जो बार बार डांटे जाने पर भी हठ करता है, वह अचानक नाश हो जाएगा और उसका कोई भी उपाय काम न आएगा।
Jo baar baar dante jane par bhi hath karta hai, vah achanak naash ho jayega aur uska koi bhi upaay kaam na aayega.
Proverbs 29 · 27 verses
जो बार बार डांटे जाने पर भी हठ करता है, वह अचानक नाश हो जाएगा और उसका कोई भी उपाय काम न आएगा।
Jo baar baar dante jane par bhi hath karta hai, vah achanak naash ho jayega aur uska koi bhi upaay kaam na aayega.
जब धर्मी लोग शिरोमणि होते हैं, तब प्रजा आनन्दित होती है; परन्तु जब दुष्ट प्रभुता करता है तब प्रजा हाय हाय करती है।
Jab dharmi log shiromni hote hain, tab praja aanandit hoti hai; parantu jab dusht prabhuta karta hai tab praja haay haay karti hai.
जो पुरूष बुद्धि से प्रीति रखता है, अपने पिता को आनन्दित करता है, परन्तु वेश्याओं की संगति करने वाला धन को उड़ा देता है।
Jo puroosh buddhi se preeti rakhta hai, apne pita ko aanandit karta hai, parantu veshyaon ki sangti karne vala dhan ko uda deta hai.
राजा न्याय से देश को स्थिर करता है, परन्तु जो बहुत घूस लेता है उस को उलट देता है।
Raja nyaay se desh ko sthir karta hai, parantu jo bahut ghoos leta hai us ko ulat deta hai.
जो पुरूष किसी से चिकनी चुपड़ी बातें करता है, वह उसके पैरों के लिये जाल लगाता है।
Jo puroosh kisi se chikni chupdi batein karta hai, vah uske pairon ke liye jaal lagata hai.
बुरे मनुष्य का अपराध फन्दा होता है, परन्तु धर्मी आनन्दित होकर जय जयकार करता है।
Bure manushya ka apraadh phanda hota hai, parantu dharmi aanandit hokar jay jaykaar karta hai.
धर्मी पुरूष कंगालों के मुकद्दमे में मन लगाता है; परन्तु दुष्ट जन उसे जानने की समझ नहीं रखता।
Dharmi puroosh kangalon ke mukaddame mein man lagata hai; parantu dusht jan use janne ki samajh nahi rakhta.
ठट्ठा करने वाले लोग नगर को फूंक देते हैं, परन्तु बुद्धिमान लोग क्रोध को ठण्डा करते हैं।
Thattha karne vale log nagar ko phoonk dete hain, parantu buddhimaan log krodh ko thanda karte hain.
जब बुद्धिमान मूढ़ के साथ वाद विवाद करता है, तब वह मूढ़ क्रोधित होता और ठट्ठा करता है, और वहां शान्ति नहीं रहती।
Jab buddhimaan moodh ke saath vaad vivaad karta hai, tab vah moodh krodhit hota aur thattha karta hai, aur vahan shanti nahi rahti.
हत्यारे लोग खरे पुरूष से बैर रखते हैं, और सीधे लोगों के प्राण की खोज करते हैं।
Hatyare log khare puroosh se bair rakhte hain, aur seedhe logon ke praan ki khoj karte hain.
मूर्ख अपने सारे मन की बात खोल देता है, परन्तु बुद्धिमान अपने मन को रोकता, और शान्त कर देता है।
Moorkh apne sare man ki baat khol deta hai, parantu buddhimaan apne man ko rokta, aur shaant kar deta hai.
जब हाकिम झूठी बात की ओर कान लगाता है, तब उसके सब सेवक दुष्ट हो जाते हैं।
Jab hakim jhoothi baat ki or kaan lagata hai, tab uske sab sevak dusht ho jate hain.
निर्धन और अन्धेर करने वाला पुरूष एक समान है; और यहोवा दोनों की आंखों में ज्योति देता है।
Nirdhan aur andher karne vala puroosh ek samaan hai; aur Yahowa donon ki aankhon mein jyoti deta hai.
जो राजा कंगालों का न्याय सच्चाई से चुकाता है, उसकी गद्दी सदैव स्थिर रहती है।
Jo raja kangalon ka nyaay sachchai se chukata hai, uski gaddi sadaiv sthir rahti hai.
छड़ी और डांट से बुद्धि प्राप्त होती है, परन्तु जो लड़का यों ही छोड़ा जाता है वह अपनी माता की लज्जा का कारण होता है।
Chhadi aur daant se buddhi praapt hoti hai, parantu jo ladka yon hi chhoda jata hai vah apni mata ki lajja ka karan hota hai.
दुष्टों के बढ़ने से अपराध भी बढ़ता है; परन्तु अन्त में धर्मी लोग उनका गिरना देख लेते हैं।
Dushton ke badhne se apraadh bhi badhta hai; parantu ant mein dharmi log unka girna dekh lete hain.
अपने बेटे की ताड़ना कर, तब उस से तुझे चैन मिलेगा; और तेरा मन सुखी हो जाएगा।
Apne bete ki tadna kar, tab us se tujhe chain milega; aur tera man sukhi ho jayega.
जहां दर्शन की बात नहीं होती, वहां लोग निरंकुश हो जाते हैं, और जो व्यवस्था को मानता है वह धन्य होता है।
Jahan darshan ki baat nahi hoti, vahan log nirankush ho jate hain, aur jo vyavastha ko manta hai vah dhanya hota hai.
दास बातों ही के द्वारा सुधारा नहीं जाता, क्योंकि वह समझ कर भी नहीं मानता।
Daas baton hi ke dwara sudhara nahi jata, kyonki vah samajh kar bhi nahi manta.
क्या तू बातें करने में उतावली करने वाले मनुष्य को देखता है? उस से अधिक तो मूर्ख ही से आशा है।
Kya tu batein karne mein utavli karne vale manushya ko dekhta hai? Us se adhik to moorkh hi se aasha hai.
जो अपने दास को उस के लड़कपन से सुकुमारपन में पालता है, वह दास अन्त में उसका बेटा बन बैठता है।
Jo apne daas ko us ke ladakpan se sukumarpan mein palta hai, vah daas ant mein uska beta ban baithta hai.
क्रोध करने वाला मनुष्य झगड़ा मचाता है और अत्यन्त क्रोध करने वाला अपराधी होता है।
Krodh karne vala manushya jhagda machata hai aur atyant krodh karne vala apradhi hota hai.
मनुष्य को गर्व के कारण नीचा देखना पड़ता है, परन्तु नम्र आत्मा वाला महिमा का अधिकारी होता है।
Manushya ko garva ke karan neecha dekhna padta hai, parantu namra aatma vala mahima ka adhikari hota hai.
जो चोर की संगति करता है वह अपने प्राण का बैरी होता है; शपथ खाने पर भी वह बात को प्रगट नहीं करता।
Jo chor ki sangti karta hai vah apne praan ka bairi hota hai; shapath khane par bhi vah baat ko pragat nahi karta.
मनुष्य का भय खाना फन्दा हो जाता है, परन्तु जो यहोवा पर भरोसा रखता है वह ऊंचे स्थान पर चढ़ाया जाता है।
Manushya ka bhay khana phanda ho jata hai, parantu jo Yahowa par bharosa rakhta hai vah oonche sthaan par chadhaya jata hai.
हाकिम से भेंट करना बहुत लोग चाहते हैं, परन्तु मनुष्य का न्याय यहोवा की करता है।
Hakim se bhent karna bahut log chahte hain, parantu manushya ka nyaay Yahowa ki karta hai.
धर्मी लोग कुटिल मनुष्य से घृणा करते हैं और दुष्ट जन भी सीधी चाल चलने वाले से घृणा करता है॥
Dharmi log kutil manushya se ghrina karte hain aur dusht jan bhi seedhi chaal chalne vale se ghrina karta hai.