Numbers 22 · 41 verses

गिनती 22 Numbers 22 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ginti 22.

1

तब इस्त्राएलियों ने कूच करके यरीहो के पास यरदन नदी के इस पार मोआब के अराबा में डेरे खड़े किए॥

Tab istrayeliyon ne kooch karke yareeho ke paas yardan nadi ke is paar moaab ke araba mein dere khade kiye.

2

और सिप्पोर के पुत्र बालाक ने देखा कि इस्त्राएल ने एमोरियों से क्या क्या किया है।

Aur sippor ke putra balaak ne dekha ki istrayel ne emoriyon se kya kya kiya hai.

3

इसलिये मोआब यह जानकर, कि इस्त्राएली बहुत हैं, उन लोगों से अत्यन्त डर गया; यहां तक कि मोआब इस्त्राएलियों के कारण अत्यन्त व्याकुल हुआ।

Isliye moaab yah jankar, ki istrayeli bahut hain, un logon se atyant dar gaya; yahan tak ki moaab istrayeliyon ke karan atyant vyakul huaa.

4

तब मोआबियों ने मिद्यानी पुरनियों से कहा, अब वह दल हमारे चारों ओर के सब लोगों को चट कर जाएगा, जिस तरह बैल खेत की हरी घास को चट कर जाता है। उस समय सिप्पोर का पुत्र बालाक मोआब का राजा था;

Tab moaabiyon ne midyani purniyon se kaha, ab vah dal hamare charon or ke sab logon ko chat kar jayega, jis tarah bail khet ki hari ghaas ko chat kar jata hai. Us samay sippor ka putra balaak moaab ka raja tha;

5

और इस ने पतोर नगर को, जो महानद के तट पर बोर के पुत्र बिलाम के जातिभाइयों की भूमि थी, वहां बिलाम के पास दूत भेजे, कि वे यह कहकर उसे बुला लाएं, कि सुन एक दल मिस्र से निकल आया है, और भूमि उन से ढक गई है, और अब वे मेरे साम्हने ही आकर बस गए हैं।

Aur is ne pator nagar ko, jo mahanad ke tat par bor ke putra bilaam ke jatibhaiyon ki bhoomi thi, vahan bilaam ke paas doot bheje, ki ve yah kahkar use bula layen, ki sun ek dal Misr se nikal aaya hai, aur bhoomi un se dhak gai hai, aur ab ve mere samhane hi aakar bas gaye hain.

6

इसलिये आ, और उन लोगों को मेरे निमित्त शाप दे, क्योंकि वे मुझ से अधिक बलवन्त हैं, तब सम्भव है कि हम उन पर जयवन्त हों, और हम सब इन को अपने देश से मारकर निकाल दें; क्योंकि यह तो मैं जानता हूं कि जिस को तू आशीर्वाद देता है वह धन्य होता है, और जिस को तू शाप देता है वह स्रापित होता है।

Isliye aa, aur un logon ko mere nimitt shaap de, kyonki ve mujh se adhik balvant hain, tab sambhav hai ki ham un par jayvant hon, aur ham sab in ko apne desh se markar nikaal dein; kyonki yah to main janta hoon ki jis ko tu aasheervaad deta hai vah dhanya hota hai, aur jis ko tu shaap deta hai vah srapit hota hai.

7

तब मोआबी और मिद्यानी पुरनिये भावी कहने की दक्षिणा ले कर चले, और बिलाम के पास पहुंचकर बालाक की बातें कह सुनाईं।

Tab moaabi aur midyani purniye bhavi kahne ki dakshina le kar chale, aur bilaam ke paas pahunchkar balaak ki batein kah sunai.

8

उसने उन से कहा, आज रात को यहां टिको, और जो बात यहोवा मुझ से कहेगा, उसी के अनुसार मैं तुम को उत्तर दूंगा; तब मोआब के हाकिम बिलाम के यहां ठहर गए।

Usne un se kaha, aaj raat ko yahan tiko, aur jo baat Yahowa mujh se kahega, usi ke anusaar main tum ko uttar doonga; tab moaab ke hakim bilaam ke yahan thahar gaye.

9

तब परमेश्वर ने बिलाम के पास आकर पूछा, कि तेरे यहां ये पुरूष कौन हैं?

Tab Parmeshwar ne bilaam ke paas aakar poochha, ki tere yahan ye puroosh kaun hain?

10

बिलाम ने परमेश्वर से कहा सिप्पोर के पुत्र मोआब के राजा बालाक ने मेरे पास यह कहला भेजा है,

Bilaam ne Parmeshwar se kaha sippor ke putra moaab ke raja balaak ne mere paas yah kahla bheja hai,

11

कि सुन, जो दल मिस्र से निकल आया है उससे भूमि ढंप गई है; इसलिये आकर मेरे लिये उन्हें शाप दे; सम्भव है कि मैं उनसे लड़कर उन को बरबस निकाल सकूंगा।

Ki sun, jo dal Misr se nikal aaya hai usse bhoomi dhamp gai hai; isliye aakar mere liye unhein shaap de; sambhav hai ki main unse ladkar un ko barbas nikaal sakoonga.

12

परमेश्वर ने बिलाम से कहा, तू इनके संग मत जा; उन लोगों को शाप मत दे, क्योंकि वे आशीष के भागी हो चुके हैं।

Parmeshwar ne bilaam se kaha, tu inke sang mat ja; un logon ko shaap mat de, kyonki ve aasheesh ke bhagi ho chuke hain.

13

भोर को बिलाम ने उठ कर बालाक के हाकिमों से कहा, तुम अपने देश को चले जाओ; क्योंकि यहोवा मुझे तुम्हारे साथ जाने की आज्ञा नहीं देता।

Bhor ko bilaam ne uth kar balaak ke hakimon se kaha, tum apne desh ko chale jao; kyonki Yahowa mujhe tumhare saath jane ki aagya nahi deta.

14

तब मोआबी हाकिम चले गए और बालाक के पास जा कर कहा, कि बिलाम ने हमारे साथ आने से नाह किया है।

Tab moaabi hakim chale gaye aur balaak ke paas ja kar kaha, ki bilaam ne hamare saath aane se naah kiya hai.

15

इस पर बालाक ने फिर और हाकिम भेजे, जो पहिलों से प्रतिष्ठित और गिनती में भी अधिक थे।

Is par balaak ne phir aur hakim bheje, jo pahilon se pratishthit aur ginti mein bhi adhik the.

16

उन्होंने बिलाम के पास आकर कहा, कि सिप्पोर का पुत्र बालाक यों कहता है, कि मेरे पास आने से किसी कारण नाह न कर;

Unhonne bilaam ke paas aakar kaha, ki sippor ka putra balaak yon kahta hai, ki mere paas aane se kisi karan naah na kar;

17

क्योंकि मैं निश्चय तेरी बड़ी प्रतिष्ठा करूंगा, और जो कुछ तू मुझ से कहे वही मैं करूंगा; इसलिये आ, और उन लोगों को मेरे निमित्त शाप दे।

Kyonki main nishchay teri badi pratishtha karoonga, aur jo kuchh tu mujh se kahe vahi main karoonga; isliye aa, aur un logon ko mere nimitt shaap de.

18

बिलाम ने बालाक के कर्मचारियों को उत्तर दिया, कि चाहे बालाक अपने घर को सोने चांदी से भरकर मुझे दे दे, तौभी मैं अपने परमेश्वर यहोवा की आज्ञा को पलट नहीं सकता, कि उसे घटाकर वा बढ़ाकर मानूं।

Bilaam ne balaak ke karmachariyon ko uttar diya, ki chahe balaak apne ghar ko sone chandi se bharkar mujhe de de, taubhi main apne Parmeshwar Yahowa ki aagya ko palat nahi sakta, ki use ghatakar va badhakar manun.

19

इसलिये अब तुम लोग आज रात को यहीं टिके रहो, ताकि मैं जान लूं, कि यहोवा मुझ से और क्या कहता है।

Isliye ab tum log aaj raat ko yahi tike raho, taki main jaan lun, ki Yahowa mujh se aur kya kahta hai.

20

और परमेश्वर ने रात को बिलाम के पास आकर कहा, यदि वे पुरूष तुझे बुलाने आए हैं, तो तू उठ कर उनके संग जा; परन्तु जो बात मैं तुझ से कहूं उसी के अनुसार करना।

Aur Parmeshwar ne raat ko bilaam ke paas aakar kaha, yadi ve puroosh tujhe bulane aaye hain, to tu uth kar unke sang ja; parantu jo baat main tujh se kahun usi ke anusaar karna.

21

तब बिलाम भोर को उठा, और अपनी गदही पर काठी बान्धकर मोआबी हाकिमों के संग चल पड़ा।

Tab bilaam bhor ko utha, aur apni gadhi par kathi bandhakar moaabi hakimon ke sang chal pada.

22

और उसके जाने के कारण परमेश्वर का कोप भड़क उठा, और यहोवा का दूत उसका विरोध करने के लिये मार्ग रोककर खड़ा हो गया। वह तो अपनी गदही पर सवार हो कर जा रहा था, और उसके संग उसके दो सेवक भी थे।

Aur uske jane ke karan Parmeshwar ka kop bhadak utha, aur Yahowa ka doot uska virodh karne ke liye maarg rokkar khada ho gaya. Vah to apni gadhi par savaar ho kar ja raha tha, aur uske sang uske do sevak bhi the.

23

और उस गदही को यहोवा का दूत हाथ में नंगी तलवार लिये हुए मार्ग में खड़ा दिखाई पड़ा; तब गदही मार्ग छोड़कर खेत में चली गई; तब बिलाम ने गदही को मारा, कि वह मार्ग पर फिर आ जाए।

Aur us gadhi ko Yahowa ka doot haath mein nangi talvaar liye hue maarg mein khada dikhai pada; tab gadhi maarg chhodkar khet mein chali gai; tab bilaam ne gadhi ko mara, ki vah maarg par phir aa jaye.

24

तब यहोवा का दूत दाख की बारियों के बीच की गली में, जिसके दोनों ओर बारी की दीवार थी, खड़ा हुआ।

Tab Yahowa ka doot daakh ki bariyon ke beech ki gali mein, jiske donon or bari ki deevaar thi, khada huaa.

25

यहोवा के दूत को देखकर गदही दीवार से ऐसी सट गई, कि बिलाम का पांव दीवार से दब गया; तब उसने उसको फिर मारा।

Yahowa ke doot ko dekhkar gadhi deevaar se aisi sat gai, ki bilaam ka paanv deevaar se dab gaya; tab usne usko phir mara.

26

तब यहोवा का दूत आगे बढ़कर एक सकेत स्थान पर खड़ा हुआ, जहां न तो दाहिनी ओर हटने की जगह थी और न बाईं ओर।

Tab Yahowa ka doot aage badhkar ek saket sthaan par khada huaa, jahan na to dahini or hatne ki jagah thi aur na bai or.

27

वहां यहोवा के दूत को देखकर गदही बिलाम को लिये दिये बैठ गई; फिर तो बिलाम का कोप भड़क उठा, और उसने गदही को लाठी से मारा।

Vahan Yahowa ke doot ko dekhkar gadhi bilaam ko liye diye baith gai; phir to bilaam ka kop bhadak utha, aur usne gadhi ko lathi se mara.

28

तब यहोवा ने गदही का मुंह खोल दिया, और वह बिलाम से कहने लगी, मैं ने तेरा क्या किया है, कि तू ने मुझे तीन बार मारा?

Tab Yahowa ne gadhi ka munh khol diya, aur vah bilaam se kahne lagi, main ne tera kya kiya hai, ki tu ne mujhe teen baar mara?

29

बिलाम ने गदही से कहा, यह कि तू ने मुझ से नटखटी की। यदि मेरे हाथ में तलवार होती तो मैं तुझे अभी मार डालता।

Bilaam ne gadhi se kaha, yah ki tu ne mujh se natakhti ki. Yadi mere haath mein talvaar hoti to main tujhe abhi maar dalta.

30

गदही ने बिलाम से कहा क्या मैं तेरी वही गदही नहीं जिस पर तू जन्म से आज तक चढ़ता आया है? क्या मैं तुझ से कभी ऐसा करती थी? वह बोला, नहीं।

Gadhi ne bilaam se kaha kya main teri vahi gadhi nahi jis par tu janm se aaj tak chadhta aaya hai? Kya main tujh se kabhi aisa karti thi? Vah bola, nahi.

31

तब यहोवा ने बिलाम की आंखे खोलीं, और उसको यहोवा का दूत हाथ में नंगी तलवार लिये हुए मार्ग में खड़ा दिखाई पड़ा; तब वह झुक गया, और मुंह के बल गिरके दण्डवत की।

Tab Yahowa ne bilaam ki aankhe kholi, aur usko Yahowa ka doot haath mein nangi talvaar liye hue maarg mein khada dikhai pada; tab vah jhuk gaya, aur munh ke bal girke dandavat ki.

32

यहोवा के दूत ने उससे कहा, तू ने अपनी गदही को तीन बार क्यों मारा? सुन, तेरा विरोध करने को मैं ही आया हूं, इसलिये कि तू मेरे साम्हने उलटी चाल चलता है;

Yahowa ke doot ne usse kaha, tu ne apni gadhi ko teen baar kyon mara? Sun, tera virodh karne ko main hi aaya hoon, isliye ki tu mere samhane ulti chaal chalta hai;

33

और यह गदही मुझे देखकर मेरे साम्हने से तीन बार हट गई। जो वह मेरे साम्हने से हट न जाती, तो नि:सन्देह मैं अब तक तुझ को मार ही डालता, परन्तु उसको जीवित छोड़ देता।

Aur yah gadhi mujhe dekhkar mere samhane se teen baar hat gai. Jo vah mere samhane se hat na jati, to nisandeh main ab tak tujh ko maar hi dalta, parantu usko jeevit chhod deta.

34

तब बिलाम ने यहोवा के दूत से कहा, मैं ने पाप किया है; मैं नहीं जानता था कि तू मेरा साम्हना करने को मार्ग में खड़ा है। इसलिये अब यदि तुझे बुरा लगता है, तो मैं लौट जाता हूं।

Tab bilaam ne Yahowa ke doot se kaha, main ne paap kiya hai; main nahi janta tha ki tu mera samhana karne ko maarg mein khada hai. Isliye ab yadi tujhe bura lagta hai, to main laut jata hoon.

35

यहोवा के दूत ने बिलाम से कहा, इन पुरूषों के संग तू चला जा; परन्तु केवल वही बात कहना जो मैं तुझ से कहूंगा। तब बिलाम बालाक के हाकिमों के संग चला गया।

Yahowa ke doot ne bilaam se kaha, in purooshon ke sang tu chala ja; parantu keval vahi baat kahna jo main tujh se kahoonga. Tab bilaam balaak ke hakimon ke sang chala gaya.

36

यह सुनकर, कि बिलाम आ रहा है, बालाक उससे भेंट करने के लिये मोआब के उस नगर तक जो उस देश के अर्नोन वाले सिवाने पर है गया।

Yah sunkar, ki bilaam aa raha hai, balaak usse bhent karne ke liye moaab ke us nagar tak jo us desh ke arnon vale sivane par hai gaya.

37

बालाक ने बिलाम से कहा, क्या मैं ने बड़ी आशा से तुझे नहीं बुलवा भेजा था? फिर तू मेरे पास क्यों नहीं चला आया? क्या मैं इस योग्य नहीं कि सचमुच तेरी उचित प्रतिष्ठा कर सकता?

Balaak ne bilaam se kaha, kya main ne badi aasha se tujhe nahi bulva bheja tha? Phir tu mere paas kyon nahi chala aaya? Kya main is yogya nahi ki sachmuch teri uchit pratishtha kar sakta?

38

बिलाम ने बालाक से कहा, देख मैं तेरे पास आया तो हूं! परन्तु अब क्या मैं कुछ कर सकता हूं? जो बात परमेश्वर मेरे मुंह में डालेगा वही बात मैं कहूंगा।

Bilaam ne balaak se kaha, dekh main tere paas aaya to hoon! Parantu ab kya main kuchh kar sakta hoon? Jo baat Parmeshwar mere munh mein dalega vahi baat main kahoonga.

39

तब बिलाम बालाक के संग संग चला, और वे किर्यथूसोत तक आए।

Tab bilaam balaak ke sang sang chala, aur ve kiryathoosot tak aaye.

40

और बालाक ने बैल और भेड़-बकरियों को बलि किया, और बिलाम और उसके साथ के हाकिमों के पास भेजा।

Aur balaak ne bail aur bhed-bakriyon ko bali kiya, aur bilaam aur uske saath ke hakimon ke paas bheja.

41

बिहान को बालाक बिलाम को बालू के ऊंचे स्थानों पर चढ़ा ले गया, और वहां से उसको सब इस्त्राएली लोग दिखाई पड़े॥

Bihaan ko balaak bilaam ko balu ke oonche sthanon par chadha le gaya, aur vahan se usko sab istrayeli log dikhai pade.