Numbers 32 · 42 verses

गिनती 32 Numbers 32 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ginti 32.

1

रूबेनियों और गादियों के पास बहुत जानवर थे। जब उन्होंने याजेर और गिलाद देशों को देखकर विचार किया, कि वह ढोरों के योग्य देश है,

Roobeniyon aur gadiyon ke paas bahut janvar the. Jab unhonne yajer aur gilaad deshon ko dekhkar vichaar kiya, ki vah dhoron ke yogya desh hai,

2

तब मूसा और एलीआजर याजक और मण्डली के प्रधानों के पास जा कर कहने लगे,

Tab Musa aur eleeaajar yajak aur mandali ke pradhanon ke paas ja kar kahne lage,

3

अतारोत, दीबोन, याजेर, निम्रा, हेशबोन, एलाले, सबाम, नबो, और बोन नगरों का देश

Atarot, deebon, yajer, nimra, heshbon, elale, sabaam, nabo, aur bon nagron ka desh

4

जिस पर यहोवा ने इस्त्राएल की मण्डली को विजय दिलवाई है, वह ढोरों के योग्य है; और तेरे दासों के पास ढोर हैं।

Jis par Yahowa ne istrayel ki mandali ko vijay dilvai hai, vah dhoron ke yogya hai; aur tere dason ke paas dhor hain.

5

फिर उन्होंने कहा, यदि तेरा अनुग्रह तेरे दासों पर हो, तो यह देश तेरे दासों को मिले कि उनकी निज भूमि हो; हमें यरदन पार न ले चल।

Phir unhonne kaha, yadi tera anugrah tere dason par ho, to yah desh tere dason ko mile ki unki nij bhoomi ho; hamein yardan paar na le chal.

6

मूसा ने गादियों और रूबेनियों से कहा, जब तुम्हारे भाई युद्ध करने को जाएंगे तब क्या तुम यहां बैठे रहोगे?

Musa ne gadiyon aur roobeniyon se kaha, jab tumhare bhai yuddh karne ko jayenge tab kya tum yahan baithe rahoge?

7

और इस्त्राएलियों से भी उस पार के देश जाने के विषय जो यहोवा ने उन्हें दिया है तुम क्यों अस्वीकार करवाते हो?

Aur istrayeliyon se bhi us paar ke desh jane ke vishay jo Yahowa ne unhein diya hai tum kyon asweekaar karvate ho?

8

जब मैं ने तुम्हारे बापदादों को कादेशबर्ने से कनान देश देखने के लिये भेजा, तब उन्होंने भी ऐसा ही किया था।

Jab main ne tumhare bapdadon ko kadeshbarne se kanaan desh dekhne ke liye bheja, tab unhonne bhi aisa hi kiya tha.

9

अर्थात जब उन्होंने एशकोल नाम नाले तक पहुंचकर देश को देखा, तब इस्त्राएलियों से उस देश के विषय जो यहोवा ने उन्हें दिया था अस्वीकार करा दिया।

Arthaat jab unhonne eshkol naam nale tak pahunchkar desh ko dekha, tab istrayeliyon se us desh ke vishay jo Yahowa ne unhein diya tha asweekaar kara diya.

10

इसलिये उस समय यहोवा ने कोप करके यह शपथ खाई कि,

Isliye us samay Yahowa ne kop karke yah shapath khai ki,

11

नि:सन्देह जो मनुष्य मिस्र से निकल आए हैं उन में से, जितने बीस वर्ष के वा उससे अधिक अवस्था के हैं, वे उस देश को देखने न पाएंगे, जिसके देने की शपथ मैं ने इब्राहीम, इसहाक, और याकूब से खाई है, क्योंकि वे मेरे पीछे पूरी रीति से नहीं हो लिये;

Nisandeh jo manushya Misr se nikal aaye hain un mein se, jitne bees varsh ke va usse adhik avastha ke hain, ve us desh ko dekhne na payenge, jiske dene ki shapath main ne Ibrahim, Ishaq, aur Yakub se khai hai, kyonki ve mere peechhe poori reeti se nahi ho liye;

12

परन्तु यपुन्ने कनजी का पुत्र कालेब, और नून का पुत्र यहोशू, ये दोनों जो मेरे पीछे पूरी रीति से हो लिये हैं ये तो उसे देखने पाएंगे।

Parantu yapunne kanji ka putra kaleb, aur noon ka putra yahoshu, ye donon jo mere peechhe poori reeti se ho liye hain ye to use dekhne payenge.

13

सो यहोवा का कोप इस्त्राएलियों पर भड़का, और जब तक उस पीढ़ी के सब लोगों का अन्त न हुआ, जिन्होंने यहोवा के प्रति बुरा किया था, तब तक अर्थात चालीस वर्ष तक वह जंगल में मारे मारे फिराता रहा।

So Yahowa ka kop istrayeliyon par bhadka, aur jab tak us peedhi ke sab logon ka ant na huaa, jinhonne Yahowa ke prati bura kiya tha, tab tak arthaat chalees varsh tak vah jangal mein mare mare phirata raha.

14

और सुनो, तुम लोग उन पापियों के बच्चे हो कर इसी लिये अपने बाप-दादों के स्थान पर प्रकट हुए हो, कि इस्त्राएल के विरुद्ध यहोवा से भड़के हुए कोप को और भड़काओ!

Aur suno, tum log un papiyon ke bachche ho kar isi liye apne baap-dadon ke sthaan par prakat hue ho, ki istrayel ke viruddh Yahowa se bhadke hue kop ko aur bhadkao!

15

यदि तुम उसके पीछे चलने से फिर जाओ, तो वह फिर हम सभों को जंगल में छोड़ देगा; इस प्रकार तुम इन सारे लोगों का नाश कराओगे।

Yadi tum uske peechhe chalne se phir jao, to vah phir ham sabhon ko jangal mein chhod dega; is prakaar tum in sare logon ka naash karaoge.

16

तब उन्होंने मूसा के और निकट आकर कहा, हम अपने ढोरों के लिये यहीं भेड़शाले बनाएंगे, और अपने बाल-बच्चों के लिये यहीं नगर बसाएंगे,

Tab unhonne Musa ke aur nikat aakar kaha, ham apne dhoron ke liye yahi bhedshale banayenge, aur apne baal-bachchon ke liye yahi nagar basayenge,

17

परन्तु आप इस्त्राएलियों के आगे आगे हथियार बन्द तब तक चलेंगे, जब तक उन को उनके स्थान में न पहुंचा दे; परन्तु हमारे बाल-बच्चे इस देश के निवासियों के डर से गढ़ वाले नगरों में रहेंगे।

Parantu aap istrayeliyon ke aage aage hathiyaar band tab tak chalenge, jab tak un ko unke sthaan mein na pahuncha de; parantu hamare baal-bachche is desh ke nivasiyon ke dar se gadh vale nagron mein rahenge.

18

परन्तु जब तक इस्त्राएली अपने अपने भाग के अधिकारी न हों तब तक हम अपने घरों को न लौटेंगे।

Parantu jab tak istrayeli apne apne bhaag ke adhikari na hon tab tak ham apne gharon ko na lautenge.

19

हम उनके साथ यरदन पार वा कहीं आगे अपना भाग न लेंगे, क्योंकि हमारा भाग यरदन के इसी पार पूरब की ओर मिला है।

Ham unke saath yardan paar va kahi aage apna bhaag na lenge, kyonki hamara bhaag yardan ke isi paar poorab ki or mila hai.

20

तब मूसा ने उन से कहा, यदि तुम ऐसा करो, अर्थात यदि तुम यहोवा के आगे आगे युद्ध करने को हथियार बान्धो।

Tab Musa ne un se kaha, yadi tum aisa karo, arthaat yadi tum Yahowa ke aage aage yuddh karne ko hathiyaar bandho.

21

और हर एक हथियार-बन्द यरदन के पार तब तक चले, जब तक यहोवा अपने आगे से अपने शत्रुओं को न निकाले

Aur har ek hathiyaar-band yardan ke paar tab tak chale, jab tak Yahowa apne aage se apne shatruon ko na nikale

22

और देश यहोवा के वश में न आए; तो उसके पीछे तुम यहां लौटोगे, और यहोवा के और इस्त्राएल के विषय निर्दोष ठहरोगे; और यह देश यहोवा के प्रति तुम्हारी निज भूमि ठहरेगा।

Aur desh Yahowa ke vash mein na aaye; to uske peechhe tum yahan lautoge, aur Yahowa ke aur istrayel ke vishay nirdosh thahroge; aur yah desh Yahowa ke prati tumhari nij bhoomi thahrega.

23

और यदि तुम ऐसा न करो, तो यहोवा के विरुद्ध पापी ठहरोगे; और जान रखो कि तुम को तुम्हारा पाप लगेगा।

Aur yadi tum aisa na karo, to Yahowa ke viruddh papi thahroge; aur jaan rakho ki tum ko tumhara paap lagega.

24

तुम अपने बाल-बच्चों के लिये नगर बसाओ, और अपनी भेड़-बकरियों के लिये भेड़शाले बनाओ; और जो तुम्हारे मुंह से निकला है वही करो।

Tum apne baal-bachchon ke liye nagar basao, aur apni bhed-bakriyon ke liye bhedshale banao; aur jo tumhare munh se nikla hai vahi karo.

25

तब गादियों और रूबेनियों ने मूसा से कहा, अपने प्रभु की आज्ञा के अनुसार तेरे दास करेंगे।

Tab gadiyon aur roobeniyon ne Musa se kaha, apne Prabhu ki aagya ke anusaar tere daas karenge.

26

हमारे बाल-बच्चे, स्त्रियां, भेड़-बकरी आदि, सब पशु तो यहीं गिलाद के नगरों में रहेंगे;

Hamare baal-bachche, striyan, bhed-bakri aadi, sab pashu to yahi gilaad ke nagron mein rahenge;

27

परन्तु अपने प्रभु के कहे के अनुसार तेरे दास सब के सब युद्ध के लिये हथियार-बन्द यहोवा के आगे आगे लड़ने को पार जाएंगे।

Parantu apne Prabhu ke kahe ke anusaar tere daas sab ke sab yuddh ke liye hathiyaar-band Yahowa ke aage aage ladne ko paar jayenge.

28

तब मूसा ने उनके विषय में एलीआजर याजक, और नून के पुत्र यहोशू, और इस्त्राएलियों के गोत्रों के पितरों के घरानों के मुख्य मुख्य पुरूषों को यह आज्ञा दी,

Tab Musa ne unke vishay mein eleeaajar yajak, aur noon ke putra yahoshu, aur istrayeliyon ke gotron ke pitron ke gharanon ke mukhya mukhya purooshon ko yah aagya di,

29

कि यदि सब गादी और रूबेनी पुरूष युद्ध के लिये हथियार-बन्द तुम्हारे संग यरदन पार जाएं, और देश तुम्हारे वश में आ जाए, तो गिलाद देश उनकी निज भूमि होने को उन्हें देना।

Ki yadi sab gadi aur roobeni puroosh yuddh ke liye hathiyaar-band tumhare sang yardan paar jayen, aur desh tumhare vash mein aa jaye, to gilaad desh unki nij bhoomi hone ko unhein dena.

30

परन्तु यदि वे तुम्हारे संग हथियार-बन्द पार न जाएं, तो उनकी निज भूमि तुम्हारे बीच कनान देश में ठहरे।

Parantu yadi ve tumhare sang hathiyaar-band paar na jayen, to unki nij bhoomi tumhare beech kanaan desh mein thahre.

31

तब गादी और रूबेनी बोल उठे, यहोवा ने जैसा तेरे दासों से कहलाया है वैसा ही हम करेंगे।

Tab gadi aur roobeni bol uthe, Yahowa ne jaisa tere dason se kahlaya hai vaisa hi ham karenge.

32

हम हथियार-बन्द यहोवा के आगे आगे उस पार कनान देश में जाएंगे, परन्तु हमारी निज भूमि यरदन के इसी पार रहे॥

Ham hathiyaar-band Yahowa ke aage aage us paar kanaan desh mein jayenge, parantu hamari nij bhoomi yardan ke isi paar rahe.

33

तब मूसा ने गादियों और रूबेनियों को, और यूसुफ के पुत्र मनश्शे के आधे गोत्रियों को एमोरियों के राजा सीहोन और बाशान के राजा ओग, दोनों के राज्यों का देश, नगरों, और उनके आसपास की भूमि समेत दे दिया।

Tab Musa ne gadiyon aur roobeniyon ko, aur Yusuf ke putra manashshe ke aadhe gotriyon ko emoriyon ke raja seehon aur bashaan ke raja og, donon ke rajyon ka desh, nagron, aur unke aaspaas ki bhoomi samet de diya.

34

तब गादियों ने दीबोन, अतारोत, अरोएर,

Tab gadiyon ne deebon, atarot, aroyer,

35

अत्रौत, शोपान, याजेर, योगबहा,

Atraut, shopaan, yajer, yogabha,

36

बेतनिम्रा, और बेयारान नाम नगरों को दृढ़ किया, और उन में भेड़-बकरियों के लिये भेड़शाले बनाए।

Betnimra, aur beyaraan naam nagron ko dridh kiya, aur un mein bhed-bakriyon ke liye bhedshale banaye.

37

और रूबेनियों ने हेशबोन, एलाले, और किर्यातैम को,

Aur roobeniyon ne heshbon, elale, aur kiryataim ko,

38

फिर नबो और बालमोन के नाम बदलकर उन को, और सिबमा को दृढ़ किया; और उन्होंने अपने दृढ़ किए हुए नगरों के और और नाम रखे।

Phir nabo aur balmon ke naam badalkar un ko, aur sibma ko dridh kiya; aur unhonne apne dridh kiye hue nagron ke aur aur naam rakhe.

39

और मनश्शे के पुत्र माकीर के वंश वालों ने गिलाद देश में जा कर उसे ले लिया, और जो एमोरी उस में रहते थे उन को निकाल दिया।

Aur manashshe ke putra makeer ke vansh valon ne gilaad desh mein ja kar use le liya, aur jo emori us mein rahte the un ko nikaal diya.

40

तब मूसा ने मनश्शे के पुत्र माकीर के वंश को गिलाद दे दिया, और वे उस में रहने लगे।

Tab Musa ne manashshe ke putra makeer ke vansh ko gilaad de diya, aur ve us mein rahne lage.

41

और मनश्शेई याईर ने जा कर गिलाद की कितनी बस्तियां ले लीं, और उनके नाम हव्वोत्याईर रखे।

Aur manashshei yair ne ja kar gilaad ki kitni bastiyan le li, aur unke naam havvotyair rakhe.

42

और नोबह ने जा कर गांवों समेत कनात को ले लिया, और उसका नाम अपने नाम पर नोबह रखा॥

Aur nobah ne ja kar ganvon samet kanaat ko le liya, aur uska naam apne naam par nobah rakha.