Proverbs 11 · 31 verses

नीतिवचन 11 Proverbs 11 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Neetivchan 11.

1

छल के तराजू से यहोवा को घृणा आती है, परन्तु वह पूरे बटखरे से प्रसन्न होता है।

Chhal ke taraju se Yahowa ko ghrina aati hai, parantu vah poore batakhre se prasann hota hai.

2

जब अभिमान होता, तब अपमान भी होता है, परन्तु नम्र लोगों में बुद्धि होती है।

Jab abhimaan hota, tab apmaan bhi hota hai, parantu namra logon mein buddhi hoti hai.

3

सीधे लोग अपनी खराई से अगुवाई पाते हैं, परन्तु विश्वासघाती अपने कपट से विनाश होते हैं।

Seedhe log apni kharai se aguvai pate hain, parantu vishwasghati apne kapat se vinaash hote hain.

4

कोप के दिन धन से तो कुछ लाभ नहीं होता, परन्तु धर्म मृत्यु से भी बचाता है।

Kop ke din dhan se to kuchh laabh nahi hota, parantu dharm mrityu se bhi bachata hai.

5

खरे मनुष्य का मार्ग धर्म के कारण सीधा होता है, परन्तु दुष्ट अपनी दुष्टता के कारण गिर जाता है।

Khare manushya ka maarg dharm ke karan seedha hota hai, parantu dusht apni dushtata ke karan gir jata hai.

6

सीधे लोगों को बचाव उनके धर्म के कारण होता है, परन्तु विश्वासघाती लोग अपनी ही दुष्टता में फंसते हैं।

Seedhe logon ko bachaav unke dharm ke karan hota hai, parantu vishwasghati log apni hi dushtata mein phanste hain.

7

जब दुष्ट मरता, तब उसकी आशा टूट जाती है, और अधर्मी की आशा व्यर्थ होती है।

Jab dusht marta, tab uski aasha toot jati hai, aur adharmi ki aasha vyarth hoti hai.

8

धर्मी विपत्ति से छूट जाता है, परन्तु दुष्ट उसी विपत्ति में पड़ जाता है।

Dharmi vipatti se chhoot jata hai, parantu dusht usi vipatti mein pad jata hai.

9

भक्तिहीन जन अपने पड़ोसी को अपने मुंह की बात से बिगाड़ता है, परन्तु धर्मी लोग ज्ञान के द्वारा बचते हैं।

Bhaktiheen jan apne padosi ko apne munh ki baat se bigadta hai, parantu dharmi log gyaan ke dwara bachte hain.

10

जब धर्मियों का कल्याण होता है, तब नगर के लोग प्रसन्न होते हैं, परन्तु जब दुष्ट नाश होते, तब जय-जयकार होता है।

Jab dharmiyon ka kalyaan hota hai, tab nagar ke log prasann hote hain, parantu jab dusht naash hote, tab jay-jaykaar hota hai.

11

सीधे लोगों के आशीर्वाद से नगर की बढ़ती होती है, परन्तु दुष्टों के मुंह की बात से वह ढाया जाता है।

Seedhe logon ke aasheervaad se nagar ki badhti hoti hai, parantu dushton ke munh ki baat se vah dhaya jata hai.

12

जो अपने पड़ोसी को तुच्छ जानता है, वह निर्बुद्धि है, परन्तु समझदार पुरूष चुपचाप रहता है।

Jo apne padosi ko tuchchh janta hai, vah nirbuddhi hai, parantu samajhdaar puroosh chupchaap rahta hai.

13

जो लुतराई करता फिरता वह भेद प्रगट करता है, परन्तु विश्वासयोग्य मनुष्य बात को छिपा रखता है।

Jo lutrai karta phirta vah bhed pragat karta hai, parantu vishwasyogya manushya baat ko chhipa rakhta hai.

14

जहां बुद्धि की युक्ति नहीं, वहां प्रजा विपत्ति में पड़ती है; परन्तु सम्मति देने वालों की बहुतायत के कारण बचाव होता है।

Jahan buddhi ki yukti nahi, vahan praja vipatti mein padti hai; parantu sammati dene valon ki bahutayat ke karan bachaav hota hai.

15

जो परदेशी का उत्तरदायी होता है, वह बड़ा दु:ख उठाता है, परन्तु जो उत्तरदायित्व से घृणा करता, वह निडर रहता है।

Jo pardeshi ka uttardayi hota hai, vah bada dukh uthata hai, parantu jo uttardayitva se ghrina karta, vah nidar rahta hai.

16

अनुग्रह करने वाली स्त्री प्रतिष्ठा नहीं खोती है, और बलात्कारी लोग धन को नहीं खोते।

Anugrah karne vali stri pratishtha nahi khoti hai, aur balatkari log dhan ko nahi khote.

17

कृपालु मनुष्य अपना ही भला करता है, परन्तु जो क्रूर है, वह अपनी ही देह को दु:ख देता है।

Kripalu manushya apna hi bhala karta hai, parantu jo kroor hai, vah apni hi deh ko dukh deta hai.

18

दुष्ट मिथ्या कमाई कमाता है, परन्तु जो धर्म का बीज बोता, उस को निश्चय फल मिलता है।

Dusht mithya kamai kamata hai, parantu jo dharm ka beej bota, us ko nishchay phal milta hai.

19

जो धर्म में दृढ़ रहता, वह जीवन पाता है, परन्तु जो बुराई का पीछा करता, वह मृत्यु का कौर हो जाता है।

Jo dharm mein dridh rahta, vah jeevan pata hai, parantu jo burai ka peechha karta, vah mrityu ka kaur ho jata hai.

20

जो मन के टेढ़े है, उन से यहोवा को घृणा आती है, परन्तु वह खरी चाल वालों से प्रसन्न रहता है।

Jo man ke tedhe hai, un se Yahowa ko ghrina aati hai, parantu vah khari chaal valon se prasann rahta hai.

21

मैं दृढ़ता के साथ कहता हूं, बुरा मनुष्य निर्दोष न ठहरेगा, परन्तु धर्मी का वंश बचाया जाएगा।

Main dridhta ke saath kahta hoon, bura manushya nirdosh na thahrega, parantu dharmi ka vansh bachaya jayega.

22

जो सुन्दर स्त्री विवेक नहीं रखती, वह थूथन में सोने की नथ पहिने हुए सूअर के समान है।

Jo sundar stri vivek nahi rakhti, vah thoothan mein sone ki nath pahine hue sooar ke samaan hai.

23

धर्मियों की लालसा तो केवल भलाई की होती है; परन्तु दुष्टों की आशा का फल क्रोध ही होता है।

Dharmiyon ki lalsa to keval bhalai ki hoti hai; parantu dushton ki aasha ka phal krodh hi hota hai.

24

ऐसे हैं, जो छितरा देते हैं, तौभी उनकी बढ़ती ही होती है; और ऐसे भी हैं जो यथार्थ से कम देते हैं, और इस से उनकी घटती ही होती है।

Aise hain, jo chhitra dete hain, taubhi unki badhti hi hoti hai; aur aise bhi hain jo yathaarth se kam dete hain, aur is se unki ghatti hi hoti hai.

25

उदार प्राणी हृष्ट पुष्ट हो जाता है, और जो औरों की खेती सींचता है, उसकी भी सींची जाएगी।

Udaar prani hrisht pusht ho jata hai, aur jo auron ki kheti seenchta hai, uski bhi seenchi jayegi.

26

जो अपना अनाज रख छोड़ता है, उस को लोग शाप देते हैं, परन्तु जो उसे बेच देता है, उस को आशीर्वाद दिया जाता है।

Jo apna anaaj rakh chhodta hai, us ko log shaap dete hain, parantu jo use bech deta hai, us ko aasheervaad diya jata hai.

27

जो यत्न से भलाई करता है वह औरों की प्रसन्नता खोजता है, परन्तु जो दूसरे की बुराई का खोजी होता है, उसी पर बुराई आ पड़ती है।

Jo yatn se bhalai karta hai vah auron ki prasannata khojta hai, parantu jo doosre ki burai ka khoji hota hai, usi par burai aa padti hai.

28

जो अपने धन पर भरोसा रखता है वह गिर जाता है, परन्तु धर्मी लोग नये पत्ते की नाईं लहलहाते हैं।

Jo apne dhan par bharosa rakhta hai vah gir jata hai, parantu dharmi log naye patte ki nai lahalhate hain.

29

जो अपने घराने को दु:ख देता, उसका भाग वायु ही होगा, और मूढ़ बुद्धिमान का दास हो जाता है।

Jo apne gharane ko dukh deta, uska bhaag vayu hi hoga, aur moodh buddhimaan ka daas ho jata hai.

30

धर्मी का प्रतिफल जीवन का वृक्ष होता है, और बुद्धिमान मनुष्य लोगों के मन को मोह लेता है।

Dharmi ka pratiphal jeevan ka vriksh hota hai, aur buddhimaan manushya logon ke man ko moh leta hai.

31

देख, धर्मी को पृथ्वी पर फल मिलेगा, तो निश्चय है कि दुष्ट और पापी को भी मिलेगा॥

Dekh, dharmi ko prithvi par phal milega, to nishchay hai ki dusht aur papi ko bhi milega.