हे बालकों, प्रभु में अपने माता पिता के आज्ञाकारी बनो, क्योंकि यह उचित है।
He balkon, Prabhu mein apne mata pita ke aagyakari bano, kyonki yah uchit hai.
Ephesians 6 · 24 verses
हे बालकों, प्रभु में अपने माता पिता के आज्ञाकारी बनो, क्योंकि यह उचित है।
He balkon, Prabhu mein apne mata pita ke aagyakari bano, kyonki yah uchit hai.
अपनी माता और पिता का आदर कर (यह पहिली आज्ञा है, जिस के साथ प्रतिज्ञा भी है)।
Apni mata aur pita ka aadar kar (yah pahili aagya hai, jis ke saath pratigya bhi hai).
कि तेरा भला हो, और तू धरती पर बहुत दिन जीवित रहे।
Ki tera bhala ho, aur tu dharti par bahut din jeevit rahe.
और हे बच्चे वालों अपने बच्चों को रिस न दिलाओ परन्तु प्रभु की शिक्षा, और चितावनी देते हुए, उन का पालन-पोषण करो॥
Aur he bachche valon apne bachchon ko ris na dilao parantu Prabhu ki shiksha, aur chitavni dete hue, un ka palan-poshan karo.
हे दासो, जो लोग शरीर के अनुसार तुम्हारे स्वामी हैं, अपने मन की सीधाई से डरते, और कांपते हुए, जैसे मसीह की, वैसे ही उन की भी आज्ञा मानो।
He daso, jo log shareer ke anusaar tumhare swami hain, apne man ki seedhai se darte, aur kampte hue, jaise Masih ki, vaise hi un ki bhi aagya mano.
और मनुष्यों को प्रसन्न करने वालों की नाईं दिखाने के लिये सेवा न करो, पर मसीह के दासों की नाईं मन से परमेश्वर की इच्छा पर चलो।
Aur manushyon ko prasann karne valon ki nai dikhane ke liye seva na karo, par Masih ke dason ki nai man se Parmeshwar ki ichchha par chalo.
और उस सेवा को मनुष्यों की नहीं, परन्तु प्रभु की जानकर सुइच्छा से करो।
Aur us seva ko manushyon ki nahi, parantu Prabhu ki jankar suichchha se karo.
क्योंकि तुम जानते हो, कि जो कोई जैसा अच्छा काम करेगा, चाहे दास हो, चाहे स्वतंत्र; प्रभु से वैसा ही पाएगा।
Kyonki tum jante ho, ki jo koi jaisa achchha kaam karega, chahe daas ho, chahe swatantra; Prabhu se vaisa hi payega.
और हे स्वामियों, तुम भी धमकियां छोड़कर उन के साथ वैसा ही व्यवहार करो, क्योंकि जानते हो, कि उन का और तुम्हारा दोनों का स्वामी स्वर्ग में है, और वह किसी का पक्ष नहीं करता॥
Aur he swamiyon, tum bhi dhamkiyan chhodkar un ke saath vaisa hi vyavhaar karo, kyonki jante ho, ki un ka aur tumhara donon ka swami swarg mein hai, aur vah kisi ka paksh nahi karta.
निदान, प्रभु में और उस की शक्ति के प्रभाव में बलवन्त बनो।
Nidaan, Prabhu mein aur us ki shakti ke prabhaav mein balvant bano.
परमेश्वर के सारे हथियार बान्ध लो; कि तुम शैतान की युक्तियों के साम्हने खड़े रह सको।
Parmeshwar ke sare hathiyaar baandh lo; ki tum Shaitan ki yuktiyon ke samhane khade rah sako.
क्योंकि हमारा यह मल्लयुद्ध, लोहू और मांस से नहीं, परन्तु प्रधानों से और अधिकारियों से, और इस संसार के अन्धकार के हाकिमों से, और उस दुष्टता की आत्मिक सेनाओं से है जो आकाश में हैं।
Kyonki hamara yah mallayuddh, lohu aur maans se nahi, parantu pradhanon se aur adhikariyon se, aur is sansaar ke andhakaar ke hakimon se, aur us dushtata ki aatmik senaon se hai jo aakaash mein hain.
इसलिये परमेश्वर के सारे हथियार बान्ध लो, कि तुम बुरे दिन में साम्हना कर सको, और सब कुछ पूरा करके स्थिर रह सको।
Isliye Parmeshwar ke sare hathiyaar baandh lo, ki tum bure din mein samhana kar sako, aur sab kuchh poora karke sthir rah sako.
सो सत्य से अपनी कमर कसकर, और धार्मीकता की झिलम पहिन कर।
So satya se apni kamar kaskar, aur dharmeekta ki jhilam pahin kar.
और पांवों में मेल के सुसमाचार की तैयारी के जूते पहिन कर।
Aur panvon mein mel ke susmachaar ki taiyari ke joote pahin kar.
और उन सब के साथ विश्वास की ढाल लेकर स्थिर रहो जिस से तुम उस दुष्ट के सब जलते हुए तीरों को बुझा सको।
Aur un sab ke saath vishwaas ki dhaal lekar sthir raho jis se tum us dusht ke sab jalte hue teeron ko bujha sako.
और उद्धार का टोप, और आत्मा की तलवार जो परमेश्वर का वचन है, ले लो।
Aur uddhaar ka top, aur aatma ki talvaar jo Parmeshwar ka vachan hai, le lo.
और हर समय और हर प्रकार से आत्मा में प्रार्थना, और बिनती करते रहो, और इसी लिये जागते रहो, कि सब पवित्र लोगों के लिये लगातार बिनती किया करो।
Aur har samay aur har prakaar se aatma mein prarthana, aur binti karte raho, aur isi liye jagte raho, ki sab pavitra logon ke liye lagataar binti kiya karo.
और मेरे लिये भी, कि मुझे बोलने के समय ऐसा प्रबल वचन दिया जाए, कि मैं हियाव से सुसमाचार का भेद बता सकूं जिस के लिये मैं जंजीर से जकड़ा हुआ राजदूत हूं।
Aur mere liye bhi, ki mujhe bolne ke samay aisa prabal vachan diya jaye, ki main hiyaav se susmachaar ka bhed bata sakun jis ke liye main janjeer se jakda huaa rajdoot hoon.
और यह भी कि मैं उस के विषय में जैसा मुझे चाहिए हियाव से बोलूं॥
Aur yah bhi ki main us ke vishay mein jaisa mujhe chahiye hiyaav se bolun.
और तुखिकुस जो प्रिय भाई और प्रभु में विश्वासयोग्य सेवक है तुम्हें सब बातें बताएगा, कि तुम भी मेरी दशा जानो कि मैं कैसा रहता हूं।
Aur tukhikus jo priya bhai aur Prabhu mein vishwasyogya sevak hai tumhein sab batein batayega, ki tum bhi meri dasha jano ki main kaisa rahta hoon.
उसे मैं ने तुम्हारे पास इसी लिये भेजा है, कि तुम हमारी दशा को जानो, और वह तुम्हारे मनों को शान्ति दे॥
Use main ne tumhare paas isi liye bheja hai, ki tum hamari dasha ko jano, aur vah tumhare manon ko shanti de.
परमेश्वर पिता और प्रभु यीशु मसीह की ओर से भाइयों को शान्ति और विश्वास सहित प्रेम मिले।
Parmeshwar pita aur Prabhu Yeshu Masih ki or se bhaiyon ko shanti aur vishwaas sahit prem mile.
जो हमारे प्रभु यीशु मसीह से सच्चा प्रेम रखते हैं, उन सब पर अनुग्रह होता रहे॥
Jo hamare Prabhu Yeshu Masih se sachcha prem rakhte hain, un sab par anugrah hota rahe.