Numbers 27 · 23 verses

गिनती 27 Numbers 27 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ginti 27.

1

तब यूसुफ के पुत्र मनश्शे के वंश के कुलों में से सलोफाद, जो हेपेर का पुत्र, और गिलाद का पोता, और मनश्शे के पुत्र माकीर का पर पोता था, उसकी बेटियां जिनके नाम महला, नोवा, होग्ला, मिलका, और तिर्सा हैं वे पास आईं।

Tab Yusuf ke putra manashshe ke vansh ke kulon mein se salophaad, jo heper ka putra, aur gilaad ka pota, aur manashshe ke putra makeer ka par pota tha, uski betiyan jinke naam mahla, nova, hogla, milka, aur tirsa hain ve paas aai.

2

और वे मूसा और एलीआजर याजक और प्रधानों और सारी मण्डली के साम्हने मिलापवाले तम्बू के द्वार पर खड़ी हो कर कहने लगीं,

Aur ve Musa aur eleeaajar yajak aur pradhanon aur sari mandali ke samhane milapvale tambu ke dwaar par khadi ho kar kahne lagi,

3

हमारा पिता जंगल में मर गया; परन्तु वह उस मण्डली में का न था जो कोरह की मण्डली के संग हो कर यहोवा के विरुद्ध इकट्ठी हुई थी, वह अपने ही पाप के कारण मरा; और उसके कोई पुत्र न था।

Hamara pita jangal mein mar gaya; parantu vah us mandali mein ka na tha jo korah ki mandali ke sang ho kar Yahowa ke viruddh ikatthi hui thi, vah apne hi paap ke karan mara; aur uske koi putra na tha.

4

तो हमारे पिता का नाम उसके कुल में से पुत्र न होने के कारण क्यों मिट जाए? हमारे चाचाओं के बीच हमें भी कुछ भूमि निज भाग करके दे।

To hamare pita ka naam uske kul mein se putra na hone ke karan kyon mit jaye? Hamare chachaon ke beech hamein bhi kuchh bhoomi nij bhaag karke de.

5

उनकी यह बिनती मूसा ने यहोवा को सुनाईं।

Unki yah binti Musa ne Yahowa ko sunai.

6

यहोवा ने मूसा से कहा,

Yahowa ne Musa se kaha,

7

सलोफाद की बेटियां ठीक कहती हैं; इसलिये तू उनके चाचाओं के बीच उन को भी अवश्य ही कुछ भूमि निज भाग करके दे, अर्थात उनके पिता का भाग उनके हाथ सौंप दे।

Salophaad ki betiyan theek kahti hain; isliye tu unke chachaon ke beech un ko bhi avashya hi kuchh bhoomi nij bhaag karke de, arthaat unke pita ka bhaag unke haath saump de.

8

और इस्त्राएलियों से यह कह, कि यदि कोई मनुष्य निपुत्र मर जाए, तो उसका भाग उसकी बेटी के हाथ सौंपना।

Aur istrayeliyon se yah kah, ki yadi koi manushya niputra mar jaye, to uska bhaag uski beti ke haath saumpna.

9

और यदि उसके कोई बेटी भी न हो, तो उसका भाग उसके भाइयों को देना।

Aur yadi uske koi beti bhi na ho, to uska bhaag uske bhaiyon ko dena.

10

और यदि उसके भाई भी न हों, तो उसका भाग चाचाओं को देना।

Aur yadi uske bhai bhi na hon, to uska bhaag chachaon ko dena.

11

और यदि उसके चाचा भी न हों, तो उसके कुल में से उसका जो कुटुम्बी सब से समीप हो उसको उसका भाग देना, कि वह उसका अधिकारी हो। इस्त्राएलियों के लिये यह न्याय की विधि ठहरेगी, जैसे कि यहोवा ने मूसा को आज्ञा दी॥

Aur yadi uske chacha bhi na hon, to uske kul mein se uska jo kutumbi sab se sameep ho usko uska bhaag dena, ki vah uska adhikari ho. Istrayeliyon ke liye yah nyaay ki vidhi thahregi, jaise ki Yahowa ne Musa ko aagya di.

12

फिर यहोवा ने मूसा से कहा, इस अबारीम नाम पर्वत के ऊपर चढ़ के उस देश को देख ले जिसे मैं ने इस्त्राएलियों को दिया है।

Phir Yahowa ne Musa se kaha, is abareem naam parvat ke oopar chadh ke us desh ko dekh le jise main ne istrayeliyon ko diya hai.

13

और जब तू उसको देख लेगा, तब अपने भाई हारून की नाईं तू भी अपने लोगों में जा मिलेगा,

Aur jab tu usko dekh lega, tab apne bhai haroon ki nai tu bhi apne logon mein ja milega,

14

क्योंकि सीन नाम जंगल में तुम दोनों ने मण्डली के झगड़ने के समय मेरी आज्ञा को तोड़कर मुझ से बलवा किया, और मुझे सोते के पास उनकी दृष्टि में पवित्र नहीं ठहराया। (यह मरीबा नाम सोता है जो सीन नाम जंगल के कादेश में है )

Kyonki seen naam jangal mein tum donon ne mandali ke jhagadne ke samay meri aagya ko todkar mujh se balva kiya, aur mujhe sote ke paas unki drishti mein pavitra nahi thahraya. (yah mareeba naam sota hai jo seen naam jangal ke kadesh mein hai )

15

मूसा ने यहोवा से कहा,

Musa ne Yahowa se kaha,

16

यहोवा, जो सारे प्राणियों की आत्माओं का परमेश्वर है, वह इस मण्डली के लोगों के ऊपर किसी पुरूष को नियुक्त कर दे,

Yahowa, jo sare praniyon ki aatmaon ka Parmeshwar hai, vah is mandali ke logon ke oopar kisi puroosh ko niyukt kar de,

17

जो उसके साम्हने आया जाया करे, और उनका निकालने और पैठानेवाला हो; जिस से यहोवा की मण्डली बिना चरवाहे की भेड़ बकरियों के समान न रहे।

Jo uske samhane aaya jaya kare, aur unka nikalne aur paithanevala ho; jis se Yahowa ki mandali bina charvahe ki bhed bakriyon ke samaan na rahe.

18

यहोवा ने मूसा से कहा, तू नून के पुत्र यहोशू को ले कर उस पर हाथ रख; वह तो ऐसा पुरूष है जिस में मेरा आत्मा बसा है;

Yahowa ne Musa se kaha, tu noon ke putra yahoshu ko le kar us par haath rakh; vah to aisa puroosh hai jis mein mera aatma basa hai;

19

और उसको एलीआजर याजक के और सारी मण्डली के साम्हने खड़ा करके उनके साम्हने उसे आज्ञा दे।

Aur usko eleeaajar yajak ke aur sari mandali ke samhane khada karke unke samhane use aagya de.

20

और अपनी महिमा में से कुछ उसे दे, जिस से इस्त्राएलियों की सारी मण्डली उसकी माना करे।

Aur apni mahima mein se kuchh use de, jis se istrayeliyon ki sari mandali uski mana kare.

21

और वह एलीआजर याजक के साम्हने खड़ा हुआ करे, और एलीआजर उसके लिये यहोवा से ऊरीम की आज्ञा पूछा करे; और वह इस्त्राएलियों की सारी मण्डली समेत उसके कहने से जाया करे, और उसी के कहने से लौट भी आया करे।

Aur vah eleeaajar yajak ke samhane khada huaa kare, aur eleeaajar uske liye Yahowa se ooreem ki aagya poochha kare; aur vah istrayeliyon ki sari mandali samet uske kahne se jaya kare, aur usi ke kahne se laut bhi aaya kare.

22

यहोवा की इस आज्ञा के अनुसार मूसा ने यहोशू को ले कर, एलीआजर याजक और सारी मण्डली के साम्हने खड़ा करके,

Yahowa ki is aagya ke anusaar Musa ne yahoshu ko le kar, eleeaajar yajak aur sari mandali ke samhane khada karke,

23

उस पर हाथ रखे, और उसको आज्ञा दी जैसे कि यहोवा ने मूसा के द्वारा कहा था॥

Us par haath rakhe, aur usko aagya di jaise ki Yahowa ne Musa ke dwara kaha tha.