Proverbs 13 · 25 verses

नीतिवचन 13 Proverbs 13 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Neetivchan 13.

1

बुद्धिमान पुत्रा पिता की शिक्षा सुनता है, परन्तु ठट्ठा करने वाला घुड़की को भी नहीं सुनता।

Buddhimaan putra pita ki shiksha sunta hai, parantu thattha karne vala ghudki ko bhi nahi sunta.

2

सज्जन अपनी बातों के कारण उत्तम वस्तु खाने पाता है, परन्तु विश्वासघाती लोगों का पेट उपद्रव से भरता है।

Sajjan apni baton ke karan uttam vastu khane pata hai, parantu vishwasghati logon ka pet upadrav se bharta hai.

3

जो अपने मुंह की चौकसी करता है, वह अपने प्राण की रक्षा करता है, परन्तु जो गाल बजाता है उसका विनाश जो जाता है।

Jo apne munh ki chauksi karta hai, vah apne praan ki raksha karta hai, parantu jo gaal bajata hai uska vinaash jo jata hai.

4

आलसी का प्राण लालसा तो करता है, और उस को कुछ नहीं मिलता, परन्तु कामकाजी हृष्ट पुष्ट हो जाते हैं।

Aalsi ka praan lalsa to karta hai, aur us ko kuchh nahi milta, parantu kamkaji hrisht pusht ho jate hain.

5

धर्मी झूठे वचन से बैर रखता है, परन्तु दुष्ट लज्जा का कारण और लज्जित हो जाता है।

Dharmi jhoothe vachan se bair rakhta hai, parantu dusht lajja ka karan aur lajjit ho jata hai.

6

धर्म खरी चाल चलने वाले की रक्षा करता है, परन्तु पापी अपनी दुष्टता के कारण उलट जाता है।

Dharm khari chaal chalne vale ki raksha karta hai, parantu papi apni dushtata ke karan ulat jata hai.

7

कोई तो धन बटोरता, परन्तु उसके पास कुछ नहीं रहता, और कोई धन उड़ा देता, तौभी उसके पास बहुत रहता है।

Koi to dhan batorta, parantu uske paas kuchh nahi rahta, aur koi dhan uda deta, taubhi uske paas bahut rahta hai.

8

प्राण की छुड़ौती मनुष्य का धन है, परन्तु निर्धन घुड़की को सुनता भी नहीं।

Praan ki chhudauti manushya ka dhan hai, parantu nirdhan ghudki ko sunta bhi nahi.

9

धर्मियों की ज्योति आनन्द के साथ रहती है, परन्तु दुष्टों का दिया बुझ जाता है।

Dharmiyon ki jyoti aanand ke saath rahti hai, parantu dushton ka diya bujh jata hai.

10

झगड़े रगड़े केवल अंहकार ही से होते हैं, परन्तु जो लोग सम्मति मानते हैं, उनके पास बुद्धि रहती है।

Jhagde ragde keval anhkaar hi se hote hain, parantu jo log sammati mante hain, unke paas buddhi rahti hai.

11

निर्धन के पास माल नहीं रहता, परन्तु जो अपने परिश्रम से बटोरता, उसकी बढ़ती होती है।

Nirdhan ke paas maal nahi rahta, parantu jo apne parishram se batorta, uski badhti hoti hai.

12

जब आशा पूरी होने में विलम्ब होता है, तो मन शिथिल होता है, परन्तु जब लालसा पूरी होती है, तब जीवन का वृक्ष लगता है।

Jab aasha poori hone mein vilamb hota hai, to man shithil hota hai, parantu jab lalsa poori hoti hai, tab jeevan ka vriksh lagta hai.

13

जो वचन को तुच्छ जानता, वह नाश हो जाता है, परन्तु आज्ञा के डरवैये को अच्छा फल मिलता है।

Jo vachan ko tuchchh janta, vah naash ho jata hai, parantu aagya ke darvaiye ko achchha phal milta hai.

14

बुद्धिमान की शिक्षा जीवन का सोता है, और उसके द्वारा लोग मृत्यु के फन्दों से बच सकते हैं।

Buddhimaan ki shiksha jeevan ka sota hai, aur uske dwara log mrityu ke phandon se bach sakte hain.

15

सुबुद्धि के कारण अनुग्रह होता है, परन्तु विश्वासघातियों का मार्ग कड़ा होता है।

Subuddhi ke karan anugrah hota hai, parantu vishwasghatiyon ka maarg kada hota hai.

16

सब चतुर तो ज्ञान से काम करते हैं, परन्तु मूर्ख अपनी मूढ़ता फैलाता है।

Sab chatur to gyaan se kaam karte hain, parantu moorkh apni moodhta phailata hai.

17

दुष्ट दूत बुराई में फंसता है, परन्तु विश्वासयोग्य दूत से कुशल क्षेम होता है।

Dusht doot burai mein phansta hai, parantu vishwasyogya doot se kushal kshem hota hai.

18

जो शिक्षा को सुनी- अनसुनी करता वह निर्धन होता और अपमान पाता है, परन्तु जो डांट को मानता, उसकी महिमा होती है।

Jo shiksha ko suni- ansuni karta vah nirdhan hota aur apmaan pata hai, parantu jo daant ko manta, uski mahima hoti hai.

19

लालसा का पूरा होना तो प्राण को मीठा लगता है, परन्तु बुराई से हटना, मूर्खों के प्राण को बुरा लगता है।

Lalsa ka poora hona to praan ko meetha lagta hai, parantu burai se hatna, moorkhon ke praan ko bura lagta hai.

20

बुद्धिमानों की संगति कर, तब तू भी बुद्धिमान हो जाएगा, परन्तु मूर्खों का साथी नाश हो जाएगा।

Buddhimanon ki sangti kar, tab tu bhi buddhimaan ho jayega, parantu moorkhon ka sathi naash ho jayega.

21

बुराई पापियों के पीछे पड़ती है, परन्तु धर्मियों को अच्छा फल मिलता है।

Burai papiyon ke peechhe padti hai, parantu dharmiyon ko achchha phal milta hai.

22

भला मनुष्य अपने नाती- पोतों के लिये भाग छोड़ जाता है, परन्तु पापी की सम्पत्ति धर्मी के लिये रखी जाती है।

Bhala manushya apne nati- poton ke liye bhaag chhod jata hai, parantu papi ki sampatti dharmi ke liye rakhi jati hai.

23

निर्बल लोगों को खेती बारी से बहुत भोजनवस्तु मिलती है, परन्तु ऐसे लोग भी हैं जो अन्याय के कारण मिट जाते हैं।

Nirbal logon ko kheti bari se bahut bhojanvastu milti hai, parantu aise log bhi hain jo anyaay ke karan mit jate hain.

24

जो बेटे पर छड़ी नहीं चलाता वह उसका बैरी है, परन्तु जो उस से प्रेम रखता, वह यत्न से उस को शिक्षा देता है।

Jo bete par chhadi nahi chalata vah uska bairi hai, parantu jo us se prem rakhta, vah yatn se us ko shiksha deta hai.

25

धर्मी पेट भर खाने पाता है, परन्तु दुष्ट भूखे ही रहते हैं॥

Dharmi pet bhar khane pata hai, parantu dusht bhookhe hi rahte hain.