फिर यहोवा ने मूसा और हारून से कहा,
Phir Yahowa ne Musa aur haroon se kaha,
Numbers 4 · 49 verses
फिर यहोवा ने मूसा और हारून से कहा,
Phir Yahowa ne Musa aur haroon se kaha,
लेवियों में से कहातियों की, उनके कुलों और पितरों के घरानों के अनुसार, गिनती करो,
Leviyon mein se kahatiyon ki, unke kulon aur pitron ke gharanon ke anusaar, ginti karo,
अर्थात तीस वर्ष से ले कर पचास वर्ष तक की अवस्था वालों की सेना में, जितने मिलापवाले तम्बू में कामकाज करने को भरती हैं।
Arthaat tees varsh se le kar pachaas varsh tak ki avastha valon ki sena mein, jitne milapvale tambu mein kamkaaj karne ko bharti hain.
और मिलापवाले तम्बू में परमपवित्र वस्तुओं के विषय कहातियों का यह काम होगा,
Aur milapvale tambu mein parmapvitra vastuon ke vishay kahatiyon ka yah kaam hoga,
अर्थात जब जब छावनी का कूच हो तब तब हारून और उसके पुत्र भीतर आकर, बीच वाले पर्दे को उतार के उससे साक्षीपत्र के सन्दूक को ढांप दें;
Arthaat jab jab chhavni ka kooch ho tab tab haroon aur uske putra bheetar aakar, beech vale parde ko utaar ke usse saksheepatra ke sandook ko dhaamp dein;
तब वे उस पर सूइसों की खालों का ओहार डालें, और उसके ऊपर सम्पूर्ण नीले रंग का कपड़ा डालें, और सन्दूक में डण्डों को लगाएं।
Tab ve us par sooison ki khalon ka ohaar dalein, aur uske oopar sampoorn neele rang ka kapda dalein, aur sandook mein dandon ko lagayen.
फिर भेंटवाली रोटी की मेज़ पर नीला कपड़ा बिछाकर उस पर परातों, धूपदानों, करवों, और उंडेलने के कटोरों को रखें; और नित्य की रोटी भी उस पर हो;
Phir bhentvali roti ki mez par neela kapda bichhakar us par paraton, dhoopdanon, karvon, aur undelne ke katoron ko rakhein; aur nitya ki roti bhi us par ho;
तब वे उन पर लाल रंग का कपड़ा बिछाकर उसको सुइसों की खालों के ओहार से ढापे, और मेज़ के डण्डों को लगा दें।
Tab ve un par laal rang ka kapda bichhakar usko suison ki khalon ke ohaar se dhape, aur mez ke dandon ko laga dein.
फिर वे नीले रंग का कपड़ा ले कर दीपकों, गलतराशों, और गुलदानों समेत उजियाला देने वाले दीवट को, और उसके सब तेल के पात्रों को जिन से उसकी सेवा टहल होती है ढांपे;
Phir ve neele rang ka kapda le kar deepkon, galatrashon, aur guldanon samet ujiyala dene vale deevat ko, aur uske sab tel ke patron ko jin se uski seva tahal hoti hai dhampe;
तब वे सारे सामान समेत दीवट को सूइसों की खालों के ओहार के भीतर रखकर डण्डे पर धर दें।
Tab ve sare samaan samet deevat ko sooison ki khalon ke ohaar ke bheetar rakhkar dande par dhar dein.
फिर वे सोने की वेदी पर एक नीला कपड़ा बिछाकर उसको सूइसों की खालों के ओहार से ढांपें, और उसके डण्डों को लगा दें।
Phir ve sone ki vedi par ek neela kapda bichhakar usko sooison ki khalon ke ohaar se dhampein, aur uske dandon ko laga dein.
तब वे सेवा टहल के सारे सामान को ले कर, जिस से पवित्रस्थान में सेवा टहल होती है, नीले कपड़े के भीतर रखकर सूइसों की खालों के ओहार से ढांपे, और डण्डे पर धर दें।
Tab ve seva tahal ke sare samaan ko le kar, jis se pavitrasthaan mein seva tahal hoti hai, neele kapde ke bheetar rakhkar sooison ki khalon ke ohaar se dhampe, aur dande par dhar dein.
फिर वे वेदी पर से सब राख उठा कर वेदी पर बैंजनी रंग का कपड़ा बिछाएं;
Phir ve vedi par se sab raakh utha kar vedi par bainjni rang ka kapda bichhayen;
तब जिस सामान से वेदी पर की सेवा टहल होती है वह सब, अर्थात उसके करछे, कांटे, फावड़ियां, और कटोरे आदि, वेदी का सारा सामान उस पर रखें; और उसके ऊपर सूइसों की खालों का ओहार बिछाकर वेदी में डण्डों को लगाएं।
Tab jis samaan se vedi par ki seva tahal hoti hai vah sab, arthaat uske karchhe, kante, phavdiyan, aur katore aadi, vedi ka sara samaan us par rakhein; aur uske oopar sooison ki khalon ka ohaar bichhakar vedi mein dandon ko lagayen.
और जब हारून और उसके पुत्र छावनी के कूच के समय पवित्रस्थान और उसके सारे सामान को ढांप चुकें, तब उसके बाद कहाती उसके उठाने के लिये आएं, पर किसी पवित्र वस्तु को न छुएं, कहीं ऐसा न हो कि मर जाएं। कहातियों के उठाने के लिये मिलापवाले तम्बू की ये ही वस्तुएं हैं।
Aur jab haroon aur uske putra chhavni ke kooch ke samay pavitrasthaan aur uske sare samaan ko dhaamp chukein, tab uske baad kahati uske uthane ke liye aayen, par kisi pavitra vastu ko na chhuein, kahi aisa na ho ki mar jayen. Kahatiyon ke uthane ke liye milapvale tambu ki ye hi vastuein hain.
और जो वस्तुएं हारून याजक के पुत्र एलीजार को रक्षा के लिये सौंपी जाएं वे ये हैं, अर्थात उजियाला देने के लिये तेल, और सुगन्धित धूप, और नित्य अन्नबलि, और अभिषेक का तेल, और सारे निवास, और उस में की सब वस्तुएं, और पवित्रस्थान और उसके कुल समान॥
Aur jo vastuein haroon yajak ke putra eleejaar ko raksha ke liye saumpi jayen ve ye hain, arthaat ujiyala dene ke liye tel, aur sugandhit dhoop, aur nitya annabli, aur abhishek ka tel, aur sare nivaas, aur us mein ki sab vastuein, aur pavitrasthaan aur uske kul samaan.
फिर यहोवा ने मूसा और हारून से कहा,
Phir Yahowa ne Musa aur haroon se kaha,
कहातियों के कुलों के गोत्रियों को लेवियों में से नाश न होने देना;
Kahatiyon ke kulon ke gotriyon ko leviyon mein se naash na hone dena;
उसके साथ ऐसा करो, कि जब वे परमपवित्र वस्तुओं के समीप आएं तब न मरें परन्तु जीवित रहें; अर्थात हारून और उसके पुत्र भीतर आकर एक एक के लिये उसकी सेवकाई और उसका भार ठहरा दें,
Uske saath aisa karo, ki jab ve parmapvitra vastuon ke sameep aayen tab na marein parantu jeevit rahein; arthaat haroon aur uske putra bheetar aakar ek ek ke liye uski sevkai aur uska bhaar thahra dein,
और वे पवित्र वस्तुओं के देखने को झण भर के लिये भी भीतर आने न पाएं, कहीं ऐसा न हो कि मर जाएं॥
Aur ve pavitra vastuon ke dekhne ko jhan bhar ke liye bhi bheetar aane na payen, kahi aisa na ho ki mar jayen.
फिर यहोवा ने मूसा से कहा,
Phir Yahowa ne Musa se kaha,
गेर्शोनियों की भी गिनती उनके पितरों के घरानों और कुलों के अनुसार कर;
Gershoniyon ki bhi ginti unke pitron ke gharanon aur kulon ke anusaar kar;
तीस वर्ष से ले कर पचास वर्ष तक की अवस्था वाले, जितने मिलापवाले तम्बू में सेवा करने को सेना में भरती हों उन सभों को गिन ले।
Tees varsh se le kar pachaas varsh tak ki avastha vale, jitne milapvale tambu mein seva karne ko sena mein bharti hon un sabhon ko gin le.
सेवा करने और भार उठाने में गेर्शोनियों के कुल वालों की यह सेवकाई हो;
Seva karne aur bhaar uthane mein gershoniyon ke kul valon ki yah sevkai ho;
अर्थात वे निवास के पटों, और मिलापवाले तम्बू और उसके ओहार, और इसके ऊपर वाले सूइसों की खालों के ओहार, और मिलापवाले तम्बू के द्वार के पर्दे,
Arthaat ve nivaas ke paton, aur milapvale tambu aur uske ohaar, aur iske oopar vale sooison ki khalon ke ohaar, aur milapvale tambu ke dwaar ke parde,
और निवास, और वेदी की चारों ओर के आंगन के पर्दों, और आंगन के द्वार के पर्दे, और उनकी डोरियों, और उन में बरतने के सारे सामान, इन सभों को वे उठाया करें; और इन वस्तुओं से जितना काम होता है वह सब भी उनकी सेवकाई में आए।
Aur nivaas, aur vedi ki charon or ke aangan ke pardon, aur aangan ke dwaar ke parde, aur unki doriyon, aur un mein baratne ke sare samaan, in sabhon ko ve uthaya karein; aur in vastuon se jitna kaam hota hai vah sab bhi unki sevkai mein aaye.
और गेर्शोनियों के वंश की सारी सेवकाई हारून और उसके पुत्रों के कहने से हुआ करे, अर्थात जो कुछ उन को उठाना, और जो जो सेवकाई उन को करनी हो, उनका सारा भार तुम ही उन्हें सौंपा करो।
Aur gershoniyon ke vansh ki sari sevkai haroon aur uske putron ke kahne se huaa kare, arthaat jo kuchh un ko uthana, aur jo jo sevkai un ko karni ho, unka sara bhaar tum hi unhein saumpa karo.
मिलापवाले तम्बू में गेर्शोनियों के कुलों की यही सेवकाई ठहरे; और उन पर हारून याजक का पुत्र ईतामार अधिकार रखे॥
Milapvale tambu mein gershoniyon ke kulon ki yahi sevkai thahre; aur un par haroon yajak ka putra itamaar adhikaar rakhe.
फिर मरारियों को भी तू उनके कुलों और पितरों के घरानों के अनुसार गिन लें;
Phir marariyon ko bhi tu unke kulon aur pitron ke gharanon ke anusaar gin lein;
तीस वर्ष से ले कर पचास वर्ष तक की अवस्था वाले, जितने मिलापवाले तम्बू की सेवा करने को सेना में भरती हों, उन सभों को गिन ले।
Tees varsh se le kar pachaas varsh tak ki avastha vale, jitne milapvale tambu ki seva karne ko sena mein bharti hon, un sabhon ko gin le.
और मिलापवाले तम्बू में की जिन वस्तुओं के उठाने की सेवकाई उन को मिले वे ये हों, अर्थात निवास के तख्ते, बेड़े, खम्भे, और कुर्सियां,
Aur milapvale tambu mein ki jin vastuon ke uthane ki sevkai un ko mile ve ye hon, arthaat nivaas ke takhte, bede, khambhe, aur kursiyan,
और चारों ओर आंगन के खम्भे, और इनकी कुर्सियां, खूंटे, डोरियां, और भांति भांति के बरतने का सारा सामान; और जो जो सामान ढोने के लिये उन को सौंपा जाए उस में से एक एक वस्तु का नाम ले कर तुम गिन दो।
Aur charon or aangan ke khambhe, aur inki kursiyan, khoonte, doriyan, aur bhanti bhanti ke baratne ka sara samaan; aur jo jo samaan dhone ke liye un ko saumpa jaye us mein se ek ek vastu ka naam le kar tum gin do.
मरारियों के कुलों की सारी सेवकाई जो उन्हें मिलापवाले तम्बू के विषय करनी होगी वह यही है; वह हारून याजक के पुत्र ईतामार के अधिकार में रहे॥
Marariyon ke kulon ki sari sevkai jo unhein milapvale tambu ke vishay karni hogi vah yahi hai; vah haroon yajak ke putra itamaar ke adhikaar mein rahe.
तब मूसा और हारून और मण्डली के प्रधानों ने कहातियों के वंश को, उनके कुलों और पितरों के घरानों के अनुसार,
Tab Musa aur haroon aur mandali ke pradhanon ne kahatiyon ke vansh ko, unke kulon aur pitron ke gharanon ke anusaar,
तीस वर्ष से ले कर पचास वर्ष की अवस्था के, जितने मिलापवाले तम्बू की सेवकाई करने को सेना में भरती हुए थे, उन सभों को गिन लिया;
Tees varsh se le kar pachaas varsh ki avastha ke, jitne milapvale tambu ki sevkai karne ko sena mein bharti hue the, un sabhon ko gin liya;
और जो अपने अपने कुल के अनुसार गिने गए वे दो हजार साढ़े सात सौ थे।
Aur jo apne apne kul ke anusaar gine gaye ve do hajaar sadhe saat sau the.
कहातियों के कुलों में से जितने मिलापवाले तम्बू में सेवा करने वाले गिने गए वे इतने ही थे; जो आज्ञा यहोवा ने मूसा के द्वारा दी थी उसी के अनुसार मूसा और हारून ने इन को गिन लिया॥
Kahatiyon ke kulon mein se jitne milapvale tambu mein seva karne vale gine gaye ve itne hi the; jo aagya Yahowa ne Musa ke dwara di thi usi ke anusaar Musa aur haroon ne in ko gin liya.
और गेर्शोनियों में से जो अपने कुलों और पितरों के घरानों के अनुसार गिने गए,
Aur gershoniyon mein se jo apne kulon aur pitron ke gharanon ke anusaar gine gaye,
अर्थात तीस वर्ष से ले कर पचास वर्ष तक की अवस्था के, जो मिलापवाले तम्बू की सेवकाई करने को सेना में भरती हुए थे,
Arthaat tees varsh se le kar pachaas varsh tak ki avastha ke, jo milapvale tambu ki sevkai karne ko sena mein bharti hue the,
उनकी गिनती उनके कुलों और पितरों के घरानों के अनुसार दो हजार छ: सौ तीस थी।
Unki ginti unke kulon aur pitron ke gharanon ke anusaar do hajaar chha: sau tees thi.
गेर्शोनियों के कुलों में से जितने मिलापवाले तम्बू में सेवा करने वाले गिने गए वे इतने ही थे; यहोवा की आज्ञा के अनुसार मूसा और हारून ने इन को गिन लिया॥
Gershoniyon ke kulon mein se jitne milapvale tambu mein seva karne vale gine gaye ve itne hi the; Yahowa ki aagya ke anusaar Musa aur haroon ne in ko gin liya.
फिर मरारियों के कुलों में से जो अपने कुलों और पितरों के घरानों के अनुसार गिने गए,
Phir marariyon ke kulon mein se jo apne kulon aur pitron ke gharanon ke anusaar gine gaye,
अर्थात तीस वर्ष से ले कर पचास वर्ष तक की अवस्था के, जो मिलापवाले तम्बू की सेवकाई करने को सेना में भरती हुए थे,
Arthaat tees varsh se le kar pachaas varsh tak ki avastha ke, jo milapvale tambu ki sevkai karne ko sena mein bharti hue the,
उनकी गिनती उनके कुलों के अनुसार तीन हजार दो सौ थी।
Unki ginti unke kulon ke anusaar teen hajaar do sau thi.
मरारियों के कुलों में से जिन को मूसा और हारून ने, यहोवा की उस आज्ञा के अनुसार जो मूसा के द्वारा मिली थी, गिन लिया वे इतने ही थे॥
Marariyon ke kulon mein se jin ko Musa aur haroon ne, Yahowa ki us aagya ke anusaar jo Musa ke dwara mili thi, gin liya ve itne hi the.
लेवियों में से जिन को मूसा और हारून और इस्त्राएली प्रधानों ने उनके कुलों और पितरों के घरानों के अनुसार गिन लिया,
Leviyon mein se jin ko Musa aur haroon aur istrayeli pradhanon ne unke kulon aur pitron ke gharanon ke anusaar gin liya,
अर्थात तीस वर्ष से ले कर पचास वर्ष तक की अवस्था वाले, जितने मिलापवाले तम्बू की सेवकाई करने का बोझ उठाने का काम करने को हाजिर होने वाले थे,
Arthaat tees varsh se le kar pachaas varsh tak ki avastha vale, jitne milapvale tambu ki sevkai karne ka bojh uthane ka kaam karne ko hajir hone vale the,
उन सभों की गिनती आठ हजार पांच सौ अस्सी थी।
Un sabhon ki ginti aath hajaar paanch sau assi thi.
ये अपनी अपनी सेवा और बोझ ढोने के अनुसार यहोवा के कहने पर गए। जो आज्ञा यहोवा ने मूसा को दी थी उसी के अनुसार वे गिने गए॥
Ye apni apni seva aur bojh dhone ke anusaar Yahowa ke kahne par gaye. Jo aagya Yahowa ne Musa ko di thi usi ke anusaar ve gine gaye.