कोमल उत्तर सुनने से जलजलाहट ठण्डी होती है, परन्तु कटुवचन से क्रोध धधक उठता है।
Komal uttar sunne se jalajlahat thandi hoti hai, parantu katuvchan se krodh dhadhak uthta hai.
Proverbs 15 · 33 verses
कोमल उत्तर सुनने से जलजलाहट ठण्डी होती है, परन्तु कटुवचन से क्रोध धधक उठता है।
Komal uttar sunne se jalajlahat thandi hoti hai, parantu katuvchan se krodh dhadhak uthta hai.
बुद्धिमान ज्ञान का ठीक बखान करते हैं, परन्तु मूर्खों के मुंह से मूढ़ता उबल आती है।
Buddhimaan gyaan ka theek bakhaan karte hain, parantu moorkhon ke munh se moodhta ubal aati hai.
यहोवा की आंखें सब स्थानों में लगी रहती हैं, वह बुरे भले दोनों को देखती रहती हैं।
Yahowa ki aankhein sab sthanon mein lagi rahti hain, vah bure bhale donon ko dekhti rahti hain.
शान्ति देने वाली बात जीवन-वृक्ष है, परन्तु उलट फेर की बात से आत्मा दु:खित होती है।
Shanti dene vali baat jeevan-vriksh hai, parantu ulat pher ki baat se aatma dukhit hoti hai.
मूढ़ अपने पिता की शिक्षा का तिरस्कार करता है, परन्तु जो डांट को मानता, वह चतुर हो जाता है।
Moodh apne pita ki shiksha ka tiraskaar karta hai, parantu jo daant ko manta, vah chatur ho jata hai.
धर्मी के घर में बहुत धन रहता है, परन्तु दुष्ट के उपार्जन में दु:ख रहता है।
Dharmi ke ghar mein bahut dhan rahta hai, parantu dusht ke uparjan mein dukh rahta hai.
बुद्धिमान लोग बातें करने से ज्ञान को फैलाते हैं, परन्तु मूर्खों का मन ठीक नहीं रहता।
Buddhimaan log batein karne se gyaan ko phailate hain, parantu moorkhon ka man theek nahi rahta.
दुष्ट लोगों के बलिदान से यहोवा घृणा करता है, परन्तु वह सीधे लोगों की प्रार्थना से प्रसन्न होता है।
Dusht logon ke balidaan se Yahowa ghrina karta hai, parantu vah seedhe logon ki prarthana se prasann hota hai.
दुष्ट के चाल चलन से यहोवा को घृणा आती है, परन्तु जो धर्म का पीछा करता उस से वह प्रेम रखता है।
Dusht ke chaal chalan se Yahowa ko ghrina aati hai, parantu jo dharm ka peechha karta us se vah prem rakhta hai.
जो मार्ग को छोड़ देता, उस को बड़ी ताड़ना मिलती है, और जो डांट से बैर रखता, वह अवश्य मर जाता है।
Jo maarg ko chhod deta, us ko badi tadna milti hai, aur jo daant se bair rakhta, vah avashya mar jata hai.
जब कि अधोलोक और विनाशलोक यहोवा के साम्हने खुले रहते हैं, तो निश्चय मनुष्यों के मन भी।
Jab ki adholok aur vinashlok Yahowa ke samhane khule rahte hain, to nishchay manushyon ke man bhi.
ठट्ठा करने वाला डांटे जाने से प्रसन्न नहीं होता, और न वह बुद्धिमानों के पास जाता है।
Thattha karne vala dante jane se prasann nahi hota, aur na vah buddhimanon ke paas jata hai.
मन आनन्दित होने से मुख पर भी प्रसन्नता छा जाती है, परन्तु मन के दु:ख से आत्मा निराश होती है।
Man aanandit hone se mukh par bhi prasannata chha jati hai, parantu man ke dukh se aatma niraash hoti hai.
समझने वाले का मन ज्ञान की खोज में रहता है, परन्तु मूर्ख लोग मूढ़ता से पेट भरते हैं।
Samajhne vale ka man gyaan ki khoj mein rahta hai, parantu moorkh log moodhta se pet bharte hain.
दुखिया के सब दिन दु:ख भरे रहते हैं, परन्तु जिसका मन प्रसन्न रहता है, वह मानो नित्य भोज में जाता है।
Dukhiya ke sab din dukh bhare rahte hain, parantu jiska man prasann rahta hai, vah mano nitya bhoj mein jata hai.
घबराहट के साथ बहुत रखे हुए धन से, यहोवा के भय के साथ थोड़ा ही धन उत्तम है,
Ghabrahat ke saath bahut rakhe hue dhan se, Yahowa ke bhay ke saath thoda hi dhan uttam hai,
प्रेम वाले घर में साग पात का भोजन, बैर वाले घर में पाले हुए बैल का मांस खाने से उत्तम है।
Prem vale ghar mein saag paat ka bhojan, bair vale ghar mein pale hue bail ka maans khane se uttam hai.
क्रोधी पुरूष झगड़ा मचाता है, परन्तु जो विलम्ब से क्रोध करने वाला है, वह मुकद्दमों को दबा देता है।
Krodhi puroosh jhagda machata hai, parantu jo vilamb se krodh karne vala hai, vah mukaddamon ko daba deta hai.
आलसी का मार्ग कांटों से रून्धा हुआ होता है, परन्तु सीधे लोगों का मार्ग राजमार्ग ठहरता है।
Aalsi ka maarg kanton se roondha huaa hota hai, parantu seedhe logon ka maarg rajmaarg thaharta hai.
बुद्धिमान पुत्र से पिता आनन्दित होता है, परन्तु मूर्ख अपनी माता को तुच्छ जानता है।
Buddhimaan putra se pita aanandit hota hai, parantu moorkh apni mata ko tuchchh janta hai.
निर्बुद्धि को मूढ़ता से आनन्द होता है, परन्तु समझ वाला मनुष्य सीधी चाल चलता है।
Nirbuddhi ko moodhta se aanand hota hai, parantu samajh vala manushya seedhi chaal chalta hai.
बिना सम्मति की कल्पनाएं निष्फल हुआ करती हैं, परन्तु बहुत से मंत्रियों की सम्मत्ति से बात ठहरती है।
Bina sammati ki kalpanayen nishphal huaa karti hain, parantu bahut se mantriyon ki sammatti se baat thaharti hai.
सज्जन उत्तर देने से आनन्दित होता है, और अवसर पर कहा हुआ वचन क्या ही भला होता है!
Sajjan uttar dene se aanandit hota hai, aur avsar par kaha huaa vachan kya hi bhala hota hai!
बुद्धिमान के लिये जीवन का मार्ग ऊपर की ओर जाता है, इस रीति से वह अधोलोक में पड़ने से बच जाता है।
Buddhimaan ke liye jeevan ka maarg oopar ki or jata hai, is reeti se vah adholok mein padne se bach jata hai.
यहोवा अहंकारियों के घर को ढा देता है, परन्तु विधवा के सिवाने को अटल रखता है।
Yahowa ahankariyon ke ghar ko dha deta hai, parantu vidhva ke sivane ko atal rakhta hai.
बुरी कल्पनाएं यहोवा को घिनौनी लगती हैं, परन्तु शुद्ध जन के वचन मनभावने हैं।
Buri kalpanayen Yahowa ko ghinauni lagti hain, parantu shuddh jan ke vachan manbhavne hain.
लालची अपने घराने को दु:ख देता है, परन्तु घूस से घृणा करने वाला जीवित रहता है।
Lalchi apne gharane ko dukh deta hai, parantu ghoos se ghrina karne vala jeevit rahta hai.
धर्मी मन में सोचता है कि क्या उत्तर दूं, परन्तु दुष्टों के मुंह से बुरी बातें उबल आती हैं।
Dharmi man mein sochta hai ki kya uttar dun, parantu dushton ke munh se buri batein ubal aati hain.
यहोवा दुष्टों से दूर रहता है, परन्तु धर्मियों की प्रार्थना सुनता है।
Yahowa dushton se door rahta hai, parantu dharmiyon ki prarthana sunta hai.
आंखों की चमक से मन को आनन्द होता है, और अच्छे समाचार से हड्डियां पुष्ट होती हैं।
Aankhon ki chamak se man ko aanand hota hai, aur achchhe samachaar se haddiyan pusht hoti hain.
जो जीवनदायी डांट कान लगा कर सुनता है, वह बुद्धिमानों के संग ठिकाना पाता है।
Jo jeevandayi daant kaan laga kar sunta hai, vah buddhimanon ke sang thikana pata hai.
जो शिक्षा को सुनी-अनसुनी करता, वह अपने प्राण को तुच्छ जानता है, परन्तु जो डांट को सुनता, वह बुद्धि प्राप्त करता है।
Jo shiksha ko suni-ansuni karta, vah apne praan ko tuchchh janta hai, parantu jo daant ko sunta, vah buddhi praapt karta hai.
यहोवा के भय मानने से शिक्षा प्राप्त होती है, और महिमा से पहिले नम्रता होती है॥
Yahowa ke bhay manne se shiksha praapt hoti hai, aur mahima se pahile namrata hoti hai.