Proverbs 27 · 27 verses

नीतिवचन 27 Proverbs 27 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Neetivchan 27.

1

कल के दिन के विषय में मत फूल, क्योंकि तू नहीं जानता कि दिन भर में क्या होगा।

Kal ke din ke vishay mein mat phool, kyonki tu nahi janta ki din bhar mein kya hoga.

2

तेरी प्रशंसा और लोग करें तो करें, परन्तु तू आप न करना; दूसरा तूझे सराहे तो सराहे, परन्तु तू अपनी सराहना न करना।

Teri prashansa aur log karein to karein, parantu tu aap na karna; doosra toojhe sarahe to sarahe, parantu tu apni sarahna na karna.

3

पत्थर तो भारी है और बालू में बोझ है, परन्तु मूढ़ का क्रोध उन दोनों से भी भारी है।

Patthar to bhari hai aur balu mein bojh hai, parantu moodh ka krodh un donon se bhi bhari hai.

4

क्रोध तो क्रूर, और प्रकोप धारा के समान होता है, परन्तु जब कोई जल उठता है, तब कौन ठहर सकता है?

Krodh to kroor, aur prakop dhara ke samaan hota hai, parantu jab koi jal uthta hai, tab kaun thahar sakta hai?

5

खुली हुई डांट गुप्त प्रेम से उत्तम है।

Khuli hui daant gupt prem se uttam hai.

6

जो घाव मित्र के हाथ से लगें वह विश्वासयोग्य है परन्तु बैरी अधिक चुम्बन करता है।

Jo ghaav mitra ke haath se lagein vah vishwasyogya hai parantu bairi adhik chumban karta hai.

7

सन्तुष्ट होने पर मधु का छत्ता भी फीका लगता है, परन्तु भूखे को सब कड़वी वस्तुएं भी मीठी जान पड़ती हैं।

Santusht hone par madhu ka chhatta bhi pheeka lagta hai, parantu bhookhe ko sab kadvi vastuein bhi meethi jaan padti hain.

8

स्थान छोड़ कर घूमने वाला मनुष्य उस चिड़िया के समान है, जो घोंसला छोड़ कर उड़ती फिरती है।

Sthaan chhod kar ghoomne vala manushya us chidiya ke samaan hai, jo ghonsla chhod kar udti phirti hai.

9

जैसे तेल और सुगन्ध से, वैसे ही मित्र के हृदय की मनोहर सम्मति से मन आनन्दित होता है।

Jaise tel aur sugandh se, vaise hi mitra ke hriday ki manohar sammati se man aanandit hota hai.

10

जो तेरा और तेरे पिता का भी मित्र हो उसे न छोड़ना; और अपनी विपत्ति के दिन अपने भाई के घर न जाना। प्रेम करने वाला पड़ोसी, दूर रहने वाले भाई से कहीं उत्तम है।

Jo tera aur tere pita ka bhi mitra ho use na chhodna; aur apni vipatti ke din apne bhai ke ghar na jana. Prem karne vala padosi, door rahne vale bhai se kahi uttam hai.

11

हे मेरे पुत्र, बुद्धिमान हो कर मेरा मन आनन्दित कर, तब मैं अपने निन्दा करने वाले को उत्तर दे सकूंगा।

He mere putra, buddhimaan ho kar mera man aanandit kar, tab main apne ninda karne vale ko uttar de sakoonga.

12

बुद्धिमान मनुष्य विपत्ति को आती देख कर छिप जाता है; परन्तु भोले लोग आगे बढ़े चले जाते और हानि उठाते हैं।

Buddhimaan manushya vipatti ko aati dekh kar chhip jata hai; parantu bhole log aage badhe chale jate aur hani uthate hain.

13

जो पराए का उत्तरदायी हो उसका कपड़ा, और जो अनजान का उत्तरदायी हो उस से बन्धक की वस्तु ले ले।

Jo paraye ka uttardayi ho uska kapda, aur jo anjaan ka uttardayi ho us se bandhak ki vastu le le.

14

जो भोर को उठ कर अपने पड़ोसी को ऊंचे शब्द से आशीर्वाद देता है, उसके लिये यह शाप गिना जाता है।

Jo bhor ko uth kar apne padosi ko oonche shabd se aasheervaad deta hai, uske liye yah shaap gina jata hai.

15

झड़ी के दिन पानी का लगातार टपकना, और झगडालू पत्नी दोनों एक से हैं;

Jhadi ke din pani ka lagataar tapakna, aur jhagdalu patni donon ek se hain;

16

जो उस को रोक रखे, वह वायु को भी रोक रखेगा और दाहिने हाथ से वह तेल पकड़ेगा।

Jo us ko rok rakhe, vah vayu ko bhi rok rakhega aur dahine haath se vah tel pakdega.

17

जैसे लोहा लोहे को चमका देता है, वैसे ही मनुष्य का मुख अपने मित्र की संगति से चमकदार हो जाता है।

Jaise loha lohe ko chamka deta hai, vaise hi manushya ka mukh apne mitra ki sangti se chamakdaar ho jata hai.

18

जो अंजीर के पेड़ की रक्षा करता है वह उसका फल खाता है, इसी रीति से जो अपने स्वामी की सेवा करता उसकी महिमा होती है।

Jo anjeer ke ped ki raksha karta hai vah uska phal khata hai, isi reeti se jo apne swami ki seva karta uski mahima hoti hai.

19

जैसे जल में मुख की परछाई सुख से मिलती है, वैसे ही एक मनुष्य का मन दूसरे मनुष्य के मन से मिलता है।

Jaise jal mein mukh ki parchhai sukh se milti hai, vaise hi ek manushya ka man doosre manushya ke man se milta hai.

20

जैसे अधोलोक और विनाशलोक, वैसे ही मनुष्य की आंखें भी तृप्त नहीं होती।

Jaise adholok aur vinashlok, vaise hi manushya ki aankhein bhi tript nahi hoti.

21

जैसे चान्दी के लिये कुठाई और सोने के लिये भट्ठी हैं, वैसे ही मनुष्य के लिये उसकी प्रशंसा है।

Jaise chandi ke liye kuthai aur sone ke liye bhatthi hain, vaise hi manushya ke liye uski prashansa hai.

22

चाहे तू मूर्ख को अनाज के बीच ओखली में डाल कर मूसल से कूटे, तौभी उसकी मूर्खता नहीं जाने की।

Chahe tu moorkh ko anaaj ke beech okhli mein daal kar moosal se koote, taubhi uski moorkhata nahi jane ki.

23

अपनी भेड़-बकरियों की दशा भली-भांति मन लगा कर जान ले, और अपने सब पशुओं के झुण्डों की देखभाल उचित रीति से कर;

Apni bhed-bakriyon ki dasha bhali-bhanti man laga kar jaan le, aur apne sab pashuon ke jhundon ki dekhbhaal uchit reeti se kar;

24

क्योंकि सम्पत्ति सदा नहीं ठहरती; और क्या राजमुकुट पीढ़ी-पीढ़ी चला जाता है?

Kyonki sampatti sada nahi thaharti; aur kya rajmukut peedhi-peedhi chala jata hai?

25

कटी हुई घास उठ गई, नई घास दिखाई देती हैं, पहाड़ों की हरियाली काट कर इकट्ठी की गई है;

Kati hui ghaas uth gai, nai ghaas dikhai deti hain, pahadon ki hariyali kaat kar ikatthi ki gai hai;

26

भेड़ों के बच्चे तेरे वस्त्र के लिये हैं, और बकरों के द्वारा खेत का मूल्य दिया जाएगा;

Bhedon ke bachche tere vastra ke liye hain, aur bakron ke dwara khet ka moolya diya jayega;

27

और बकरियों का इतना दूध होगा कि तू अपने घराने समेत पेट भर के पिया करेगा, और तेरी लौण्डियों का भी जीवन निर्वाह होता रहेगा॥

Aur bakriyon ka itna doodh hoga ki tu apne gharane samet pet bhar ke piya karega, aur teri laundiyon ka bhi jeevan nirvaah hota rahega.