Philippians 1 · 30 verses

फिलिप्पियों 1 Philippians 1 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Philippiyon 1.

1

मसीह यीशु के दास पौलुस और तीमुथियुस की ओर से सब पवित्र लोगों के नाम, जो मसीह यीशु में होकर फिलिप्पी में रहते हैं, अध्यक्षों और सेवकों समेत।

Masih Yeshu ke daas Paulus aur teemuthiyus ki or se sab pavitra logon ke naam, jo Masih Yeshu mein hokar philippi mein rahte hain, adhyakshon aur sevkon samet.

2

हमारे पिता परमेश्वर और प्रभु यीशु मसीह की ओर से तुम्हें अनुग्रह और शान्ति मिलती रहे॥

Hamare pita Parmeshwar aur Prabhu Yeshu Masih ki or se tumhein anugrah aur shanti milti rahe.

3

मैं जब जब तुम्हें स्मरण करता हूं, तब तब अपने परमेश्वर का धन्यवाद करता हूं।

Main jab jab tumhein smaran karta hoon, tab tab apne Parmeshwar ka dhanyavaad karta hoon.

4

और जब कभी तुम सब के लिये बिनती करता हूं, तो सदा आनन्द के साथ बिनती करता हूं।

Aur jab kabhi tum sab ke liye binti karta hoon, to sada aanand ke saath binti karta hoon.

5

इसलिये, कि तुम पहिले दिन से लेकर आज तक सुसमाचार के फैलाने में मेरे सहभागी रहे हो।

Isliye, ki tum pahile din se lekar aaj tak susmachaar ke phailane mein mere sahbhagi rahe ho.

6

और मुझे इस बात का भरोसा है, कि जिस ने तुम में अच्छा काम आरम्भ किया है, वही उसे यीशु मसीह के दिन तक पूरा करेगा।

Aur mujhe is baat ka bharosa hai, ki jis ne tum mein achchha kaam aarambh kiya hai, vahi use Yeshu Masih ke din tak poora karega.

7

उचित है, कि मैं तुम सब के लिये ऐसा ही विचार करूं क्योंकि तुम मेरे मन में आ बसे हो, और मेरी कैद में और सुसमाचार के लिये उत्तर और प्रमाण देने में तुम सब मेरे साथ अनुग्रह में सहभागी हो।

Uchit hai, ki main tum sab ke liye aisa hi vichaar karun kyonki tum mere man mein aa base ho, aur meri kaid mein aur susmachaar ke liye uttar aur pramaan dene mein tum sab mere saath anugrah mein sahbhagi ho.

8

इस में परमेश्वर मेरा गवाह है, कि मैं मसीह यीशु की सी प्रीति करके तुम सब की लालसा करता हूं।

Is mein Parmeshwar mera gavaah hai, ki main Masih Yeshu ki si preeti karke tum sab ki lalsa karta hoon.

9

और मैं यह प्रार्थना करता हूं, कि तुम्हारा प्रेम, ज्ञान और सब प्रकार के विवेक सहित और भी बढ़ता जाए।

Aur main yah prarthana karta hoon, ki tumhara prem, gyaan aur sab prakaar ke vivek sahit aur bhi badhta jaye.

10

यहां तक कि तुम उत्तम से उत्तम बातों को प्रिय जानो, और मसीह के दिन तक सच्चे बने रहो; और ठोकर न खाओ।

Yahan tak ki tum uttam se uttam baton ko priya jano, aur Masih ke din tak sachche bane raho; aur thokar na khao.

11

और उस धार्मिकता के फल से जो यीशु मसीह के द्वारा होते हैं, भरपूर होते जाओ जिस से परमेश्वर की महिमा और स्तुति होती रहे॥

Aur us dharmikta ke phal se jo Yeshu Masih ke dwara hote hain, bharpoor hote jao jis se Parmeshwar ki mahima aur stuti hoti rahe.

12

हे भाइयों, मैं चाहता हूं, कि तुम यह जान लो, कि मुझ पर जो बीता है, उस से सुसमाचार ही की बढ़ती हुई है।

He bhaiyon, main chahta hoon, ki tum yah jaan lo, ki mujh par jo beeta hai, us se susmachaar hi ki badhti hui hai.

13

यहां तक कि कैसरी राज्य की सारी पलटन और शेष सब लोगों में यह प्रगट हो गया है कि मैं मसीह के लिये कैद हूं।

Yahan tak ki kaisri rajya ki sari paltan aur shesh sab logon mein yah pragat ho gaya hai ki main Masih ke liye kaid hoon.

14

और प्रभु में जो भाई हैं, उन में से बहुधा मेरे कैद होने के कारण, हियाव बान्ध कर, परमेश्वर का वचन निधड़क सुनाने का और भी हियाव करते हैं।

Aur Prabhu mein jo bhai hain, un mein se bahudha mere kaid hone ke karan, hiyaav baandh kar, Parmeshwar ka vachan nidhdak sunane ka aur bhi hiyaav karte hain.

15

कितने तो डाह और झगड़े के कारण मसीह का प्रचार करते हैं और कितने भली मनसा से।

Kitne to daah aur jhagde ke karan Masih ka prachaar karte hain aur kitne bhali mansa se.

16

कई एक तो यह जान कर कि मैं सुसमाचार के लिये उत्तर देने को ठहराया गया हूं प्रेम से प्रचार करते हैं।

Kai ek to yah jaan kar ki main susmachaar ke liye uttar dene ko thahraya gaya hoon prem se prachaar karte hain.

17

और कई एक तो सीधाई से नहीं पर विरोध से मसीह की कथा सुनाते हैं, यह समझ कर कि मेरी कैद में मेरे लिये क्लेश उत्पन्न करें।

Aur kai ek to seedhai se nahi par virodh se Masih ki katha sunate hain, yah samajh kar ki meri kaid mein mere liye klesh utpann karein.

18

सो क्या हुआ? केवल यह, कि हर प्रकार से चाहे बहाने से, चाहे सच्चाई से, मसीह की कथा सुनाई जाती है, और मैं इस से आनन्दित हूं, और आनन्दित रहूंगा भी।

So kya huaa? Keval yah, ki har prakaar se chahe bahane se, chahe sachchai se, Masih ki katha sunai jati hai, aur main is se aanandit hoon, aur aanandit rahoonga bhi.

19

क्योंकि मैं जानता हूं, कि तुम्हारी बिनती के द्वारा, और यीशु मसीह की आत्मा के दान के द्वारा इस का प्रतिफल मेरा उद्धार होगा।

Kyonki main janta hoon, ki tumhari binti ke dwara, aur Yeshu Masih ki aatma ke daan ke dwara is ka pratiphal mera uddhaar hoga.

20

मैं तो यही हार्दिक लालसा और आशा रखता हूं, कि मैं किसी बात में लज्ज़ित न होऊं, पर जैसे मेरे प्रबल साहस के कारण मसीह की बड़ाई मेरी देह के द्वारा सदा होती रही है, वैसा ही अब भी हो चाहे मैं जीवित रहूं या मर जाऊं।

Main to yahi hardik lalsa aur aasha rakhta hoon, ki main kisi baat mein lajzit na houn, par jaise mere prabal sahas ke karan Masih ki badai meri deh ke dwara sada hoti rahi hai, vaisa hi ab bhi ho chahe main jeevit rahun ya mar jaun.

21

क्योंकि मेरे लिये जीवित रहना मसीह है, और मर जाना लाभ है।

Kyonki mere liye jeevit rahna Masih hai, aur mar jana laabh hai.

22

पर यदि शरीर में जीवित रहना ही मेरे काम के लिये लाभदायक है तो मैं नहीं जानता, कि किस को चुनूं।

Par yadi shareer mein jeevit rahna hi mere kaam ke liye labhdayak hai to main nahi janta, ki kis ko chunun.

23

क्योंकि मैं दोनों के बीच अधर में लटका हूं; जी तो चाहता है कि कूच करके मसीह के पास जा रहूं, क्योंकि यह बहुत ही अच्छा है।

Kyonki main donon ke beech adhar mein latka hoon; ji to chahta hai ki kooch karke Masih ke paas ja rahun, kyonki yah bahut hi achchha hai.

24

परन्तु शरीर में रहना तुम्हारे कारण और भी आवश्यक है।

Parantu shareer mein rahna tumhare karan aur bhi aavashyak hai.

25

और इसलिये कि मुझे इस का भरोसा है सो मैं जानता हूं कि मैं जीवित रहूंगा, वरन तुम सब के साथ रहूंगा जिस से तुम विश्वास में दृढ़ होते जाओ और उस में आनन्दित रहो।

Aur isliye ki mujhe is ka bharosa hai so main janta hoon ki main jeevit rahoonga, varan tum sab ke saath rahoonga jis se tum vishwaas mein dridh hote jao aur us mein aanandit raho.

26

और जो घमण्ड तुम मेरे विषय में करते हो, वह मेरे फिर तुम्हारे पास आने से मसीह यीशु में अधिक बढ़ जाए।

Aur jo ghamand tum mere vishay mein karte ho, vah mere phir tumhare paas aane se Masih Yeshu mein adhik badh jaye.

27

केवल इतना करो कि तुम्हारा चाल-चलन मसीह के सुसमाचार के योग्य हो कि चाहे मैं आकर तुम्हें देखूं, चाहे न भी आऊं, तुम्हारे विषय में यह सुनूं, कि तुम एक ही आत्मा में स्थिर हो, और एक चित्त होकर सुसमाचार के विश्वास के लिये परिश्रम करते रहते हो।

Keval itna karo ki tumhara chaal-chalan Masih ke susmachaar ke yogya ho ki chahe main aakar tumhein dekhun, chahe na bhi aaun, tumhare vishay mein yah sunun, ki tum ek hi aatma mein sthir ho, aur ek chitt hokar susmachaar ke vishwaas ke liye parishram karte rahte ho.

28

और किसी बात में विरोधियों से भय नहीं खाते यह उन के लिये विनाश का स्पष्ट चिन्ह है, परन्तु तुम्हारे लिये उद्धार का, और यह परमेश्वर की ओर से है।

Aur kisi baat mein virodhiyon se bhay nahi khate yah un ke liye vinaash ka spasht chinh hai, parantu tumhare liye uddhaar ka, aur yah Parmeshwar ki or se hai.

29

क्योंकि मसीह के कारण तुम पर यह अनुग्रह हुआ कि न केवल उस पर विश्वास करो पर उसके लिये दुख भी उठाओ।

Kyonki Masih ke karan tum par yah anugrah huaa ki na keval us par vishwaas karo par uske liye dukh bhi uthao.

30

और तुम्हें वैसा ही परिश्रम करना है, जैसा तुम ने मुझे करते देखा है, और अब भी सुनते हो, कि मैं वैसा ही करता हूं॥

Aur tumhein vaisa hi parishram karna hai, jaisa tum ne mujhe karte dekha hai, aur ab bhi sunte ho, ki main vaisa hi karta hoon.