Philippians 2 · 30 verses

फिलिप्पियों 2 Philippians 2 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Philippiyon 2.

1

सो यदि मसीह में कुछ शान्ति और प्रेम से ढाढ़स और आत्मा की सहभागिता, और कुछ करूणा और दया है।

So yadi Masih mein kuchh shanti aur prem se dhadhas aur aatma ki sahbhagita, aur kuchh karoona aur daya hai.

2

तो मेरा यह आनन्द पूरा करो कि एक मन रहो और एक ही प्रेम, एक ही चित्त, और एक ही मनसा रखो।

To mera yah aanand poora karo ki ek man raho aur ek hi prem, ek hi chitt, aur ek hi mansa rakho.

3

विरोध या झूठी बड़ाई के लिये कुछ न करो पर दीनता से एक दूसरे को अपने से अच्छा समझो।

Virodh ya jhoothi badai ke liye kuchh na karo par deenta se ek doosre ko apne se achchha samjho.

4

हर एक अपनी ही हित की नहीं, वरन दूसरों की हित की भी चिन्ता करे।

Har ek apni hi hit ki nahi, varan doosron ki hit ki bhi chinta kare.

5

जैसा मसीह यीशु का स्वभाव था वैसा ही तुम्हारा भी स्वभाव हो।

Jaisa Masih Yeshu ka swabhaav tha vaisa hi tumhara bhi swabhaav ho.

6

जिस ने परमेश्वर के स्वरूप में होकर भी परमेश्वर के तुल्य होने को अपने वश में रखने की वस्तु न समझा।

Jis ne Parmeshwar ke swaroop mein hokar bhi Parmeshwar ke tulya hone ko apne vash mein rakhne ki vastu na samjha.

7

वरन अपने आप को ऐसा शून्य कर दिया, और दास का स्वरूप धारण किया, और मनुष्य की समानता में हो गया।

Varan apne aap ko aisa shoonya kar diya, aur daas ka swaroop dharan kiya, aur manushya ki samanta mein ho gaya.

8

और मनुष्य के रूप में प्रगट होकर अपने आप को दीन किया, और यहां तक आज्ञाकारी रहा, कि मृत्यु, हां, क्रूस की मृत्यु भी सह ली।

Aur manushya ke roop mein pragat hokar apne aap ko deen kiya, aur yahan tak aagyakari raha, ki mrityu, han, kroos ki mrityu bhi sah li.

9

इस कारण परमेश्वर ने उस को अति महान भी किया, और उस को वह नाम दिया जो सब नामों में श्रेष्ठ है।

Is karan Parmeshwar ne us ko ati mahaan bhi kiya, aur us ko vah naam diya jo sab namon mein shreshth hai.

10

कि जो स्वर्ग में और पृथ्वी पर और जो पृथ्वी के नीचे है; वे सब यीशु के नाम पर घुटना टेकें।

Ki jo swarg mein aur prithvi par aur jo prithvi ke neeche hai; ve sab Yeshu ke naam par ghutna tekein.

11

और परमेश्वर पिता की महिमा के लिये हर एक जीभ अंगीकार कर ले कि यीशु मसीह ही प्रभु है॥

Aur Parmeshwar pita ki mahima ke liye har ek jeebh angeekaar kar le ki Yeshu Masih hi Prabhu hai.

12

सो हे मेरे प्यारो, जिस प्रकार तुम सदा से आज्ञा मानते आए हो, वैसे ही अब भी न केवल मेरे साथ रहते हुए पर विशेष करके अब मेरे दूर रहने पर भी डरते और कांपते हुए अपने अपने उद्धार का कार्य पूरा करते जाओ।

So he mere pyaro, jis prakaar tum sada se aagya mante aaye ho, vaise hi ab bhi na keval mere saath rahte hue par vishesh karke ab mere door rahne par bhi darte aur kampte hue apne apne uddhaar ka karya poora karte jao.

13

क्योंकि परमेश्वर ही है, जिस न अपनी सुइच्छा निमित्त तुम्हारे मन में इच्छा और काम, दोनों बातों के करने का प्रभाव डाला है।

Kyonki Parmeshwar hi hai, jis na apni suichchha nimitt tumhare man mein ichchha aur kaam, donon baton ke karne ka prabhaav dala hai.

14

सब काम बिना कुड़कुड़ाए और बिना विवाद के किया करो।

Sab kaam bina kudkudaye aur bina vivaad ke kiya karo.

15

ताकि तुम निर्दोष और भोले होकर टेढ़े और हठीले लोगों के बीच परमेश्वर के निष्कलंक सन्तान बने रहो, (जिन के बीच में तुम जीवन का वचन लिए हुए जगत में जलते दीपकों की नाईं दिखाई देते हो)।

Taki tum nirdosh aur bhole hokar tedhe aur hatheele logon ke beech Parmeshwar ke nishkalank santaan bane raho, (jin ke beech mein tum jeevan ka vachan liye hue jagat mein jalte deepkon ki nai dikhai dete ho).

16

कि मसीह के दिन मुझे घमण्ड करने का कारण हो, कि न मेरा दौड़ना और न मेरा परिश्रम करना व्यर्थ हुआ।

Ki Masih ke din mujhe ghamand karne ka karan ho, ki na mera daudna aur na mera parishram karna vyarth huaa.

17

और यदि मुझे तुम्हारे विश्वास के बलिदान और सेवा के साथ अपना लोहू भी बहाना पड़े तौभी मैं आनन्दित हूं, और तुम सब के साथ आनन्द करता हूं।

Aur yadi mujhe tumhare vishwaas ke balidaan aur seva ke saath apna lohu bhi bahana pade taubhi main aanandit hoon, aur tum sab ke saath aanand karta hoon.

18

वैसे ही तुम भी आनन्दित हो, और मेरे साथ आनन्द करो॥

Vaise hi tum bhi aanandit ho, aur mere saath aanand karo.

19

मुझे प्रभु यीशु में आशा है, कि मैं तीमुथियुस को तुम्हारे पास तुरन्त भेजूंगा, ताकि तुम्हारी दशा सुनकर मुझे शान्ति मिले।

Mujhe Prabhu Yeshu mein aasha hai, ki main teemuthiyus ko tumhare paas turant bhejoonga, taki tumhari dasha sunkar mujhe shanti mile.

20

क्योंकि मेरे पास ऐसे स्वभाव का कोई नहीं, जो शुद्ध मन से तुम्हारी चिन्ता करे।

Kyonki mere paas aise swabhaav ka koi nahi, jo shuddh man se tumhari chinta kare.

21

क्योंकि सब अपने स्वार्थ की खोज में रहते हैं, न कि यीशु मसीह की।

Kyonki sab apne swaarth ki khoj mein rahte hain, na ki Yeshu Masih ki.

22

पर उसको तो तुम ने परखा और जान भी लिया है, कि जैसा पुत्र पिता के साथ करता है, वैसा ही उस ने सुसमाचार के फैलाने में मेरे साथ परिश्रम किया।

Par usko to tum ne parkha aur jaan bhi liya hai, ki jaisa putra pita ke saath karta hai, vaisa hi us ne susmachaar ke phailane mein mere saath parishram kiya.

23

सो मुझे आशा है, कि ज्योंही मुझे जान पड़ेगा कि मेरी क्या दशा होगी, त्योंही मैं उसे तुरन्त भेज दूंगा।

So mujhe aasha hai, ki jyonhi mujhe jaan padega ki meri kya dasha hogi, tyonhi main use turant bhej doonga.

24

और मुझे प्रभु में भरोसा है, कि मैं आप भी शीघ्र आऊंगा।

Aur mujhe Prabhu mein bharosa hai, ki main aap bhi sheeghra aaoonga.

25

पर मैं ने इपफ्रदीतुस को जो मेरा भाई, और सहकर्मी और संगी योद्धा और तुम्हारा दूत, और आवश्यक बातों में मेरी सेवा टहल करने वाला है, तुम्हारे पास भेजना अवश्य समझा।

Par main ne ipaphradeetus ko jo mera bhai, aur sahkarmi aur sangi yoddha aur tumhara doot, aur aavashyak baton mein meri seva tahal karne vala hai, tumhare paas bhejna avashya samjha.

26

क्योंकि उसका मन तुम सब में लगा हुआ था, इस कारण वह व्याकुल रहता था क्योंकि तुम ने उस की बीमारी का हाल सुना था।

Kyonki uska man tum sab mein laga huaa tha, is karan vah vyakul rahta tha kyonki tum ne us ki beemari ka haal suna tha.

27

और निश्चय वह बीमार तो हो गया था, यहां तक कि मरने पर था, परन्तु परमेश्वर ने उस पर दया की; और केवल उस ही पर नहीं, पर मुझ पर भी, कि मुझे शोक पर शोक न हो।

Aur nishchay vah beemaar to ho gaya tha, yahan tak ki marne par tha, parantu Parmeshwar ne us par daya ki; aur keval us hi par nahi, par mujh par bhi, ki mujhe shok par shok na ho.

28

इसलिये मैं ने उसे भेजने का और भी यत्न किया कि तुम उस से फिर भेंट करके आनन्दित हो जाओ और मेरा भी शोक घट जाए।

Isliye main ne use bhejne ka aur bhi yatn kiya ki tum us se phir bhent karke aanandit ho jao aur mera bhi shok ghat jaye.

29

इसलिये तुम प्रभु में उस से बहुत आनन्द के साथ भेंट करना, और ऐसों का आदर किया करना।

Isliye tum Prabhu mein us se bahut aanand ke saath bhent karna, aur aison ka aadar kiya karna.

30

क्योंकि वही मसीह के काम के लिये अपने प्राणों पर जोखिम उठाकर मरने के निकट हो गया था, ताकि जो घटी तुम्हारी ओर से मेरी सेवा में हुई, उसे पूरा करे॥

Kyonki vahi Masih ke kaam ke liye apne pranon par jokhim uthakar marne ke nikat ho gaya tha, taki jo ghati tumhari or se meri seva mein hui, use poora kare.