Numbers 5 · 31 verses

गिनती 5 Numbers 5 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ginti 5.

1

फिर यहोवा ने मूसा से कहा,

Phir Yahowa ne Musa se kaha,

2

इस्त्राएलियों को आज्ञा दे, कि वे सब कोढ़ियों को, और जितनों के प्रमेह हो, और जितने लोथ के कारण अशुद्ध हों, उन सभों को छावनी से निकाल दें;

Istrayeliyon ko aagya de, ki ve sab kodhiyon ko, aur jitnon ke prameh ho, aur jitne loth ke karan ashuddh hon, un sabhon ko chhavni se nikaal dein;

3

ऐसों को चाहे पुरूष हों चाहे स्त्री छावनी से निकाल कर बाहर कर दें; कहीं ऐसा न हो कि तुम्हारी छावनी, जिसके बीच मैं निवास करता हूं, उनके कारण अशुद्ध हो जाए।

Aison ko chahe puroosh hon chahe stri chhavni se nikaal kar bahar kar dein; kahi aisa na ho ki tumhari chhavni, jiske beech main nivaas karta hoon, unke karan ashuddh ho jaye.

4

और इस्त्राएलियों ने वैसा ही किया, अर्थात ऐसे लोगों को छावनी से निकाल कर बाहर कर दिया; जैसा यहोवा ने मूसा से कहा था इस्त्राएलियों ने वैसा ही किया॥

Aur istrayeliyon ne vaisa hi kiya, arthaat aise logon ko chhavni se nikaal kar bahar kar diya; jaisa Yahowa ne Musa se kaha tha istrayeliyon ne vaisa hi kiya.

5

फिर यहोवा ने मूसा से कहा,

Phir Yahowa ne Musa se kaha,

6

इस्त्राएलियों से कह, कि जब कोई पुरूष वा स्त्री ऐसा कोई पाप करके जो लोग किया करते हैं यहोवा को विश्वासघात करे, और वह प्राणी दोषी हो,

Istrayeliyon se kah, ki jab koi puroosh va stri aisa koi paap karke jo log kiya karte hain Yahowa ko vishwasghaat kare, aur vah prani doshi ho,

7

तब वह अपना किया हुआ पाप मान ले; और पूरे मूल में पांचवां अंश बढ़ाकर अपने दोष के बदले में उसी को दे, जिसके विषय दोषी हुआ हो।

Tab vah apna kiya huaa paap maan le; aur poore mool mein panchvan ansh badhakar apne dosh ke badle mein usi ko de, jiske vishay doshi huaa ho.

8

परन्तु यदि उस मनुष्य का कोई कुटुम्बी न हो जिसे दोष का बदला भर दिया जाए, तो उस दोष का जो बदला यहोवा को भर दिया जाए वह याजक का हो, और वह उस प्रायश्चित्त वाले मेढ़े से अधिक हो जिस से उसके लिये प्रायश्चित्त किया जाए।

Parantu yadi us manushya ka koi kutumbi na ho jise dosh ka badla bhar diya jaye, to us dosh ka jo badla Yahowa ko bhar diya jaye vah yajak ka ho, aur vah us prayashchitt vale medhe se adhik ho jis se uske liye prayashchitt kiya jaye.

9

और जितनी पवित्र की हुई वस्तुएं इस्त्राएली उठाई हुई भेंट करके याजक के पास लाएं, वे उसी की हों;

Aur jitni pavitra ki hui vastuein istrayeli uthai hui bhent karke yajak ke paas layen, ve usi ki hon;

10

सब मनुष्यों की पवित्र की हुई वस्तुएं उसी की ठहरें; कोई जो कुछ याजक को दे वह उसका ठहरे॥

Sab manushyon ki pavitra ki hui vastuein usi ki thahrein; koi jo kuchh yajak ko de vah uska thahre.

11

फिर यहोवा ने मूसा से कहा,

Phir Yahowa ne Musa se kaha,

12

इस्त्राएलियों से कह, कि यदि किसी मनुष्य की स्त्री कुचाल चलकर उसका विश्वासघात करे,

Istrayeliyon se kah, ki yadi kisi manushya ki stri kuchaal chalkar uska vishwasghaat kare,

13

और कोई पुरूष उसके साथ कुकर्म करे, परन्तु यह बात उसके पति से छिपी हो और खुली न हो, और वह अशुद्ध हो गई, परन्तु न तो उसके विरुद्ध कोई साक्षी हो, और न कुकर्म करते पकड़ी गई हो;

Aur koi puroosh uske saath kukarm kare, parantu yah baat uske pati se chhipi ho aur khuli na ho, aur vah ashuddh ho gai, parantu na to uske viruddh koi sakshi ho, aur na kukarm karte pakdi gai ho;

14

और उसके पति के मन में जलन उत्पन्न हो, अर्थात वह अपने स्त्री पर जलने लगे और वह अशुद्ध हुई हो; वा उसके मन में जलन उत्पन्न हो, अर्थात वह अपनी स्त्री पर जलने लगे परन्तु वह अशुद्ध न हुई हो;

Aur uske pati ke man mein jalan utpann ho, arthaat vah apne stri par jalne lage aur vah ashuddh hui ho; va uske man mein jalan utpann ho, arthaat vah apni stri par jalne lage parantu vah ashuddh na hui ho;

15

तो वह पुरूष अपनी स्त्री को याजक के पास ले जाए, और उसके लिये एपा का दसवां अंश जव का मैदा चढ़ावा करके ले आए; परन्तु उस पर तेल न डाले, न लोबान रखे, क्योंकि वह जलन वाला और स्मरण दिलाने वाला, अर्थात अधर्म का स्मरण कराने वाला अन्नबलि होगा।

To vah puroosh apni stri ko yajak ke paas le jaye, aur uske liye epa ka dasvan ansh jav ka maida chadhava karke le aaye; parantu us par tel na dale, na lobaan rakhe, kyonki vah jalan vala aur smaran dilane vala, arthaat adharm ka smaran karane vala annabli hoga.

16

तब याजक उस स्त्री को समीप ले जा कर यहोवा के साम्हने खड़ी करे;

Tab yajak us stri ko sameep le ja kar Yahowa ke samhane khadi kare;

17

और याजक मिट्टी के पात्र में पवित्र जल ले, और निवासस्थान की भूमि पर की धूलि में से कुछ ले कर उस जल में डाल दे।

Aur yajak mitti ke patra mein pavitra jal le, aur nivasasthaan ki bhoomi par ki dhooli mein se kuchh le kar us jal mein daal de.

18

तब याजक उस स्त्री को यहोवा के साम्हने खड़ी करके उसके सिर के बाल बिखराए, और स्मरण दिलाने वाले अन्नबलि को जो जलन वाला है उसके हाथों पर धर दे। और अपने हाथ में याजक कडुवा जल लिये रहे जो शाप लगाने का कारण होगा।

Tab yajak us stri ko Yahowa ke samhane khadi karke uske sir ke baal bikhraye, aur smaran dilane vale annabli ko jo jalan vala hai uske hathon par dhar de. Aur apne haath mein yajak kaduva jal liye rahe jo shaap lagane ka karan hoga.

19

तब याजक स्त्री को शपथ धरवाकर कहे, कि यदि किसी पुरूष ने तुझ से कुकर्म न किया हो, और तू पति को छोड़ दूसरे की ओर फिर के अशुद्ध न हो गई हो, तो तू इस कडुवे जल के गुण से जो शाप का कारण होता है बची रहे।

Tab yajak stri ko shapath dharvakar kahe, ki yadi kisi puroosh ne tujh se kukarm na kiya ho, aur tu pati ko chhod doosre ki or phir ke ashuddh na ho gai ho, to tu is kaduve jal ke gun se jo shaap ka karan hota hai bachi rahe.

20

पर यदि तू अपने पति को छोड़ दूसरे की ओर फिर के अशुद्ध हुई हो, और तेरे पति को छोड़ किसी दूसरे पुरूष ने तुझ से प्रसंग किया हो,

Par yadi tu apne pati ko chhod doosre ki or phir ke ashuddh hui ho, aur tere pati ko chhod kisi doosre puroosh ne tujh se prasang kiya ho,

21

(और याजक उसे शाप देने वाली शपथ धराकर कहे,) यहोवा तेरी जांघ सड़ाए और तेरा पेट फुलाए, और लोग तेरा नाम ले कर शाप और धिक्कार दिया करें;

(aur yajak use shaap dene vali shapath dharakar kahe,) Yahowa teri jaangh sadaye aur tera pet phulaye, aur log tera naam le kar shaap aur dhikkaar diya karein;

22

अर्थात वह जल जो शाप का कारण होता है तेरी अंतड़ियों में जा कर तेरे पेट को फुलाए, और तेरी जांघ को सड़ा दे। तब वह स्त्री कहे, आमीन, आमीन।

Arthaat vah jal jo shaap ka karan hota hai teri antdiyon mein ja kar tere pet ko phulaye, aur teri jaangh ko sada de. Tab vah stri kahe, Aamin, Aamin.

23

तब याजक शाप के ये शब्द पुस्तक में लिखकर उस कडुवे जल से मिटाके,

Tab yajak shaap ke ye shabd pustak mein likhkar us kaduve jal se mitake,

24

उस स्त्री को वह कडुवा जल पिलाए जो शाप का कारण होता है, और वह जल जो शाप का कारण होगा उस स्त्री के पेट में जा कर कडुवा हो जाएगा।

Us stri ko vah kaduva jal pilaye jo shaap ka karan hota hai, aur vah jal jo shaap ka karan hoga us stri ke pet mein ja kar kaduva ho jayega.

25

और याजक स्त्री के हाथ में से जलन वाले अन्नबलि को ले कर यहोवा के आगे हिलाकर वेदी के समीप पहुंचाए;

Aur yajak stri ke haath mein se jalan vale annabli ko le kar Yahowa ke aage hilakar vedi ke sameep pahunchaye;

26

और याजक उस अन्नबलि में से उसका स्मरण दिलाने वाला भाग, अर्थात मुट्ठी भर ले कर वेदी पर जलाए, और उसके बाद स्त्री को वह जल पिलाए।

Aur yajak us annabli mein se uska smaran dilane vala bhaag, arthaat mutthi bhar le kar vedi par jalaye, aur uske baad stri ko vah jal pilaye.

27

और जब वह उसे वह जल पिला चुके, तब यदि वह अशुद्ध हुई हो और अपने पति का विश्वासघात किया हो, तो वह जल जो शाप का कारण होता है उस स्त्री के पेट में जा कर कडुवा हो जाएगा, और उसका पेट फूलेगा, और उसकी जांघ सड़ जाएगी, और उस स्त्री का नाम उसके लोगों के बीच स्रापित होगा।

Aur jab vah use vah jal pila chuke, tab yadi vah ashuddh hui ho aur apne pati ka vishwasghaat kiya ho, to vah jal jo shaap ka karan hota hai us stri ke pet mein ja kar kaduva ho jayega, aur uska pet phoolega, aur uski jaangh sad jayegi, aur us stri ka naam uske logon ke beech srapit hoga.

28

पर यदि वह स्त्री अशुद्ध न हुई हो और शुद्ध ही हो, तो वह निर्दोष ठहरेगी और गर्भिणी हो सकेगी।

Par yadi vah stri ashuddh na hui ho aur shuddh hi ho, to vah nirdosh thahregi aur garbhini ho sakegi.

29

जलन की व्यवस्था यही है, चाहे कोई स्त्री अपने पति को छोड़ दूसरे की ओर फिर के अशुद्ध हो,

Jalan ki vyavastha yahi hai, chahe koi stri apne pati ko chhod doosre ki or phir ke ashuddh ho,

30

चाहे पुरूष के मन में जलन उत्पन्न हो और वह अपनी स्त्री पर जलने लगे; तो वह उसको यहोवा के सम्मुख खड़ी कर दे, और याजक उस पर यह सारी व्यवस्था पूरी करे।

Chahe puroosh ke man mein jalan utpann ho aur vah apni stri par jalne lage; to vah usko Yahowa ke sammukh khadi kar de, aur yajak us par yah sari vyavastha poori kare.

31

तब पुरूष अधर्म से बचा रहेगा, और स्त्री अपने अधर्म का बोझ आप उठाएगी॥

Tab puroosh adharm se bacha rahega, aur stri apne adharm ka bojh aap uthayegi.