Numbers 18 · 32 verses

गिनती 18 Numbers 18 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ginti 18.

1

फिर यहोवा ने हारून से कहा, कि पवित्रस्थान के अधर्म का भार तुझ पर, और तेरे पुत्रों और तेरे पिता के घराने पर होगा; और तुम्हारा याजक कर्म के अधर्म का भार भी तेरे पुत्रों पर होगा।

Phir Yahowa ne haroon se kaha, ki pavitrasthaan ke adharm ka bhaar tujh par, aur tere putron aur tere pita ke gharane par hoga; aur tumhara yajak karm ke adharm ka bhaar bhi tere putron par hoga.

2

और लेवी का गोत्र, अर्थात तेरे मूलपुरूष के गोत्र वाले जो तेरे भाई हैं, उन को भी अपने साथ ले आया कर, और वे तुझ से मिल जाएं, और तेरी सेवा टहल किया करें, परन्तु साक्षीपत्र के तम्बू के साम्हने तू और तेरे पुत्र ही आया करें।

Aur levi ka gotra, arthaat tere moolpuroosh ke gotra vale jo tere bhai hain, un ko bhi apne saath le aaya kar, aur ve tujh se mil jayen, aur teri seva tahal kiya karein, parantu saksheepatra ke tambu ke samhane tu aur tere putra hi aaya karein.

3

जो तुझे सौंपा गया है उसकी और सारे तम्बू की भी वे रक्षा किया करें; परन्तु पवित्रस्थान के पात्रों के और वेदी के समीप न आएं, ऐसा न हो कि वे और तुम लोग भी मर जाओ।

Jo tujhe saumpa gaya hai uski aur sare tambu ki bhi ve raksha kiya karein; parantu pavitrasthaan ke patron ke aur vedi ke sameep na aayen, aisa na ho ki ve aur tum log bhi mar jao.

4

सो वे तुझ से मिल जाएं, और मिलापवाले तम्बू की सारी सेवकाई की वस्तुओं की रक्षा किया करें; परन्तु जो तेरे कुल का न हो वह तुम लोगों के समीप न आने पाए।

So ve tujh se mil jayen, aur milapvale tambu ki sari sevkai ki vastuon ki raksha kiya karein; parantu jo tere kul ka na ho vah tum logon ke sameep na aane paye.

5

और पवित्रस्थान और वेदी की रखवाली तुम ही किया करो, जिस से इस्त्राएलियों पर फिर कोप न भड़के।

Aur pavitrasthaan aur vedi ki rakhvali tum hi kiya karo, jis se istrayeliyon par phir kop na bhadke.

6

परन्तु मैं ने आप तुम्हारे लेवी भाइयों को इस्त्राएलियों के बीच से अलग कर लिया है, और वे मिलापवाले तम्बू की सेवा करने के लिये तुम को और यहोवा को सौंप दिये गए हैं।

Parantu main ne aap tumhare levi bhaiyon ko istrayeliyon ke beech se alag kar liya hai, aur ve milapvale tambu ki seva karne ke liye tum ko aur Yahowa ko saump diye gaye hain.

7

पर वेदी की और बीच वाले पर्दे के भीतर की बातों की सेवकाई के लिये तू और तेरे पुत्र अपने याजकपद की रक्षा करना, और तुम ही सेवा किया करना; क्योंकि मैं तुम्हें याजकपद की सेवकाई दान करता हूं; और जो तेरे कुल का न हो वह यदि समीप आए तो मार डाला जाए॥

Par vedi ki aur beech vale parde ke bheetar ki baton ki sevkai ke liye tu aur tere putra apne yajakpad ki raksha karna, aur tum hi seva kiya karna; kyonki main tumhein yajakpad ki sevkai daan karta hoon; aur jo tere kul ka na ho vah yadi sameep aaye to maar dala jaye.

8

फिर यहोवा ने हारून से कहा, सुन, मैं आप तुझ को उठाई हुई भेंट सौंप देता हूं, अर्थात इस्त्राएलियों की पवित्र की हुई वस्तुएं; जितनी हों उन्हें मैं तेरा अभिषेक वाला भाग ठहराकर तुझे और तेरे पुत्रों को सदा का हक करके दे देता हूं।

Phir Yahowa ne haroon se kaha, sun, main aap tujh ko uthai hui bhent saump deta hoon, arthaat istrayeliyon ki pavitra ki hui vastuein; jitni hon unhein main tera abhishek vala bhaag thahrakar tujhe aur tere putron ko sada ka hak karke de deta hoon.

9

जो परमपवित्र वस्तुएं आग में होम न की जाएंगी वे तेरी ही ठहरें, अर्थात इस्त्राएलियों के सब चढ़ावों में से उनके सब अन्नबलि, सब पापबलि, और सब दोषबलि, जो वे मुझ को दें, वह तेरे और तेरे पुत्रों के लिये परमपवित्र ठहरें।

Jo parmapvitra vastuein aag mein hom na ki jayengi ve teri hi thahrein, arthaat istrayeliyon ke sab chadhavon mein se unke sab annabli, sab papabli, aur sab doshabli, jo ve mujh ko dein, vah tere aur tere putron ke liye parmapvitra thahrein.

10

उन को परमपवित्र वस्तु जानकर खाया करना; उन को हर एक पुरूष खा सकता है; वे तेरे लिये पवित्र हैं।

Un ko parmapvitra vastu jankar khaya karna; un ko har ek puroosh kha sakta hai; ve tere liye pavitra hain.

11

फिर ये वस्तुएं भी तेरी ठहरें, अर्थात जितनी भेंट इस्त्राएली हिलाने के लिये दें, उन को मैं तुझे और तेरे बेटे-बेटियों को सदा का हक करके दे देता हूं; तेरे घराने में जितने शुद्ध हों वह उन्हें खा सकेंगे।

Phir ye vastuein bhi teri thahrein, arthaat jitni bhent istrayeli hilane ke liye dein, un ko main tujhe aur tere bete-betiyon ko sada ka hak karke de deta hoon; tere gharane mein jitne shuddh hon vah unhein kha sakenge.

12

फिर उत्तम से उत्तम नया दाखमधु, और गेहूं, अर्थात इनकी पहली उपज जो वे यहोवा को दें, वह मैं तुझ को देता हूं।

Phir uttam se uttam naya dakhamdhu, aur gehun, arthaat inki pahli upaj jo ve Yahowa ko dein, vah main tujh ko deta hoon.

13

उनके देश के सब प्रकार की पहली उपज, जो वे यहोवा के लिये ले आएं, वह तेरी ही ठहरे; तेरे घराने में जितने शुद्ध होंवे उन्हें खा सकेंगे।

Unke desh ke sab prakaar ki pahli upaj, jo ve Yahowa ke liye le aayen, vah teri hi thahre; tere gharane mein jitne shuddh honve unhein kha sakenge.

14

इस्त्राएलियों में जो कुछ अर्पण किया जाए वह भी तेरा ही ठहरे।

Istrayeliyon mein jo kuchh arpan kiya jaye vah bhi tera hi thahre.

15

सब प्राणियों में से जितने अपनी अपनी मां के पहिलौठे हों, जिन्हें लोग यहोवा के लिये चढ़ाएं, चाहे मनुष्य के चाहे पशु के पहिलौठे हों, वे सब तेरे ही ठहरें; परन्तु मनुष्यों और अशुद्ध पशुओं के पहिलौठों को दाम ले कर छोड़ देना।

Sab praniyon mein se jitne apni apni maa ke pahilauthe hon, jinhein log Yahowa ke liye chadhayen, chahe manushya ke chahe pashu ke pahilauthe hon, ve sab tere hi thahrein; parantu manushyon aur ashuddh pashuon ke pahilauthon ko daam le kar chhod dena.

16

और जिन्हें छुड़ाना हो, जब वे महीने भर के हों तब उनके लिये अपने ठहराए हुए मोल के अनुसार, अर्थात पवित्रस्थान के बीस गेरा के शेकेल के हिसाब से पांच शेकेल लेके उन्हें छोड़ना।

Aur jinhein chhudana ho, jab ve maheene bhar ke hon tab unke liye apne thahraye hue mol ke anusaar, arthaat pavitrasthaan ke bees gera ke shekel ke hisaab se paanch shekel leke unhein chhodna.

17

पर गाय, वा भेड़ी, वा बकरी के पहिलौठे को न छोड़ना; वे तो पवित्र हैं। उनके लोहू को वेदी पर छिड़क देना, और उनकी चरबी को हव्य करके जलाना, जिस से यहोवा के लिये सुखदायक सुगन्ध हो;

Par gaay, va bhedi, va bakri ke pahilauthe ko na chhodna; ve to pavitra hain. Unke lohu ko vedi par chhidak dena, aur unki charbi ko havya karke jalana, jis se Yahowa ke liye sukhdayak sugandh ho;

18

परन्तु उनका मांस तेरा ठहरे, और हिलाई हुई छाती, और दाहिनी जांघ भी तेरा ही ठहरे।

Parantu unka maans tera thahre, aur hilai hui chhati, aur dahini jaangh bhi tera hi thahre.

19

पवित्र वस्तुओं की जितनी भेंटें इस्त्राएली यहोवा को दें, उन सभों को मैं तुझे और तेरे बेटे-बेटियों को सदा का हक करके दे देता हूं: यह तो तेरे और तेरे वंश के लिये यहोवा की सदा के लिये नमक की अटल वाचा है।

Pavitra vastuon ki jitni bhentein istrayeli Yahowa ko dein, un sabhon ko main tujhe aur tere bete-betiyon ko sada ka hak karke de deta hoon: yah to tere aur tere vansh ke liye Yahowa ki sada ke liye namak ki atal vacha hai.

20

फिर यहोवा ने हारून से कहा, इस्त्राएलियों के देश में तेरा कोई भाग न होगा, और न उनके बीच तेरा कोई अंश होगा; उनके बीच तेरा भाग और तेरा अंश मैं ही हूं॥

Phir Yahowa ne haroon se kaha, istrayeliyon ke desh mein tera koi bhaag na hoga, aur na unke beech tera koi ansh hoga; unke beech tera bhaag aur tera ansh main hi hoon.

21

फिर मिलापवाले तम्बू की जो सेवा लेवी करते हैं उसके बदले मैं उन को इस्त्राएलियों का सब दशमांश उनका निज भाग कर देता हूं।

Phir milapvale tambu ki jo seva levi karte hain uske badle main un ko istrayeliyon ka sab dashmaansh unka nij bhaag kar deta hoon.

22

और भविष्य में इस्त्राएली मिलापवाले तम्बू के समीप न आएं, ऐसा न हो कि उनके सिर पर पाप लगे, और वे मर जाएं।

Aur bhavishya mein istrayeli milapvale tambu ke sameep na aayen, aisa na ho ki unke sir par paap lage, aur ve mar jayen.

23

परन्तु लेवी मिलापवाले तम्बू की सेवा किया करें, और उनके अधर्म का भार वे ही उठाया करें; यह तुम्हारी पीढ़ीयों में सदा की विधि ठहरे; और इस्त्राएलियों के बीच उनका कोई निज भाग न होगा।

Parantu levi milapvale tambu ki seva kiya karein, aur unke adharm ka bhaar ve hi uthaya karein; yah tumhari peedheeyon mein sada ki vidhi thahre; aur istrayeliyon ke beech unka koi nij bhaag na hoga.

24

क्योंकि इस्त्राएली जो दशमांश यहोवा को उठाई हुई भेंट करके देंगे, उसे मैं लेवियों को निज भाग करके देता हूं, इसीलिये मैं ने उनके विषय में कहा है, कि इस्त्राएलियों के बीच कोई भाग उन को न मिले।

Kyonki istrayeli jo dashmaansh Yahowa ko uthai hui bhent karke denge, use main leviyon ko nij bhaag karke deta hoon, iseeliye main ne unke vishay mein kaha hai, ki istrayeliyon ke beech koi bhaag un ko na mile.

25

फिर यहोवा ने मूसा से कहा,

Phir Yahowa ne Musa se kaha,

26

तू लेवियों से कह, कि जब जब तुम इस्त्राएलियों के हाथ से वह दशमांश लो जिसे यहोवा तुम को तुम्हारा निज भाग करके उन से दिलाता है, तब तब उस में से यहोवा के लिये एक उठाई हुई भेंट करके दशमांश का दशमांश देना।

Tu leviyon se kah, ki jab jab tum istrayeliyon ke haath se vah dashmaansh lo jise Yahowa tum ko tumhara nij bhaag karke un se dilata hai, tab tab us mein se Yahowa ke liye ek uthai hui bhent karke dashmaansh ka dashmaansh dena.

27

और तुम्हारी उठाई हुई भेंट तुम्हारे हित के लिये ऐसी गिनी जाएगी जैसा खलिहान में का अन्न, वा रसकुण्ड में का दाखरस गिना जाता है।

Aur tumhari uthai hui bhent tumhare hit ke liye aisi gini jayegi jaisa khalihaan mein ka ann, va raskund mein ka dakhras gina jata hai.

28

इस रीति तुम भी अपने सब दशमांशों में से, जो इस्त्राएलियों की ओर से पाओगे, यहोवा को एक उठाई हुई भेंट देना; और यहोवा की यह उठाई हुई भेंट हारून याजक को दिया करना।

Is reeti tum bhi apne sab dashmanshon mein se, jo istrayeliyon ki or se paoge, Yahowa ko ek uthai hui bhent dena; aur Yahowa ki yah uthai hui bhent haroon yajak ko diya karna.

29

जितने दान तुम पाओ उन में से हर एक का उत्तम से उत्तम भाग, जो पवित्र ठहरा है, सो उसे यहोवा के लिये उठाई हुई भेंट करके पूरी पूरी देना।

Jitne daan tum pao un mein se har ek ka uttam se uttam bhaag, jo pavitra thahra hai, so use Yahowa ke liye uthai hui bhent karke poori poori dena.

30

इसलिये तू लेवियों से कह, कि जब तुम उस में का उत्तम से उत्तम भाग उठा कर दो, तब यह तुम्हारे लिये खलिहान में के अन्न, और रसकुण्ड के रस के तुल्य गिना जाएगा;

Isliye tu leviyon se kah, ki jab tum us mein ka uttam se uttam bhaag utha kar do, tab yah tumhare liye khalihaan mein ke ann, aur raskund ke ras ke tulya gina jayega;

31

और उसको तुम अपने घरानों समेत सब स्थानों में खा सकते हो, क्योंकि मिलापवाले तम्बू की जो सेवा तुम करोगे उसका बदला यही ठहरा है।

Aur usko tum apne gharanon samet sab sthanon mein kha sakte ho, kyonki milapvale tambu ki jo seva tum karoge uska badla yahi thahra hai.

32

और जब तुम उसका उत्तम से उत्तम भाग उठा कर दो तब उसके कारण तुम को पाप न लगेगा। परन्तु इस्त्राएलियों की पवित्र की हुई वस्तुओं को अपवित्र न करना, ऐसा न हो कि तुम मर जाओ॥

Aur jab tum uska uttam se uttam bhaag utha kar do tab uske karan tum ko paap na lagega. Parantu istrayeliyon ki pavitra ki hui vastuon ko apvitra na karna, aisa na ho ki tum mar jao.