Numbers 31 · 54 verses

गिनती 31 Numbers 31 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ginti 31.

1

फिर यहोवा ने मूसा से कहा,

Phir Yahowa ne Musa se kaha,

2

मिद्यानियों से इस्त्राएलियों का पलटा ले; बाद को तू अपने लोगों में जा मिलेगा।

Midyaniyon se istrayeliyon ka palta le; baad ko tu apne logon mein ja milega.

3

तब मूसा ने लोगों से कहा, अपने में से पुरूषों को युद्ध के लिये हथियार बन्धाओ, कि वे मिद्यानियों पर चढ़ के उन से यहोवा का पलटा ले।

Tab Musa ne logon se kaha, apne mein se purooshon ko yuddh ke liye hathiyaar bandhao, ki ve midyaniyon par chadh ke un se Yahowa ka palta le.

4

इस्त्राएल के सब गोत्रों में से प्रत्येक गोत्र के एक एक हजार पुरूषों को युद्ध करने के लिये भेजो।

Istrayel ke sab gotron mein se pratyek gotra ke ek ek hajaar purooshon ko yuddh karne ke liye bhejo.

5

तब इस्त्राएल के सब गोत्रों में से प्रत्येक गोत्र के एक एक हजार पुरूष चुने गए, अर्थात युद्ध के लिये हथियार-बन्द बारह हजार पुरूष।

Tab istrayel ke sab gotron mein se pratyek gotra ke ek ek hajaar puroosh chune gaye, arthaat yuddh ke liye hathiyaar-band barah hajaar puroosh.

6

प्रत्येक गोत्र में से उन हजार हजार पुरूषों को, और एलीआजर याजक के पुत्र पीनहास को, मूसा ने युद्ध करने के लिये भेजा, और उसके हाथ में पवित्रस्थान के पात्र और वे तुरहियां थीं जो सांस बान्ध बान्ध कर फूंकी जाती थीं।

Pratyek gotra mein se un hajaar hajaar purooshon ko, aur eleeaajar yajak ke putra peenhaas ko, Musa ne yuddh karne ke liye bheja, aur uske haath mein pavitrasthaan ke patra aur ve turhiyan thi jo saans baandh baandh kar phoonki jati thi.

7

और जो आज्ञा यहोवा ने मूसा को दी थी, उसके अनुसार उन्होंने मिद्यानियों से युद्ध करके सब पुरूषों को घात किया।

Aur jo aagya Yahowa ne Musa ko di thi, uske anusaar unhonne midyaniyon se yuddh karke sab purooshon ko ghaat kiya.

8

और दूसरे जूझे हुओं को छोड़ उन्होंने एवी, रेकेम, सूर, हूर, और रेबा नाम मिद्यान के पांचों राजाओं को घात किया; और बोर के पुत्र बिलाम को भी उन्होंने तलवार से घात किया।

Aur doosre joojhe huon ko chhod unhonne evi, rekem, soor, hoor, aur reba naam midyaan ke panchon rajaon ko ghaat kiya; aur bor ke putra bilaam ko bhi unhonne talvaar se ghaat kiya.

9

और इस्त्राएलियों ने मिद्यानी स्त्रियों को बाल-बच्चों समेत बन्धुआई में कर लिया; और उनके गाय-बैल, भेड़-बकरी, और उनकी सारी सम्पत्ति को लूट लिया।

Aur istrayeliyon ne midyani striyon ko baal-bachchon samet bandhuaai mein kar liya; aur unke gaay-bail, bhed-bakri, aur unki sari sampatti ko loot liya.

10

और उनके निवास के सब नगरों, और सब छावनियों को फूंक दिया;

Aur unke nivaas ke sab nagron, aur sab chhavniyon ko phoonk diya;

11

तब वे, क्या मनुष्य क्या पशु, सब बन्धुओं और सारी लूट-पाट को ले कर

Tab ve, kya manushya kya pashu, sab bandhuon aur sari loot-paat ko le kar

12

यरीहो के पास की यरदन नदी के तीर पर, मोआब के अराबा में, छावनी के निकट, मूसा और एलीआजर याजक और इस्त्राएलियों की मण्डली के पास आए॥

Yareeho ke paas ki yardan nadi ke teer par, moaab ke araba mein, chhavni ke nikat, Musa aur eleeaajar yajak aur istrayeliyon ki mandali ke paas aaye.

13

तब मूसा और एलीआजर याजक और मण्डली के सब प्रधान छावनी के बाहर उनका स्वागत करने को निकले।

Tab Musa aur eleeaajar yajak aur mandali ke sab pradhaan chhavni ke bahar unka swagat karne ko nikle.

14

और मूसा सहस्त्रपति-शतपति आदि, सेनापतियों से, जो युद्ध करके लौटे आते थे क्रोधित हो कर कहने लगा,

Aur Musa sahastrapti-shatapti aadi, senaptiyon se, jo yuddh karke laute aate the krodhit ho kar kahne laga,

15

क्या तुम ने सब स्त्रियों को जीवित छोड़ दिया?

Kya tum ne sab striyon ko jeevit chhod diya?

16

देखे, बिलाम की सम्मति से, पोर के विषय में इस्त्राएलियों से यहोवा का विश्वासघात इन्हीं ने कराया, और यहोवा की मण्डली में मरी फैली।

Dekhe, bilaam ki sammati se, por ke vishay mein istrayeliyon se Yahowa ka vishwasghaat inhi ne karaya, aur Yahowa ki mandali mein mari phaili.

17

सो अब बाल-बच्चों में से हर एक लड़के को, और जितनी स्त्रियों ने पुरूष का मुंह देखा हो उन सभों को घात करो।

So ab baal-bachchon mein se har ek ladke ko, aur jitni striyon ne puroosh ka munh dekha ho un sabhon ko ghaat karo.

18

परन्तु जितनी लड़कियों ने पुरूष का मुंह न देखा हो उन सभों को तुम अपने लिये जीवित रखो।

Parantu jitni ladkiyon ne puroosh ka munh na dekha ho un sabhon ko tum apne liye jeevit rakho.

19

और तुम लोग सात दिन तक छावनी के बाहर रहो, और तुम में से जितनों ने किसी प्राणी को घात किया, और जितनों ने किसी मरे हुए को छूआ हो, वे सब अपने अपने बन्धुओं समेत तीसरे और सातवें दिनों में अपने अपने को पाप छुड़ाकर पावन करें।

Aur tum log saat din tak chhavni ke bahar raho, aur tum mein se jitnon ne kisi prani ko ghaat kiya, aur jitnon ne kisi mare hue ko chhooaa ho, ve sab apne apne bandhuon samet teesre aur satvein dinon mein apne apne ko paap chhudakar pavan karein.

20

और सब वस्त्रों, और चमड़े की बनी हुई सब वस्तुओं, और बकरी के बालों की और लकड़ी की बनी हुई सब वस्तुओं को पावन कर लो।

Aur sab vastron, aur chamde ki bani hui sab vastuon, aur bakri ke balon ki aur lakdi ki bani hui sab vastuon ko pavan kar lo.

21

तब एलीआजर याजक ने सेना के उन पुरूषों से जो युद्ध करने गए थे कहा, व्यवस्था की जिस विधि की आज्ञा यहोवा ने मूसा को दी है वह यह है,

Tab eleeaajar yajak ne sena ke un purooshon se jo yuddh karne gaye the kaha, vyavastha ki jis vidhi ki aagya Yahowa ne Musa ko di hai vah yah hai,

22

कि सोना, चांदी, पीतल, लोहा, रांगा, और सीसा,

Ki sona, chandi, peetal, loha, ranga, aur seesa,

23

जो कुछ आग में ठहर सके उसको आग में डालो, तब वह शुद्ध ठहरेगा; तौभी वह अशुद्धता छुड़ाने वाले जल के द्वारा पावन किया जाए; परन्तु जो कुछ आग में न ठहर सके उसे जल में डुबाओ।

Jo kuchh aag mein thahar sake usko aag mein dalo, tab vah shuddh thahrega; taubhi vah ashuddhata chhudane vale jal ke dwara pavan kiya jaye; parantu jo kuchh aag mein na thahar sake use jal mein dubao.

24

और सातवें दिन अपने वस्त्रों को धोना, तब तुम शुद्ध ठहरोगे; और तब छावनी में आना॥

Aur satvein din apne vastron ko dhona, tab tum shuddh thahroge; aur tab chhavni mein aana.

25

फिर यहोवा ने मूसा से कहा,

Phir Yahowa ne Musa se kaha,

26

एलीआजर याजक और मण्डली के पितरों के घरानों के मुख्य मुख्य पुरूषों को साथ ले कर तू लूट के मनुष्यों और पशुओं की गिनती कर;

Eleeaajar yajak aur mandali ke pitron ke gharanon ke mukhya mukhya purooshon ko saath le kar tu loot ke manushyon aur pashuon ki ginti kar;

27

तब उन को आधा आधा करके एक भाग उन सिपाहियों को जो युद्ध करने को गए थे, और दूसरा भाग मण्डली को दे।

Tab un ko aadha aadha karke ek bhaag un sipahiyon ko jo yuddh karne ko gaye the, aur doosra bhaag mandali ko de.

28

फिर जो सिपाही युद्ध करने को गए थे, उनके आधे में से यहोवा के लिये, क्या मनुष्य, क्या गाय-बैल, क्या गदहे, क्या भेड़-बकरियां

Phir jo sipahi yuddh karne ko gaye the, unke aadhe mein se Yahowa ke liye, kya manushya, kya gaay-bail, kya gadhe, kya bhed-bakriyan

29

पांच सौ के पीछे एक को मानकर ले ले; और यहोवा की भेंट करके एलीआजर याजक को दे दे।

Paanch sau ke peechhe ek ko mankar le le; aur Yahowa ki bhent karke eleeaajar yajak ko de de.

30

फिर इस्त्राएलियों के आधे में से, क्या मनुष्य, क्या गाय-बैल, क्या गदहे, क्या भेड़-बकरियां, क्या किसी प्रकार का पशु हो, पचास के पीछे एक ले कर यहोवा के निवास की रखवाली करने वाले लेवियों को दे।

Phir istrayeliyon ke aadhe mein se, kya manushya, kya gaay-bail, kya gadhe, kya bhed-bakriyan, kya kisi prakaar ka pashu ho, pachaas ke peechhe ek le kar Yahowa ke nivaas ki rakhvali karne vale leviyon ko de.

31

यहोवा की इस आज्ञा के अनुसार जो उसने मूसा को दी मूसा और एलीआजर याजक ने किया।

Yahowa ki is aagya ke anusaar jo usne Musa ko di Musa aur eleeaajar yajak ne kiya.

32

और जो वस्तुएं सेना के पुरूषों ने अपने अपने लिये लूट ली थीं उन से अधिक की लूट यह थी; अर्थात छ: लाख पचहत्तर हजार भेड़-बकरियां,

Aur jo vastuein sena ke purooshon ne apne apne liye loot li thi un se adhik ki loot yah thi; arthaat chha: laakh pachhattar hajaar bhed-bakriyan,

33

बहत्तर हजार गाय बैल,

Bahattar hajaar gaay bail,

34

इकसठ हजार गदहे,

Iksath hajaar gadhe,

35

और मनुष्यों में से जिन स्त्रियों ने पुरूष का मुंह नहीं देखा था वह सब बत्तीस हजार थीं।

Aur manushyon mein se jin striyon ne puroosh ka munh nahi dekha tha vah sab battees hajaar thi.

36

और इसका आधा, अर्थात उनका भाग जो युद्ध करने को गए थे, उस में भेड़बकरियां तीन लाख साढ़े सैंतीस हजार,

Aur iska aadha, arthaat unka bhaag jo yuddh karne ko gaye the, us mein bhedbakriyan teen laakh sadhe saintees hajaar,

37

जिस में से पौने सात सौ भेड़-बकरियां यहोवा का कर ठहरीं।

Jis mein se paune saat sau bhed-bakriyan Yahowa ka kar thahri.

38

और गाय-बैल छत्तीस हजार, जिन में से बहत्तर यहोवा का कर ठहरे।

Aur gaay-bail chhattees hajaar, jin mein se bahattar Yahowa ka kar thahre.

39

और गदहे साढ़े तीस हजार, जिन में से इकसठ यहोवा का कर ठहरे।

Aur gadhe sadhe tees hajaar, jin mein se iksath Yahowa ka kar thahre.

40

और मनुष्य सोलह हजार जिन में से बत्तीस प्राणी यहोवा का कर ठहरे।

Aur manushya solah hajaar jin mein se battees prani Yahowa ka kar thahre.

41

इस कर को जो यहोवा की भेंट थी मूसा ने यहोवा की आज्ञा के अनुसार एलीआजर याजक को दिया।

Is kar ko jo Yahowa ki bhent thi Musa ne Yahowa ki aagya ke anusaar eleeaajar yajak ko diya.

42

और इस्त्राएलियों की मण्डली का आधा

Aur istrayeliyon ki mandali ka aadha

43

तीन लाख साढ़े सैंतिस हजार भेड़-बकरियां

Teen laakh sadhe saintis hajaar bhed-bakriyan

44

छत्तीस हजार गाय-बैल,

Chhattees hajaar gaay-bail,

45

साढ़े तीस हजार गदहे,

Sadhe tees hajaar gadhe,

46

और सोलह हजार मनुष्य हुए।

Aur solah hajaar manushya hue.

47

इस आधे में से, जिसे मूसा ने युद्ध करने वाले पुरूषों के पास से अलग किया था, यहोवा की आज्ञा के अनुसार मूसा ने, क्या मनुष्य क्या पशु, पचास पीछे एक ले कर यहोवा के निवास की रखवाली करने वाले लेवियों को दिया।

Is aadhe mein se, jise Musa ne yuddh karne vale purooshon ke paas se alag kiya tha, Yahowa ki aagya ke anusaar Musa ne, kya manushya kya pashu, pachaas peechhe ek le kar Yahowa ke nivaas ki rakhvali karne vale leviyon ko diya.

48

तब सहस्त्रपति-शतपति आदि, जो सरदार सेना के हजारों के ऊपर नियुक्त थे, वे मूसा के पास आकर कहने लगे,

Tab sahastrapti-shatapti aadi, jo sardaar sena ke hajaron ke oopar niyukt the, ve Musa ke paas aakar kahne lage,

49

जो सिपाही हमारे आधीन थे उनकी तेरे दासों ने गिनती ली, और उन में से एक भी नहीं घटा।

Jo sipahi hamare aadheen the unki tere dason ne ginti li, aur un mein se ek bhi nahi ghata.

50

इसलिये पायजेब, कड़े, मुंदरियां, बालियां, बाजूबन्द, सोने के जो गहने, जिसने पाया है, उन को हम यहोवा के साम्हने अपने प्राणों के निमित्त प्रायश्चित्त करने को यहोवा की भेंट करके ले आए हैं।

Isliye payjeb, kade, mundriyan, baliyan, bajooband, sone ke jo gahne, jisne paya hai, un ko ham Yahowa ke samhane apne pranon ke nimitt prayashchitt karne ko Yahowa ki bhent karke le aaye hain.

51

तब मूसा और एलीआजर याजक ने उन से वे सब सोने के नक्काशीदार गहने ले लिए।

Tab Musa aur eleeaajar yajak ne un se ve sab sone ke nakkasheedaar gahne le liye.

52

और सहस्त्रपतियों और शतपतियों ने जो भेंट का सोना यहोवा की भेंट करके दिया वह सब का सब सोलह हजार साढ़े सात सौ शेकेल का था।

Aur sahastraptiyon aur shataptiyon ne jo bhent ka sona Yahowa ki bhent karke diya vah sab ka sab solah hajaar sadhe saat sau shekel ka tha.

53

(योद्धाओं ने तो अपने अपने लिये लूट ले ली थी। )

(yoddhaon ne to apne apne liye loot le li thi. )

54

यह सोना मूसा और एलीआजर याजक ने सहस्त्रपतियों और शतपतियों से ले कर मिलापवाले तम्बू में पहुंचा दिया, कि इस्त्राएलियों के लिये यहोवा के साम्हने स्मरण दिलानेवाली वस्तु ठहरे॥

Yah sona Musa aur eleeaajar yajak ne sahastraptiyon aur shataptiyon se le kar milapvale tambu mein pahuncha diya, ki istrayeliyon ke liye Yahowa ke samhane smaran dilanevali vastu thahre.