Proverbs 18 · 24 verses

नीतिवचन 18 Proverbs 18 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Neetivchan 18.

1

जो औरों से अलग हो जाता है, वह अपनी ही इच्छा पूरी करने के लिये ऐसा करता है,

Jo auron se alag ho jata hai, vah apni hi ichchha poori karne ke liye aisa karta hai,

2

और सब प्रकार की खरी बुद्धि से बैर करता है। मूर्ख का मन समझ की बातों में नहीं लगता, वह केवल अपने मन की बात प्रगट करना चाहता है।

Aur sab prakaar ki khari buddhi se bair karta hai. Moorkh ka man samajh ki baton mein nahi lagta, vah keval apne man ki baat pragat karna chahta hai.

3

जहां दुष्ट आता, वहां अपमान भी आता है; और निन्दित काम के साथ नामधराई होती है।

Jahan dusht aata, vahan apmaan bhi aata hai; aur nindit kaam ke saath namadhrai hoti hai.

4

मनुष्य के मुंह के वचन गहिरा जल, वा उमण्डने वाली नदी वा बुद्धि के सोते हैं।

Manushya ke munh ke vachan gahira jal, va umandane vali nadi va buddhi ke sote hain.

5

दुष्ट का पक्ष करना, और धर्मी का हक मारना, अच्छा नहीं है।

Dusht ka paksh karna, aur dharmi ka hak marna, achchha nahi hai.

6

बात बढ़ाने से मूर्ख मुकद्दमा खड़ा करता है, और अपने को मार खाने के योग्य दिखाता है।

Baat badhane se moorkh mukaddama khada karta hai, aur apne ko maar khane ke yogya dikhata hai.

7

मूर्ख का विनाश उस की बातों से होता है, और उसके वचन उस के प्राण के लिये फन्दे होते हैं।

Moorkh ka vinaash us ki baton se hota hai, aur uske vachan us ke praan ke liye phande hote hain.

8

कानाफूसी करने वाले के वचन स्वादिष्ट भोजन की नाईं लगते हैं; वे पेट में पच जाते हैं।

Kanaphoosi karne vale ke vachan swadisht bhojan ki nai lagte hain; ve pet mein pach jate hain.

9

जो काम में आलस करता है, वह बिगाड़ने वाले का भाई ठहरता है।

Jo kaam mein aalas karta hai, vah bigadne vale ka bhai thaharta hai.

10

यहोवा का नाम दृढ़ गढ़ है; धर्मी उस में भाग कर सब दुर्घटनाओं से बचता है।

Yahowa ka naam dridh gadh hai; dharmi us mein bhaag kar sab durghatnaon se bachta hai.

11

धनी का धन उसकी दृष्टि में गढ़ वाला नगर, और ऊंचे पर बनी हुई शहरपनाह है।

Dhani ka dhan uski drishti mein gadh vala nagar, aur oonche par bani hui shahrapnaah hai.

12

नाश होने से पहिले मनुष्य के मन में घमण्ड, और महिमा पाने से पहिले नम्रता होती है।

Naash hone se pahile manushya ke man mein ghamand, aur mahima pane se pahile namrata hoti hai.

13

जो बिना बात सुने उत्तर देता है, वह मूढ़ ठहरता है, और उसका अनादर होता है।

Jo bina baat sune uttar deta hai, vah moodh thaharta hai, aur uska anadar hota hai.

14

रोग में मनुष्य अपनी आत्मा से सम्भलता है; परन्तु जब आत्मा हार जाती है तब इसे कौन सह सकता है?

Rog mein manushya apni aatma se sambhalta hai; parantu jab aatma haar jati hai tab ise kaun sah sakta hai?

15

समझ वाले का मन ज्ञान प्राप्त करता है; और बुद्धिमान ज्ञान की बात की खोज में रहते हैं।

Samajh vale ka man gyaan praapt karta hai; aur buddhimaan gyaan ki baat ki khoj mein rahte hain.

16

भेंट मनुष्य के लिये मार्ग खोल देती है, और उसे बड़े लोगों के साम्हने पहुंचाती है।

Bhent manushya ke liye maarg khol deti hai, aur use bade logon ke samhane pahunchati hai.

17

मुकद्दमे में जो पहिले बोलता, वही धर्मी जान पड़ता है, परन्तु पीछे दूसरा पक्ष वाला आकर उसे खोज लेता है।

Mukaddame mein jo pahile bolta, vahi dharmi jaan padta hai, parantu peechhe doosra paksh vala aakar use khoj leta hai.

18

चिट्ठी डालने से झगड़े बन्द होते हैं, और बलवन्तों की लड़ाई का अन्त होता है।

Chitthi dalne se jhagde band hote hain, aur balvanton ki ladai ka ant hota hai.

19

चिढ़े हुए भाई को मनाना दृढ़ नगर के ले लेने से कठिन होता है, और झगड़े राजभवन के बेण्डों के समान हैं।

Chidhe hue bhai ko manana dridh nagar ke le lene se kathin hota hai, aur jhagde rajabhvan ke bendon ke samaan hain.

20

मनुष्य का पेट मुंह की बातों के फल से भरता है; और बोलने से जो कुछ प्राप्त होता है उस से वह तृप्त होता है।

Manushya ka pet munh ki baton ke phal se bharta hai; aur bolne se jo kuchh praapt hota hai us se vah tript hota hai.

21

जीभ के वश में मृत्यु और जीवन दोनों होते हैं, और जो उसे काम में लाना जानता है वह उसका फल भोगेगा।

Jeebh ke vash mein mrityu aur jeevan donon hote hain, aur jo use kaam mein lana janta hai vah uska phal bhogega.

22

जिस ने स्त्री ब्याह ली, उस ने उत्तम पदार्थ पाया, और यहोवा का अनुग्रह उस पर हुआ है।

Jis ne stri byaah li, us ne uttam padaarth paya, aur Yahowa ka anugrah us par huaa hai.

23

निर्धन गिड़गिड़ा कर बोलता है, परन्तु धनी कड़ा उत्तर देता है।

Nirdhan gidgida kar bolta hai, parantu dhani kada uttar deta hai.

24

मित्रों के बढ़ाने से तो नाश होता है, परन्तु ऐसा मित्र होता है, जो भाई से भी अधिक मिला रहता है।

Mitron ke badhane se to naash hota hai, parantu aisa mitra hota hai, jo bhai se bhi adhik mila rahta hai.