इस्त्राएलियों के मिस्र देश से निकलने के दूसरे वर्ष के पहिले महीने में यहोवा ने सीनै के जंगल में मूसा से कहा,
Istrayeliyon ke Misr desh se nikalne ke doosre varsh ke pahile maheene mein Yahowa ne seenai ke jangal mein Musa se kaha,
Numbers 9 · 23 verses
इस्त्राएलियों के मिस्र देश से निकलने के दूसरे वर्ष के पहिले महीने में यहोवा ने सीनै के जंगल में मूसा से कहा,
Istrayeliyon ke Misr desh se nikalne ke doosre varsh ke pahile maheene mein Yahowa ne seenai ke jangal mein Musa se kaha,
इस्त्राएली फसह नाम पर्ब्ब को उसके नियत समय पर माना करें।
Istrayeli phasah naam parbb ko uske niyat samay par mana karein.
अर्थात इसी महीने के चौदहवें दिन को गोधूलि के समय तुम लोग उसे सब विधियों और नियमों के अनुसार मानना।
Arthaat isi maheene ke chaudahvein din ko godhooli ke samay tum log use sab vidhiyon aur niymon ke anusaar manna.
तब मूसा ने इस्त्राएलियों से फसह मानने के लिये कह दिया।
Tab Musa ne istrayeliyon se phasah manne ke liye kah diya.
और उन्होंने पहले महीने के चौदहवें दिन को गोधूलि के समय सीनै के जंगल में फसह को माना; और जो जो आज्ञाएं यहोवा ने मूसा को दी थीं उन्हीं के अनुसार इस्त्राएलियों ने किया।
Aur unhonne pahle maheene ke chaudahvein din ko godhooli ke samay seenai ke jangal mein phasah ko mana; aur jo jo aagyayen Yahowa ne Musa ko di thi unhi ke anusaar istrayeliyon ne kiya.
परन्तु कितने लोग किसी मनुष्य की लोथ के द्वारा अशुद्ध होने के कारण उस दिन फसह को न मान सके; वे उसी दिन मूसा और हारून के समीप जा कर मूसा से कहने लगे,
Parantu kitne log kisi manushya ki loth ke dwara ashuddh hone ke karan us din phasah ko na maan sake; ve usi din Musa aur haroon ke sameep ja kar Musa se kahne lage,
हम लोग एक मनुष्य की लोथ के कारण अशुद्ध हैं; परन्तु हम क्यों रूके रहें, और इस्त्राएलियों के संग यहोवा का चढ़ावा नियत समय पर क्यों न चढ़ाएं?
Ham log ek manushya ki loth ke karan ashuddh hain; parantu ham kyon rooke rahein, aur istrayeliyon ke sang Yahowa ka chadhava niyat samay par kyon na chadhayen?
मूसा ने उन से कहा, ठहरे रहो, मैं सुन लूं कि यहोवा तुम्हारे विषय में क्या आज्ञा देता है।
Musa ne un se kaha, thahre raho, main sun lun ki Yahowa tumhare vishay mein kya aagya deta hai.
यहोवा ने मूसा से कहा,
Yahowa ne Musa se kaha,
इस्त्राएलियों से कह, कि चाहे तुम लोग चाहे तुम्हारे वंश में से कोई भी किसी लोथ के कारण अशुद्ध हो, वा दूर की यात्रा पर हो, तौभी वह यहोवा के लिये फसह को माने।
Istrayeliyon se kah, ki chahe tum log chahe tumhare vansh mein se koi bhi kisi loth ke karan ashuddh ho, va door ki yatra par ho, taubhi vah Yahowa ke liye phasah ko mane.
वे उसे दूसरे महीने के चौदहवें दिन को गोधूलि के समय मानें; और फसह के बलिपशु के मांस को अखमीरी रोटी और कडुए सागपात के साथ खाएं।
Ve use doosre maheene ke chaudahvein din ko godhooli ke samay manein; aur phasah ke balipshu ke maans ko akhmeeri roti aur kadue sagpaat ke saath khayen.
और उस में से कुछ भी बिहान तक न रख छोड़े, और न उसकी कोई हड्डी तोड़े; वे उस पर्ब्ब को फसह की सारी विधियों के अनुसार मानें।
Aur us mein se kuchh bhi bihaan tak na rakh chhode, aur na uski koi haddi tode; ve us parbb ko phasah ki sari vidhiyon ke anusaar manein.
परन्तु जो मनुष्य शुद्ध हो और यात्रा पर न हो, परन्तु फसह के पर्ब्ब को न माने, वह प्राणी अपने लोगों में से नाश किया जाए, उस मनुष्य को यहोवा का चढ़ावा नियत समय पर न ले आने के कारण अपने पाप का बोझ उठाना पड़ेगा।
Parantu jo manushya shuddh ho aur yatra par na ho, parantu phasah ke parbb ko na mane, vah prani apne logon mein se naash kiya jaye, us manushya ko Yahowa ka chadhava niyat samay par na le aane ke karan apne paap ka bojh uthana padega.
और यदि कोई परदेशी तुम्हारे साथ रहकर चाहे कि यहोवा के लिये फसह माने, तो वह उसी विधि और नियम के अनुसार उसको माने; देशी और परदेशी दोनों के लिये तुम्हारी एक ही विधि हो॥
Aur yadi koi pardeshi tumhare saath rahkar chahe ki Yahowa ke liye phasah mane, to vah usi vidhi aur niyam ke anusaar usko mane; deshi aur pardeshi donon ke liye tumhari ek hi vidhi ho.
जिस दिन निवास जो साक्षी का तम्बू भी कहलाता है खड़ा किया गया, उस दिन बादल उस पर छा गया; और सन्ध्या को वह निवास पर आग सा दिखाई दिया और भोर तक दिखाई देता रहा।
Jis din nivaas jo sakshi ka tambu bhi kahlata hai khada kiya gaya, us din badal us par chha gaya; aur sandhya ko vah nivaas par aag sa dikhai diya aur bhor tak dikhai deta raha.
और नित्य ऐसा ही हुआ करता था; अर्थात दिन को बादल छाया रहता, और रात को आग दिखाई देती थी।
Aur nitya aisa hi huaa karta tha; arthaat din ko badal chhaya rahta, aur raat ko aag dikhai deti thi.
और जब जब वह बादल तम्बू पर से उठ जाता तब इस्त्राएली प्रस्थान करते थे; और जिस स्थान पर बादल ठहर जाता वहीं इस्त्राएली अपने डेरे खड़े करते थे।
Aur jab jab vah badal tambu par se uth jata tab istrayeli prasthaan karte the; aur jis sthaan par badal thahar jata vahi istrayeli apne dere khade karte the.
यहोवा की आज्ञा से इस्त्राएली कूच करते थे, और यहोवा ही की आज्ञा से वे डेरे खड़े भी करते थे; और जितने दिन तक वह बादल निवास पर ठहरा रहता उतने दिन तक वे डेरे डाले पड़े रहते थे।
Yahowa ki aagya se istrayeli kooch karte the, aur Yahowa hi ki aagya se ve dere khade bhi karte the; aur jitne din tak vah badal nivaas par thahra rahta utne din tak ve dere dale pade rahte the.
और जब जब बादल बहुत दिन निवास पर छाया रहता तब इस्त्राएली यहोवा की आज्ञा मानते, और प्रस्थान नहीं करते थे।
Aur jab jab badal bahut din nivaas par chhaya rahta tab istrayeli Yahowa ki aagya mante, aur prasthaan nahi karte the.
और कभी कभी वह बादल थोड़े ही दिन तक निवास पर रहता, और तब भी वे यहोवा की आज्ञा से डेरे डाले पड़े रहते थे और फिर यहोवा की आज्ञा ही से प्रस्थान करते थे।
Aur kabhi kabhi vah badal thode hi din tak nivaas par rahta, aur tab bhi ve Yahowa ki aagya se dere dale pade rahte the aur phir Yahowa ki aagya hi se prasthaan karte the.
और कभी कभी बादल केवल सन्ध्या से भोर तक रहता; और जब वह भोर को उठ जाता था तब वे प्रस्थान करते थे, और यदि वह रात दिन बराबर रहता तो जब बादल उठ जाता तब ही वे प्रस्थान करते थे।
Aur kabhi kabhi badal keval sandhya se bhor tak rahta; aur jab vah bhor ko uth jata tha tab ve prasthaan karte the, aur yadi vah raat din barabar rahta to jab badal uth jata tab hi ve prasthaan karte the.
वह बादल चाहे दो दिन, चाहे एक महीना, चाहे वर्ष भर, जब तक निवास पर ठहरा रहता तब तक इस्त्राएली अपने डेरों में रहते और प्रस्थान नहीं करते थे; परन्तु जब वह उठ जाता तब वे प्रस्थान करते थे।
Vah badal chahe do din, chahe ek maheena, chahe varsh bhar, jab tak nivaas par thahra rahta tab tak istrayeli apne deron mein rahte aur prasthaan nahi karte the; parantu jab vah uth jata tab ve prasthaan karte the.
यहोवा की आज्ञा से वे अपने डेरे खड़े करते, और यहोवा ही की आज्ञा से वे प्रस्थान करते थे; जो आज्ञा यहोवा मूसा के द्वारा देता था उसको वे माना करते थे॥
Yahowa ki aagya se ve apne dere khade karte, aur Yahowa hi ki aagya se ve prasthaan karte the; jo aagya Yahowa Musa ke dwara deta tha usko ve mana karte the.