kiya.
मैं सदा से वरन आदि ही से पृथ्वी की सृष्टि के पहिले ही से ठहराई गई हूं।
Main sada se varan aadi hi se prithvi ki srishti ke pahile hi se thahrai gai hoon.
जब न तो गहिरा सागर था, और न जल के सोते थे तब ही से मैं उत्पन्न हुई।
Jab na to gahira sagar tha, aur na jal ke sote the tab hi se main utpann hui.
जब पहाड़ वा पहाड़ियां स्थिर न की गई थीं,
Jab pahaad va pahadiyan sthir na ki gai thi,
जब यहोवा ने न तो पृथ्वी और न मैदान, न जगत की धूलि के परमाणु बनाए थे, इन से पहिले मैं उत्पन्न हुई।
Jab Yahowa ne na to prithvi aur na maidaan, na jagat ki dhooli ke parmanu banaye the, in se pahile main utpann hui.
जब उस ने आकाश को स्थिर किया, तब मैं वहां थी, जब उस ने गहिरे सागर के ऊपर आकाशमण्डल ठहराया,
Jab us ne aakaash ko sthir kiya, tab main vahan thi, jab us ne gahire sagar ke oopar aakashmandal thahraya,
जब उस ने आकाशमण्डल को ऊपर से स्थिर किया, और गहिरे सागर के सोते फूटने लगे,
Jab us ne aakashmandal ko oopar se sthir kiya, aur gahire sagar ke sote phootne lage,
जब उस ने समुद्र का सिवाना ठहराया, कि जल उसकी आज्ञा का उल्लंघन न कर सके, और जब वह पृथ्वी की नेव की डोरी लगाता था,
Jab us ne samudra ka sivana thahraya, ki jal uski aagya ka ullanghan na kar sake, aur jab vah prithvi ki nev ki dori lagata tha,
तब मैं कारीगर सी उसके पास थी; और प्रति दिन मैं उसकी प्रसन्नता थी, और हर समय उसके साम्हने आनन्दित रहती थी।
Tab main kareegar si uske paas thi; aur prati din main uski prasannata thi, aur har samay uske samhane aanandit rahti thi.
मैं उसकी बसाई हुई पृथ्वी से प्रसन्न थी और मेरा सुख मनुष्यों की संगति से होता था॥
Main uski basai hui prithvi se prasann thi aur mera sukh manushyon ki sangti se hota tha.
इसलिये अब हे मेरे पुत्रों, मेरी सुनो; क्या ही धन्य हैं वे जो मेरे मार्ग को पकड़े रहते हैं।
Isliye ab he mere putron, meri suno; kya hi dhanya hain ve jo mere maarg ko pakde rahte hain.
शिक्षा को सुनो, और बुद्धिमान हो जाओ, उसके विषय में अनसुनी न करो।
Shiksha ko suno, aur buddhimaan ho jao, uske vishay mein ansuni na karo.
क्या ही धन्य है वह मनुष्य जो मेरी सुनता, वरन मेरी डेवढ़ी पर प्रति दिन खड़ा रहता, और मेरे द्वारों के खंभों के पास दृष्टि लगाए रहता है।
Kya hi dhanya hai vah manushya jo meri sunta, varan meri devdhi par prati din khada rahta, aur mere dwaron ke khambhon ke paas drishti lagaye rahta hai.
क्योंकि जो मुझे पाता है, वह जीवन को पाता है, और यहोवा उस से प्रसन्न होता है।
Kyonki jo mujhe pata hai, vah jeevan ko pata hai, aur Yahowa us se prasann hota hai.
परन्तु जो मेरा अपराध करता है, वह अपने ही पर उपद्रव करता है; जितने मुझ से बैर रखते वे मृत्यु से प्रीति रखते हैं॥
Parantu jo mera apraadh karta hai, vah apne hi par upadrav karta hai; jitne mujh se bair rakhte ve mrityu se preeti rakhte hain.