तब बिलाम ने बालाक से कहा, यहां पर मेरे लिये सात वेदियां बनवा, और इसी स्थान पर सात बछड़े और सात मेढ़े तैयार कर।
Tab bilaam ne balaak se kaha, yahan par mere liye saat vediyan banva, aur isi sthaan par saat bachhde aur saat medhe taiyaar kar.
Numbers 23 · 30 verses
तब बिलाम ने बालाक से कहा, यहां पर मेरे लिये सात वेदियां बनवा, और इसी स्थान पर सात बछड़े और सात मेढ़े तैयार कर।
Tab bilaam ne balaak se kaha, yahan par mere liye saat vediyan banva, aur isi sthaan par saat bachhde aur saat medhe taiyaar kar.
तब बालाक ने बिलाम के कहने के अनुसार किया; और बालाक और बिलाम ने मिलकर प्रत्येक वेदी पर एक बछड़ा और एक मेढ़ा चढ़ाया।
Tab balaak ne bilaam ke kahne ke anusaar kiya; aur balaak aur bilaam ne milkar pratyek vedi par ek bachhda aur ek medha chadhaya.
फिर बिलाम ने बालाक से कहा, तू अपने होमबलि के पास खड़ा रह, और मैं जाता हूं; सम्भव है कि यहोवा मुझ से भेंट करने को आए; और जो कुछ वह मुझ पर प्रकाश करेगा वही मैं तुझ को बताऊंगा। तब वह एक मुण्डे पहाड़ पर गया।
Phir bilaam ne balaak se kaha, tu apne homabli ke paas khada rah, aur main jata hoon; sambhav hai ki Yahowa mujh se bhent karne ko aaye; aur jo kuchh vah mujh par prakaash karega vahi main tujh ko bataoonga. Tab vah ek munde pahaad par gaya.
और परमेश्वर बिलाम से मिला; और बिलाम ने उससे कहा, मैं ने सात वेदियां तैयार की हैं, और प्रत्येक वेदी पर एक बछड़ा और एक मेढ़ा चढ़ाया है।
Aur Parmeshwar bilaam se mila; aur bilaam ne usse kaha, main ne saat vediyan taiyaar ki hain, aur pratyek vedi par ek bachhda aur ek medha chadhaya hai.
यहोवा ने बिलाम के मुंह में एक बात डालीं, और कहा, बालाक के पास लौट जो, और यों कहना।
Yahowa ne bilaam ke munh mein ek baat dali, aur kaha, balaak ke paas laut jo, aur yon kahna.
और वह उसके पास लौटकर आ गया, और क्या देखता है, कि वह सारे मोआबी हाकिमों समेत अपने होमबलि के पास खड़ा है।
Aur vah uske paas lautkar aa gaya, aur kya dekhta hai, ki vah sare moaabi hakimon samet apne homabli ke paas khada hai.
तब बिलाम ने अपनी गूढ़ बात आरम्भ की, और कहने लगा, बालाक ने मुझे आराम से, अर्थात मोआब के राजा ने मुझे पूरब के पहाड़ों से बुलवा भेजा: आ, मेरे लिये याकूब को शाप दे, आ, इस्त्राएल को धमकी दे!
Tab bilaam ne apni goodh baat aarambh ki, aur kahne laga, balaak ne mujhe aaraam se, arthaat moaab ke raja ne mujhe poorab ke pahadon se bulva bheja: aa, mere liye Yakub ko shaap de, aa, istrayel ko dhamki de!
परन्तु जिन्हें ईश्वर ने नहीं शाप दिया उन्हें मैं क्यों शाप दूं? और जिन्हें यहोवा ने धमकी नहीं दी उन्हें मैं कैसे धमकी दूं?
Parantu jinhein ishwar ne nahi shaap diya unhein main kyon shaap dun? Aur jinhein Yahowa ne dhamki nahi di unhein main kaise dhamki dun?
चट्टानों की चोटी पर से वे मुझे दिखाई पड़ते हैं, पहाड़ियों पर से मैं उन को देखता हूं; वह ऐसी जाति है जो अकेली बसी रहेगी, और अन्यजातियों से अलग गिनी जाएगी!
Chattanon ki choti par se ve mujhe dikhai padte hain, pahadiyon par se main un ko dekhta hoon; vah aisi jati hai jo akeli basi rahegi, aur anyajatiyon se alag gini jayegi!
याकूब के धूलि के किनके को कौन गिन सकता है, वा इस्त्राएल की चौथाई की गिनती कौन ले सकता है? सौभाग्य यदि मेरी मृत्यु धर्मियों की सी, और मेरा अन्त भी उन्हीं के समान हो!
Yakub ke dhooli ke kinke ko kaun gin sakta hai, va istrayel ki chauthai ki ginti kaun le sakta hai? Saubhagya yadi meri mrityu dharmiyon ki si, aur mera ant bhi unhi ke samaan ho!
तब बालाक ने बिलाम से कहा, तू ने मुझ से क्या किया है? मैं ने तुझे अपने शत्रुओं को शाप देने बुलवाया था, परन्तु तू ने उन्हें आशीष ही आशीष दी है।
Tab balaak ne bilaam se kaha, tu ne mujh se kya kiya hai? Main ne tujhe apne shatruon ko shaap dene bulvaya tha, parantu tu ne unhein aasheesh hi aasheesh di hai.
उसने कहा, जो बात यहोवा ने मुझे सिखलाई क्या मुझे उसी को सावधानी से बोलना न चाहिये?
Usne kaha, jo baat Yahowa ne mujhe sikhlai kya mujhe usi ko savdhani se bolna na chahiye?
बालाक ने उससे कहा, मेरे संग दूसरे स्थान पर चल, जहां से वे तुझे दिखाई देंगे; तू उन सभों को तो नहीं, केवल बाहर वालों को देख सकेगा; वहां से उन्हें मेरे लिये शाप दे।
Balaak ne usse kaha, mere sang doosre sthaan par chal, jahan se ve tujhe dikhai denge; tu un sabhon ko to nahi, keval bahar valon ko dekh sakega; vahan se unhein mere liye shaap de.
तब वह उसको सोपीम नाम मैदान में पिसगा के सिरे पर ले गया, और वहां सात वेदियां बनवाकर प्रत्येक पर एक बछड़ा और एक मेढ़ा चढ़ाया।
Tab vah usko sopeem naam maidaan mein pisga ke sire par le gaya, aur vahan saat vediyan banvakar pratyek par ek bachhda aur ek medha chadhaya.
तब बिलाम ने बालाक से कहा, अपने होमबलि के पास यहीं खड़ा रह, और मैं उधर जा कर यहोवा से भेंट करूं।
Tab bilaam ne balaak se kaha, apne homabli ke paas yahi khada rah, aur main udhar ja kar Yahowa se bhent karun.
और यहोवा ने बिलाम से भेंट की, और उसने उसके मुंह में एक बात डाली, और कहा, कि बालाक के पास लौट जा, और यों कहना।
Aur Yahowa ne bilaam se bhent ki, aur usne uske munh mein ek baat dali, aur kaha, ki balaak ke paas laut ja, aur yon kahna.
और वह उसके पास गया, और क्या देखता है, कि वह मोआबी हाकिमों समेत अपने होमबलि के पास खड़ा है। और बालाक ने पूछा, कि यहोवा ने क्या कहा है?
Aur vah uske paas gaya, aur kya dekhta hai, ki vah moaabi hakimon samet apne homabli ke paas khada hai. Aur balaak ne poochha, ki Yahowa ne kya kaha hai?
तब बिलाम ने अपनी गूढ़ बात आरम्भ की, और कहने लगा, हे बालाक, मन लगाकर सुन, हे सिप्पोर के पुत्र, मेरी बात पर कान लगा:
Tab bilaam ne apni goodh baat aarambh ki, aur kahne laga, he balaak, man lagakar sun, he sippor ke putra, meri baat par kaan laga:
ईश्वर मनुष्य नहीं, कि झूठ बोले, और न वह आदमी है, कि अपनी इच्छा बदले। क्या जो कुछ उसने कहा उसे न करे? क्या वह वचन देकर उस पूरा न करे?
Ishwar manushya nahi, ki jhooth bole, aur na vah aadmi hai, ki apni ichchha badle. Kya jo kuchh usne kaha use na kare? Kya vah vachan dekar us poora na kare?
देख, आशीर्वाद ही देने की आज्ञा मैं ने पाई है: वह आशीष दे चुका है, और मैं उसे नहीं पलट सकता।
Dekh, aasheervaad hi dene ki aagya main ne pai hai: vah aasheesh de chuka hai, aur main use nahi palat sakta.
उसने याकूब में अनर्थ नहीं पाया; और न इस्त्राएल में अन्याय देखा है। उसका परमेश्वर यहोवा उसके संग है, और उन में राजा की सी ललकार होती है।
Usne Yakub mein anarth nahi paya; aur na istrayel mein anyaay dekha hai. Uska Parmeshwar Yahowa uske sang hai, aur un mein raja ki si lalkaar hoti hai.
उन को मिस्र में से ईश्वर ही निकाले लिये आ रहा है, वह तो बैनेले सांड के समान बल रखता है।
Un ko Misr mein se ishwar hi nikale liye aa raha hai, vah to bainele saand ke samaan bal rakhta hai.
निश्चय कोई मंत्र याकूब पर नहीं चल सकता, और इस्त्राएल पर भावी कहना कोई अर्थ नहीं रखता; परन्तु याकूब और इस्त्राएल के विषय अब यह कहा जाएगा, कि ईश्वर ने क्या ही विचित्र काम किया है!
Nishchay koi mantra Yakub par nahi chal sakta, aur istrayel par bhavi kahna koi arth nahi rakhta; parantu Yakub aur istrayel ke vishay ab yah kaha jayega, ki ishwar ne kya hi vichitra kaam kiya hai!
सुन, वह दल सिंहनी की नाईं उठेगा, और सिंह की नाईं खड़ा होगा; वह जब तक अहेर को न खा ले, और मरे हुओं के लोहू को न पी ले, तब तक न लेटेगा॥
Sun, vah dal sinhni ki nai uthega, aur sinh ki nai khada hoga; vah jab tak aher ko na kha le, aur mare huon ke lohu ko na pi le, tab tak na letega.
तब बालाक ने बिलाम से कहा, उन को न तो शाप देना, और न आशीष देना।
Tab balaak ne bilaam se kaha, un ko na to shaap dena, aur na aasheesh dena.
बिलाम ने बालाक से कहा, क्या मैं ने तुझ से नहीं कहा, कि जो कुछ यहोवा मुझ से कहेगा, वही मुझे करना पड़ेगा?
Bilaam ne balaak se kaha, kya main ne tujh se nahi kaha, ki jo kuchh Yahowa mujh se kahega, vahi mujhe karna padega?
बालाक ने बिलाम से कहा चल, मैं तुझ को एक और स्थान पर ले चलता हूं; सम्भव है कि परमेश्वर की इच्छा हो कि तू वहां से उन्हें मेरे लिये शाप दे।
Balaak ne bilaam se kaha chal, main tujh ko ek aur sthaan par le chalta hoon; sambhav hai ki Parmeshwar ki ichchha ho ki tu vahan se unhein mere liye shaap de.
तब बालाक बिलाम को पोर के सिरे पर, जहां से यशीमोन देश दिखाई देता है, ले गया।
Tab balaak bilaam ko por ke sire par, jahan se yasheemon desh dikhai deta hai, le gaya.
और बिलाम ने बालाक से कहा, यहां पर मेरे लिये सात वेदियां बनवा, और यहां सात बछड़े और सात मेढ़े तैयार कर।
Aur bilaam ne balaak se kaha, yahan par mere liye saat vediyan banva, aur yahan saat bachhde aur saat medhe taiyaar kar.
बिलाम के कहने के अनुसार बालाक ने प्रत्येक वेदी पर एक बछड़ा और एक मेढ़ा चढ़ाया॥
Bilaam ke kahne ke anusaar balaak ne pratyek vedi par ek bachhda aur ek medha chadhaya.