फिर यहोवा ने मूसा से कहा,
Phir Yahowa ne Musa se kaha,
Numbers 8 · 26 verses
फिर यहोवा ने मूसा से कहा,
Phir Yahowa ne Musa se kaha,
हारून को समझाकर यह कह, कि जब जब तू दीपकों को बारे तब तब सातों दीपक का प्रकाश दीवट के साम्हने हो।
Haroon ko samjhakar yah kah, ki jab jab tu deepkon ko bare tab tab saton deepak ka prakaash deevat ke samhane ho.
निदान हारून ने वैसा ही किया, अर्थात जो आज्ञा यहोवा ने मूसा को दी थी उसी के अनुसार उसने दीपकों को बारा, कि वे दीवट के साम्हने उजियाला दे।
Nidaan haroon ne vaisa hi kiya, arthaat jo aagya Yahowa ne Musa ko di thi usi ke anusaar usne deepkon ko bara, ki ve deevat ke samhane ujiyala de.
और दीवट की बनावट यह थी, अर्थात यह पाए से ले कर फूलों तक गढ़े हुए सोने का बनाया गया था; जो नमूना यहोवा ने मूसा को दिखलाया था उसी के अनुसार उसने दीवट को बनाया॥
Aur deevat ki banavat yah thi, arthaat yah paye se le kar phoolon tak gadhe hue sone ka banaya gaya tha; jo namoona Yahowa ne Musa ko dikhlaya tha usi ke anusaar usne deevat ko banaya.
फिर यहोवा ने मूसा से कहा,
Phir Yahowa ne Musa se kaha,
इस्त्राएलियों के मध्य में से लेवियों को अलग ले कर शुद्ध कर।
Istrayeliyon ke madhya mein se leviyon ko alag le kar shuddh kar.
उन्हें शुद्ध करने के लिये तू ऐसा कर, कि पावन करने वाला जल उन पर छिड़क दे, फिर वे सर्वांग मुण्डन कराएं, और वस्त्र धोएं, और वे अपने को स्वचछ करें।
Unhein shuddh karne ke liye tu aisa kar, ki pavan karne vala jal un par chhidak de, phir ve sarvaang mundan karayen, aur vastra dhoyen, aur ve apne ko swachachh karein.
तब वे तेल से सने हुए मैदे के अन्नबलि समेत एक बछड़ा ले लें, और तू पापबलि के लिये एक दूसरा बछड़ा लेना।
Tab ve tel se sane hue maide ke annabli samet ek bachhda le lein, aur tu papabli ke liye ek doosra bachhda lena.
और तू लेवियों को मिलापवाले तम्बू के साम्हने समीप पहुंचाना, और इस्त्राएलियों की सारी मण्डली को इकट्ठा करना।
Aur tu leviyon ko milapvale tambu ke samhane sameep pahunchana, aur istrayeliyon ki sari mandali ko ikattha karna.
तब तू लेवियों को यहोवा के आगे समीप ले आना, और इस्त्राएली अपने अपने हाथ उन पर रखें,
Tab tu leviyon ko Yahowa ke aage sameep le aana, aur istrayeli apne apne haath un par rakhein,
तब हारून लेवियों को यहोवा के साम्हने इस्त्राएलियों की ओर से हिलाई हुई भेंट करके अर्पण करे, कि वे यहोवा की सेवा करने वाले ठहरें।
Tab haroon leviyon ko Yahowa ke samhane istrayeliyon ki or se hilai hui bhent karke arpan kare, ki ve Yahowa ki seva karne vale thahrein.
और लेवीय अपने अपने हाथ उन बछड़ों के सिरों पर रखें; तब तू लेवियों के लिये प्रायश्चित्त करने को एक बछड़ा पापबलि और दूसरा होमबलि करके यहोवा के लिये चढ़ाना।
Aur leveeya apne apne haath un bachhdon ke siron par rakhein; tab tu leviyon ke liye prayashchitt karne ko ek bachhda papabli aur doosra homabli karke Yahowa ke liye chadhana.
और लेवियों को हारून और उसके पुत्रों के सम्मुख खड़ा करना, और उन को हिलाने की भेंट के लिये यहोवा को अपर्ण करना।
Aur leviyon ko haroon aur uske putron ke sammukh khada karna, aur un ko hilane ki bhent ke liye Yahowa ko aparn karna.
और उन्हें इस्त्राएलियों में से अलग करना, सो वे मेरे ही ठहरेंगे।
Aur unhein istrayeliyon mein se alag karna, so ve mere hi thahrenge.
और जब तू लेवियों को शुद्ध करके हिलाई हुई भेंट के लिये अर्पण कर चुके, उसके बाद वे मिलापवाले तम्बू सम्बन्धी सेवा टहल करने के लिये अन्दर आया करें।
Aur jab tu leviyon ko shuddh karke hilai hui bhent ke liye arpan kar chuke, uske baad ve milapvale tambu sambandhi seva tahal karne ke liye andar aaya karein.
क्योंकि वे इस्त्राएलियों में से मुझे पूरी रीति से अर्पण किए हुए हैं; मैं ने उन को सब इस्त्राएलियों में से एक एक स्त्री के पहिलौठे की सन्ती अपना कर लिया है।
Kyonki ve istrayeliyon mein se mujhe poori reeti se arpan kiye hue hain; main ne un ko sab istrayeliyon mein se ek ek stri ke pahilauthe ki santi apna kar liya hai.
इस्त्राएलियों के पहिलौठे, चाहे मनुष्य के हों चाहे पशु के, सब मेरे हैं; क्योंकि मैं ने उन्हें उस समय अपने लिये पवित्र ठहराया जब मैं ने मिस्र देश के सब पहिलौठों को मार डाला।
Istrayeliyon ke pahilauthe, chahe manushya ke hon chahe pashu ke, sab mere hain; kyonki main ne unhein us samay apne liye pavitra thahraya jab main ne Misr desh ke sab pahilauthon ko maar dala.
और मैं ने इस्त्राएलियों के सब पहिलौठों के बदले लेवियों को लिया है।
Aur main ne istrayeliyon ke sab pahilauthon ke badle leviyon ko liya hai.
उन्हे ले कर मैं ने हारून और उसके पुत्रों को इस्त्राएलियों में से दान करके दे दिया है, कि वे मिलापवाले तम्बू में इस्त्राएलियों के निमित्त सेवकाई और प्रायश्चित्त किया करें, कहीं ऐसा न हो कि जब इस्त्राएली पवित्रस्थान के समीप आएं तब उन पर कोई महाविपत्ति आ पड़े।
Unhe le kar main ne haroon aur uske putron ko istrayeliyon mein se daan karke de diya hai, ki ve milapvale tambu mein istrayeliyon ke nimitt sevkai aur prayashchitt kiya karein, kahi aisa na ho ki jab istrayeli pavitrasthaan ke sameep aayen tab un par koi mahavipatti aa pade.
लेवियों के विषय यहोवा की यह आज्ञा पाकर मूसा और हारून और इस्त्राएलियों की सारी मण्डली ने उनके साथ ठीक वैसा ही किया।
Leviyon ke vishay Yahowa ki yah aagya pakar Musa aur haroon aur istrayeliyon ki sari mandali ne unke saath theek vaisa hi kiya.
लेवियों ने तो अपने को पाप से पावन किया, और अपने वस्त्रों को धो डाला; और हारून ने उन्हें यहोवा के साम्हने हिलाई हुई भेंट के निमित्त अर्पण किया, और उन्हें शुद्ध करने को उनके लिये प्रायश्चित्त भी किया।
Leviyon ne to apne ko paap se pavan kiya, aur apne vastron ko dho dala; aur haroon ne unhein Yahowa ke samhane hilai hui bhent ke nimitt arpan kiya, aur unhein shuddh karne ko unke liye prayashchitt bhi kiya.
और उसके बाद लेवीय हारून और उसके पुत्रों के साम्हने मिलापवाले तम्बू में अपनी अपनी सेवकाई करने को गए; और जो आज्ञा यहोवा ने मूसा को लेवियों के विषय में दी थी उसी के अनुसार वे उन से व्यवहार करने लगे॥
Aur uske baad leveeya haroon aur uske putron ke samhane milapvale tambu mein apni apni sevkai karne ko gaye; aur jo aagya Yahowa ne Musa ko leviyon ke vishay mein di thi usi ke anusaar ve un se vyavhaar karne lage.
फिर यहोवा ने मूसा से कहा,
Phir Yahowa ne Musa se kaha,
जो लेवियों को करना है वह यह है, कि पच्चीस वर्ष की अवस्था से ले कर उससे अधिक आयु में वे मिलापवाले तम्बू सम्बन्धी काम करने के लिये भीतर उपस्थित हुआ करें;
Jo leviyon ko karna hai vah yah hai, ki pachchees varsh ki avastha se le kar usse adhik aayu mein ve milapvale tambu sambandhi kaam karne ke liye bheetar upasthit huaa karein;
और जब पचास वर्ष के हों तो फिर उस सेवा के लिये न आए और न काम करें;
Aur jab pachaas varsh ke hon to phir us seva ke liye na aaye aur na kaam karein;
परन्तु वे अपने भाई बन्धुओं के साथ मिलापवाले तम्बू के पास रक्षा का काम किया करें, और किसी प्रकार की सेवकाई न करें। लेवियों को जो जो काम सौंपे जाएं उनके विषय तू उन से ऐसा ही करना॥
Parantu ve apne bhai bandhuon ke saath milapvale tambu ke paas raksha ka kaam kiya karein, aur kisi prakaar ki sevkai na karein. Leviyon ko jo jo kaam saumpe jayen unke vishay tu un se aisa hi karna.