Proverbs 2 · 22 verses

नीतिवचन 2 Proverbs 2 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Neetivchan 2.

1

हे मेरे पुत्र, यदि तू मेरे वचन ग्रहण करे, और मेरी आज्ञाओं को अपने हृदय में रख छोड़े,

He mere putra, yadi tu mere vachan grahan kare, aur meri aagyaon ko apne hriday mein rakh chhode,

2

और बुद्धि की बात ध्यान से सुने, और समझ की बात मन लगा कर सोचे;

Aur buddhi ki baat dhyaan se sune, aur samajh ki baat man laga kar soche;

3

और प्रवीणता और समझ के लिये अति यत्न से पुकारे,

Aur praveenta aur samajh ke liye ati yatn se pukare,

4

ओर उस को चान्दी की नाईं ढूंढ़े, और गुप्त धन के समान उसी खोज में लगा रहे;

Or us ko chandi ki nai dhoondhe, aur gupt dhan ke samaan usi khoj mein laga rahe;

5

तो तू यहोवा के भय को समझेगा, और परमेश्वर का ज्ञान तुझे प्राप्त होगा।

To tu Yahowa ke bhay ko samjhega, aur Parmeshwar ka gyaan tujhe praapt hoga.

6

क्योंकि बुद्धि यहोवा ही देता है; ज्ञान और समझ की बातें उसी के मुंह से निकलती हैं।

Kyonki buddhi Yahowa hi deta hai; gyaan aur samajh ki batein usi ke munh se nikalti hain.

7

वह सीधे लोगों के लिये खरी बुद्धि रख छोड़ता है; जो खराई से चलते हैं, उनके लिये वह ढाल ठहरता है।

Vah seedhe logon ke liye khari buddhi rakh chhodta hai; jo kharai se chalte hain, unke liye vah dhaal thaharta hai.

8

वह न्याय के पथों की देख भाल करता, और अपने भक्तों के मार्ग की रक्षा करता है।

Vah nyaay ke pathon ki dekh bhaal karta, aur apne bhakton ke maarg ki raksha karta hai.

9

तब तू धर्म और न्याय, और सीधाई को, निदान सब भली-भली चाल समझ सकेगा;

Tab tu dharm aur nyaay, aur seedhai ko, nidaan sab bhali-bhali chaal samajh sakega;

10

क्योंकि बुद्धि तो तेरे हृदय में प्रवेश करेगी, और ज्ञान तुझे मनभाऊ लगेगा;

Kyonki buddhi to tere hriday mein pravesh karegi, aur gyaan tujhe manbhau lagega;

11

विवेक तुझे सुरक्षित रखेगा; और समझ तेरी रक्षक होगी;

Vivek tujhe surakshit rakhega; aur samajh teri rakshak hogi;

12

ताकि तुझे बुराई के मार्ग से, और उलट फेर की बातों के कहने वालों से बचाए,

Taki tujhe burai ke maarg se, aur ulat pher ki baton ke kahne valon se bachaye,

13

जो सीधाई के मार्ग को छोड़ देते हैं, ताकि अन्धेरे मार्ग में चलें;

Jo seedhai ke maarg ko chhod dete hain, taki andhere maarg mein chalein;

14

जो बुराई करने से आनन्दित होते हैं, और दुष्ट जन की उलट फेर की बातों में मगन रहते हैं;

Jo burai karne se aanandit hote hain, aur dusht jan ki ulat pher ki baton mein magan rahte hain;

15

जिनकी चालचलन टेढ़ी मेढ़ी और जिनके मार्ग बिगड़े हुए हैं॥

Jinki chalachlan tedhi medhi aur jinke maarg bigde hue hain.

16

तब तू पराई स्त्री से भी बचेगा, जो चिकनी चुपड़ी बातें बोलती है,

Tab tu parai stri se bhi bachega, jo chikni chupdi batein bolti hai,

17

और अपनी जवानी के साथी को छोड़ देती, और जो अपने परमेश्वर की वाचा को भूल जाती है।

Aur apni javani ke sathi ko chhod deti, aur jo apne Parmeshwar ki vacha ko bhool jati hai.

18

उसका घर मृत्यु की ढलान पर है, और उसी डगरें मरे हुओं के बीच पहुंचाती हैं;

Uska ghar mrityu ki dhalaan par hai, aur usi dagrein mare huon ke beech pahunchati hain;

19

जो उसके पास जाते हैं, उन में से कोई भी लौट कर नहीं आता; और न वे जीवन का मार्ग पाते हैं॥

Jo uske paas jate hain, un mein se koi bhi laut kar nahi aata; aur na ve jeevan ka maarg pate hain.

20

तू भले मनुष्यों के मार्ग में चल, और धर्मियों की बाट को पकड़े रह।

Tu bhale manushyon ke maarg mein chal, aur dharmiyon ki baat ko pakde rah.

21

क्योंकि धर्मी लोग देश में बसे रहेंगे, और खरे लोग ही उस में बने रहेंगे।

Kyonki dharmi log desh mein base rahenge, aur khare log hi us mein bane rahenge.

22

दुष्ट लोग देश में से नाश होंगे, और विश्वासघाती उस में से उखाड़े जाएंगे॥

Dusht log desh mein se naash honge, aur vishwasghati us mein se ukhade jayenge.