Numbers 30 · 16 verses

गिनती 30 Numbers 30 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ginti 30.

1

फिर मूसा ने इस्त्राएली गोत्रों के मुख्य मुख्य पुरूषों से कहा, यहोवा ने यह आज्ञा दी है,

Phir Musa ne istrayeli gotron ke mukhya mukhya purooshon se kaha, Yahowa ne yah aagya di hai,

2

कि जब कोई पुरूष यहोवा की मन्नत माने, वा अपने आप को वाचा से बान्धने के लिये शपथ खाए, तो वह अपना वचन न टाले; जो कुछ उसके मुंह से निकला हो उसके अनुसार वह करे।

Ki jab koi puroosh Yahowa ki mannat mane, va apne aap ko vacha se bandhane ke liye shapath khaye, to vah apna vachan na tale; jo kuchh uske munh se nikla ho uske anusaar vah kare.

3

और जब कोई स्त्री अपनी कुंवारी अवस्था में, अपने पिता के घर से रहते हुए, यहोवा की मन्नत माने, वा अपने को वाचा से बान्धे,

Aur jab koi stri apni kunvari avastha mein, apne pita ke ghar se rahte hue, Yahowa ki mannat mane, va apne ko vacha se bandhe,

4

तो यदि उसका पिता उसकी मन्नत वा उसका वह वचन सुनकर, जिस से उसने अपने आप को बान्धा हो, उससे कुछ न कहे; तब तो उसकी सब मन्नतें स्थिर बनी रहें, और कोई बन्धन क्यों न हो, जिस से उसने अपने आप को बान्धा हो, वह भी स्थिर रहे।

To yadi uska pita uski mannat va uska vah vachan sunkar, jis se usne apne aap ko bandha ho, usse kuchh na kahe; tab to uski sab mannatein sthir bani rahein, aur koi bandhan kyon na ho, jis se usne apne aap ko bandha ho, vah bhi sthir rahe.

5

परन्तु यदि उसका पिता उसकी सुनकर उसी दिन उसको बरजे, तो उसकी मन्नतें वा और प्रकार के बन्धन, जिन से उसने अपने आप को बान्धा हो, उन में से एक भी स्थिर न रहे, और यहोवा यह जान कर, कि उस स्त्री के पिता ने उसे मना कर दिया है, उसका यह पाप क्षमा करेगा।

Parantu yadi uska pita uski sunkar usi din usko barje, to uski mannatein va aur prakaar ke bandhan, jin se usne apne aap ko bandha ho, un mein se ek bhi sthir na rahe, aur Yahowa yah jaan kar, ki us stri ke pita ne use mana kar diya hai, uska yah paap kshama karega.

6

फिर यदि वह पति के आधीन हो और मन्नत माने, वा बिना सोच विचार किए ऐसा कुछ कहे जिस से वह बन्धन में पड़े,

Phir yadi vah pati ke aadheen ho aur mannat mane, va bina soch vichaar kiye aisa kuchh kahe jis se vah bandhan mein pade,

7

और यदि उसका पति सुनकर उस दिन उससे कुछ न कहे; तब तो उसकी मन्नतें स्थिर रहें, और जिन बन्धनों से उसने अपने आप को बान्धा हो वह भी स्थिर रहें।

Aur yadi uska pati sunkar us din usse kuchh na kahe; tab to uski mannatein sthir rahein, aur jin bandhanon se usne apne aap ko bandha ho vah bhi sthir rahein.

8

परन्तु यदि उसका पति सुनकर उसी दिन उसे मना कर दे, तो जो मन्नत उसने मानी है, और जो बात बिना सोच विचार किए कहने से उसने अपने आप को वाचा से बान्धा हो, वह टूट जाएगी; और यहोवा उस स्त्री का पाप क्षमा करेगा।

Parantu yadi uska pati sunkar usi din use mana kar de, to jo mannat usne mani hai, aur jo baat bina soch vichaar kiye kahne se usne apne aap ko vacha se bandha ho, vah toot jayegi; aur Yahowa us stri ka paap kshama karega.

9

फिर विधवा वा त्यागी हुई स्त्री की मन्नत, वा किसी प्रकार की वाचा का बन्धन क्यों न हो, जिस से उसने अपने आप को बान्धा हो, तो वह स्थिर ही रहे।

Phir vidhva va tyagi hui stri ki mannat, va kisi prakaar ki vacha ka bandhan kyon na ho, jis se usne apne aap ko bandha ho, to vah sthir hi rahe.

10

फिर यदि कोई स्त्री अपने पति के घर में रहते मन्नत माने, वा शपथ खाकर अपने आप को बान्धे,

Phir yadi koi stri apne pati ke ghar mein rahte mannat mane, va shapath khakar apne aap ko bandhe,

11

और उसका पति सुनकर कुछ न कहे, और न उसे मना करे; तब तो उसकी सब मन्नतें स्थिर बनी रहें, और हर एक बन्धन क्यों न हो, जिस से उसने अपने आप को बान्धा हो, वह स्थिर रहे।

Aur uska pati sunkar kuchh na kahe, aur na use mana kare; tab to uski sab mannatein sthir bani rahein, aur har ek bandhan kyon na ho, jis se usne apne aap ko bandha ho, vah sthir rahe.

12

परन्तु यदि उसका पति उसकी मन्नत आदि सुनकर उसी दिन पूरी रीति से तोड़ दे, तो उसकी मन्नतें आदि, जो कुछ उसके मुंह से अपने बन्धन के विषय निकला हो, उस में से एक बात भी स्थिर न रहे; उसके पति ने सब तोड़ दिया है; इसलिये यहोवा उस स्त्री का वह पाप क्षमा करेगा।

Parantu yadi uska pati uski mannat aadi sunkar usi din poori reeti se tod de, to uski mannatein aadi, jo kuchh uske munh se apne bandhan ke vishay nikla ho, us mein se ek baat bhi sthir na rahe; uske pati ne sab tod diya hai; isliye Yahowa us stri ka vah paap kshama karega.

13

कोई भी मन्नत वा शपथ क्यों न हो, जिस से उस स्त्री ने अपने जीव को दु:ख देने की वाचा बान्धी हो, उसको उसका पति चाहे तो दृढ़ करे, और चाहे तो तोड़े;

Koi bhi mannat va shapath kyon na ho, jis se us stri ne apne jeev ko dukh dene ki vacha bandhi ho, usko uska pati chahe to dridh kare, aur chahe to tode;

14

अर्थात यदि उसका पति दिन प्रति दिन उससे कुछ भी न कहे, तो वह उसको सब मन्नतें आदि बन्धनों को जिस से वह बन्धी हो दृढ़ कर देता है; उसने उन को दृढ़ किया है, क्योंकि सुनने के दिन उसने कुछ नहीं कहा।

Arthaat yadi uska pati din prati din usse kuchh bhi na kahe, to vah usko sab mannatein aadi bandhanon ko jis se vah bandhi ho dridh kar deta hai; usne un ko dridh kiya hai, kyonki sunne ke din usne kuchh nahi kaha.

15

और यदि वह उन्हें सुनकर पीछे तोड़ दे, तो अपनी स्त्री के अधर्म का भार वही उठाएगा।

Aur yadi vah unhein sunkar peechhe tod de, to apni stri ke adharm ka bhaar vahi uthayega.

16

पति पत्नी के बीच, और पिता और उसके घर मे रहती हुई कुंवारी बेटी के बीच, जिन विधियों की आज्ञा यहोवा ने मूसा को दी वे ये ही हैं॥

Pati patni ke beech, aur pita aur uske ghar me rahti hui kunvari beti ke beech, jin vidhiyon ki aagya Yahowa ne Musa ko di ve ye hi hain.