Numbers 6 · 27 verses

गिनती 6 Numbers 6 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ginti 6.

1

फिर यहोवा ने मूसा से कहा,

Phir Yahowa ne Musa se kaha,

2

इस्त्राएलियों से कह, कि जब कोई पुरूष वा स्त्री नाज़ीर की मन्नत, अर्थात अपने को यहोवा के लिये न्यारा करने की विशेष मन्नत माने,

Istrayeliyon se kah, ki jab koi puroosh va stri nazeer ki mannat, arthaat apne ko Yahowa ke liye nyara karne ki vishesh mannat mane,

3

तब वह दाखमधु आदि मदिरा से न्यारा रहे; वह न दाखमधु का, न और मदिरा का सिरका पीए, और न दाख का कुछ रस भी पीए, वरन दाख न खाए, चाहे हरी हो चाहे सूखी।

Tab vah dakhamdhu aadi madira se nyara rahe; vah na dakhamdhu ka, na aur madira ka sirka peeye, aur na daakh ka kuchh ras bhi peeye, varan daakh na khaye, chahe hari ho chahe sookhi.

4

जितने दिन यह न्यारा रहे उतने दिन तक वह बीज से ले छिलके तक, जो कुछ दाखलता से उत्पन्न होता है, उस में से कुछ न खाए।

Jitne din yah nyara rahe utne din tak vah beej se le chhilke tak, jo kuchh dakhalta se utpann hota hai, us mein se kuchh na khaye.

5

फिर जितने दिन उसने न्यारे रहने की मन्नत मानी हो उतने दिन तक वह अपने सिर पर छुरा न फिराए; और जब तक वे दिन पूरे न हों जिन में वह यहोवा के लिये न्यारा रहे तब तक वह पवित्र ठहरेगा, और अपने सिर के बालों को बढ़ाए रहे।

Phir jitne din usne nyare rahne ki mannat mani ho utne din tak vah apne sir par chhura na phiraye; aur jab tak ve din poore na hon jin mein vah Yahowa ke liye nyara rahe tab tak vah pavitra thahrega, aur apne sir ke balon ko badhaye rahe.

6

जितने दिन वह यहोवा के लिये न्यारा रहे उतने दिन तक किसी लोथ के पास न जाए।

Jitne din vah Yahowa ke liye nyara rahe utne din tak kisi loth ke paas na jaye.

7

चाहे उसका पिता, वा माता, वा भाई, वा बहिन भी मरे, तौभी वह उनके कारण अशुद्ध न हो; क्योंकि अपने परमेश्वर के लिये न्यारा रहने का चिन्ह उसके सिर पर होगा।

Chahe uska pita, va mata, va bhai, va bahin bhi mare, taubhi vah unke karan ashuddh na ho; kyonki apne Parmeshwar ke liye nyara rahne ka chinh uske sir par hoga.

8

अपने न्यारे रहने के सारे दिनों में वह यहोवा के लिये पवित्र ठहरा रहे।

Apne nyare rahne ke sare dinon mein vah Yahowa ke liye pavitra thahra rahe.

9

और यदि कोई उसके पास अचानक मर जाए, और उसके न्यारे रहने का जो चिन्ह उसके सिर पर होगा वह अशुद्ध हो जाए, तो वह शुद्ध होने के दिन, अर्थात सातवें दिन अपने सिर मुंड़ाए।

Aur yadi koi uske paas achanak mar jaye, aur uske nyare rahne ka jo chinh uske sir par hoga vah ashuddh ho jaye, to vah shuddh hone ke din, arthaat satvein din apne sir mundaye.

10

और आठवें दिन वह दो पंडुक वा कबूतरी के दो बच्चे मिलापवाले तम्बू के द्वार पर याजक के पास ले जाए,

Aur aathvein din vah do panduk va kabootri ke do bachche milapvale tambu ke dwaar par yajak ke paas le jaye,

11

और याजक एक को पापबलि, और दूसरे को होमबलि करके उसके लिये प्रायश्चित्त करे, क्योंकि वह लोथ के कारण पापी ठहरा है। और याजक उसी दिन उसका सिर फिर पवित्र करे,

Aur yajak ek ko papabli, aur doosre ko homabli karke uske liye prayashchitt kare, kyonki vah loth ke karan papi thahra hai. Aur yajak usi din uska sir phir pavitra kare,

12

और वह अपने न्यारे रहने के दिनों को फिर यहोवा के लिये न्यारे ठहराए, और एक वर्ष का एक भेड़ का बच्चा दोषबलि करके ले आए; और जो दिन इस से पहिले बीत गए होंवे व्यर्थ गिने जाए, क्योंकि उसके न्यारे रहने का चिन्ह अशुद्ध हो गया॥

Aur vah apne nyare rahne ke dinon ko phir Yahowa ke liye nyare thahraye, aur ek varsh ka ek bhed ka bachcha doshabli karke le aaye; aur jo din is se pahile beet gaye honve vyarth gine jaye, kyonki uske nyare rahne ka chinh ashuddh ho gaya.

13

फिर जब नाज़ीर के न्यारे रहने के दिन पूरे हों, उस समय के लिये उसकी यह व्यवस्था है; अर्थात वह मिलापवाले तम्बू के द्वार पर पहुंचाया जाए,

Phir jab nazeer ke nyare rahne ke din poore hon, us samay ke liye uski yah vyavastha hai; arthaat vah milapvale tambu ke dwaar par pahunchaya jaye,

14

और वह यहोवा के लिये होमबलि करके एक वर्ष का एक निर्दोष भेड़ का बच्चा पापबलि करके, और एक वर्ष की एक निर्दोष भेड़ की बच्ची, और मेलबलि के लिये एक निर्दोष मेढ़ा,

Aur vah Yahowa ke liye homabli karke ek varsh ka ek nirdosh bhed ka bachcha papabli karke, aur ek varsh ki ek nirdosh bhed ki bachchi, aur melabli ke liye ek nirdosh medha,

15

और अखमीरी रोटियों की एक टोकरी, अर्थात तेल से सने हुए मैदे के फुलके, और तेल से चुपड़ी हुई अखमीरी पपड़ियां, और उन बलियों के अन्नबलि और अर्घ; ये सब चढ़ावे समीप ले जाए।

Aur akhmeeri rotiyon ki ek tokri, arthaat tel se sane hue maide ke phulke, aur tel se chupdi hui akhmeeri papdiyan, aur un baliyon ke annabli aur argh; ye sab chadhave sameep le jaye.

16

इन सब को याजक यहोवा के साम्हने पहुंचाकर उसके पापबलि और होमबलि को चढ़ाए,

In sab ko yajak Yahowa ke samhane pahunchakar uske papabli aur homabli ko chadhaye,

17

और अखमीरी रोटी की टोकरी समेत मेढ़े को यहोवा के लिये मेलबलि करके, और उस मेलबलि के अन्नबलि और अर्घ को भी चढ़ाए।

Aur akhmeeri roti ki tokri samet medhe ko Yahowa ke liye melabli karke, aur us melabli ke annabli aur argh ko bhi chadhaye.

18

तब नाज़ीर अपने न्यारे रहने के चिन्ह वाले सिर को मिलापवाले तम्बू के द्वार पर मुण्डाकर अपने बालों को उस आग पर डाल दे जो मेलबलि के नीचे होगी।

Tab nazeer apne nyare rahne ke chinh vale sir ko milapvale tambu ke dwaar par mundakar apne balon ko us aag par daal de jo melabli ke neeche hogi.

19

फिर जब नाज़ीर अपने न्यारे रहने के चिन्ह वाले सिर को मुण्डा चुके तब याजक मेढ़े को पकाया हुआ कन्धा, और टोकरी में से एक अखमीरी रोटी, और एक अखमीरी पपड़ी ले कर नाज़ीर के हाथों पर धर दे,

Phir jab nazeer apne nyare rahne ke chinh vale sir ko munda chuke tab yajak medhe ko pakaya huaa kandha, aur tokri mein se ek akhmeeri roti, aur ek akhmeeri papdi le kar nazeer ke hathon par dhar de,

20

और याजक इन को हिलाने की भेंट करके यहोवा के साम्हने हिलाए; हिलाई हुई छाती और उठाई हुई जांघ समेत ये भी याजक के लिये पवित्र ठहरें; इसके बाद वह नाज़ीर दाखमधु पी सकेगा।

Aur yajak in ko hilane ki bhent karke Yahowa ke samhane hilaye; hilai hui chhati aur uthai hui jaangh samet ye bhi yajak ke liye pavitra thahrein; iske baad vah nazeer dakhamdhu pi sakega.

21

नाज़ीर की मन्नत की, और जो चढ़ावा उसको अपने न्यारे होने के कारण यहोवा के लिये चढ़ाना होगा उसकी भी यही व्यवस्था है। जो चढ़ावा वह अपनी पूंजी के अनुसार चढ़ा सके, उससे अधिक जैसी मन्नत उसने मानी हो, वैसे ही अपने न्यारे रहने की व्यवस्था के अनुसार उसे करना होगा॥

Nazeer ki mannat ki, aur jo chadhava usko apne nyare hone ke karan Yahowa ke liye chadhana hoga uski bhi yahi vyavastha hai. Jo chadhava vah apni poonji ke anusaar chadha sake, usse adhik jaisi mannat usne mani ho, vaise hi apne nyare rahne ki vyavastha ke anusaar use karna hoga.

22

फिर यहोवा ने मूसा से कहा,

Phir Yahowa ne Musa se kaha,

23

हारून और उसके पुत्रों से कह, कि तुम इस्त्राएलियों को इन वचनों से आशीर्वाद दिया करना कि,

Haroon aur uske putron se kah, ki tum istrayeliyon ko in vachnon se aasheervaad diya karna ki,

24

यहोवा तुझे आशीष दे और तेरी रक्षा करे:

Yahowa tujhe aasheesh de aur teri raksha kare:

25

यहोवा तुझ पर अपने मुख का प्रकाश चमकाए, और तुझ पर अनुग्रह करे:

Yahowa tujh par apne mukh ka prakaash chamkaye, aur tujh par anugrah kare:

26

यहोवा अपना मुख तेरी ओर करे, और तुझे शांति दे।

Yahowa apna mukh teri or kare, aur tujhe shanti de.

27

इस रीति से मेरे नाम को इस्त्राएलियों पर रखें, और मैं उन्हें आशीष दिया करूंगा॥

Is reeti se mere naam ko istrayeliyon par rakhein, aur main unhein aasheesh diya karoonga.