Proverbs 19 · 29 verses

नीतिवचन 19 Proverbs 19 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Neetivchan 19.

1

जो निर्धन खराई से चलता है, वह उस मूर्ख से उत्तम है जो टेढ़ी बातें बोलता है।

Jo nirdhan kharai se chalta hai, vah us moorkh se uttam hai jo tedhi batein bolta hai.

2

मनुष्य का ज्ञान रहित रहना अच्छा नहीं, और जो उतावली से दौड़ता है वह चूक जाता है।

Manushya ka gyaan rahit rahna achchha nahi, aur jo utavli se daudta hai vah chook jata hai.

3

मूढ़ता के कारण मनुष्य का मार्ग टेढ़ा होता है, और वह मन ही मन यहोवा से चिढ़ने लगता है।

Moodhta ke karan manushya ka maarg tedha hota hai, aur vah man hi man Yahowa se chidhne lagta hai.

4

धनी के तो बहुत मित्र हो जाते हैं, परन्तु कंगाल के मित्र उस से अलग हो जाते हैं।

Dhani ke to bahut mitra ho jate hain, parantu kangaal ke mitra us se alag ho jate hain.

5

झूठा साक्षी निर्दोष नहीं ठहरता, और जो झूठ बोला करता है, वह न बचेगा।

Jhootha sakshi nirdosh nahi thaharta, aur jo jhooth bola karta hai, vah na bachega.

6

उदार मनुष्य को बहुत से लोग मना लेते हैं, और दानी पुरूष का मित्र सब कोई बनता है।

Udaar manushya ko bahut se log mana lete hain, aur dani puroosh ka mitra sab koi banta hai.

7

जब निर्धन के सब भाई उस से बैर रखते हैं, तो निश्चय है कि उसके मित्र उस से दूर हो जाएं। वह बातें करते हुए उनका पीछा करता है, परन्तु उन को नहीं पाता।

Jab nirdhan ke sab bhai us se bair rakhte hain, to nishchay hai ki uske mitra us se door ho jayen. Vah batein karte hue unka peechha karta hai, parantu un ko nahi pata.

8

जो बुद्धि प्राप्त करता, वह अपने प्राण का प्रेमी ठहरता है; और जो समझ को धरे रहता है उसका कल्याण होता है।

Jo buddhi praapt karta, vah apne praan ka premi thaharta hai; aur jo samajh ko dhare rahta hai uska kalyaan hota hai.

9

झूठा साक्षी निर्दोष नहीं ठहरता, और जो झूठ बोला करता है, वह नाश होता है।

Jhootha sakshi nirdosh nahi thaharta, aur jo jhooth bola karta hai, vah naash hota hai.

10

जब सुख से रहना मूर्ख को नहीं फबता, तो हाकिमों पर दास का प्रभुता करना कैसे फबे!

Jab sukh se rahna moorkh ko nahi phabta, to hakimon par daas ka prabhuta karna kaise phabe!

11

जो मनुष्य बुद्धि से चलता है वह विलम्ब से क्रोध करता है, और अपराध को भुलाना उस को सोहता है।

Jo manushya buddhi se chalta hai vah vilamb se krodh karta hai, aur apraadh ko bhulana us ko sohta hai.

12

राजा का क्रोध सिंह की गरजन के समान है, परन्तु उसकी प्रसन्नता घास पर की ओस के तुल्य होती है।

Raja ka krodh sinh ki garjan ke samaan hai, parantu uski prasannata ghaas par ki os ke tulya hoti hai.

13

मूर्ख पुत्र पिता के लिये विपत्ति ठहरता है, और पत्नी के झगड़े-रगड़े सदा टपकने के समान है।

Moorkh putra pita ke liye vipatti thaharta hai, aur patni ke jhagde-ragde sada tapakne ke samaan hai.

14

घर और धन पुरखाओं के भाग में, परन्तु बुद्धिमती पत्नी यहोवा ही से मिलती है।

Ghar aur dhan purkhaon ke bhaag mein, parantu buddhimti patni Yahowa hi se milti hai.

15

आलस से भारी नींद आ जाती है, और जो प्राणी ढिलाई से काम करता, वह भूखा ही रहता है।

Aalas se bhari neend aa jati hai, aur jo prani dhilai se kaam karta, vah bhookha hi rahta hai.

16

जो आज्ञा को मानता, वह अपने प्राण की रक्षा करता है, परन्तु जो अपने चाल चलन के विषय में निश्चिन्त रहता है, वह मर जाता है।

Jo aagya ko manta, vah apne praan ki raksha karta hai, parantu jo apne chaal chalan ke vishay mein nishchint rahta hai, vah mar jata hai.

17

जो कंगाल पर अनुग्रह करता है, वह यहोवा को उधार देता है, और वह अपने इस काम का प्रतिफल पाएगा।

Jo kangaal par anugrah karta hai, vah Yahowa ko udhaar deta hai, aur vah apne is kaam ka pratiphal payega.

18

जब तक आशा है तो अपने पुत्र को ताड़ना कर, जान बूझ कर उसको मार न डाल।

Jab tak aasha hai to apne putra ko tadna kar, jaan boojh kar usko maar na daal.

19

जो बड़ा क्रोधी है, उसे दण्ड उठाने दे; क्योंकि यदि तू उसे बचाए, तो बारम्बार बचाना पड़ेगा।

Jo bada krodhi hai, use dand uthane de; kyonki yadi tu use bachaye, to barambaar bachana padega.

20

सम्मति को सुन ले, और शिक्षा को ग्रहण कर, कि तू अन्तकाल में बुद्धिमान ठहरे।

Sammati ko sun le, aur shiksha ko grahan kar, ki tu antakaal mein buddhimaan thahre.

21

मनुष्य के मन में बहुत सी कल्पनाएं होती हैं, परन्तु जो युक्ति यहोवा करता है, वही स्थिर रहती है।

Manushya ke man mein bahut si kalpanayen hoti hain, parantu jo yukti Yahowa karta hai, vahi sthir rahti hai.

22

मनुष्य कृपा करने के अनुसार चाहने योग्य होता है, और निर्धन जन झूठ बोलने वाले से उत्तम है।

Manushya kripa karne ke anusaar chahne yogya hota hai, aur nirdhan jan jhooth bolne vale se uttam hai.

23

यहोवा का भय मानने से जीवन बढ़ता है; और उसका भय मानने वाला ठिकाना पा कर सुखी रहता है; उस पर विपत्ति नहीं पड़ने की।

Yahowa ka bhay manne se jeevan badhta hai; aur uska bhay manne vala thikana pa kar sukhi rahta hai; us par vipatti nahi padne ki.

24

आलसी अपना हाथ थाली में डालता है, परन्तु अपने मुंह तक कौर नहीं उठाता।

Aalsi apna haath thali mein dalta hai, parantu apne munh tak kaur nahi uthata.

25

ठट्ठा करने वाले को मार, इस से भोला मनुष्य समझदार हो जाएगा; और समझ वाले को डांट, तब वह अधिक ज्ञान पाएगा।

Thattha karne vale ko maar, is se bhola manushya samajhdaar ho jayega; aur samajh vale ko daant, tab vah adhik gyaan payega.

26

जो पुत्र अपने बाप को उजाड़ता, और अपनी मां को भगा देता है, वह अपमान और लज्जा का कारण होगा।

Jo putra apne baap ko ujadta, aur apni maa ko bhaga deta hai, vah apmaan aur lajja ka karan hoga.

27

हे मेरे पुत्र, यदि तू भटकना चाहता है, तो शिक्षा का सुनना छोड़ दे।

He mere putra, yadi tu bhatakna chahta hai, to shiksha ka sunna chhod de.

28

अधर्मी साक्षी न्याय को ठट्ठों में उड़ाता है, और दुष्ट लोग अनर्थ काम निगल लेते हैं।

Adharmi sakshi nyaay ko thatthon mein udata hai, aur dusht log anarth kaam nigal lete hain.

29

ठट्ठा करने वालों के लिये दण्ड ठहराया जाता है, और मूर्खों की पीठ के लिये कोड़े हैं।

Thattha karne valon ke liye dand thahraya jata hai, aur moorkhon ki peeth ke liye kode hain.