जिस समय यहोवा ने सीनै पर्वत के पास मूसा से बातें की उस समय हारून और मूसा की यह वंशावली थी।
Jis samay Yahowa ne seenai parvat ke paas Musa se batein ki us samay haroon aur Musa ki yah vanshavli thi.
Numbers 3 · 51 verses
जिस समय यहोवा ने सीनै पर्वत के पास मूसा से बातें की उस समय हारून और मूसा की यह वंशावली थी।
Jis samay Yahowa ne seenai parvat ke paas Musa se batein ki us samay haroon aur Musa ki yah vanshavli thi.
हारून के पुत्रों के नाम ये हैं: नादाब जो उसका जेठा था, और अबीहू, एलीआजार और ईतामार;
Haroon ke putron ke naam ye hain: nadaab jo uska jetha tha, aur abeehu, eleeaajaar aur itamaar;
हारून के पुत्र, जो अभिषिक्त याजक थे, और उनका संस्कार याजक का काम करने के लिये हुआ था उनके नाम ये ही हैं।
Haroon ke putra, jo abhishikt yajak the, aur unka sanskaar yajak ka kaam karne ke liye huaa tha unke naam ye hi hain.
नादाब और अबीहू जिस समय सीनै के जंगल में यहोवा के सम्मुख ऊपरी आग ले गए उसी समय यहोवा के साम्हने मर गए थे; और वे पुत्रहीन भी थे। एलीआजर और ईतामार अपने पिता हारून के साम्हने याजक का काम करते रहे॥
Nadaab aur abeehu jis samay seenai ke jangal mein Yahowa ke sammukh oopri aag le gaye usi samay Yahowa ke samhane mar gaye the; aur ve putraheen bhi the. Eleeaajar aur itamaar apne pita haroon ke samhane yajak ka kaam karte rahe.
फिर यहोवा ने मूसा से कहा,
Phir Yahowa ne Musa se kaha,
लेवी गोत्र वालों को समीप ले आकर हारून याजक के साम्हने खड़ा कर, कि वे उसकी सेवा टहल करें।
Levi gotra valon ko sameep le aakar haroon yajak ke samhane khada kar, ki ve uski seva tahal karein.
और जो कुछ उसकी ओर से और सारी मण्डली की ओर से उन्हें सौंपा जाए उसकी रक्षा वे मिलापवाले तम्बू के सामहने करें, इस प्रकार वे तम्बू की सेवा करें;
Aur jo kuchh uski or se aur sari mandali ki or se unhein saumpa jaye uski raksha ve milapvale tambu ke samahne karein, is prakaar ve tambu ki seva karein;
वे मिलापवाले तम्बू के कुल सामान की और इस्त्राएलियों की सौंपी हुई वस्तुओं की भी रक्षा करें, इस प्रकार वे तम्बू की सेवा करें।
Ve milapvale tambu ke kul samaan ki aur istrayeliyon ki saumpi hui vastuon ki bhi raksha karein, is prakaar ve tambu ki seva karein.
और तू लेवियों को हारून और उसके पुत्रों को सौंप दे; और वे इस्त्राएलियों की ओर से हारून को सम्पूर्ण रीति से अर्पण किए हुए हों।
Aur tu leviyon ko haroon aur uske putron ko saump de; aur ve istrayeliyon ki or se haroon ko sampoorn reeti se arpan kiye hue hon.
और हारून और उसके पुत्रों को याजक के पद पर नियुक्त कर, और वे अपने याजकपद की रक्षा किया करें; और यदि अन्य मनुष्य समीप आए, तो वह मार डाला जाए॥
Aur haroon aur uske putron ko yajak ke pad par niyukt kar, aur ve apne yajakpad ki raksha kiya karein; aur yadi anya manushya sameep aaye, to vah maar dala jaye.
फिर यहोवा ने मूसा से कहा,
Phir Yahowa ne Musa se kaha,
सुन इस्त्राएली स्त्रियों के सब पहिलौठों की सन्ती मैं इस्त्राएलियों में से लेवियों को ले लेता हूं; सो लेवीय मेरे ही हों।
Sun istrayeli striyon ke sab pahilauthon ki santi main istrayeliyon mein se leviyon ko le leta hoon; so leveeya mere hi hon.
सब पहिलौठे मेरे हैं; क्योंकि जिस दिन मैं ने मिस्र देश में के सब पहिलौठों को मारा, उसी दिन मैं ने क्या मनुष्य क्या पशु इस्त्राएलियों के सब पहिलौठों को अपने लिये पवित्र ठहराया; इसलिये वे मेरे ही ठहरेंगे; मैं यहोवा हूं॥
Sab pahilauthe mere hain; kyonki jis din main ne Misr desh mein ke sab pahilauthon ko mara, usi din main ne kya manushya kya pashu istrayeliyon ke sab pahilauthon ko apne liye pavitra thahraya; isliye ve mere hi thahrenge; main Yahowa hoon.
फिर यहोवा ने सीनै के जंगल में मूसा से कहा,
Phir Yahowa ne seenai ke jangal mein Musa se kaha,
लेवियों में से जितने पुरूष एक महीने वा उससे अधिक अवस्था के हों उन को उनके पितरों के घरानों और उनके कुलों के अनुसार गिन ले।
Leviyon mein se jitne puroosh ek maheene va usse adhik avastha ke hon un ko unke pitron ke gharanon aur unke kulon ke anusaar gin le.
यह आज्ञा पाकर मूसा ने यहोवा के कहे के अनुसार उन को गिन लिया।
Yah aagya pakar Musa ne Yahowa ke kahe ke anusaar un ko gin liya.
लेवी के पुत्रों के नाम ये हैं, अर्थात गेर्शोन, कहात, और मरारी।
Levi ke putron ke naam ye hain, arthaat gershon, kahaat, aur marari.
और गेर्शोन के पुत्र जिन से उसके कुल चले उनके नाम ये हैं, अर्थात लिब्नी और शिमी।
Aur gershon ke putra jin se uske kul chale unke naam ye hain, arthaat libni aur shimi.
कहात के पुत्र जिन से उसके कुल चले उनके नाम ये हैं, अर्थात अम्राम, यिसहार, हेब्रोन, और उज्जीएल।
Kahaat ke putra jin se uske kul chale unke naam ye hain, arthaat amraam, yishaar, hebron, aur ujjeeyel.
और मरारी के पुत्र जिन से उसके कुल चले उनके नाम ये हैं, अर्थात महली और मूशी। ये लेवियों के कुल अपने पितरों के घरानों के अनुसार हैं॥
Aur marari ke putra jin se uske kul chale unke naam ye hain, arthaat mahli aur mooshi. Ye leviyon ke kul apne pitron ke gharanon ke anusaar hain.
गेर्शोन से लिब्नियों और शिमियों के कुल चले; गेर्शोनवंशियों के कुल ये ही हैं।
Gershon se libniyon aur shimiyon ke kul chale; gershonvanshiyon ke kul ye hi hain.
इन में से जितने पुरूषों की अवस्था एक महीने की वा उससे अधिक थी, उन सभों की गिनती साढ़े सात हजार थी।
In mein se jitne purooshon ki avastha ek maheene ki va usse adhik thi, un sabhon ki ginti sadhe saat hajaar thi.
गेर्शोन वाले कुल निवास के पीछे पच्छिम की ओर अपने डेरे डाला करें;
Gershon vale kul nivaas ke peechhe pachchhim ki or apne dere dala karein;
और गेर्शोनियों के मूलपुरूष से घराने का प्रधान लाएल का पुत्र एल्यासाप हो।
Aur gershoniyon ke moolpuroosh se gharane ka pradhaan layel ka putra elyasaap ho.
और मिलापवाले तम्बू की जो वस्तुएं गेर्शोनवंशियों को सौंपी जाएं वे ये हों, अर्थात निवास और तम्बू, और उसका ओहार, और मिलापवाले तम्बू से द्वार का पर्दा,
Aur milapvale tambu ki jo vastuein gershonvanshiyon ko saumpi jayen ve ye hon, arthaat nivaas aur tambu, aur uska ohaar, aur milapvale tambu se dwaar ka parda,
और जो आंगन निवास और वेदी की चारों ओर है उसके पर्दे, और उसके द्वार का पर्दा, और सब डोरियां जो उस में काम आती हैं॥
Aur jo aangan nivaas aur vedi ki charon or hai uske parde, aur uske dwaar ka parda, aur sab doriyan jo us mein kaam aati hain.
फिर कहात से अम्रामियों, यिसहारियों, हेब्रोनियों, और उज्जीएलियों के कुल चले; कहातियों के कुल ये ही हैं।
Phir kahaat se amramiyon, yishariyon, hebroniyon, aur ujjeeyeliyon ke kul chale; kahatiyon ke kul ye hi hain.
उन में से जितने पुरूषों की अवस्था एक महीने की वा उससे अधिक थी उनकी गिनती आठ हजार छ: सौ थी। वे पवित्र स्थान की रक्षा के उत्तरदायी थे।
Un mein se jitne purooshon ki avastha ek maheene ki va usse adhik thi unki ginti aath hajaar chha: sau thi. Ve pavitra sthaan ki raksha ke uttardayi the.
कहातियों के कुल निवास की उस अलंग पर अपने डेरे डाला करें जो दक्खिन की ओर है;
Kahatiyon ke kul nivaas ki us alang par apne dere dala karein jo dakkhin ki or hai;
और कहात वाले कुलों से मूलपुरूष के घराने का प्रधान उज्जीएल का पुत्र एलीसापान हो।
Aur kahaat vale kulon se moolpuroosh ke gharane ka pradhaan ujjeeyel ka putra eleesapaan ho.
और जो वस्तुएं उन को सौंपी जाएं वे सन्दूक, मेज़, दीवट, वेदियां, और पवित्रस्थान का वह सामान जिस से सेवा टहल होती है, और पर्दा; निदान पवित्रस्थान में काम में आने वाला सारा सामान हो।
Aur jo vastuein un ko saumpi jayen ve sandook, mez, deevat, vediyan, aur pavitrasthaan ka vah samaan jis se seva tahal hoti hai, aur parda; nidaan pavitrasthaan mein kaam mein aane vala sara samaan ho.
और लेवियों के प्रधानों का प्रधान हारून याजक का पुत्र एलीआजार हो, और जो लोग पवित्रस्थान की सौंपी हुई वस्तुओं की रक्षा करेंगे उन पर वही मुखिया ठहरे॥
Aur leviyon ke pradhanon ka pradhaan haroon yajak ka putra eleeaajaar ho, aur jo log pavitrasthaan ki saumpi hui vastuon ki raksha karenge un par vahi mukhiya thahre.
फिर मरारी से महलियों और मूशियों के कुल चले; मरारी के कुल ये ही हैं।
Phir marari se mahliyon aur mooshiyon ke kul chale; marari ke kul ye hi hain.
इन में से जितने पुरूषों की अवस्था एक महीने की वा उससे अधिक थी उन सभों की गिनती छ: हजार दो सौ थी।
In mein se jitne purooshon ki avastha ek maheene ki va usse adhik thi un sabhon ki ginti chha: hajaar do sau thi.
और मरारी के कुलों के मूलपुरूष के घराने का प्रधान अबीहैल का पुत्र सूरीएल हो; ये लोग निवास के उत्तर की ओर अपने डेरे खड़े करें।
Aur marari ke kulon ke moolpuroosh ke gharane ka pradhaan abeehail ka putra sooreeyel ho; ye log nivaas ke uttar ki or apne dere khade karein.
और जो वस्तुएं मरारीवंशियों को सौंपी जाएं कि वे उनकी रक्षा करें, वे निवास के तख्ते, बेंड़े, खम्भे, कुर्सियां, और सारा सामान; निदान जो कुछ उसके बरतने में काम आए;
Aur jo vastuein marareevanshiyon ko saumpi jayen ki ve unki raksha karein, ve nivaas ke takhte, bende, khambhe, kursiyan, aur sara samaan; nidaan jo kuchh uske baratne mein kaam aaye;
और चारों ओर के आंगन के खम्भे, और उनकी कुर्सियां, खूंटे और डोरियां हों।
Aur charon or ke aangan ke khambhe, aur unki kursiyan, khoonte aur doriyan hon.
और जो मिलापवाले तम्बू के साम्हने, अर्थात निवास के साम्हने, पूरब की ओर जहां से सूर्योदय होता है, अपने डेरे डाला करें, वे मूसा और हारून और उसके पुत्रों के डेरे हों, और पवित्रस्थान की रखवाली इस्त्राएलियों के बदले वे ही किया करें, और दूसरा जो कोई उसके समीप आए वह मार डाला जाए।
Aur jo milapvale tambu ke samhane, arthaat nivaas ke samhane, poorab ki or jahan se sooryoday hota hai, apne dere dala karein, ve Musa aur haroon aur uske putron ke dere hon, aur pavitrasthaan ki rakhvali istrayeliyon ke badle ve hi kiya karein, aur doosra jo koi uske sameep aaye vah maar dala jaye.
यहोवा की इस आज्ञा को पाकर एक महीने की वा उससे अधिक अवस्था वाले जितने लेवीय पुरूषों को मूसा और हारून ने उनके कुलों के अनुसार गिन लिया, वे सब के सब बाईस हजार थे॥
Yahowa ki is aagya ko pakar ek maheene ki va usse adhik avastha vale jitne leveeya purooshon ko Musa aur haroon ne unke kulon ke anusaar gin liya, ve sab ke sab bais hajaar the.
फिर यहोवा ने मूसा से कहा, इस्त्राएलियों के जितने पहिलौठे पुरूषों की अवस्था एक महीने की वा उससे अधिक है, उन सभों को नाम ले ले कर गिन ले।
Phir Yahowa ne Musa se kaha, istrayeliyon ke jitne pahilauthe purooshon ki avastha ek maheene ki va usse adhik hai, un sabhon ko naam le le kar gin le.
और मेरे लिये इस्त्राएलियों के सब पहिलौठों की सन्ती लेवियों को, और इस्त्राएलियों के पशुओं के सब पहिलौठों की सन्ती लेवियों के पशुओं को ले; मैं यहोवा हूं।
Aur mere liye istrayeliyon ke sab pahilauthon ki santi leviyon ko, aur istrayeliyon ke pashuon ke sab pahilauthon ki santi leviyon ke pashuon ko le; main Yahowa hoon.
यहोवा की इस आज्ञा के अनुसार मूसा ने इस्त्राएलियों के सब पहिलौठों को गिन लिया।
Yahowa ki is aagya ke anusaar Musa ne istrayeliyon ke sab pahilauthon ko gin liya.
और सब पहिलौठे पुरूष जिनकी अवस्था एक महीने की वा उससे अधिक थी, उनके नामों की गिनती बाईस हजार दो सौ तिहत्तर थी॥
Aur sab pahilauthe puroosh jinki avastha ek maheene ki va usse adhik thi, unke namon ki ginti bais hajaar do sau tihattar thi.
तब यहोवा ने मूसा से कहा,
Tab Yahowa ne Musa se kaha,
इस्त्राएलियों के सब पहिलौठों की सन्ती लेवियों को, और उनके पशुओं की सन्ती लेवियों के पशुओं को ले; और लेवीय मेरे ही हों; मैं यहोवा हूं।
Istrayeliyon ke sab pahilauthon ki santi leviyon ko, aur unke pashuon ki santi leviyon ke pashuon ko le; aur leveeya mere hi hon; main Yahowa hoon.
और इस्त्राएलियों के पहिलौठों मे से जो दो सौ तिहत्तर गिनती में लेवियों से अधिक हैं, उनके छुड़ाने के लिये,
Aur istrayeliyon ke pahilauthon me se jo do sau tihattar ginti mein leviyon se adhik hain, unke chhudane ke liye,
पुरूष पीछे पांच शेकेल ले; वे पवित्रस्थान के शेकेल के हिसाब से हों, अर्थात बीस गेरा का शेकेल हो।
Puroosh peechhe paanch shekel le; ve pavitrasthaan ke shekel ke hisaab se hon, arthaat bees gera ka shekel ho.
और जो रूपया उन अधिक पहिलौठों की छुडौती का होगा उसे हारून और उसके पुत्रों को दे देना।
Aur jo roopya un adhik pahilauthon ki chhudauti ka hoga use haroon aur uske putron ko de dena.
और जो इस्त्राएली पहिलौठे लेवियों के द्वारा छुड़ाए हुओं से अधिक थे उनके हाथ से मूसा ने छुड़ौती का रूपया लिया।
Aur jo istrayeli pahilauthe leviyon ke dwara chhudaye huon se adhik the unke haath se Musa ne chhudauti ka roopya liya.
और एक हजार तीन सौ पैंसठ शेकेल रूपया पवित्रस्थान के शेकेल के हिसाब से वसूल हुआ।
Aur ek hajaar teen sau painsath shekel roopya pavitrasthaan ke shekel ke hisaab se vasool huaa.
और यहोवा की आज्ञा के अनुसार मूसा ने छुड़ाए हुओं का रूपया हारून और उसके पुत्रों को दे दिया॥
Aur Yahowa ki aagya ke anusaar Musa ne chhudaye huon ka roopya haroon aur uske putron ko de diya.