हर बुद्धिमान स्त्री अपने घर को बनाती है, पर मूढ़ स्त्री उस को अपने ही हाथों से ढा देती है।
Har buddhimaan stri apne ghar ko banati hai, par moodh stri us ko apne hi hathon se dha deti hai.
Proverbs 14 · 35 verses
हर बुद्धिमान स्त्री अपने घर को बनाती है, पर मूढ़ स्त्री उस को अपने ही हाथों से ढा देती है।
Har buddhimaan stri apne ghar ko banati hai, par moodh stri us ko apne hi hathon se dha deti hai.
जो सीधाई से चलता वह यहोवा का भय मानने वाला है, परन्तु जो टेढ़ी चाल चलता वह उस को तुच्छ जानने वाला ठहरता है।
Jo seedhai se chalta vah Yahowa ka bhay manne vala hai, parantu jo tedhi chaal chalta vah us ko tuchchh janne vala thaharta hai.
मूढ़ के मुंह में गर्व का अंकुर है, परन्तु बुद्धिमान लोग अपने वचनों के द्वारा रक्षा पाते हैं।
Moodh ke munh mein garva ka ankur hai, parantu buddhimaan log apne vachnon ke dwara raksha pate hain.
जहां बैल नहीं, वहां गौशाला निर्मल तो रहती है, परन्तु बैल के बल से अनाज की बढ़ती होती है।
Jahan bail nahi, vahan gaushala nirmal to rahti hai, parantu bail ke bal se anaaj ki badhti hoti hai.
सच्चा साक्षी झूठ नहीं बोलता, परन्तु झूठा साक्षी झूठी बातें उड़ाता है।
Sachcha sakshi jhooth nahi bolta, parantu jhootha sakshi jhoothi batein udata hai.
ठट्ठा करने वाला बुद्धि को ढूंढ़ता, परन्तु नहीं पाता, परन्तु समझ वाले को ज्ञान सहज से मिलता है।
Thattha karne vala buddhi ko dhoondhta, parantu nahi pata, parantu samajh vale ko gyaan sahaj se milta hai.
मूर्ख से अलग हो जा, तू उस से ज्ञान की बात न पाएगा।
Moorkh se alag ho ja, tu us se gyaan ki baat na payega.
चतुर की बुद्धि अपनी चाल का जानना है, परन्तु मूर्खों की मूढ़ता छल करना है।
Chatur ki buddhi apni chaal ka janna hai, parantu moorkhon ki moodhta chhal karna hai.
मूढ़ लोग दोषी होने को ठट्ठा जानते हैं, परन्तु सीधे लोगों के बीच अनुग्रह होता है।
Moodh log doshi hone ko thattha jante hain, parantu seedhe logon ke beech anugrah hota hai.
मन अपना ही दु:ख जानता है, और परदेशी उसके आनन्द में हाथ नहीं डाल सकता।
Man apna hi dukh janta hai, aur pardeshi uske aanand mein haath nahi daal sakta.
दुष्टों का घर विनाश हो जाता है, परन्तु सीधे लोगों के तम्बू में आबादी होती है।
Dushton ka ghar vinaash ho jata hai, parantu seedhe logon ke tambu mein aabadi hoti hai.
ऐसा मार्ग है, जो मनुष्य को ठीक देख पड़ता है, परन्तु उसके अन्त में मृत्यु ही मिलती है।
Aisa maarg hai, jo manushya ko theek dekh padta hai, parantu uske ant mein mrityu hi milti hai.
हंसी के समय भी मन उदास होता है, और आनन्द के अन्त में शोक होता है।
Hansi ke samay bhi man udaas hota hai, aur aanand ke ant mein shok hota hai.
जिसका मन ईश्वर की ओर से हट जाता है, वह अपनी चाल चलन का फल भोगता है, परन्तु भला मनुष्य आप ही आप सन्तुष्ट होता है।
Jiska man ishwar ki or se hat jata hai, vah apni chaal chalan ka phal bhogta hai, parantu bhala manushya aap hi aap santusht hota hai.
भोला तो हर एक बात को सच मानता है, परन्तु चतुर मनुष्य समझ बूझ कर चलता है।
Bhola to har ek baat ko sach manta hai, parantu chatur manushya samajh boojh kar chalta hai.
बुद्धिमान डर कर बुराई से हटता है, परन्तु मूर्ख ढीठ हो कर निडर रहता है।
Buddhimaan dar kar burai se hatta hai, parantu moorkh dheeth ho kar nidar rahta hai.
जो झट क्रोध करे, वह मूढ़ता का काम भी करेगा, और जो बुरी युक्तियां निकालता है, उस से लोग बैर रखते हैं।
Jo jhat krodh kare, vah moodhta ka kaam bhi karega, aur jo buri yuktiyan nikalta hai, us se log bair rakhte hain.
भोलों का भाग मूढ़ता ही होता है, परन्तु चतुरों को ज्ञानरूपी मुकुट बान्धा जाता है।
Bholon ka bhaag moodhta hi hota hai, parantu chaturon ko gyanroopi mukut bandha jata hai.
बुरे लोग भलों के सम्मुख, और दुष्ट लोग धर्मी के फाटक पर दण्डवत करते हैं।
Bure log bhalon ke sammukh, aur dusht log dharmi ke phatak par dandavat karte hain.
निर्धन का पड़ोसी भी उस से घृणा करता है, परन्तु धनी के बहुतेरे प्रेमी होते हैं।
Nirdhan ka padosi bhi us se ghrina karta hai, parantu dhani ke bahutere premi hote hain.
जो अपने पड़ोसी को तुच्छ जानता, वह पाप करता है, परन्तु जो दीन लोगों पर अनुग्रह करता, वह धन्य होता है।
Jo apne padosi ko tuchchh janta, vah paap karta hai, parantu jo deen logon par anugrah karta, vah dhanya hota hai.
जो बुरी युक्ति निकालते हैं, क्या वे भ्रम में नहीं पड़ते? परन्तु भली युक्ति निकालने वालों से करूणा और सच्चाई का व्यवहार किया जाता है।
Jo buri yukti nikalte hain, kya ve bhram mein nahi padte? Parantu bhali yukti nikalne valon se karoona aur sachchai ka vyavhaar kiya jata hai.
परिश्रम से सदा लाभ होता है, परन्तु बकवाद करने से केवल घटती होती है।
Parishram se sada laabh hota hai, parantu bakvaad karne se keval ghatti hoti hai.
बुद्धिमानों का धन उन का मुकुट ठहरता है, परन्तु मूर्खों की मूढ़ता निरी मूढ़ता है।
Buddhimanon ka dhan un ka mukut thaharta hai, parantu moorkhon ki moodhta niri moodhta hai.
सच्चा साक्षी बहुतों के प्राण बचाता है, परन्तु जो झूठी बातें उड़ाया करता है उस से धोखा ही होता है।
Sachcha sakshi bahuton ke praan bachata hai, parantu jo jhoothi batein udaya karta hai us se dhokha hi hota hai.
यहोवा के भय मानने से दृढ़ भरोसा होता है, और उसके पुत्रों को शरणस्थान मिलता है।
Yahowa ke bhay manne se dridh bharosa hota hai, aur uske putron ko sharnasthaan milta hai.
यहोवा का भय मानना, जीवन का सोता है, और उसके द्वारा लोग मृत्यु के फन्दों से बच जाते हैं।
Yahowa ka bhay manna, jeevan ka sota hai, aur uske dwara log mrityu ke phandon se bach jate hain.
राजा की महिमा प्रजा की बहुतायत से होती है, परन्तु जहां प्रजा नहीं, वहां हाकिम नाश हो जाता है।
Raja ki mahima praja ki bahutayat se hoti hai, parantu jahan praja nahi, vahan hakim naash ho jata hai.
जो विलम्ब से क्रोध करने वाला है वह बड़ा समझ वाला है, परन्तु जो अधीर है, वह मूढ़ता की बढ़ती करता है।
Jo vilamb se krodh karne vala hai vah bada samajh vala hai, parantu jo adheer hai, vah moodhta ki badhti karta hai.
शान्त मन, तन का जीवन है, परन्तु मन के जलने से हड्डियां भी जल जाती हैं।
Shaant man, tan ka jeevan hai, parantu man ke jalne se haddiyan bhi jal jati hain.
जो कंगाल पर अंधेर करता, वह उसके कर्ता की निन्दा करता है, परन्तु जो दरिद्र पर अनुग्रह करता, वह उसकी महिमा करता है।
Jo kangaal par andher karta, vah uske karta ki ninda karta hai, parantu jo daridra par anugrah karta, vah uski mahima karta hai.
दुष्ट मनुष्य बुराई करता हुआ नाश हो जाता है, परन्तु धर्मी को मृत्यु के समय भी शरण मिलती है।
Dusht manushya burai karta huaa naash ho jata hai, parantu dharmi ko mrityu ke samay bhi sharan milti hai.
समझ वाले के मन में बुद्धि वास किए रहती है, परन्तु मूर्खों के अन्त:काल में जो कुछ है वह प्रगट हो जाता है।
Samajh vale ke man mein buddhi vaas kiye rahti hai, parantu moorkhon ke antakaal mein jo kuchh hai vah pragat ho jata hai.
जाति की बढ़ती धर्म ही से होती है, परन्तु पाप से देश के लोगों का अपमान होता है।
Jati ki badhti dharm hi se hoti hai, parantu paap se desh ke logon ka apmaan hota hai.
जो कर्मचारी बुद्धि से काम करता है उस पर राजा प्रसन्न होता है, परन्तु जो लज्जा के काम करता, उस पर वह रोष करता है॥
Jo karmachari buddhi se kaam karta hai us par raja prasann hota hai, parantu jo lajja ke kaam karta, us par vah rosh karta hai.