जो शिक्षा पाने में प्रीति रखता है वह ज्ञान से प्रीति रखता है, परन्तु जो डांट से बैर रखता, वह पशु सरीखा है।
Jo shiksha pane mein preeti rakhta hai vah gyaan se preeti rakhta hai, parantu jo daant se bair rakhta, vah pashu sareekha hai.
Proverbs 12 · 28 verses
जो शिक्षा पाने में प्रीति रखता है वह ज्ञान से प्रीति रखता है, परन्तु जो डांट से बैर रखता, वह पशु सरीखा है।
Jo shiksha pane mein preeti rakhta hai vah gyaan se preeti rakhta hai, parantu jo daant se bair rakhta, vah pashu sareekha hai.
भले मनुष्य से तो यहोवा प्रसन्न होता है, परन्तु बुरी युक्ति करने वाले को वह दोषी ठहराता है।
Bhale manushya se to Yahowa prasann hota hai, parantu buri yukti karne vale ko vah doshi thahrata hai.
कोई मनुष्य दुष्टता के कारण स्थिर नहीं होता, परन्तु धर्मियों की जड़ उखड़ने की नहीं।
Koi manushya dushtata ke karan sthir nahi hota, parantu dharmiyon ki jad ukhadne ki nahi.
भली स्त्री अपने पति का मुकुट है, परन्तु जो लज्जा के काम करती वह मानो उसकी हड्डियों के सड़ने का कारण होती है।
Bhali stri apne pati ka mukut hai, parantu jo lajja ke kaam karti vah mano uski haddiyon ke sadne ka karan hoti hai.
धर्मियों की कल्पनाएं न्याय ही की होती हैं, परन्तु दुष्टों की युक्तियां छल की हैं।
Dharmiyon ki kalpanayen nyaay hi ki hoti hain, parantu dushton ki yuktiyan chhal ki hain.
दुष्टों की बातचीत हत्या करने के लिये घात लगाने के विषय में होती है, परन्तु सीधे लोग अपने मुंह की बात के द्वारा छुड़ाने वाले होते हैं।
Dushton ki batcheet hatya karne ke liye ghaat lagane ke vishay mein hoti hai, parantu seedhe log apne munh ki baat ke dwara chhudane vale hote hain.
जब दुष्ट लोग उलटे जाते हैं तब वे रहते ही नहीं, परन्तु धर्मियों का घर स्थिर रहता है।
Jab dusht log ulte jate hain tab ve rahte hi nahi, parantu dharmiyon ka ghar sthir rahta hai.
मनुष्य कि बुद्धि के अनुसार उसकी प्रशंसा होती है, परन्तु कुटिल तुच्छ जाना जाता है।
Manushya ki buddhi ke anusaar uski prashansa hoti hai, parantu kutil tuchchh jana jata hai.
जो रोटी की आस लगाए रहता है, और बड़ाई मारता है, उस से दास रखने वाला तुच्छ मनुष्य भी उत्तम है।
Jo roti ki aas lagaye rahta hai, aur badai marta hai, us se daas rakhne vala tuchchh manushya bhi uttam hai.
धर्मी अपने पशु के भी प्राण की सुधि रखता है, परन्तु दुष्टों की दया भी निर्दयता है।
Dharmi apne pashu ke bhi praan ki sudhi rakhta hai, parantu dushton ki daya bhi nirdayta hai.
जो अपनी भूमि को जोतता, वह पेट भर खाता है, परन्तु जो निकम्मों की संगति करता, वह निर्बुद्धि ठहरता है।
Jo apni bhoomi ko jotta, vah pet bhar khata hai, parantu jo nikammon ki sangti karta, vah nirbuddhi thaharta hai.
दुष्ट जन बुरे लोगों के जाल की अभिलाषा करते हैं, परन्तु धर्मियों की जड़ हरी भरी रहती है।
Dusht jan bure logon ke jaal ki abhilasha karte hain, parantu dharmiyon ki jad hari bhari rahti hai.
बुरा मनुष्य अपने दुर्वचनों के कारण फन्दे में फंसता है, परन्तु धर्मी संकट से निकास पाता है।
Bura manushya apne durvachnon ke karan phande mein phansta hai, parantu dharmi sankat se nikaas pata hai.
सज्जन अपने वचनों के फल के द्वारा भलाई से तृप्त होता है, और जैसी जिसकी करनी वैसी उसकी भरनी होती है।
Sajjan apne vachnon ke phal ke dwara bhalai se tript hota hai, aur jaisi jiski karni vaisi uski bharni hoti hai.
मूढ़ को अपनी ही चाल सीधी जान पड़ती है, परन्तु जो सम्मति मानता, वह बुद्धिमान है।
Moodh ko apni hi chaal seedhi jaan padti hai, parantu jo sammati manta, vah buddhimaan hai.
मूढ़ की रिस उसी दिन प्रगट हो जाती है, परन्तु चतुर अपमान को छिपा रखता है।
Moodh ki ris usi din pragat ho jati hai, parantu chatur apmaan ko chhipa rakhta hai.
जो सच बोलता है, वह धर्म प्रगट करता है, परन्तु जो झूठी साक्षी देता, वह छल प्रगट करता है।
Jo sach bolta hai, vah dharm pragat karta hai, parantu jo jhoothi sakshi deta, vah chhal pragat karta hai.
ऐसे लोग हैं जिनका बिना सोच विचार का बोलना तलवार की नाईं चुभता है, परन्तु बुद्धिमान के बोलने से लोग चंगे होते हैं।
Aise log hain jinka bina soch vichaar ka bolna talvaar ki nai chubhta hai, parantu buddhimaan ke bolne se log change hote hain.
सच्चाई सदा बनी रहेगी, परन्तु झूठ पल ही भर का होता है।
Sachchai sada bani rahegi, parantu jhooth pal hi bhar ka hota hai.
बुरी युक्ति करने वालों के मन में छल रहता है, परन्तु मेल की युक्ति करने वालों को आनन्द होता है।
Buri yukti karne valon ke man mein chhal rahta hai, parantu mel ki yukti karne valon ko aanand hota hai.
धर्मी को हानि नहीं होती है, परन्तु दुष्ट लोग सारी विपत्ति में डूब जाते हैं।
Dharmi ko hani nahi hoti hai, parantu dusht log sari vipatti mein doob jate hain.
झूठों से यहोवा को घृणा आती है परन्तु जो विश्वास से काम करते हैं, उन से वह प्रसन्न होता है।
Jhoothon se Yahowa ko ghrina aati hai parantu jo vishwaas se kaam karte hain, un se vah prasann hota hai.
चतुर मनुष्य ज्ञान को प्रगट नहीं करता है, परन्तु मूढ़ अपने मन की मूढ़ता ऊंचे शब्द से प्रचार करता है।
Chatur manushya gyaan ko pragat nahi karta hai, parantu moodh apne man ki moodhta oonche shabd se prachaar karta hai.
कामकाजी लोग प्रभुता करते हैं, परन्तु आलसी बेगारी में पकड़े जाते हैं।
Kamkaji log prabhuta karte hain, parantu aalsi begari mein pakde jate hain.
उदास मन दब जाता है, परन्तु भली बात से वह आनन्दित होता है।
Udaas man dab jata hai, parantu bhali baat se vah aanandit hota hai.
धर्मी अपने पड़ोसी की अगुवाई करता है, परन्तु दुष्ट लोग अपनी ही चाल के कारण भटक जाते हैं।
Dharmi apne padosi ki aguvai karta hai, parantu dusht log apni hi chaal ke karan bhatak jate hain.
आलसी अहेर का पीछा नहीं करता, परन्तु कामकाजी को अनमोल वस्तु मिलती है।
Aalsi aher ka peechha nahi karta, parantu kamkaji ko anmol vastu milti hai.
धर्म की बाट में जीवन मिलता है, और उसके पथ में मृत्यु का पता भी नहीं॥
Dharm ki baat mein jeevan milta hai, aur uske path mein mrityu ka pata bhi nahi.