मन की युक्ति मनुष्य के वश में रहती है, परन्तु मुंह से कहना यहोवा की ओर से होता है।
Man ki yukti manushya ke vash mein rahti hai, parantu munh se kahna Yahowa ki or se hota hai.
Proverbs 16 · 33 verses
मन की युक्ति मनुष्य के वश में रहती है, परन्तु मुंह से कहना यहोवा की ओर से होता है।
Man ki yukti manushya ke vash mein rahti hai, parantu munh se kahna Yahowa ki or se hota hai.
मनुष्य का सारा चाल चलन अपनी दृष्टि में पवित्र ठहरता है, परन्तु यहोवा मन को तौलता है।
Manushya ka sara chaal chalan apni drishti mein pavitra thaharta hai, parantu Yahowa man ko taulta hai.
अपने कामों को यहोवा पर डाल दे, इस से तेरी कल्पनाएं सिद्ध होंगी।
Apne kamon ko Yahowa par daal de, is se teri kalpanayen siddh hongi.
यहोवा ने सब वस्तुएं विशेष उद्देश्य के लिये बनाईं हैं, वरन दुष्ट को भी विपत्ति भोगने के लिये बनाया है।
Yahowa ne sab vastuein vishesh uddeshya ke liye banai hain, varan dusht ko bhi vipatti bhogne ke liye banaya hai.
सब मन के घमण्डियों से यहोवा घृणा करता है करता है; मैं दृढ़ता से कहता हूं, ऐसे लोग निर्दोष न ठहरेंगे।
Sab man ke ghamandiyon se Yahowa ghrina karta hai karta hai; main dridhta se kahta hoon, aise log nirdosh na thahrenge.
अधर्म का प्रायश्चित कृपा, और सच्चाई से होता है, और यहोवा के भय मानने के द्वारा मनुष्य बुराई करने से बच जाते हैं।
Adharm ka prayashchit kripa, aur sachchai se hota hai, aur Yahowa ke bhay manne ke dwara manushya burai karne se bach jate hain.
जब किसी का चाल चलन यहोवा को भावता है, तब वह उसके शत्रुओं का भी उस से मेल कराता है।
Jab kisi ka chaal chalan Yahowa ko bhavta hai, tab vah uske shatruon ka bhi us se mel karata hai.
अन्याय के बड़े लाभ से, न्याय से थोड़ा ही प्राप्त करना उत्तम है।
Anyaay ke bade laabh se, nyaay se thoda hi praapt karna uttam hai.
मनुष्य मन में अपने मार्ग पर विचार करता है, परन्तु यहोवा ही उसके पैरों को स्थिर करता है।
Manushya man mein apne maarg par vichaar karta hai, parantu Yahowa hi uske pairon ko sthir karta hai.
राजा के मुंह से दैवी वाणी निकलती है, न्याय करने में उस से चूक नहीं होती।
Raja ke munh se daivi vani nikalti hai, nyaay karne mein us se chook nahi hoti.
सच्चा तराजू और पलड़े यहोवा की ओर से होते हैं, थैली में जितने बटखरे हैं, सब उसी के बनवाए हुए हैं।
Sachcha taraju aur palde Yahowa ki or se hote hain, thaili mein jitne batakhre hain, sab usi ke banvaye hue hain.
दुष्टता करना राजाओं के लिये घृणित काम है, क्योंकि उनकी गद्दी धर्म ही से स्थिर रहती है।
Dushtata karna rajaon ke liye ghrinit kaam hai, kyonki unki gaddi dharm hi se sthir rahti hai.
धर्म की बात बोलने वालों से राजा प्रसन्न होता है, और जो सीधी बातें बोलता है, उस से वह प्रेम रखता है।
Dharm ki baat bolne valon se raja prasann hota hai, aur jo seedhi batein bolta hai, us se vah prem rakhta hai.
राजा का क्रोध मृत्यु के दूत के समान है, परन्तु बुद्धिमान मनुष्य उस को ठण्डा करता है।
Raja ka krodh mrityu ke doot ke samaan hai, parantu buddhimaan manushya us ko thanda karta hai.
राजा के मुख की चमक में जीवन रहता है, और उसकी प्रसन्नता बरसात के अन्त की घटा के समान होती है।
Raja ke mukh ki chamak mein jeevan rahta hai, aur uski prasannata barsaat ke ant ki ghata ke samaan hoti hai.
बुद्धि की प्राप्ति चोखे सोने से क्या ही उत्तम है! और समझ की प्राप्ति चान्दी से अति योग्य है।
Buddhi ki prapti chokhe sone se kya hi uttam hai! Aur samajh ki prapti chandi se ati yogya hai.
बुराई से हटना सीधे लोगों के लिये राजमार्ग है, जो अपने चाल चलन की चौकसी करता, वह अपने प्राण की भी रक्षा करता है।
Burai se hatna seedhe logon ke liye rajmaarg hai, jo apne chaal chalan ki chauksi karta, vah apne praan ki bhi raksha karta hai.
विनाश से पहिले गर्व, और ठोकर खाने से पहिले घमण्ड होता है।
Vinaash se pahile garva, aur thokar khane se pahile ghamand hota hai.
घमण्डियों के संग लूट बांट लेने से, दीन लोगों के संग नम्र भाव से रहना उत्तम है।
Ghamandiyon ke sang loot baant lene se, deen logon ke sang namra bhaav se rahna uttam hai.
जो वचन पर मन लगाता, वह कल्याण पाता है, और जो यहोवा पर भरोसा रखता, वह धन्य होता है।
Jo vachan par man lagata, vah kalyaan pata hai, aur jo Yahowa par bharosa rakhta, vah dhanya hota hai.
जिसके हृदय में बुद्धि है, वह समझ वाला कहलाता है, और मधुर वाणी के द्वारा ज्ञान बढ़ता है।
Jiske hriday mein buddhi hai, vah samajh vala kahlata hai, aur madhur vani ke dwara gyaan badhta hai.
जिसके बुद्धि है, उसके लिये वह जीवन का सोता है, परन्तु मूढ़ों को शिक्षा देना मूढ़ता ही होती है।
Jiske buddhi hai, uske liye vah jeevan ka sota hai, parantu moodhon ko shiksha dena moodhta hi hoti hai.
बुद्धिमान का मन उसके मुंह पर भी बुद्धिमानी प्रगट करता है, और उसके वचन में विद्या रहती है।
Buddhimaan ka man uske munh par bhi buddhimani pragat karta hai, aur uske vachan mein vidya rahti hai.
मन भावने वचन मधु भरे छते की नाईं प्राणों को मीठे लगते, और हड्डियों को हरी-भरी करते हैं।
Man bhavne vachan madhu bhare chhate ki nai pranon ko meethe lagte, aur haddiyon ko hari-bhari karte hain.
ऐसा भी मार्ग है, जो मनुष्य को सीधा देख पड़ता है, परन्तु उसके अन्त में मृत्यु ही मिलती है।
Aisa bhi maarg hai, jo manushya ko seedha dekh padta hai, parantu uske ant mein mrityu hi milti hai.
परिश्र्मी की लालसा उसके लिये परिश्रम करती है, उसकी भूख तो उस को उभारती रहती है।
Parishrmi ki lalsa uske liye parishram karti hai, uski bhookh to us ko ubharti rahti hai.
अधर्मी मनुष्य बुराई की युक्ति निकालता है, और उसके वचनों से आग लग जाती है।
Adharmi manushya burai ki yukti nikalta hai, aur uske vachnon se aag lag jati hai.
टेढ़ा मनुष्य बहुत झगड़े को उठाता है, और कानाफूसी करने वाला परम मित्रों में भी फूट करा देता है।
Tedha manushya bahut jhagde ko uthata hai, aur kanaphoosi karne vala param mitron mein bhi phoot kara deta hai.
उपद्रवी मनुष्य अपने पड़ोसी को फुसला कर कुमार्ग पर चलाता है।
Upadravi manushya apne padosi ko phusla kar kumaarg par chalata hai.
आंख मूंदने वाला छल की कल्पनाएं करता है, और ओंठ दबाने वाला बुराई करता है।
Aankh moondne vala chhal ki kalpanayen karta hai, aur onth dabane vala burai karta hai.
पक्के बाल शोभायमान मुकुट ठहरते हैं; वे धर्म के मार्ग पर चलने से प्राप्त होते हैं।
Pakke baal shobhaymaan mukut thaharte hain; ve dharm ke maarg par chalne se praapt hote hain.
विलम्ब से क्रोध करना वीरता से, और अपने मन को वश में रखना, नगर के जीत लेने से उत्तम है।
Vilamb se krodh karna veerta se, aur apne man ko vash mein rakhna, nagar ke jeet lene se uttam hai.
चिट्ठी डाली जाती तो है, परन्तु उसका निकलना यहोवा ही की ओर से होता है।
Chitthi dali jati to hai, parantu uska nikalna Yahowa hi ki or se hota hai.