चैन के साथ सूखा टुकड़ा, उस घर की अपेक्षा उत्तम है जो मेलबलि-पशुओं से भरा हो, परन्तु उस में झगड़े रगड़े हों।
Chain ke saath sookha tukda, us ghar ki apeksha uttam hai jo melabli-pashuon se bhara ho, parantu us mein jhagde ragde hon.
Proverbs 17 · 28 verses
चैन के साथ सूखा टुकड़ा, उस घर की अपेक्षा उत्तम है जो मेलबलि-पशुओं से भरा हो, परन्तु उस में झगड़े रगड़े हों।
Chain ke saath sookha tukda, us ghar ki apeksha uttam hai jo melabli-pashuon se bhara ho, parantu us mein jhagde ragde hon.
बुद्धि से चलने वाला दास अपने स्वामी के उस पुत्र पर जो लज्जा का कारण होता है प्रभुता करेगा, और उस पुत्र के भाइयों के बीच भागी होगा।
Buddhi se chalne vala daas apne swami ke us putra par jo lajja ka karan hota hai prabhuta karega, aur us putra ke bhaiyon ke beech bhagi hoga.
चान्दी के लिये कुठाली, और सोने के लिये भट्ठी होती है, परन्तु मनों को यहोवा जांचता है।
Chandi ke liye kuthali, aur sone ke liye bhatthi hoti hai, parantu manon ko Yahowa janchta hai.
कुकर्मी अनर्थ बात को ध्यान देकर सुनता है, और झूठा मनुष्य दुष्टता की बात की ओर कान लगाता है।
Kukarmi anarth baat ko dhyaan dekar sunta hai, aur jhootha manushya dushtata ki baat ki or kaan lagata hai.
जो निर्धन को ठट्ठों में उड़ाता है, वह उसके कर्त्ता की निन्दा करता है; और जो किसी की विपत्ति पर हंसता, वह निर्दोष नहीं ठहरेगा।
Jo nirdhan ko thatthon mein udata hai, vah uske kartta ki ninda karta hai; aur jo kisi ki vipatti par hansta, vah nirdosh nahi thahrega.
बूढ़ों की शोभा उनके नाती पोते हैं; और बाल-बच्चों की शोभा उनके माता-पिता हैं।
Boodhon ki shobha unke nati pote hain; aur baal-bachchon ki shobha unke mata-pita hain.
मूढ़ के मुख से उत्तम बात फबती नहीं, और अधिक करके प्रधान को झूठी बात नहीं फबती।
Moodh ke mukh se uttam baat phabti nahi, aur adhik karke pradhaan ko jhoothi baat nahi phabti.
देने वाले के हाथ में घूस मोह लेने वाले मणि का काम देता है; जिधर ऐसा पुरूष फिरता, उधर ही उसका काम सुफल होता है।
Dene vale ke haath mein ghoos moh lene vale mani ka kaam deta hai; jidhar aisa puroosh phirta, udhar hi uska kaam suphal hota hai.
जो दूसरे के अपराध को ढांप देता, वह प्रेम का खोजी ठहरता है, परन्तु जो बात की चर्चा बार बार करता है, वह परम मित्रों में भी फूट करा देता है।
Jo doosre ke apraadh ko dhaamp deta, vah prem ka khoji thaharta hai, parantu jo baat ki charcha baar baar karta hai, vah param mitron mein bhi phoot kara deta hai.
एक घुड़की समझने वाले के मन में जितनी गड़ जाती है, उतना सौ बार मार खाना मूर्ख के मन में नहीं गड़ता।
Ek ghudki samajhne vale ke man mein jitni gad jati hai, utna sau baar maar khana moorkh ke man mein nahi gadta.
बुरा मनुष्य दंगे ही का यत्न करता है, इसलिये उसके पास क्रूर दूत भेजा जाएगा।
Bura manushya dange hi ka yatn karta hai, isliye uske paas kroor doot bheja jayega.
बच्चा-छीनी-हुई-रीछनी से मिलना तो भला है, परन्तु मूढ़ता में डूबे हुए मूर्ख से मिलना भला नहीं।
Bachcha-chheeni-hui-reechhni se milna to bhala hai, parantu moodhta mein doobe hue moorkh se milna bhala nahi.
जो कोई भलाई के बदले में बुराई करे, उसके घर से बुराई दूर न होगी।
Jo koi bhalai ke badle mein burai kare, uske ghar se burai door na hogi.
झगड़े का आरम्भ बान्ध के छेद के समान है, झगड़ा बढ़ने से पहिले उस को छोड़ देना उचित है।
Jhagde ka aarambh baandh ke chhed ke samaan hai, jhagda badhne se pahile us ko chhod dena uchit hai.
जो दोषी को निर्दोष, और जो निर्दोष को दोषी ठहराता है, उन दोनों से यहोवा घृणा करता है।
Jo doshi ko nirdosh, aur jo nirdosh ko doshi thahrata hai, un donon se Yahowa ghrina karta hai.
बुद्धि मोल लेने के लिये मूर्ख अपने हाथ में दाम क्यों लिए है? वह उसे चाहता ही नहीं।
Buddhi mol lene ke liye moorkh apne haath mein daam kyon liye hai? Vah use chahta hi nahi.
मित्र सब समयों में प्रेम रखता है, और विपत्ति के दिन भाई बन जाता है।
Mitra sab samyon mein prem rakhta hai, aur vipatti ke din bhai ban jata hai.
निर्बुद्धि मनुष्य हाथ पर हाथ मारता है, और अपने पड़ोसी के सामने उत्तरदायी होता है।
Nirbuddhi manushya haath par haath marta hai, aur apne padosi ke samne uttardayi hota hai.
जो झगड़े-रगड़े में प्रीति रखता, वह अपराध करने में भी प्रीति रखता है, और जो अपने फाटक को बड़ा करता, वह अपने विनाश के लिये यत्न करता है।
Jo jhagde-ragde mein preeti rakhta, vah apraadh karne mein bhi preeti rakhta hai, aur jo apne phatak ko bada karta, vah apne vinaash ke liye yatn karta hai.
जो मन का टेढ़ा है, उसका कल्याण नहीं होता, और उलट-फेर की बात करने वाला विपत्ति में पड़ता है।
Jo man ka tedha hai, uska kalyaan nahi hota, aur ulat-pher ki baat karne vala vipatti mein padta hai.
जो मूर्ख को जन्माता है वह उस से दु:ख ही पाता है; और मूढ़ के पिता को आनन्द नहीं होता।
Jo moorkh ko janmata hai vah us se dukh hi pata hai; aur moodh ke pita ko aanand nahi hota.
मन का आनन्द अच्छी औषधि है, परन्तु मन के टूटने से हड्डियां सूख जाती हैं।
Man ka aanand achchhi aushdhi hai, parantu man ke tootne se haddiyan sookh jati hain.
दुष्ट जन न्याय बिगाड़ने के लिये, अपनी गांठ से घूस निकालता है।
Dusht jan nyaay bigadne ke liye, apni gaanth se ghoos nikalta hai.
बुद्धि समझने वाले के साम्हने ही रहती है, परन्तु मूर्ख की आंखे पृथ्वी के दूर दूर देशों में लगी रहती है।
Buddhi samajhne vale ke samhane hi rahti hai, parantu moorkh ki aankhe prithvi ke door door deshon mein lagi rahti hai.
मूर्ख पुत्र से पिता उदास होता है, और जननी को शोक होता है।
Moorkh putra se pita udaas hota hai, aur janni ko shok hota hai.
फिर धर्मी से दण्ड लेना, और प्रधानों को सिधाई के कारण पिटवाना, दोनों काम अच्छे नहीं हैं।
Phir dharmi se dand lena, aur pradhanon ko sidhai ke karan pitvana, donon kaam achchhe nahi hain.
जो संभल कर बोलता है, वही ज्ञानी ठहरता है; और जिसकी आत्मा शान्त रहती है, वही समझ वाला पुरूष ठहरता है।
Jo sambhal kar bolta hai, vahi gyani thaharta hai; aur jiski aatma shaant rahti hai, vahi samajh vala puroosh thaharta hai.
मूढ़ भी जब चुप रहता है, तब बुद्धिमान गिना जाता है; और जो अपना मुंह बन्द रखता वह समझ वाला गिना जाता है॥
Moodh bhi jab chup rahta hai, tab buddhimaan gina jata hai; aur jo apna munh band rakhta vah samajh vala gina jata hai.