Numbers 16 · 50 verses

गिनती 16 Numbers 16 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ginti 16.

1

कोरह जो लेवी का परपोता, कहात का पोता, और यिसहार का पुत्र था, वह एलीआब के पुत्र दातान और अबीराम, और पेलेत के पुत्र ओन,

Korah jo levi ka parpota, kahaat ka pota, aur yishaar ka putra tha, vah eleeaab ke putra dataan aur abeeraam, aur pelet ke putra on,

2

इन तीनों रूबेनियों से मिलकर मण्डली के अढ़ाई सौ प्रधान, जो सभासद और नामी थे, उन को संग लिया;

In teenon roobeniyon se milkar mandali ke adhai sau pradhaan, jo sabhasad aur nami the, un ko sang liya;

3

और वे मूसा और हारून के विरुद्ध उठ खड़े हुए, और उन से कहने लगे, तुम ने बहुत किया, अब बस करो; क्योंकि सारी मण्डली का एक एक मनुष्य पवित्र है, और यहोवा उनके मध्य में रहता है; इसलिये तुम यहोवा की मण्डली में ऊंचे पद वाले क्यों बन बैठे हो?

Aur ve Musa aur haroon ke viruddh uth khade hue, aur un se kahne lage, tum ne bahut kiya, ab bas karo; kyonki sari mandali ka ek ek manushya pavitra hai, aur Yahowa unke madhya mein rahta hai; isliye tum Yahowa ki mandali mein oonche pad vale kyon ban baithe ho?

4

यह सुनकर मूसा अपने मुंह के बल गिरा;

Yah sunkar Musa apne munh ke bal gira;

5

फिर उसने कोरह और उसकी सारी मण्डली से कहा, कि बिहान को यहोवा दिखला देगा कि उसका कौन है, और पवित्र कौन है, और उसको अपने समीप बुला लेगा; जिस को वह आप चुन लेगा उसी को अपने समीप बुला भी लेगा।

Phir usne korah aur uski sari mandali se kaha, ki bihaan ko Yahowa dikhla dega ki uska kaun hai, aur pavitra kaun hai, aur usko apne sameep bula lega; jis ko vah aap chun lega usi ko apne sameep bula bhi lega.

6

इसलिये, हे कोरह, तुम अपनी सारी मण्डली समेत यह करो, अर्थात अपना अपना धूपदान ठीक करो;

Isliye, he korah, tum apni sari mandali samet yah karo, arthaat apna apna dhoopdaan theek karo;

7

और कल उन में आग रखकर यहोवा के साम्हने धूप देना, तब जिस को यहोवा चुन ले वही पवित्र ठहरेगा। हे लेवियों, तुम भी बड़ी बड़ी बातें करते हो, अब बस करो।

Aur kal un mein aag rakhkar Yahowa ke samhane dhoop dena, tab jis ko Yahowa chun le vahi pavitra thahrega. He leviyon, tum bhi badi badi batein karte ho, ab bas karo.

8

फिर मूसा ने कोरह से कहा, हे लेवियों, सुनो,

Phir Musa ne korah se kaha, he leviyon, suno,

9

क्या यह तुम्हें छोटी बात जान पड़ती है, कि इस्त्राएल के परमेश्वर ने तुम को इस्त्राएल की मण्डली से अलग करके अपने निवास की सेवकाई करने, और मण्डली के साम्हने खड़े हो कर उसकी भी सेवा टहल करने के लिये अपने समीप बुला लिया है;

Kya yah tumhein chhoti baat jaan padti hai, ki istrayel ke Parmeshwar ne tum ko istrayel ki mandali se alag karke apne nivaas ki sevkai karne, aur mandali ke samhane khade ho kar uski bhi seva tahal karne ke liye apne sameep bula liya hai;

10

और तुझे और तेरे सब लेवी भाइयों को भी अपने समीप बुला लिया है? फिर भी तुम याजक पद के भी खोजी हो?

Aur tujhe aur tere sab levi bhaiyon ko bhi apne sameep bula liya hai? Phir bhi tum yajak pad ke bhi khoji ho?

11

और इसी कारण तू ने अपनी सारी मण्डली को यहोवा के विरुद्ध इकट्ठी किया है; हारून कौन है कि तुम उस पर बुड़बुड़ाते हो?

Aur isi karan tu ne apni sari mandali ko Yahowa ke viruddh ikatthi kiya hai; haroon kaun hai ki tum us par budbudate ho?

12

फिर मूसा ने एलीआब के पुत्र दातान और अबीराम को बुलवा भेजा; और उन्होंने कहा, हम तेरे पास नहीं आएंगे।

Phir Musa ne eleeaab ke putra dataan aur abeeraam ko bulva bheja; aur unhonne kaha, ham tere paas nahi aayenge.

13

क्या यह एक छोटी बात है, कि तू हम को ऐसे देश से जिस में दूध और मधु की धाराएं बहती है इसलिये निकाल लाया है, कि हमें जंगल में मार डाले, फिर क्या तू हमारे ऊपर प्रधान भी बनकर अधिकार जताता है?

Kya yah ek chhoti baat hai, ki tu ham ko aise desh se jis mein doodh aur madhu ki dharayen bahti hai isliye nikaal laya hai, ki hamein jangal mein maar dale, phir kya tu hamare oopar pradhaan bhi bankar adhikaar jatata hai?

14

फिर तू हमें ऐसे देश में जहां दूध और मधु की धाराएं बहती हैं नहीं पहुंचाया, और न हमें खेतों और दाख की बारियों के अधिकारी किया। क्या तू इन लोगों की आंखों में धूलि डालेगा? हम तो नहीं आएंगे।

Phir tu hamein aise desh mein jahan doodh aur madhu ki dharayen bahti hain nahi pahunchaya, aur na hamein kheton aur daakh ki bariyon ke adhikari kiya. Kya tu in logon ki aankhon mein dhooli dalega? Ham to nahi aayenge.

15

तब मूसा का कोप बहुत भड़क उठा, और उसने यहोवा से कहा, उन लोगों की भेंट की ओर दृष्टि न कर। मैं ने तो उन से एक गदहा भी नहीं लिया, और न उन में से किसी की हानि की है।

Tab Musa ka kop bahut bhadak utha, aur usne Yahowa se kaha, un logon ki bhent ki or drishti na kar. Main ne to un se ek gadha bhi nahi liya, aur na un mein se kisi ki hani ki hai.

16

तब मूसा ने कोरह से कहा, कल तू अपनी सारी मण्डली को साथ ले कर हारून के साथ यहोवा के साम्हने हाजिर होना;

Tab Musa ne korah se kaha, kal tu apni sari mandali ko saath le kar haroon ke saath Yahowa ke samhane hajir hona;

17

और तुम सब अपना अपना धूपदान ले कर उन में धूप देना, फिर अपना अपना धूपदान जो सब समेत अढ़ाई सौ होंगे यहोवा के साम्हने ले जाना; विशेष करके तू और हारून अपना अपना धूपदान ले जाना।

Aur tum sab apna apna dhoopdaan le kar un mein dhoop dena, phir apna apna dhoopdaan jo sab samet adhai sau honge Yahowa ke samhane le jana; vishesh karke tu aur haroon apna apna dhoopdaan le jana.

18

सो उन्होंने अपना अपना धूपदान ले कर और उन में आग रखकर उन पर धूप डाला; और मूसा और हारून के साथ मिलापवाले तम्बू के द्वार पर खड़े हुए।

So unhonne apna apna dhoopdaan le kar aur un mein aag rakhkar un par dhoop dala; aur Musa aur haroon ke saath milapvale tambu ke dwaar par khade hue.

19

और कोरह ने सारी मण्डली को उनके विरुद्ध मिलापवाले तम्बू के द्वार पर इकट्ठा कर लिया। तब यहोवा का तेज सारी मण्डली को दिखाई दिया॥

Aur korah ne sari mandali ko unke viruddh milapvale tambu ke dwaar par ikattha kar liya. Tab Yahowa ka tej sari mandali ko dikhai diya.

20

तब यहोवा ने मूसा और हारून से कहा,

Tab Yahowa ne Musa aur haroon se kaha,

21

उस मण्डली के बीच में से अलग हो जाओ। कि मैं उन्हें पल भर में भस्म कर डालूं।

Us mandali ke beech mein se alag ho jao. Ki main unhein pal bhar mein bhasm kar dalun.

22

तब वे मुंह के बल गिरके कहने लगे, हे ईश्वर, हे सब प्राणियों के आत्माओं के परमेश्वर, क्या एक पुरूष के पाप के कारण तेरा क्रोध सारी मण्डली पर होगा?

Tab ve munh ke bal girke kahne lage, he ishwar, he sab praniyon ke aatmaon ke Parmeshwar, kya ek puroosh ke paap ke karan tera krodh sari mandali par hoga?

23

यहोवा ने मूसा से कहा,

Yahowa ne Musa se kaha,

24

मण्डली के लोगों से कह, कि कोरह, दातान, और अबीराम के तम्बुओं के आसपास से हट जाओ।

Mandali ke logon se kah, ki korah, dataan, aur abeeraam ke tambuon ke aaspaas se hat jao.

25

तब मूसा उठ कर दातान और अबीराम के पास गया; और इस्त्राएलियों के वृद्ध लोग उसके पीछे पीछे गए।

Tab Musa uth kar dataan aur abeeraam ke paas gaya; aur istrayeliyon ke vriddh log uske peechhe peechhe gaye.

26

और उसने मण्डली के लोगों से कहा, तुम उन दुष्ट मनुष्यों के डेरों के पास से हट जाओ, और उनकी कोई वस्तु न छूओ, कहीं ऐसा न हो कि तुम भी उनके सब पापों में फंसकर मिट जाओ।

Aur usne mandali ke logon se kaha, tum un dusht manushyon ke deron ke paas se hat jao, aur unki koi vastu na chhooo, kahi aisa na ho ki tum bhi unke sab papon mein phanskar mit jao.

27

यह सुन वे कोरह, दातान, और अबीराम के तम्बुओं के आसपास से हट गए; परन्तु दातान और अबीराम निकलकर अपनी पत्नियों, बेटों, और बाल-बच्चों समेत अपने अपने डेरे के द्वार पर खड़े हुए।

Yah sun ve korah, dataan, aur abeeraam ke tambuon ke aaspaas se hat gaye; parantu dataan aur abeeraam nikalkar apni patniyon, beton, aur baal-bachchon samet apne apne dere ke dwaar par khade hue.

28

तब मूसा ने कहा, इस से तुम जान लोगे कि यहोवा ने मुझे भेजा है कि यह सब काम करूं, क्योंकि मैं ने अपनी इच्छा से कुछ नहीं किया।

Tab Musa ne kaha, is se tum jaan loge ki Yahowa ne mujhe bheja hai ki yah sab kaam karun, kyonki main ne apni ichchha se kuchh nahi kiya.

29

यदि उन मनुष्यों की मृत्यु और सब मनुष्यों के समान हो, और उनका दण्ड सब मनुष्यों के समान हो, तब जानो कि मैं यहोवा का भेजा हुआ नहीं हूं।

Yadi un manushyon ki mrityu aur sab manushyon ke samaan ho, aur unka dand sab manushyon ke samaan ho, tab jano ki main Yahowa ka bheja huaa nahi hoon.

30

परन्तु यदि यहोवा अपनी अनोखी शक्ति प्रकट करे, और पृथ्वी अपना मुंह पसारकर उन को, और उनका सब कुछ निगल जाए, और वे जीते जी अधोलोक में जा पड़ें, तो तुम समझ लो कि इन मनुष्यों ने यहोवा का अपमान किया है।

Parantu yadi Yahowa apni anokhi shakti prakat kare, aur prithvi apna munh pasarkar un ko, aur unka sab kuchh nigal jaye, aur ve jeete ji adholok mein ja padein, to tum samajh lo ki in manushyon ne Yahowa ka apmaan kiya hai.

31

वह ये सब बातें कह ही चुका था, कि भूमि उन लोगों के पांव के नीचे फट गई;

Vah ye sab batein kah hi chuka tha, ki bhoomi un logon ke paanv ke neeche phat gai;

32

और पृथ्वी ने अपना मुंह खोल दिया और उनका और उनका घरद्वार का सामान, और कोरह के सब मनुष्यों और उनकी सारी सम्पत्ति को भी निगल लिया।

Aur prithvi ne apna munh khol diya aur unka aur unka gharadwaar ka samaan, aur korah ke sab manushyon aur unki sari sampatti ko bhi nigal liya.

33

और वे और उनका सारा घरबार जीवित ही अधोलोक में जा पड़े; और पृथ्वी ने उन को ढांप लिया, और वे मण्डली के बीच में से नष्ट हो गए।

Aur ve aur unka sara gharbaar jeevit hi adholok mein ja pade; aur prithvi ne un ko dhaamp liya, aur ve mandali ke beech mein se nasht ho gaye.

34

और जितने इस्त्राएली उनके चारों ओर थे वे उनका चिल्लाना सुन यह कहते हुए भागे, कि कहीं पृथ्वी हम को भी निगल न ले!

Aur jitne istrayeli unke charon or the ve unka chillana sun yah kahte hue bhage, ki kahi prithvi ham ko bhi nigal na le!

35

तब यहोवा के पास से आग निकली, और उन अढ़ाई सौ धूप चढ़ाने वालों को भस्म कर डाला॥

Tab Yahowa ke paas se aag nikli, aur un adhai sau dhoop chadhane valon ko bhasm kar dala.

36

तब यहोवा ने मूसा से कहा,

Tab Yahowa ne Musa se kaha,

37

हारून याजक के पुत्र एलीआजार से कह, कि उन धूपदानों को आग में से उठा ले; और आग के अंगारों को उधर ही छितरा दे, क्योंकि वे पवित्र हैं।

Haroon yajak ke putra eleeaajaar se kah, ki un dhoopdanon ko aag mein se utha le; aur aag ke angaron ko udhar hi chhitra de, kyonki ve pavitra hain.

38

जिन्होंने पाप करके अपने ही प्राणों की हानि की है, उनके धूपदानों के पत्तर पीट पीटकर बनाए जाएं जिस से कि वह वेदी के मढ़ने के काम आवे; क्योंकि उन्होंने यहोवा के साम्हने रखा था; इस से वे पवित्र हैं। इस प्रकार वह इस्त्राएलियों के लिये एक निशान ठहरेगा।

Jinhonne paap karke apne hi pranon ki hani ki hai, unke dhoopdanon ke pattar peet peetkar banaye jayen jis se ki vah vedi ke madhne ke kaam aave; kyonki unhonne Yahowa ke samhane rakha tha; is se ve pavitra hain. Is prakaar vah istrayeliyon ke liye ek nishaan thahrega.

39

सो एलीआजर याजक ने उन पीतल के धूपदानों को, जिन में उन जले हुए मनुष्यों ने धूप चढ़ाया था, ले कर उनके पत्तर पीटकर वेदी के मढ़ने के लिये बनवा दिए,

So eleeaajar yajak ne un peetal ke dhoopdanon ko, jin mein un jale hue manushyon ne dhoop chadhaya tha, le kar unke pattar peetkar vedi ke madhne ke liye banva diye,

40

कि इस्त्राएलियों को इस बात का स्मरण रहे कि कोई दूसरा, जो हारून के वंश का न हो, यहोवा के साम्हने धूप चढ़ाने को समीप न जाए, ऐसा न हो कि वह भी कोरह और उसकी मण्डली के समान नष्ट हो जाए, जैसे कि यहोवा ने मूसा के द्वारा उसको आज्ञा दी थी॥

Ki istrayeliyon ko is baat ka smaran rahe ki koi doosra, jo haroon ke vansh ka na ho, Yahowa ke samhane dhoop chadhane ko sameep na jaye, aisa na ho ki vah bhi korah aur uski mandali ke samaan nasht ho jaye, jaise ki Yahowa ne Musa ke dwara usko aagya di thi.

41

दूसरे दिन इस्त्राएलियों की सारी मण्डली यह कहकर मूसा और हारून पर बुड़बुड़ाने लगी, कि यहोवा की प्रजा को तुम ने मार डाला है।

Doosre din istrayeliyon ki sari mandali yah kahkar Musa aur haroon par budbudane lagi, ki Yahowa ki praja ko tum ne maar dala hai.

42

और जब मण्डली के लोग मूसा और हारून के विरुद्ध इकट्ठे हो रहे थे, तब उन्होंने मिलापवाले तम्बू की ओर दृष्टि की; और देखा, कि बादल ने उसे छा लिया है, और यहोवा का तेज दिखाई दे रहा है।

Aur jab mandali ke log Musa aur haroon ke viruddh ikatthe ho rahe the, tab unhonne milapvale tambu ki or drishti ki; aur dekha, ki badal ne use chha liya hai, aur Yahowa ka tej dikhai de raha hai.

43

तब मूसा और हारून मिलापवाले तम्बू के साम्हने आए,

Tab Musa aur haroon milapvale tambu ke samhane aaye,

44

तब यहोवा ने मूसा और हारून से कहा,

Tab Yahowa ne Musa aur haroon se kaha,

45

तुम उस मण्डली के लोगों के बीच से हट जाओ, कि मैं उन्हें पल भर में भस्म कर डालूं। तब वे मुंह के बल गिरे।

Tum us mandali ke logon ke beech se hat jao, ki main unhein pal bhar mein bhasm kar dalun. Tab ve munh ke bal gire.

46

और मूसा ने हारून से कहा, धूपदान को ले कर उस में वेदी पर से आग रखकर उस पर धूप डाल, मण्डली के पास फुरती से जा कर उसके लिये प्रायश्चित्त कर; क्योंकि यहोवा का कोप अत्यन्त भड़का है, और मरी फैलने लगी है।

Aur Musa ne haroon se kaha, dhoopdaan ko le kar us mein vedi par se aag rakhkar us par dhoop daal, mandali ke paas phurti se ja kar uske liye prayashchitt kar; kyonki Yahowa ka kop atyant bhadka hai, aur mari phailne lagi hai.

47

मूसा की आज्ञा के अनुसार हारून धूपदान ले कर मण्डली के बीच में दौड़ा गया; और यह देखकर कि लोगों में मरी फैलने लगी है, उसने धूप जलाकर लोगों के लिये प्रायश्चित्त किया।

Musa ki aagya ke anusaar haroon dhoopdaan le kar mandali ke beech mein dauda gaya; aur yah dekhkar ki logon mein mari phailne lagi hai, usne dhoop jalakar logon ke liye prayashchitt kiya.

48

और वह मुर्दों और जीवित के मध्य में खड़ा हुआ; तब मरी थम गई।

Aur vah murdon aur jeevit ke madhya mein khada huaa; tab mari tham gai.

49

और जो कोरह के संग भागी हो कर मर गए थे, उन्हें छोड़ जो लोग इस मरी से मर गए वे चौदह हजार सात सौ थे।

Aur jo korah ke sang bhagi ho kar mar gaye the, unhein chhod jo log is mari se mar gaye ve chaudah hajaar saat sau the.

50

तब हारून मिलापवाले तम्बू के द्वार पर मूसा के पास लौट गया, और मरी थम गई॥

Tab haroon milapvale tambu ke dwaar par Musa ke paas laut gaya, aur mari tham gai.