Philippians 3 · 21 verses

फिलिप्पियों 3 Philippians 3 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Philippiyon 3.

1

निदान, हे मेरे भाइयो, प्रभु में आनन्दित रहो: वे ही बातें तुम को बार बार लिखने में मुझे तो कोई कष्ट नहीं होता, और इस में तुम्हारी कुशलता है।

Nidaan, he mere bhaiyo, Prabhu mein aanandit raho: ve hi batein tum ko baar baar likhne mein mujhe to koi kasht nahi hota, aur is mein tumhari kushalta hai.

2

कुत्तों से चौकस रहो, उन बुरे काम करने वालों से चौकस रहो, उन काट कूट करने वालों से चौकस रहो।

Kutton se chaukas raho, un bure kaam karne valon se chaukas raho, un kaat koot karne valon se chaukas raho.

3

क्योंकि खतना वाले तो हम ही हैं जो परमेश्वर के आत्मा की अगुवाई से उपासना करते हैं, और मसीह यीशु पर घमण्ड करते हैं और शरीर पर भरोसा नहीं रखते।

Kyonki khatna vale to ham hi hain jo Parmeshwar ke aatma ki aguvai se upasna karte hain, aur Masih Yeshu par ghamand karte hain aur shareer par bharosa nahi rakhte.

4

पर मैं तो शरीर पर भी भरोसा रख सकता हूं यदि किसी और को शरीर पर भरोसा रखने का विचार हो, तो मैं उस से भी बढ़कर रख सकता हूं।

Par main to shareer par bhi bharosa rakh sakta hoon yadi kisi aur ko shareer par bharosa rakhne ka vichaar ho, to main us se bhi badhkar rakh sakta hoon.

5

आठवें दिन मेरा खतना हुआ, इस्त्राएल के वंश, और बिन्यामीन के गोत्र का हूं; इब्रानियों का इब्रानी हूं; व्यवस्था के विषय में यदि कहो तो फरीसी हूं।

Aathvein din mera khatna huaa, istrayel ke vansh, aur binyameen ke gotra ka hoon; ibraniyon ka ibrani hoon; vyavastha ke vishay mein yadi kaho to phareesi hoon.

6

उत्साह के विषय में यदि कहो तो कलीसिया का सताने वाला; और व्यवस्था की धार्मिकता के विषय में यदि कहो तो निर्दोष था।

Utsaah ke vishay mein yadi kaho to kaleesiya ka satane vala; aur vyavastha ki dharmikta ke vishay mein yadi kaho to nirdosh tha.

7

परन्तु जो जो बातें मेरे लाभ की थीं, उन्हीं को मैं ने मसीह के कारण हानि समझ लिया है।

Parantu jo jo batein mere laabh ki thi, unhi ko main ne Masih ke karan hani samajh liya hai.

8

वरन मैं अपने प्रभु मसीह यीशु की पहिचान की उत्तमता के कारण सब बातों को हानि समझता हूं: जिस के कारण मैं ने सब वस्तुओं की हानि उठाई, और उन्हें कूड़ा समझता हूं, जिस से मैं मसीह को प्राप्त करूं।

Varan main apne Prabhu Masih Yeshu ki pahichaan ki uttamta ke karan sab baton ko hani samajhta hoon: jis ke karan main ne sab vastuon ki hani uthai, aur unhein kooda samajhta hoon, jis se main Masih ko praapt karun.

9

और उस में पाया जाऊं; न कि अपनी उस धार्मिकता के साथ, जो व्यवस्था से है, वरन उस धार्मिकता के साथ जो मसीह पर विश्वास करने के कारण है, और परमेश्वर की ओर से विश्वास करने पर मिलती है।

Aur us mein paya jaun; na ki apni us dharmikta ke saath, jo vyavastha se hai, varan us dharmikta ke saath jo Masih par vishwaas karne ke karan hai, aur Parmeshwar ki or se vishwaas karne par milti hai.

10

और मैं उस को और उसके मृत्युंजय की सामर्थ को, और उसके साथ दुखों में सहभागी होने के मर्म को जानूँ, और उस की मृत्यु की समानता को प्राप्त करूं।

Aur main us ko aur uske mrityunjay ki samarth ko, aur uske saath dukhon mein sahbhagi hone ke marm ko janun, aur us ki mrityu ki samanta ko praapt karun.

11

ताकि मैं किसी भी रीति से मरे हुओं में से जी उठने के पद तक पहुंचूं।

Taki main kisi bhi reeti se mare huon mein se ji uthne ke pad tak pahunchun.

12

यह मतलब नहीं, कि मैं पा चुका हूं, या सिद्ध हो चुका हूं: पर उस पदार्थ को पकड़ने के लिये दौड़ा चला जाता हूं, जिस के लिये मसीह यीशु ने मुझे पकड़ा था।

Yah matlab nahi, ki main pa chuka hoon, ya siddh ho chuka hoon: par us padaarth ko pakadne ke liye dauda chala jata hoon, jis ke liye Masih Yeshu ne mujhe pakda tha.

13

हे भाइयों, मेरी भावना यह नहीं कि मैं पकड़ चुका हूं: परन्तु केवल यह एक काम करता हूं, कि जो बातें पीछे रह गई हैं उन को भूल कर, आगे की बातों की ओर बढ़ता हुआ।

He bhaiyon, meri bhavna yah nahi ki main pakad chuka hoon: parantu keval yah ek kaam karta hoon, ki jo batein peechhe rah gai hain un ko bhool kar, aage ki baton ki or badhta huaa.

14

निशाने की ओर दौड़ा चला जाता हूं, ताकि वह इनाम पाऊं, जिस के लिये परमेश्वर ने मुझे मसीह यीशु में ऊपर बुलाया है।

Nishane ki or dauda chala jata hoon, taki vah inaam paun, jis ke liye Parmeshwar ne mujhe Masih Yeshu mein oopar bulaya hai.

15

सो हम में से जितने सिद्ध हैं, यही विचार रखें, और यदि किसी बात में तुम्हारा और ही विचार हो तो परमेश्वर उसे भी तुम पर प्रगट कर देगा।

So ham mein se jitne siddh hain, yahi vichaar rakhein, aur yadi kisi baat mein tumhara aur hi vichaar ho to Parmeshwar use bhi tum par pragat kar dega.

16

सो जहां तक हम पहुंचे हैं, उसी के अनुसार चलें॥

So jahan tak ham pahunche hain, usi ke anusaar chalein.

17

हे भाइयो, तुम सब मिलकर मेरी सी चाल चलो, और उन्हें पहिचान रखो, जो इस रीति पर चलते हैं जिस का उदाहरण तुम हम में पाते हो।

He bhaiyo, tum sab milkar meri si chaal chalo, aur unhein pahichaan rakho, jo is reeti par chalte hain jis ka udahran tum ham mein pate ho.

18

क्योंकि बहुतेरे ऐसी चाल चलते हैं, जिन की चर्चा मैं ने तुम से बार बार किया है और अब भी रो रोकर कहता हूं, कि वे अपनी चालचलन से मसीह के क्रूस के बैरी हैं।

Kyonki bahutere aisi chaal chalte hain, jin ki charcha main ne tum se baar baar kiya hai aur ab bhi ro rokar kahta hoon, ki ve apni chalachlan se Masih ke kroos ke bairi hain.

19

उन का अन्त विनाश है, उन का ईश्वर पेट है, वे अपनी लज्ज़ा की बातों पर घमण्ड करते हैं, और पृथ्वी की वस्तुओं पर मन लगाए रहते हैं।

Un ka ant vinaash hai, un ka ishwar pet hai, ve apni lajza ki baton par ghamand karte hain, aur prithvi ki vastuon par man lagaye rahte hain.

20

पर हमारा स्वदेश स्वर्ग पर है; और हम एक उद्धारकर्ता प्रभु यीशु मसीह के वहां से आने ही बाट जोह रहे हैं।

Par hamara swadesh swarg par hai; aur ham ek uddharkarta Prabhu Yeshu Masih ke vahan se aane hi baat joh rahe hain.

21

वह अपनी शक्ति के उस प्रभाव के अनुसार जिस के द्वारा वह सब वस्तुओं को अपने वश में कर सकता है, हमारी दीन-हीन देह का रूप बदलकर, अपनी महिमा की देह के अनुकूल बना देगा॥

Vah apni shakti ke us prabhaav ke anusaar jis ke dwara vah sab vastuon ko apne vash mein kar sakta hai, hamari deen-heen deh ka roop badalkar, apni mahima ki deh ke anukool bana dega.