Numbers 24 · 25 verses

गिनती 24 Numbers 24 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ginti 24.

1

यह देखकर, कि यहोवा इस्त्राएल को आशीष ही दिलाना चाहता है, बिलाम पहिले की नाईं शकुन देखने को न गया, परन्तु अपना मुंह जंगल की ओर कर लिया।

Yah dekhkar, ki Yahowa istrayel ko aasheesh hi dilana chahta hai, bilaam pahile ki nai shakun dekhne ko na gaya, parantu apna munh jangal ki or kar liya.

2

और बिलाम ने आंखे उठाई, और इस्त्राएलियों को अपने गोत्र गोत्र के अनुसार बसे हुए देखा। और परमेश्वर का आत्मा उस पर उतरा।

Aur bilaam ne aankhe uthai, aur istrayeliyon ko apne gotra gotra ke anusaar base hue dekha. Aur Parmeshwar ka aatma us par utra.

3

तब उसने अपनी गूढ़ बात आरम्भ की, और कहने लगा, कि बोर के पुत्र बिलाम की यह वाणी है, जिस पुरूष की आंखें बन्द थीं उसी की यह वाणी है,

Tab usne apni goodh baat aarambh ki, aur kahne laga, ki bor ke putra bilaam ki yah vani hai, jis puroosh ki aankhein band thi usi ki yah vani hai,

4

ईश्वर के वचनों का सुनने वाला, जो दण्डवत में पड़ा हुआ खुली हुई आंखों से सर्वशक्तिमान का दर्शन पाता है, उसी की यह वाणी है: कि

Ishwar ke vachnon ka sunne vala, jo dandavat mein pada huaa khuli hui aankhon se sarvashaktimaan ka darshan pata hai, usi ki yah vani hai: ki

5

हे याकूब, तेरे डेरे, और हे इस्त्राएल, तेरे निवास स्थान क्या ही मनभावने हैं!

He Yakub, tere dere, aur he istrayel, tere nivaas sthaan kya hi manbhavne hain!

6

वे तो नालों वा घाटियों की नाईं, और नदी के तट की वाटिकाओं के समान ऐसे फैले हुए हैं, जैसे कि यहोवा के लगाए हुए अगर के वृक्ष, और जल के निकट के देवदारू।

Ve to nalon va ghatiyon ki nai, aur nadi ke tat ki vatikaon ke samaan aise phaile hue hain, jaise ki Yahowa ke lagaye hue agar ke vriksh, aur jal ke nikat ke devdaru.

7

और उसके डोलों से जल उमण्डा करेगा, और उसका बीच बहुतेरे जलभरे खेतों में पड़ेगा, और उसका राजा अगाग से भी महान होगा, और उसका राज्य बढ़ता ही जाएगा।

Aur uske dolon se jal umanda karega, aur uska beech bahutere jalabhre kheton mein padega, aur uska raja agaag se bhi mahaan hoga, aur uska rajya badhta hi jayega.

8

उसको मिस्र में से ईश्वर की निकाले लिये आ रहा है; वह तो बनैले सांड़ के सामान बल रखता है, जाति जाति के लोग जो उसके द्रोही है उन को वह खा जायेगा, और उनकी हड्डियों को टुकड़े टुकड़े करेगा, और अपने तीरों से उन को बेधेगा।

Usko Misr mein se ishwar ki nikale liye aa raha hai; vah to banaile saand ke samaan bal rakhta hai, jati jati ke log jo uske drohi hai un ko vah kha jayega, aur unki haddiyon ko tukde tukde karega, aur apne teeron se un ko bedhega.

9

वह दबका बैठा है, वह सिंह वा सिंहनी की नाईं लेट गया है; अब उसको कौन छेड़े? जो कोई तुझे आशीर्वाद दे सो आशीष पाए, और जो कोई तुझे शाप दे वह स्रापित हो॥

Vah dabka baitha hai, vah sinh va sinhni ki nai let gaya hai; ab usko kaun chhede? Jo koi tujhe aasheervaad de so aasheesh paye, aur jo koi tujhe shaap de vah srapit ho.

10

तब बालाक का कोप बिलाम पर भड़क उठा; और उसने हाथ पर हाथ पटककर बिलाम से कहा, मैं ने तुझे अपने शत्रुओं के शाप देने के लिये बुलवाया, परन्तु तू ने तीन बार उन्हें आशीर्वाद ही आशीर्वाद दिया है।

Tab balaak ka kop bilaam par bhadak utha; aur usne haath par haath patakkar bilaam se kaha, main ne tujhe apne shatruon ke shaap dene ke liye bulvaya, parantu tu ne teen baar unhein aasheervaad hi aasheervaad diya hai.

11

इसलिये अब तू अपने स्थान पर भाग जा; मैं ने तो सोचा था कि तेरी बड़ी प्रतिष्ठा करूंगा, परन्तु अब यहोवा ने तुझे प्रतिष्ठा पाने से रोक रखा है।

Isliye ab tu apne sthaan par bhaag ja; main ne to socha tha ki teri badi pratishtha karoonga, parantu ab Yahowa ne tujhe pratishtha pane se rok rakha hai.

12

बिलाम ने बालाक से कहा, जो दूत तू ने मेरे पास भेजे थे, क्या मैं ने उन से भी न कहा था,

Bilaam ne balaak se kaha, jo doot tu ne mere paas bheje the, kya main ne un se bhi na kaha tha,

13

कि चाहे बालाक अपने घर को सोने चांदी से भरकर मुझे दे, तौभी मैं यहोवा की आज्ञा तोड़कर अपने मन से न तो भला कर सकता हूं और न बुरा; जो कुछ यहोवा कहेगा वही मैं कहूंगा?

Ki chahe balaak apne ghar ko sone chandi se bharkar mujhe de, taubhi main Yahowa ki aagya todkar apne man se na to bhala kar sakta hoon aur na bura; jo kuchh Yahowa kahega vahi main kahoonga?

14

अब सुन, मैं अपने लोगों के पास लौट कर जाता हूं; परन्तु पहिले मैं तुझे चिता देता हूं कि अन्त के दिनों में वे लोग तेरी प्रजा से क्या क्या करेंगे।

Ab sun, main apne logon ke paas laut kar jata hoon; parantu pahile main tujhe chita deta hoon ki ant ke dinon mein ve log teri praja se kya kya karenge.

15

फिर वह अपनी गूढ़ बात आरम्भ करके कहने लगा, कि बोर के पुत्र बिलाम की यह वाणी है, जिस पुरूष की आंखे बन्द थी उसी की यह वाणी है,

Phir vah apni goodh baat aarambh karke kahne laga, ki bor ke putra bilaam ki yah vani hai, jis puroosh ki aankhe band thi usi ki yah vani hai,

16

ईश्वर के वचनों का सुनने वाला, और परमप्रधान के ज्ञान का जानने वाला, जो दण्डवत में पड़ा हुआ खुली हुई आंखों से सर्वशक्तिमान का दर्शन पाता है, उसी की यह वाणी है: कि

Ishwar ke vachnon ka sunne vala, aur parmapradhaan ke gyaan ka janne vala, jo dandavat mein pada huaa khuli hui aankhon se sarvashaktimaan ka darshan pata hai, usi ki yah vani hai: ki

17

मैं उसको देखूंगा तो सही, परन्तु अभी नहीं; मैं उसको निहारूंगा तो सही, परन्तु समीप होके नहीं: याकूब में से एक तारा उदय होगा, और इस्त्राएल में से एक राज दण्ड उठेगा; जो मोआब की अलंगों को चूर कर देगा, जो सब दंगा करने वालों को गिरा देगा।

Main usko dekhoonga to sahi, parantu abhi nahi; main usko niharoonga to sahi, parantu sameep hoke nahi: Yakub mein se ek tara uday hoga, aur istrayel mein se ek raaj dand uthega; jo moaab ki alangon ko choor kar dega, jo sab danga karne valon ko gira dega.

18

तब एदोम और सेईर भी, जो उसके शत्रु हैं, दोनों उसके वश में पड़ेंगे, और इस्त्राएल वीरता दिखाता जाएगा।

Tab edom aur seir bhi, jo uske shatru hain, donon uske vash mein padenge, aur istrayel veerta dikhata jayega.

19

और याकूब ही में से एक अधिपति आवेगा जो प्रभुता करेगा, और नगर में से बचे हुओं को भी सत्यानाश करेगा॥

Aur Yakub hi mein se ek adhipti aavega jo prabhuta karega, aur nagar mein se bache huon ko bhi satyanaash karega.

20

फिर उसने अमालेक पर दृष्टि करके अपनी गूढ़ बात आरम्भ की, और कहने लगा, अमालेक अन्यजातियों में श्रेष्ट तो था, परन्तु उसका अन्त विनाश ही है॥

Phir usne amalek par drishti karke apni goodh baat aarambh ki, aur kahne laga, amalek anyajatiyon mein shresht to tha, parantu uska ant vinaash hi hai.

21

फिर उसने केनियों पर दृष्टि करके अपनी गूढ़ बात आरम्भ की, और कहने लगा, तेरा निवासस्थान अति दृढ़ तो है, और तेरा बसेरा चट्टान पर तो है;

Phir usne keniyon par drishti karke apni goodh baat aarambh ki, aur kahne laga, tera nivasasthaan ati dridh to hai, aur tera basera chattaan par to hai;

22

तौभी केन उजड़ जाएगा। और अन्त में अश्शूर तुझे बन्धुआई में ले आएगा॥

Taubhi ken ujad jayega. Aur ant mein ashshoor tujhe bandhuaai mein le aayega.

23

फिर उसने अपनी गूढ़ बात आरम्भ की, और कहने लगा, हाय जब ईश्वर यह करेगा तब कौन जीवित बचेगा?

Phir usne apni goodh baat aarambh ki, aur kahne laga, haay jab ishwar yah karega tab kaun jeevit bachega?

24

तौभी कित्तियों के पास से जहाज वाले आकर अश्शूर को और एबेर को भी दु:ख देंगे; और अन्त में उसका भी विनाश हो जाएगा॥

Taubhi kittiyon ke paas se jahaaj vale aakar ashshoor ko aur eber ko bhi dukh denge; aur ant mein uska bhi vinaash ho jayega.

25

तब बिलाम चल दिया, और अपने स्थान पर लौट गया; और बालाक ने भी अपना मार्ग लिया॥

Tab bilaam chal diya, aur apne sthaan par laut gaya; aur balaak ne bhi apna maarg liya.