फिर यहोवा ने मूसा और हारून से कहा,
Phir Yahowa ne Musa aur haroon se kaha,
Numbers 19 · 22 verses
फिर यहोवा ने मूसा और हारून से कहा,
Phir Yahowa ne Musa aur haroon se kaha,
व्यवस्था की जिस विधि की आज्ञा यहोवा देता है वह यह है; कि तू इस्त्राएलियों से कह, कि मेरे पास एक लाल निर्दोष बछिया ले आओ, जिस में कोई भी दोष न हो, और जिस पर जूआ कभी न रखा गया हो।
Vyavastha ki jis vidhi ki aagya Yahowa deta hai vah yah hai; ki tu istrayeliyon se kah, ki mere paas ek laal nirdosh bachhiya le aao, jis mein koi bhi dosh na ho, aur jis par jooaa kabhi na rakha gaya ho.
तब एलीआजर याजक को दो, और वह उसे छावनी से बाहर ले जाए, और कोई उसको उसके साम्हने बलिदान करे;
Tab eleeaajar yajak ko do, aur vah use chhavni se bahar le jaye, aur koi usko uske samhane balidaan kare;
तब एलीआजर याजक अपनी उंगली से उसका कुछ लोहू ले कर मिलापवाले तम्बू के साम्हने की ओर सात बार छिड़क दे।
Tab eleeaajar yajak apni ungli se uska kuchh lohu le kar milapvale tambu ke samhane ki or saat baar chhidak de.
तब कोई उस बछिया को खाल, मांस, लोहू, और गोबर समेत उसके साम्हने जलाए;
Tab koi us bachhiya ko khaal, maans, lohu, aur gobar samet uske samhane jalaye;
और याजक देवदारू की लकड़ी, जूफा, और लाल रंग का कपड़ा ले कर उस आग में जिस में बछिया जलती हो डाल दे।
Aur yajak devdaru ki lakdi, joopha, aur laal rang ka kapda le kar us aag mein jis mein bachhiya jalti ho daal de.
तब वह अपने वस्त्र धोए और स्नान करे, इसके बाद छावनी में तो आए, परन्तु सांझ तक अशुद्ध रहे।
Tab vah apne vastra dhoye aur snaan kare, iske baad chhavni mein to aaye, parantu saanjh tak ashuddh rahe.
और जो मनुष्य उसको जलाए वह भी जल से अपने वस्त्र धोए और स्नान करे, और सांझ तक अशुद्ध रहे।
Aur jo manushya usko jalaye vah bhi jal se apne vastra dhoye aur snaan kare, aur saanjh tak ashuddh rahe.
फिर कोई शुद्ध पुरूष उस बछिया की राख बटोरकर छावनी के बाहर किसी शुद्ध स्थान में रख छोड़े; और वह राख इस्त्राएलियों की मण्डली के लिये अशुद्धता से छुड़ाने वाले जल के लिये रखी रहे; वह तो पापबलि है।
Phir koi shuddh puroosh us bachhiya ki raakh batorkar chhavni ke bahar kisi shuddh sthaan mein rakh chhode; aur vah raakh istrayeliyon ki mandali ke liye ashuddhata se chhudane vale jal ke liye rakhi rahe; vah to papabli hai.
और जो मनुष्य बछिया की राख बटोरे वह अपने वस्त्र धोए, और सांझ तक अशुद्ध रहे। और यह इस्त्राएलियों के लिये, और उनके बीच रहने वाले परदेशियों के लिये भी सदा की विधि ठहरे।
Aur jo manushya bachhiya ki raakh batore vah apne vastra dhoye, aur saanjh tak ashuddh rahe. Aur yah istrayeliyon ke liye, aur unke beech rahne vale pardeshiyon ke liye bhi sada ki vidhi thahre.
जो किसी मनुष्य की लोथ छूए वह सात दिन तक अशुद्ध रहे;
Jo kisi manushya ki loth chhooye vah saat din tak ashuddh rahe;
ऐसा मनुष्य तीसरे दिन उस जल से पाप छुड़ाकर अपने को पावन करे, और सातवें दिन शुद्ध ठहरे; परन्तु यदि वह तीसरे दिन आप को पाप छुड़ाकर पावन न करे, तो सातवें दिन शुद्ध ठहरेगा।
Aisa manushya teesre din us jal se paap chhudakar apne ko pavan kare, aur satvein din shuddh thahre; parantu yadi vah teesre din aap ko paap chhudakar pavan na kare, to satvein din shuddh thahrega.
जो कोई किसी मनुष्य की लोथ छूकर पाप छुड़ाकर अपने को पावन न करे, वह यहोवा के निवासस्थान का अशुद्ध करने वाला ठहरेगा, और वह प्राणी इस्त्राएल में से नाश किया जाए; अशुद्धता से छुड़ाने वाला जल उस पर न छिड़का गया, इस कारण वह अशुद्ध ठहरेगा, उसकी अशुद्धता उस में बची रहेगी।
Jo koi kisi manushya ki loth chhookar paap chhudakar apne ko pavan na kare, vah Yahowa ke nivasasthaan ka ashuddh karne vala thahrega, aur vah prani istrayel mein se naash kiya jaye; ashuddhata se chhudane vala jal us par na chhidka gaya, is karan vah ashuddh thahrega, uski ashuddhata us mein bachi rahegi.
यदि कोई मनुष्य डेरे में मर जाए तो व्यवस्था यह यह है, कि जितने उस डेरे में रहें, वा उस में जाएं, वे सब सात दिन तक अशुद्ध रहें।
Yadi koi manushya dere mein mar jaye to vyavastha yah yah hai, ki jitne us dere mein rahein, va us mein jayen, ve sab saat din tak ashuddh rahein.
और हर एक खुला हुआ पात्र, जिस पर कोई ढकना लगा न हो, वह अशुद्ध ठहरे।
Aur har ek khula huaa patra, jis par koi dhakna laga na ho, vah ashuddh thahre.
और जो कोई मैदान में तलवार से मारे हुए को, वा अपनी मृत्यु से मरे हुए को, वा मनुष्य की हड्डी को, वा किसी कब्र को छूए, तो सात दिन तक अशुद्ध रहे।
Aur jo koi maidaan mein talvaar se mare hue ko, va apni mrityu se mare hue ko, va manushya ki haddi ko, va kisi kabra ko chhooye, to saat din tak ashuddh rahe.
अशुद्ध मनुष्य के लिये जलाए हुए पापबलि की राख में से कुछ ले कर पात्र में डालकर उस पर सोते का जल डाला जाए;
Ashuddh manushya ke liye jalaye hue papabli ki raakh mein se kuchh le kar patra mein dalkar us par sote ka jal dala jaye;
तब कोई शुद्ध मनुष्य जूफा ले कर उस जल में डुबाकर जल को उस डेरे पर, और जितने पात्र और मनुष्य उस में हों, उन पर छिड़के, और हड्डी के, वा मारे हुए के, वा अपनी मृत्यु से मरे हुए के, वा कब्र के छूने वाले पर छिड़क दे;
Tab koi shuddh manushya joopha le kar us jal mein dubakar jal ko us dere par, aur jitne patra aur manushya us mein hon, un par chhidke, aur haddi ke, va mare hue ke, va apni mrityu se mare hue ke, va kabra ke chhoone vale par chhidak de;
वह शुद्ध पुरूष तीसरे दिन और सातवें दिन उस अशुद्ध मनुष्य पर छिड़के; और सातवें दिन वह उसके पाप छुड़ाकर उसको पावन करे, तब वह अपने वस्त्रों को धोकर और जल से स्नान करके सांझ को शुद्ध ठहरे।
Vah shuddh puroosh teesre din aur satvein din us ashuddh manushya par chhidke; aur satvein din vah uske paap chhudakar usko pavan kare, tab vah apne vastron ko dhokar aur jal se snaan karke saanjh ko shuddh thahre.
और जो कोई अशुद्ध हो कर अपने पाप छुड़ाकर अपने को पावन न कराए, वह प्राणी यहोवा के पवित्र स्थान का अशुद्ध करने वाला ठहरेगा, इस कारण वह मण्डली के बीच में से नाश किया जाए; अशुद्धता से छुड़ाने वाला जल उस पर न छिड़का गया, इस कारण से वह अशुद्ध ठहरेगा।
Aur jo koi ashuddh ho kar apne paap chhudakar apne ko pavan na karaye, vah prani Yahowa ke pavitra sthaan ka ashuddh karne vala thahrega, is karan vah mandali ke beech mein se naash kiya jaye; ashuddhata se chhudane vala jal us par na chhidka gaya, is karan se vah ashuddh thahrega.
और यह उनके लिये सदा की विधि ठहरे। जो अशुद्धता से छुड़ाने वाला जल छिड़के वह अपने वस्त्रों को धोए; और जिस जन से अशुद्धता से छुड़ाने वाला जल छू जाए वह भी सांझ तक अशुद्ध रहे।
Aur yah unke liye sada ki vidhi thahre. Jo ashuddhata se chhudane vala jal chhidke vah apne vastron ko dhoye; aur jis jan se ashuddhata se chhudane vala jal chhu jaye vah bhi saanjh tak ashuddh rahe.
और जो कुछ वह अशुद्ध मनुष्य छूए वह भी अशुद्ध ठहरे; और जो प्राणी उस वस्तु को छूए वह भी सांझ तक अशुद्ध रहे॥
Aur jo kuchh vah ashuddh manushya chhooye vah bhi ashuddh thahre; aur jo prani us vastu ko chhooye vah bhi saanjh tak ashuddh rahe.