फिर यहोवा ने मूसा से कहा,
Phir Yahowa ne Musa se kaha,
Numbers 15 · 41 verses
फिर यहोवा ने मूसा से कहा,
Phir Yahowa ne Musa se kaha,
इस्त्राएलियों से कह, कि जब तुम अपने निवास के देश में पहुंचों, जो मैं तुम्हे देता हूं,
Istrayeliyon se kah, ki jab tum apne nivaas ke desh mein pahunchon, jo main tumhe deta hoon,
और यहोवा के लिये क्या होमबलि, क्या मेलबलि, कोई हव्य चढ़ाओ, चाहे वह विशेष मन्नत पूरी करने का हो चाहे स्वेच्छाबलि का हो, चाहे तुम्हारे नियत समयों में का हो, या वह चाहे गाय-बैल चाहे भेड़-बकरियों में का हो, जिस से यहोवा के लिये सुखदायक सुगन्ध हो;
Aur Yahowa ke liye kya homabli, kya melabli, koi havya chadhao, chahe vah vishesh mannat poori karne ka ho chahe swechchhabli ka ho, chahe tumhare niyat samyon mein ka ho, ya vah chahe gaay-bail chahe bhed-bakriyon mein ka ho, jis se Yahowa ke liye sukhdayak sugandh ho;
तब उस होमबलि वा मेलबलि के संग भेड़ के बच्चे पीछे यहोवा के लिये चौथाई हिन तेल से सना हुआ एपा का दसवां अंश मैदा अन्नबलि करके चढ़ाना,
Tab us homabli va melabli ke sang bhed ke bachche peechhe Yahowa ke liye chauthai hin tel se sana huaa epa ka dasvan ansh maida annabli karke chadhana,
और चौथाई हिन दाखमधु अर्घ करके देना।
Aur chauthai hin dakhamdhu argh karke dena.
और मेढ़े पीछे तिहाई हिन तेल से सना हुआ एपा का दो दसवां अंश मैदा अन्नबलि करके चढ़ाना;
Aur medhe peechhe tihai hin tel se sana huaa epa ka do dasvan ansh maida annabli karke chadhana;
और उसका अर्घ यहोवा को सुखदायक सुगन्ध देने वाला तिहाई दिन दाखमधु देना।
Aur uska argh Yahowa ko sukhdayak sugandh dene vala tihai din dakhamdhu dena.
और जब तू यहोवा को होमबलि वा किसी विशेष मन्नत पूरी करने के लिये बलि वा मेलबलि करके बछड़ा चढ़ाए,
Aur jab tu Yahowa ko homabli va kisi vishesh mannat poori karne ke liye bali va melabli karke bachhda chadhaye,
तब बछड़े का चढ़ाने वाला उसके संग आध हिन तेल से सना हुआ एपा का तीन दसवां अंश मैदा अन्नबलि करके चढ़ाए।
Tab bachhde ka chadhane vala uske sang aadh hin tel se sana huaa epa ka teen dasvan ansh maida annabli karke chadhaye.
और उसका अर्घ आध हिन दाखमधु चढ़ाए, वह यहोवा को सुखदायक सुगन्ध देने वाला हव्य होगा।
Aur uska argh aadh hin dakhamdhu chadhaye, vah Yahowa ko sukhdayak sugandh dene vala havya hoga.
एक एक बछड़े, वा मेढ़े, वा भेड़ के बच्चे, वा बकरी के बच्चे के साथ इसी रीति चढ़ावा चढ़ाया जाए।
Ek ek bachhde, va medhe, va bhed ke bachche, va bakri ke bachche ke saath isi reeti chadhava chadhaya jaye.
तुम्हारे बलिपशुओं की जितनी गिनती हो, उसी गिनती के अनुसार एक एक के साथ ऐसा ही किया करना।
Tumhare balipshuon ki jitni ginti ho, usi ginti ke anusaar ek ek ke saath aisa hi kiya karna.
जितने देशी हों वे यहोवा को सुखदायक सुगन्ध देने वाला हव्य चढ़ाते समय ये काम इसी रीति से किया करें।
Jitne deshi hon ve Yahowa ko sukhdayak sugandh dene vala havya chadhate samay ye kaam isi reeti se kiya karein.
और यदि कोई परदेशी तुम्हारे संग रहता हो, वा तुम्हारी किसी पीढ़ी में तुम्हारे बीच कोई रहने वाला हो, और वह यहोवा को सुखदायक सुगन्ध देने वाला हव्य चढ़ाना चाहे, तो जिस प्रकार तुम करोगे उसी प्रकार वह भी करे।
Aur yadi koi pardeshi tumhare sang rahta ho, va tumhari kisi peedhi mein tumhare beech koi rahne vala ho, aur vah Yahowa ko sukhdayak sugandh dene vala havya chadhana chahe, to jis prakaar tum karoge usi prakaar vah bhi kare.
मण्डली के लिये, अर्थात तुम्हारे और तुम्हारे संग रहने वाले परदेशी दोनों के लिये एक ही विधि हो; तुम्हारी पीढ़ी पीढ़ी में यह सदा की विधि ठहरे, कि जैसे तुम हो वैसे ही पर देशी भी यहोवा के लिये ठहरता है।
Mandali ke liye, arthaat tumhare aur tumhare sang rahne vale pardeshi donon ke liye ek hi vidhi ho; tumhari peedhi peedhi mein yah sada ki vidhi thahre, ki jaise tum ho vaise hi par deshi bhi Yahowa ke liye thaharta hai.
तुम्हारे और तुम्हारे संग रहने वाले परदेशियों के लिये एक ही व्यवस्था और एक ही नियम है॥
Tumhare aur tumhare sang rahne vale pardeshiyon ke liye ek hi vyavastha aur ek hi niyam hai.
फिर यहोवा ने मूसा से कहा,
Phir Yahowa ne Musa se kaha,
इस्त्राएलियों को मेरा यह वचन सुना, कि जब तुम उस देश में पहुंचो जहां मैं तुम को लिये जाता हूं,
Istrayeliyon ko mera yah vachan suna, ki jab tum us desh mein pahuncho jahan main tum ko liye jata hoon,
और उस देश की उपज का अन्न खाओ, तब यहोवा के लिये उठाई हुई भेंट चढ़ाया करो।
Aur us desh ki upaj ka ann khao, tab Yahowa ke liye uthai hui bhent chadhaya karo.
अपने पहिले गूंधे हुए आटे की एक पपड़ी उठाई हुई भेंट करके यहोवा के लिये चढ़ाना; जैसे तुम खलिहान में से उठाई हुई भेंट चढ़ाओगे वैसे ही उसको भी उठाया करना।
Apne pahile goondhe hue aate ki ek papdi uthai hui bhent karke Yahowa ke liye chadhana; jaise tum khalihaan mein se uthai hui bhent chadhaoge vaise hi usko bhi uthaya karna.
अपनी पीढ़ी पीढ़ी में अपने पहिले गूंधे हुए आटे में से यहोवा को उठाई हुई भेंट दिया करना॥
Apni peedhi peedhi mein apne pahile goondhe hue aate mein se Yahowa ko uthai hui bhent diya karna.
फिर जब तुम इन सब आज्ञाओं में से जिन्हें यहोवा ने मूसा को दिया है किसी का उल्लंघन भूल से करो,
Phir jab tum in sab aagyaon mein se jinhein Yahowa ne Musa ko diya hai kisi ka ullanghan bhool se karo,
अर्थात जिस दिन से यहोवा आज्ञा देने लगा, और आगे की तुम्हारी पीढ़ी पीढ़ी में उस दिन से उसने जितनी आज्ञाएं मूसा के द्वारा दी हैं,
Arthaat jis din se Yahowa aagya dene laga, aur aage ki tumhari peedhi peedhi mein us din se usne jitni aagyayen Musa ke dwara di hain,
उस में यदि भूल से किया हुआ पाप मण्डली के बिना जाने हुआ हो, तो सारी मण्डली यहोवा को सुखदायक सुगन्ध देने वाला होमबलि करके एक बछड़ा, और उसके संग नियम के अनुसार उसका अन्नबलि और अर्घ चढ़ाए, और पापबलि करके एक बकरा चढ़ाए।
Us mein yadi bhool se kiya huaa paap mandali ke bina jane huaa ho, to sari mandali Yahowa ko sukhdayak sugandh dene vala homabli karke ek bachhda, aur uske sang niyam ke anusaar uska annabli aur argh chadhaye, aur papabli karke ek bakra chadhaye.
जब याजक इस्त्राएलियों की सारी मण्डली के लिये प्रायश्चित्त करे, और उनकी क्षमा की जाएगी; क्योंकि उनका पाप भूल से हुआ, और उन्होंने अपनी भूल के लिये अपना चढ़ावा, अर्थात यहोवा के लिये हव्य और अपना पापबलि उसके साम्हने चढ़ाया।
Jab yajak istrayeliyon ki sari mandali ke liye prayashchitt kare, aur unki kshama ki jayegi; kyonki unka paap bhool se huaa, aur unhonne apni bhool ke liye apna chadhava, arthaat Yahowa ke liye havya aur apna papabli uske samhane chadhaya.
सो इस्त्राएलियों की सारी मण्डली का, और उसके बीच रहने वाले परदेशी का भी, वह पाप क्षमा किया जाएगा, क्योंकि वह सब लोगों के अनजान में हुआ।
So istrayeliyon ki sari mandali ka, aur uske beech rahne vale pardeshi ka bhi, vah paap kshama kiya jayega, kyonki vah sab logon ke anjaan mein huaa.
फिर यदि कोई प्राणी भूल से पाप करे, तो वह एक वर्ष की एक बकरी पापबलि करके चढ़ाए।
Phir yadi koi prani bhool se paap kare, to vah ek varsh ki ek bakri papabli karke chadhaye.
और याजक भूल से पाप करने वाले प्राणी के लिये यहोवा के साम्हने प्रायश्चित्त करे; सो इस प्रायश्चित्त के कारण उसका वह पाप क्षमा किया जाएगा।
Aur yajak bhool se paap karne vale prani ke liye Yahowa ke samhane prayashchitt kare; so is prayashchitt ke karan uska vah paap kshama kiya jayega.
जो कोई भूल से कुछ करे, चाहे वह परदेशी हो कर रहता हो, सब के लिये तुम्हारी एक ही व्यवस्था हो।
Jo koi bhool se kuchh kare, chahe vah pardeshi ho kar rahta ho, sab ke liye tumhari ek hi vyavastha ho.
परन्तु क्या देशी क्या परदेशी, जो प्राणी ढिठाई से कुछ करे, वह यहोवा का अनादर करने वाला ठहरेगा, और वह प्राणी अपने लोगों में से नाश किया जाए।
Parantu kya deshi kya pardeshi, jo prani dhithai se kuchh kare, vah Yahowa ka anadar karne vala thahrega, aur vah prani apne logon mein se naash kiya jaye.
वह जो यहोवा का वचन तुच्छ जानता है, और उसकी आज्ञा का टालनेवाला है, इसलिये वह प्राणी निश्चय नाश किया जाए; उसका अधर्म उसी के सिर पड़ेगा॥
Vah jo Yahowa ka vachan tuchchh janta hai, aur uski aagya ka talnevala hai, isliye vah prani nishchay naash kiya jaye; uska adharm usi ke sir padega.
जब इस्त्राएली जंगल में रहते थे, उन दिनों एक मनुष्य विश्राम के दिन लकड़ी बीनता हुआ मिला।
Jab istrayeli jangal mein rahte the, un dinon ek manushya vishraam ke din lakdi beenta huaa mila.
और जिन को वह लकड़ी बीनता हुआ मिला, वे उसको मूसा और हारून, और सारी मण्डली के पास ले गए।
Aur jin ko vah lakdi beenta huaa mila, ve usko Musa aur haroon, aur sari mandali ke paas le gaye.
उन्होंने उसको हवालात में रखा, क्योंकि ऐसे मनुष्य से क्या करना चाहिये वह प्रकट नहीं किया गया था।
Unhonne usko havalaat mein rakha, kyonki aise manushya se kya karna chahiye vah prakat nahi kiya gaya tha.
तब यहोवा ने मूसा से कहा, वह मनुष्य निश्चय मार डाला जाए; सारी मण्डली के लोग छावनी के बाहर उस पर पत्थरवाह करें।
Tab Yahowa ne Musa se kaha, vah manushya nishchay maar dala jaye; sari mandali ke log chhavni ke bahar us par pattharvaah karein.
सो जैसा यहोवा ने मूसा को आज्ञा दी थी उसी के अनुसार सारी मण्डली के लोगों ने उसको छावनी से बाहर ले जा कर पत्थरवाह किया, और वह मर गया।
So jaisa Yahowa ne Musa ko aagya di thi usi ke anusaar sari mandali ke logon ne usko chhavni se bahar le ja kar pattharvaah kiya, aur vah mar gaya.
फिर यहोवा ने मूसा से कहा,
Phir Yahowa ne Musa se kaha,
इस्त्राएलियों से कह, कि अपनी पीढ़ी पीढ़ी में अपने वस्त्रों के कोर पर झालर लगाया करना, और एक एक कोर की झालर पर एक नीला फीता लगाया करना;
Istrayeliyon se kah, ki apni peedhi peedhi mein apne vastron ke kor par jhalar lagaya karna, aur ek ek kor ki jhalar par ek neela pheeta lagaya karna;
और वह तुम्हारे लिये ऐसी झालर ठहरे, जिस से जब जब तुम उसे देखो तब तब यहोवा की सारी आज्ञाएं तुम हो स्मरण आ जाएं; और तुम उनका पालन करो, और तुम अपने अपने मन और अपनी अपनी दृष्टि के वश में हो कर व्यभिचार न करते फिरो जैसे करते आए हो।
Aur vah tumhare liye aisi jhalar thahre, jis se jab jab tum use dekho tab tab Yahowa ki sari aagyayen tum ho smaran aa jayen; aur tum unka palan karo, aur tum apne apne man aur apni apni drishti ke vash mein ho kar vyabhichaar na karte phiro jaise karte aaye ho.
परन्तु तुम यहोवा की सब आज्ञाओं को स्मरण करके उनका पालन करो, और अपने परमेश्वर के लिये पवित्र बनो।
Parantu tum Yahowa ki sab aagyaon ko smaran karke unka palan karo, aur apne Parmeshwar ke liye pavitra bano.
मैं यहोवा तुम्हारा परमेश्वर हूं, जो तुम्हे मिस्र देश से निकाल ले आया कि तुम्हारा परमेश्वर ठहरूं; मैं तुम्हारा परमेश्वर यहोवा हूं॥
Main Yahowa tumhara Parmeshwar hoon, jo tumhe Misr desh se nikaal le aaya ki tumhara Parmeshwar thahrun; main tumhara Parmeshwar Yahowa hoon.