याके के पुत्र आगूर के प्रभावशाली वचन॥ उस पुरूष ने ईतीएल और उक्काल से यह कहा,
Yake ke putra aagoor ke prabhavshali vachan. Us puroosh ne iteeyel aur ukkaal se yah kaha,
Proverbs 30 · 33 verses
याके के पुत्र आगूर के प्रभावशाली वचन॥ उस पुरूष ने ईतीएल और उक्काल से यह कहा,
Yake ke putra aagoor ke prabhavshali vachan. Us puroosh ne iteeyel aur ukkaal se yah kaha,
निश्चय मैं पशु सरीखा हूं, वरन मनुष्य कहलाने के योग्य भी नहीं; और मनुष्य की समझ मुझ में नहीं है।
Nishchay main pashu sareekha hoon, varan manushya kahlane ke yogya bhi nahi; aur manushya ki samajh mujh mein nahi hai.
न मैं ने बुद्धि प्राप्त की है, और न परमपवित्र का ज्ञान मुझे मिला है।
Na main ne buddhi praapt ki hai, aur na parmapvitra ka gyaan mujhe mila hai.
कौन स्वर्ग में चढ़ कर फिर उतर आया? किस ने वायु को अपनी मुट्ठी में बटोर रखा है? किस ने महासागर को अपने वस्त्र में बान्ध लिया है? किस ने पृथ्वी के सिवानों को ठहराया है? उसका नाम क्या है? और उसके पुत्र का नाम क्या है? यदि तू जानता हो तो बता!
Kaun swarg mein chadh kar phir utar aaya? Kis ne vayu ko apni mutthi mein bator rakha hai? Kis ne mahasagar ko apne vastra mein baandh liya hai? Kis ne prithvi ke sivanon ko thahraya hai? Uska naam kya hai? Aur uske putra ka naam kya hai? Yadi tu janta ho to bata!
ईश्वर का एक एक वचन ताया हुआ है; वह अपने शरणागतों की ढाल ठहरा है।
Ishwar ka ek ek vachan taya huaa hai; vah apne sharnagton ki dhaal thahra hai.
उसके वचनों में कुछ मत बढ़ा, ऐसा न हो कि वह तुझे डांटे और तू झूठा ठहरे॥
Uske vachnon mein kuchh mat badha, aisa na ho ki vah tujhe dante aur tu jhootha thahre.
मैं ने तुझ से दो वर मांगे हैं, इसलिये मेरे मरने से पहिले उन्हें मुझे देने से मुंह न मोड़:
Main ne tujh se do var mange hain, isliye mere marne se pahile unhein mujhe dene se munh na mod:
अर्थात व्यर्थ और झूठी बात मुझ से दूर रख; मुझे न तो निर्धन कर और न धनी बना; प्रतिदिन की रोटी मुझे खिलाया कर।
Arthaat vyarth aur jhoothi baat mujh se door rakh; mujhe na to nirdhan kar aur na dhani bana; pratidin ki roti mujhe khilaya kar.
ऐसा न हो, कि जब मेरा पेट भर जाए, तब मैं इन्कार कर के कहूं कि यहोवा कौन है? वा अपना भाग खो कर चोरी करूं, और अपने परमेश्वर का नाम अनुचित रीति से लूं।
Aisa na ho, ki jab mera pet bhar jaye, tab main inkaar kar ke kahun ki Yahowa kaun hai? Va apna bhaag kho kar chori karun, aur apne Parmeshwar ka naam anuchit reeti se lun.
किसी दास की, उसके स्वामी से चुगली न करना, ऐसा न हो कि वह तुझे शाप दे, और तू दोषी ठहराया जाए॥
Kisi daas ki, uske swami se chugli na karna, aisa na ho ki vah tujhe shaap de, aur tu doshi thahraya jaye.
ऐसे लोग हैं, जो अपने पिता को शाप देते और अपनी माता को धन्य नहीं कहते।
Aise log hain, jo apne pita ko shaap dete aur apni mata ko dhanya nahi kahte.
ऐसे लोग हैं जो अपनी दृष्टि में शुद्ध हैं, तौभी उनका मैल धोया नहीं गया।
Aise log hain jo apni drishti mein shuddh hain, taubhi unka mail dhoya nahi gaya.
एक पीढ़ी के लोग ऐसे हैं उनकी दृष्टि क्या ही घमण्ड से भरी रहती है, और उनकी आंखें कैसी चढ़ी हुई रहती हैं।
Ek peedhi ke log aise hain unki drishti kya hi ghamand se bhari rahti hai, aur unki aankhein kaisi chadhi hui rahti hain.
एक पीढ़ी के लोग ऐसे हैं, जिनके दांत तलवार और उनकी दाढ़ें छुरियां हैं, जिन से वे दीन लोगों को पृथ्वी पर से, और दरिद्रों को मनुष्यों में से मिटा डालें॥
Ek peedhi ke log aise hain, jinke daant talvaar aur unki dadhein chhuriyan hain, jin se ve deen logon ko prithvi par se, aur daridron ko manushyon mein se mita dalein.
जैसे जोंक की दो बेटियां होती हैं, जो कहती हैं दे, दे, वैसे ही तीन वस्तुएं हैं, जो तृप्त नहीं होतीं; वरन चार हैं, जो कभी नहीं कहतीं, बस।
Jaise jonk ki do betiyan hoti hain, jo kahti hain de, de, vaise hi teen vastuein hain, jo tript nahi hoti; varan chaar hain, jo kabhi nahi kahti, bas.
अधोलोक और बांझ की कोख, भूमि जो जल पी पी कर तृप्त नहीं होती, और आग जो कभी नहीं कहती, बस॥
Adholok aur baanjh ki kokh, bhoomi jo jal pi pi kar tript nahi hoti, aur aag jo kabhi nahi kahti, bas.
जिस आंख से कोई अपने पिता पर अनादर की दृष्टि करे, और अपमान के साथ अपनी माता की आज्ञा न माने, उस आंख को तराई के कौवे खोद खोद कर निकालेंगे, और उकाब के बच्चे खा डालेंगे॥
Jis aankh se koi apne pita par anadar ki drishti kare, aur apmaan ke saath apni mata ki aagya na mane, us aankh ko tarai ke kauve khod khod kar nikalenge, aur ukaab ke bachche kha dalenge.
तीन बातें मेरे लिये अधिक कठिन है, वरन चार हैं, जो मेरी समझ से परे हैं:
Teen batein mere liye adhik kathin hai, varan chaar hain, jo meri samajh se pare hain:
आकाश में उकाब पक्षी का मार्ग, चट्टान पर सर्प की चाल, समुद्र में जहाज की चाल, और कन्या के संग पुरूष की चाल॥
Aakaash mein ukaab pakshi ka maarg, chattaan par sarp ki chaal, samudra mein jahaaj ki chaal, aur kanya ke sang puroosh ki chaal.
व्यभिचारिणी की चाल भी वैसी ही है; वह भोजन कर के मुंह पोंछती, और कहती है, मैं ने कोई अनर्थ काम नहीं किया॥
Vyabhicharini ki chaal bhi vaisi hi hai; vah bhojan kar ke munh ponchhti, aur kahti hai, main ne koi anarth kaam nahi kiya.
तीन बातों के कारण पृथ्वी कांपती है; वरन चार है, जो उस से सही नहीं जातीं:
Teen baton ke karan prithvi kampti hai; varan chaar hai, jo us se sahi nahi jati:
दास का राजा हो जाना, मूढ़ का पेट भरना
Daas ka raja ho jana, moodh ka pet bharna
घिनौनी स्त्री का ब्याहा जाना, और दासी का अपनी स्वामिन की वारिस होना॥
Ghinauni stri ka byaha jana, aur dasi ka apni swamin ki varis hona.
पृथ्वी पर चार छोटे जन्तु हैं, जो अत्यन्त बुद्धिमान हैं:
Prithvi par chaar chhote jantu hain, jo atyant buddhimaan hain:
च्यूटियां निर्बल जाति तो हैं, परन्तु धूप काल में अपनी भोजन वस्तु बटोरती हैं;
Chyootiyan nirbal jati to hain, parantu dhoop kaal mein apni bhojan vastu batorti hain;
शापान बली जाति नहीं, तौभी उनकी मान्दें पहाड़ों पर होती हैं;
Shapaan bali jati nahi, taubhi unki mandein pahadon par hoti hain;
टिड्डियों के राजा तो नहीं होता, तौभी वे सब की सब दल बान्ध बान्ध कर पलायन करती हैं;
Tiddiyon ke raja to nahi hota, taubhi ve sab ki sab dal baandh baandh kar palayan karti hain;
और छिपकली हाथ से पकड़ी तो जाती है, तौभी राजभवनों में रहती है॥
Aur chhipakli haath se pakdi to jati hai, taubhi rajbhavnon mein rahti hai.
तीन सुन्दर चलने वाले प्राणी हैं; वरन चार हैं, जिन की चाल सुन्दर है:
Teen sundar chalne vale prani hain; varan chaar hain, jin ki chaal sundar hai:
सिंह जो सब पशुओं में पराक्रमी हैं, और किसी के डर से नहीं हटता;
Sinh jo sab pashuon mein parakrami hain, aur kisi ke dar se nahi hatta;
शिकारी कुत्ता और बकरा, और अपनी सेना समेत राजा।
Shikari kutta aur bakra, aur apni sena samet raja.
यदि तू ने अपनी बड़ाई करने की मूढ़ता की, वा कोई बुरी युक्ति बान्धी हो, तो अपने मुंह पर हाथ धर।
Yadi tu ne apni badai karne ki moodhta ki, va koi buri yukti bandhi ho, to apne munh par haath dhar.
क्योंकि जैसे दूध के मथने से मक्खन और नाक के मरोड़ने से लोहू निकलता है, वैसे ही क्रोध के भड़काने से झगड़ा उत्पन्न होता है॥
Kyonki jaise doodh ke mathne se makkhan aur naak ke marodne se lohu nikalta hai, vaise hi krodh ke bhadkane se jhagda utpann hota hai.