Proverbs 10 · 32 verses

नीतिवचन 10 Proverbs 10 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Neetivchan 10.

1

सुलैमान के नीतिवचन॥ बुद्धिमान पुत्र से पिता आनन्दित होता है, परन्तु मूर्ख पुत्र के कारण माता उदास रहती है।

Sulaimaan ke neetivchan. Buddhimaan putra se pita aanandit hota hai, parantu moorkh putra ke karan mata udaas rahti hai.

2

दुष्टों के रखे हुए धन से लाभ नही होता, परन्तु धर्म के कारण मृत्यु से बचाव होता है।

Dushton ke rakhe hue dhan se laabh nahi hota, parantu dharm ke karan mrityu se bachaav hota hai.

3

धर्मी को यहोवा भूखों मरने नहीं देता, परन्तु दुष्टों की अभिलाषा वह पूरी होने नहीं देता।

Dharmi ko Yahowa bhookhon marne nahi deta, parantu dushton ki abhilasha vah poori hone nahi deta.

4

जो काम में ढिलाई करता है, वह निर्धन हो जाता है, परन्तु कामकाजी लोग अपने हाथों के द्वारा धनी होते हैं।

Jo kaam mein dhilai karta hai, vah nirdhan ho jata hai, parantu kamkaji log apne hathon ke dwara dhani hote hain.

5

जो बेटा धूपकाल में बटोरता है वह बुद्धि से काम करने वाला है, परन्तु जो बेटा कटनी के समय भारी नींद में पड़ा रहता है, वह लज्जा का कारण होता है।

Jo beta dhoopkaal mein batorta hai vah buddhi se kaam karne vala hai, parantu jo beta katni ke samay bhari neend mein pada rahta hai, vah lajja ka karan hota hai.

6

धर्मी पर बहुत से आर्शीवाद होते हैं, परन्तु उपद्रव दुष्टों का मुंह छा लेता है।

Dharmi par bahut se aarsheevaad hote hain, parantu upadrav dushton ka munh chha leta hai.

7

धर्मी को स्मरण करके लोग आशीर्वाद देते हैं, परन्तु दुष्टों का नाम मिट जाता है।

Dharmi ko smaran karke log aasheervaad dete hain, parantu dushton ka naam mit jata hai.

8

जो बुद्धिमान है, वह आज्ञाओं को स्वीकार करता है, परन्तु जो बकवादी और मूढ़ है, वह पछाड़ खाता है।

Jo buddhimaan hai, vah aagyaon ko sweekaar karta hai, parantu jo bakvadi aur moodh hai, vah pachhaad khata hai.

9

जो खराई से चलता है वह निडर चलता है, परन्तु जो टेढ़ी चाल चलता है उसकी चाल प्रगट हो जाती है।

Jo kharai se chalta hai vah nidar chalta hai, parantu jo tedhi chaal chalta hai uski chaal pragat ho jati hai.

10

जो नैन से सैन करता है उस से औरों को दुख मिलता है, और जो बकवादी और मूढ़ है, वह पछाड़ खाता है।

Jo nain se sain karta hai us se auron ko dukh milta hai, aur jo bakvadi aur moodh hai, vah pachhaad khata hai.

11

धर्मी का मुंह तो जीवन का सोता है, परन्तु उपद्रव दुष्टों का मुंह छा लेता है।

Dharmi ka munh to jeevan ka sota hai, parantu upadrav dushton ka munh chha leta hai.

12

बैर से तो झगड़े उत्पन्न होते हैं, परन्तु प्रेम से सब अपराध ढंप जाते हैं।

Bair se to jhagde utpann hote hain, parantu prem se sab apraadh dhamp jate hain.

13

समझ वालों के वचनों में बुद्धि पाई जाती है, परन्तु निर्बुद्धि की पीठ के लिये कोड़ा है।

Samajh valon ke vachnon mein buddhi pai jati hai, parantu nirbuddhi ki peeth ke liye koda hai.

14

बुद्धिमान लोग ज्ञान को रख छोड़ते हैं, परन्तु मूढ़ के बोलने से विनाश निकट आता है।

Buddhimaan log gyaan ko rakh chhodte hain, parantu moodh ke bolne se vinaash nikat aata hai.

15

धनी का धन उसका दृढ़ नगर है, परन्तु कंगाल लोग निर्धन होने के कारण विनाश होते हैं।

Dhani ka dhan uska dridh nagar hai, parantu kangaal log nirdhan hone ke karan vinaash hote hain.

16

धर्मी का परिश्रम जीवन के लिये होता है, परन्तु दुष्ट के लाभ से पाप होता है।

Dharmi ka parishram jeevan ke liye hota hai, parantu dusht ke laabh se paap hota hai.

17

जो शिक्षा पर चलता वह जीवन के मार्ग पर है, परन्तु जो डांट से मुंह मोड़ता, वह भटकता है।

Jo shiksha par chalta vah jeevan ke maarg par hai, parantu jo daant se munh modta, vah bhatakta hai.

18

जो बैर को छिपा रखता है, वह झूठ बोलता है, और जो अपवाद फैलाता है, वह मूर्ख है।

Jo bair ko chhipa rakhta hai, vah jhooth bolta hai, aur jo apvaad phailata hai, vah moorkh hai.

19

जहां बहुत बातें होती हैं, वहां अपराध भी होता है, परन्तु जो अपने मुंह को बन्द रखता है वह बुद्धि से काम करता है।

Jahan bahut batein hoti hain, vahan apraadh bhi hota hai, parantu jo apne munh ko band rakhta hai vah buddhi se kaam karta hai.

20

धर्मी के वचन तो उत्तम चान्दी हैं; परन्तु दुष्टों का मन बहुत हलका होता है।

Dharmi ke vachan to uttam chandi hain; parantu dushton ka man bahut halka hota hai.

21

धर्मी के वचनों से बहुतों का पालन पोषण होता है, परन्तु मूढ़ लोग निर्बुद्धि होने के कारण मर जाते हैं।

Dharmi ke vachnon se bahuton ka palan poshan hota hai, parantu moodh log nirbuddhi hone ke karan mar jate hain.

22

धन यहोवा की आशीष ही से मिलता है, और वह उसके साथ दु:ख नहीं मिलाता।

Dhan Yahowa ki aasheesh hi se milta hai, aur vah uske saath dukh nahi milata.

23

मूर्ख को तो महापाप करना हंसी की बात जान पड़ती है, परन्तु समझ वाले पुरूष में बुद्धि रहती है।

Moorkh ko to mahapaap karna hansi ki baat jaan padti hai, parantu samajh vale puroosh mein buddhi rahti hai.

24

दुष्ट जन जिस विपत्ति से डरता है, वह उस पर आ पड़ती है, परन्तु धर्मियों की लालसा पूरी होती है।

Dusht jan jis vipatti se darta hai, vah us par aa padti hai, parantu dharmiyon ki lalsa poori hoti hai.

25

बवण्डर निकल जाते ही दुष्ट जन लोप हो जाता है, परन्तु धर्मी सदा लों स्थिर है।

Bavandar nikal jate hi dusht jan lop ho jata hai, parantu dharmi sada lon sthir hai.

26

जैसे दांत को सिरका, और आंख को धूंआ, वैसे आलसी उन को लगाता है जो उस को कहीं भेजते हैं।

Jaise daant ko sirka, aur aankh ko dhoonaa, vaise aalsi un ko lagata hai jo us ko kahi bhejte hain.

27

यहोवा के भय मानने से आयु बढ़ती है, परन्तु दुष्टों का जीवन थोड़े ही दिनों का होता है।

Yahowa ke bhay manne se aayu badhti hai, parantu dushton ka jeevan thode hi dinon ka hota hai.

28

धर्मियों को आशा रखने में आनन्द मिलता है, परन्तु दुष्टों की आशा टूट जाती है।

Dharmiyon ko aasha rakhne mein aanand milta hai, parantu dushton ki aasha toot jati hai.

29

यहोवा खरे मनुष्य का गढ़ ठहरता है, परन्तु अनर्थकारियों का विनाश होता है।

Yahowa khare manushya ka gadh thaharta hai, parantu anarthakariyon ka vinaash hota hai.

30

धर्मी सदा अटल रहेगा, परन्तु दुष्ट पृथ्वी पर बसने न पाएंगे।

Dharmi sada atal rahega, parantu dusht prithvi par basne na payenge.

31

धर्मी के मुंह से बुद्धि टपकती है, पर उलट फेर की बात कहने वाले की जीभ काटी जायेगी।

Dharmi ke munh se buddhi tapakti hai, par ulat pher ki baat kahne vale ki jeebh kati jayegi.

32

धर्मी ग्रहणयोग्य बात समझ कर बोलता है, परन्तु दुष्टों के मुंह से उलट फेर की बातें निकलती हैं॥

Dharmi grahanyogya baat samajh kar bolta hai, parantu dushton ke munh se ulat pher ki batein nikalti hain.