दुष्ट लोग जब कोई पीछा नहीं करता तब भी भागते हैं, परन्तु धर्मी लोग जवान सिहों के समान निडर रहते हैं।
Dusht log jab koi peechha nahi karta tab bhi bhagte hain, parantu dharmi log javaan sihon ke samaan nidar rahte hain.
Proverbs 28 · 28 verses
दुष्ट लोग जब कोई पीछा नहीं करता तब भी भागते हैं, परन्तु धर्मी लोग जवान सिहों के समान निडर रहते हैं।
Dusht log jab koi peechha nahi karta tab bhi bhagte hain, parantu dharmi log javaan sihon ke samaan nidar rahte hain.
देश में पाप होन के कारण उसके हाकिम बदलते जाते हैं; परन्तु समझदार और ज्ञानी मनुष्य के द्वारा सुप्रबन्ध बहुत दिन के लिये बना रहेगा।
Desh mein paap hon ke karan uske hakim badalte jate hain; parantu samajhdaar aur gyani manushya ke dwara suprabandh bahut din ke liye bana rahega.
जो निर्धन पुरूष कंगालों पर अन्धेर करता है, वह ऐसी भारी वर्षा के समान है। जो कुछ भोजन वस्तु नहीं छोड़ती।
Jo nirdhan puroosh kangalon par andher karta hai, vah aisi bhari varsha ke samaan hai. Jo kuchh bhojan vastu nahi chhodti.
जो लोग व्यवस्था को छोड़ देते हैं, वे दुष्ट की प्रशंसा करते हैं, परन्तु व्यवस्था पर चलने वाले उन से लड़ते हैं।
Jo log vyavastha ko chhod dete hain, ve dusht ki prashansa karte hain, parantu vyavastha par chalne vale un se ladte hain.
बुरे लोग न्याय को नहीं समझ सकते, परन्तु यहोवा को ढूंढने वाले सब कुछ समझते हैं।
Bure log nyaay ko nahi samajh sakte, parantu Yahowa ko dhoondhne vale sab kuchh samajhte hain.
टेढ़ी चाल चलने वाले धनी मनुष्य से खराई से चलने वाला निर्धन पुरूष ही उत्तम है।
Tedhi chaal chalne vale dhani manushya se kharai se chalne vala nirdhan puroosh hi uttam hai.
जो व्यवस्था का पालन करता वह समझदार सुपूत होता है, परन्तु उड़ाऊ का संगी अपने पिता का मुंह काला करता है।
Jo vyavastha ka palan karta vah samajhdaar supoot hota hai, parantu udau ka sangi apne pita ka munh kala karta hai.
जो अपना धन ब्याज आदि बढ़ती से बढ़ाता है, वह उसके लिये बटोरता है जो कंगालों पर अनुग्रह करता है।
Jo apna dhan byaaj aadi badhti se badhata hai, vah uske liye batorta hai jo kangalon par anugrah karta hai.
जो अपना कान व्यवस्था सुनने से फेर लेता है, उसकी प्रार्थना घृणित ठहरती है।
Jo apna kaan vyavastha sunne se pher leta hai, uski prarthana ghrinit thaharti hai.
जो सीधे लोगों को भटका कर कुमार्ग में ले जाता है वह अपने खोदे हुए गड़हे में आप ही गिरता है; परन्तु खरे लोग कल्याण के भागी होते हैं।
Jo seedhe logon ko bhatka kar kumaarg mein le jata hai vah apne khode hue gadhe mein aap hi girta hai; parantu khare log kalyaan ke bhagi hote hain.
धनी पुरूष अपनी दृष्टि में बुद्धिमान होता है, परन्तु समझदार कंगाल उसका मर्म बूझ लेता है।
Dhani puroosh apni drishti mein buddhimaan hota hai, parantu samajhdaar kangaal uska marm boojh leta hai.
जब धर्मी लोग जयवन्त होते हैं, तब बड़ी शोभा होती है; परन्तु जब दुष्ट लोग प्रबल होते हैं, तब मनुष्य अपने आप को छिपाता है।
Jab dharmi log jayvant hote hain, tab badi shobha hoti hai; parantu jab dusht log prabal hote hain, tab manushya apne aap ko chhipata hai.
जो अपने अपराध छिपा रखता है, उसका कार्य सुफल नहीं होता, परन्तु जो उन को मान लेता और छोड़ भी देता है, उस पर दया की जायेगी।
Jo apne apraadh chhipa rakhta hai, uska karya suphal nahi hota, parantu jo un ko maan leta aur chhod bhi deta hai, us par daya ki jayegi.
जो मनुष्य निरन्तर प्रभु का भय मानता रहता है वह धन्य है; परन्तु जो अपना मन कठोर कर लेता है वह विपत्ति में पड़ता है।
Jo manushya nirantar Prabhu ka bhay manta rahta hai vah dhanya hai; parantu jo apna man kathor kar leta hai vah vipatti mein padta hai.
कंगाल प्रजा पर प्रभुता करने वाला दुष्ट गरजने वाले सिंह और घूमने वाले रीछ के समान है।
Kangaal praja par prabhuta karne vala dusht garajne vale sinh aur ghoomne vale reechh ke samaan hai.
जो प्रधान मन्दबुद्धि का होता है, वही बहुत अन्धेर करता है; और जो लालच का बैरी होता है वह दीर्घायु होता है।
Jo pradhaan mandabuddhi ka hota hai, vahi bahut andher karta hai; aur jo lalach ka bairi hota hai vah deerghayu hota hai.
जो किसी प्राणी की हत्या का अपराधी हो, वह भाग कर गड़हे में गिरेगा; कोई उस को न रोकेगा।
Jo kisi prani ki hatya ka apradhi ho, vah bhaag kar gadhe mein girega; koi us ko na rokega.
जो सीधाई से चलता है वह बचाया जाता है, परन्तु जो टेढ़ी चाल चलता है वह अचानक गिर पड़ता है।
Jo seedhai se chalta hai vah bachaya jata hai, parantu jo tedhi chaal chalta hai vah achanak gir padta hai.
जो अपनी भूमि को जोता-बोया करता है, उसका तो पेट भरता है, परन्तु जो निकम्मे लोगों की संगति करता है वह कंगालपन से घिरा रहता है।
Jo apni bhoomi ko jota-boya karta hai, uska to pet bharta hai, parantu jo nikamme logon ki sangti karta hai vah kangalpan se ghira rahta hai.
सच्चे मनुष्य पर बहुत आशीर्वाद होते रहते हैं, परन्तु जो धनी होने में उतावली करता है, वह निर्दोष नहीं ठहरता।
Sachche manushya par bahut aasheervaad hote rahte hain, parantu jo dhani hone mein utavli karta hai, vah nirdosh nahi thaharta.
पक्षपात करना अच्छा नहीं; और यह भी अच्छा नहीं कि पुरूष एक टुकड़े रोटी के लिये अपराध करे।
Pakshapaat karna achchha nahi; aur yah bhi achchha nahi ki puroosh ek tukde roti ke liye apraadh kare.
लोभी जन धन प्राप्त करने में उतावली करता है, और नहीं जानता कि वह घटी में पड़ेगा।
Lobhi jan dhan praapt karne mein utavli karta hai, aur nahi janta ki vah ghati mein padega.
जो किसी मनुष्य को डांटता है वह अन्त में चापलूसी करने वाले से अधिक प्यारा हो जाता है।
Jo kisi manushya ko dantta hai vah ant mein chaploosi karne vale se adhik pyara ho jata hai.
जो अपने मां-बाप को लूट कर कहता है कि कुछ अपराध नहीं, वह नाश करने वाले का संगी ठहरता है।
Jo apne maa-baap ko loot kar kahta hai ki kuchh apraadh nahi, vah naash karne vale ka sangi thaharta hai.
लालची मनुष्य झगड़ा मचाता है, और जो यहोवा पर भरोसा रखता है वह हृष्ट पुष्ट हो जाता है।
Lalchi manushya jhagda machata hai, aur jo Yahowa par bharosa rakhta hai vah hrisht pusht ho jata hai.
जो अपने ऊपर भरोसा रखता है, वह मूर्ख है; और जो बुद्धि से चलता है, वह बचता है।
Jo apne oopar bharosa rakhta hai, vah moorkh hai; aur jo buddhi se chalta hai, vah bachta hai.
जो निर्धन को दान देता है उसे घटी नहीं होती, परन्तु जो उस से दृष्टि फेर लेता है वह शाप पर शाप पाता है।
Jo nirdhan ko daan deta hai use ghati nahi hoti, parantu jo us se drishti pher leta hai vah shaap par shaap pata hai.
जब दुष्ट लोग प्रबल होते हैं तब तो मनुष्य ढूंढ़े नहीं मिलते, परन्तु जब वे नाश हो जाते हैं, तब धर्मी उन्नति करते हैं॥
Jab dusht log prabal hote hain tab to manushya dhoondhe nahi milte, parantu jab ve naash ho jate hain, tab dharmi unnati karte hain.